1. ishq main ne likh daala qaumiyat ke khaane mein..

ishq main ne likh daala qaumiyat ke khaane mein
aur tera dil likha shehriyat ke khaane mein

mujh ko tajarbo ne hi baap ban ke paala hai
sochta hoon kya likhoon valdiyat ke khaane mein

mera saath deti hai mere saath rahti hai
main ne likha tanhaai zaujiyat ke khaane mein

doston se ja kar jab mashwara kiya to phir
main ne kuchh nahin likha haisiyat ke khaane mein

imtihaan mohabbat ka paas kar liya main ne
ab yahi main likhoonga ahliyat ke khaane mein

jab se aap mere hain fakhr se main likhta hoon
naam aap ka apni milkayat ke khaane mein 
---------------------------------------
इश्क़ मैं ने लिख डाला क़ौमीयत के ख़ाने में
और तेरा दिल लिखा शहरियत के ख़ाने में

मुझ को तजरबों ने ही बाप बन के पाला है
सोचता हूँ क्या लिखूँ वलदियत के ख़ाने में

मेरा साथ देती है मेरे साथ रहती है
मैं ने लिखा तन्हाई ज़ाैजियत के ख़ाने में

दोस्तों से जा कर जब मशवरा किया तो फिर
मैं ने कुछ नहीं लिखा हैसियत के ख़ाने में

इम्तिहाँ मोहब्बत का पास कर लिया मैं ने
अब यही मैं लिखूँगा अहलियत के ख़ाने में

जब से आप मेरे हैं फ़ख़्र से मैं लिखता हूँ
नाम आप का अपनी मिलकियत के ख़ाने में

Read more

2. bajaae koi shehnai mujhe achha nahin lagta..

bajaae koi shehnai mujhe achha nahin lagta
mohabbat ka tamaashaai mujhe achha nahin lagta

vo jab bichhde the ham to yaad hai garmi ki chhuttiyaan theen
tabhi se maah julaai mujhe achha nahin lagta

vo sharmaati hai itna ki hamesha us ki baaton ka
qareeban ek chauthaai mujhe achha nahin lagta

na-jaane itni kadvaahat kahaan se aa gai mujh mein
kare jo meri achchaai mujhe achha nahin lagta

mere dushman ko itni fauqiyat to hai bahr-soorat
ki tu hai us ki hum-saai mujhe achha nahin lagta

na itni daad do jis mein meri awaaz dab jaaye
kare jo yun paziraai mujhe achha nahin lagta

tiri khaatir nazar-andaaz karta hoon use warna
vo jo hai na tira bhaai mujhe achha nahin lagta 
---------------------------------------
बजाए कोई शहनाई मुझे अच्छा नहीं लगता
मोहब्बत का तमाशाई मुझे अच्छा नहीं लगता

वो जब बिछड़े थे हम तो याद है गर्मी की छुट्टीयाँ थीं
तभी से माह जुलाई मुझे अच्छा नहीं लगता

वो शरमाती है इतना कि हमेशा उस की बातों का
क़रीबन एक चौथाई मुझे अच्छा नहीं लगता

न-जाने इतनी कड़वाहट कहाँ से आ गई मुझ में
करे जो मेरी अच्छाई मुझे अच्छा नहीं लगता

मिरे दुश्मन को इतनी फ़ौक़ियत तो है बहर-सूरत
कि तू है उस की हम-साई मुझे अच्छा नहीं लगता

न इतनी दाद दो जिस में मिरी आवाज़ दब जाए
करे जो यूँ पज़ीराई मुझे अच्छा नहीं लगता

तिरी ख़ातिर नज़र-अंदाज़ करता हूँ उसे वर्ना
वो जो है ना तिरा भाई मुझे अच्छा नहीं लगता
Read more

3. tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena..

tujh ko apna ke bhi apna nahin hone dena
zakhm-e-dil ko kabhi achha nahin hone dena

main to dushman ko bhi mushkil mein kumak bhejoonga
itni jaldi use paspa nahin hone dena

tu ne mera nahin hona hai to phir yaad rahe
main ne tujh ko bhi kisi ka nahin hone dena

tu ne kitnon ko nachaaya hai ishaaron pe magar
main ne ai ishq ye mujra nahin hone dena

us ne khaai hai qasam phir se mujhe bhoolne ki
main ne is baar bhi aisa nahin hone dena

zindagi mein to tujhe chhod hi deta lekin
phir ye socha tujhe bewa nahin hone dena

mazhab-e-ishq koi chhod mare to main ne
aise murtad ka janaaza nahin hone dena
----------------------------------------
तुझ को अपना के भी अपना नहीं होने देना
ज़ख़्म-ए-दिल को कभी अच्छा नहीं होने देना

मैं तो दुश्मन को भी मुश्किल में कुमक भेजूँगा
इतनी जल्दी उसे पसपा नहीं होने देना

तू ने मेरा नहीं होना है तो फिर याद रहे
मैं ने तुझ को भी किसी का नहीं होने देना

तू ने कितनों को नचाया है इशारों पे मगर
मैं ने ऐ इश्क़! ये मुजरा नहीं होने देना

उस ने खाई है क़सम फिर से मुझे भूलने की
मैं ने इस बार भी ऐसा नहीं होने देना

ज़िंदगी में तो तुझे छोड़ ही देता लेकिन
फिर ये सोचा तुझे बेवा नहीं होने देना

मज़हब-ए-इश्क़ कोई छोड़ मरे तो मैं ने
ऐसे मुर्तद का जनाज़ा नहीं होने देना

Read more

4. agar ye kah do baghair mere nahin guzaara to main tumhaara..

agar ye kah do baghair mere nahin guzaara to main tumhaara
ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara

ghuroor-parwar ana ka maalik kuchh is tarah ke hain naam mere
magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukaara to main tumhaara

tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaaun baazi
agar main jeeta to tum ho mere agar main haara to main tumhaara

tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara saathi tumhaara apna
raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara

tumhaara hone ke faisley ko main apni qismat pe chhodta hoon
agar muqaddar ka koi toota kabhi sitaara to main tumhaara

ye kis pe ta'aweez kar rahe ho ye kis ko paane ke hain wazeefe
tamaam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara 
-----------------------------------------------
अगर ये कह दो बग़ैर मेरे नहीं गुज़ारा तो मैं तुम्हारा
या उस पे मब्नी कोई तअस्सुर कोई इशारा तो मैं तुम्हारा

ग़ुरूर-परवर अना का मालिक कुछ इस तरह के हैं नाम मेरे
मगर क़सम से जो तुम ने इक नाम भी पुकारा तो मैं तुम्हारा

तुम अपनी शर्तों पे खेल खेलो मैं जैसे चाहे लगाऊँ बाज़ी
अगर मैं जीता तो तुम हो मेरे अगर मैं हारा तो मैं तुम्हारा

तुम्हारा आशिक़ तुम्हारा मुख़्लिस तुम्हारा साथी तुम्हारा अपना
रहा न इन में से कोई दुनिया में जब तुम्हारा तो मैं तुम्हारा

तुम्हारा होने के फ़ैसले को मैं अपनी क़िस्मत पे छोड़ता हूँ
अगर मुक़द्दर का कोई टूटा कभी सितारा तो मैं तुम्हारा

ये किस पे ता'वीज़ कर रहे हो ये किस को पाने के हैं वज़ीफ़े
तमाम छोड़ो बस एक कर लो जो इस्तिख़ारा तो मैं तुम्हारा
Read more

5. meri deewaangi khud saakhta nai..

meri deewaangi khud saakhta nai
main jaisa hoon main waisa chahta nai

sukoon chehre ka tere kah raha hai
ki ai dushman tu mujh ko jaanta nai

ye dil gustaakh hota ja raha hai
ki sunta hai meri par maanta nai

mujhe dar hai mohabbat mein agar vo
kahi kah de khuda-na-khaasta nai

agarche dil kahi par haar aaya
magar phir bhi main dil-bardashta nai

ameer is ishq ka mujh se na poocho
pata tum sab ko hai kis ko pata nai 
-------------------------------
मिरी दीवानगी ख़ुद साख़्ता नईं
मैं जैसा हूँ मैं वैसा चाहता नईं

सुकूँ चेहरे का तेरे कह रहा है
कि ऐ दुश्मन तू मुझ को जानता नईं

ये दिल गुस्ताख़ होता जा रहा है
कि सुनता है मिरी पर मानता नईं

मुझे डर है मोहब्बत में अगर वो
कहीं कह दे ख़ुदा-न-ख़ास्ता नईं

अगरचे दिल कहीं पर हार आया
मगर फिर भी मैं दिल-बर्दाश्ता नईं

'अमीर' इस इश्क़ का मुझ से न पूछो
पता तुम सब को है किस को पता नईं
Read more

6. na ghaur se dekh mere dil ka kabaad aise..

na ghaur se dekh mere dil ka kabaad aise
ki main kabhi bhi nahin raha tha ujaad aise

bura ho tera jo band rakhe the main ne ghar ke
to khol aaya baghair pooche kiwaad aise

jo meri rooh-o-badan ke taanke udhed dale
to meri nazaron pe apni nazaron ko gaar aise

samajh na paaya ki tod deta ya saath rakhta
ki is ta'alluq mein aa gai thi daraad aise

ai ishq rah jaaun farfarahaa ke yun kar de be-bas
so meri gardan mein apne daanton ko gaar aise

to meri aadat se meri fitrat hi ho chala hai
abhi bhi kehta hoon mujh ko tu na bigaad aise

ye mere baazu hi jang ka faisla karenge
pakad le talwaar aur mujh ko pachaad aise

tumhaare gham ka pahaad toota to phir ye jaana
pahaadon par hi to tootte hain pahaad aise

hazaar minnat hazaar minnat hazaar mehnat
tujhe manaane ko kar raha hoon jugaad aise
------------------------------------
न ग़ौर से देख मेरे दिल का कबाड़ ऐसे
कि मैं कभी भी नहीं रहा था उजाड़ ऐसे

बुरा हो तेरा जो बंद रखे थे मैं ने घर के
तो खोल आया बग़ैर पूछे किवाड़ ऐसे

जो मेरी रूह-ओ-बदन के टाँके उधेड़ डाले
तो मेरी नज़रों पे अपनी नज़रों को गाड़ ऐसे

समझ न पाया कि तोड़ देता या साथ रखता
कि इस तअ'ल्लुक़ में आ गई थी दराड़ ऐसे

ऐ इश्क़ रह जाऊँ फड़फड़ा के यूँ कर दे बे-बस
सो मेरी गर्दन में अपने दाँतों को गाड़ ऐसे

तो मेरी आदत से मेरी फ़ितरत ही हो चला है
अभी भी कहता हूँ मुझ को तू न बिगाड़ ऐसे

ये मेरे बाज़ू ही जंग का फ़ैसला करेंगे
पकड़ ले तलवार और मुझ को पछाड़ ऐसे

तुम्हारे ग़म का पहाड़ टूटा तो फिर ये जाना
पहाड़ों पर ही तो टूटते हैं पहाड़ ऐसे

हज़ार मिन्नत हज़ार मिन्नत हज़ार मेहनत
तुझे मनाने को कर रहा हूँ जुगाड़ ऐसे
Read more

7. tiri hi shakl ke but hain kai taraashe hue..

tiri hi shakl ke but hain kai taraashe hue
na pooch kaa'ba-e-dil mein bhi kya tamaashe hue

hamaari laash ko maidan-e-ishq mein pehchaan
bujhi hui si hain aankhen to dil kharaashe hue

b-waqt-e-wasl koi baat bhi na ki ham ne
zabaan thi sookhi hui hont irtia'ashe hue

vo kaise baat ko tolenge aur boleinge
jo pal mein tole hue aur pal mein maashe hue

mazaak chhod bata ye ki mujh se kya parda
tire nuqoosh hain saare mere talashe hue

main tere shehar se nikla tha ain us lamha
tire nikaah pe taqseem jab bataashe hue 
--------------------------------------
तिरी ही शक्ल के बुत हैं कई तराशे हुए
न पूछ का'बा-ए-दिल में भी क्या तमाशे हुए

हमारी लाश को मैदान-ए-इश्क़ में पहचान
बुझी हुई सी हैं आँखें तो दिल ख़राशे हुए

ब-वक़्त-ए-वस्ल कोई बात भी न की हम ने
ज़बाँ थी सूखी हुई होंट इर्तिआ'शे हुए

वो कैसे बात को तोलेंगे और बोलेंगे
जो पल में तोले हुए और पल में माशे हुए

मज़ाक़ छोड़ बता ये कि मुझ से क्या पर्दा
तिरे नुक़ूश हैं सारे मिरे तलाशे हुए

मैं तेरे शहर से निकला था ऐन उस लम्हा
तिरे निकाह पे तक़्सीम जब बताशे हुए
Read more

8. tasveer teri yun hi rahe kaash jeb mein..

tasveer teri yun hi rahe kaash jeb mein
goya ki husn-e-vaadi-e-kailaash jeb mein

raaste mein mujh ko mil gaya yun hi gira-pada
main ne utha ke rakh liya aakaash jeb mein

pandrah minute se dhundh raha hai na jaane kya
dale hue hai haath ko qallaash jeb mein

aa ja ki yaar paan ke khokhe pe jam'a hain
cigarette chhupa ke haath mein aur taash jeb

sab tent aur kursiyon waale kama gaye
sha'ir ne thoons kar bhari shaabaash jeb mein

ab us gareeb chor ko bhejoge jail kyun
gurbat ki jis ne kaat li paadaash jeb mein

rakhta nahin hoon paas mein apni kabhi shanaakht
firta hai kaun le ke kabhi laash jeb mein 
--------------------------------------
तस्वीर तेरी यूँ ही रहे काश जेब में
गोया कि हुस्न-ए-वादी-ए-कैलाश जेब में

रस्ते में मुझ को मिल गया यूँ ही गिरा-पड़ा
मैं ने उठा के रख लिया आकाश जेब में

पंद्रह मिनट से ढूँड रहा है न जाने क्या
डाले हुए है हाथ को क़ल्लाश जेब में

आ जा कि यार पान के खोखे पे जम्अ' हैं
सिगरेट छुपा के हाथ में और ताश जेब

सब टेंट और कुर्सियों वाले कमा गए
शाइ'र ने ठूँस कर भरी शाबाश जेब में

अब उस ग़रीब चोर को भेजोगे जेल क्यूँ
ग़ुर्बत की जिस ने काट ली पादाश जेब में

रखता नहीं हूँ पास में अपनी कभी शनाख़्त
फिरता है कौन ले के कभी लाश जेब में
Read more

9. pyaar ki har ik rasm ki jo matrook thi main ne jaari ki..

pyaar ki har ik rasm ki jo matrook thi main ne jaari ki
ishq-labaada tan par pahna aur mohabbat taari ki

main ab shehr-e-ishq mein kuchh qaanoon banaane waala hoon
ab us us ki khair nahin hai jis jis ne gaddaari ki

pehle thodi bahut mohabbat ki ki kaisi hoti hai
par jab asli chehra dekha main ne to phir saari ki

jo bhi mud kar dekhega vo patthar ka ho jaayega
dekho dekho shehar mein aaye sannaata aur taarikee

ek janam mein main us ka tha ek janam mein vo mera
ham ne ki har baar mohabbat lekin baari baari ki

ham sa ho to saamne aaye aadil aur insaaf-pasand
dushman ko bhi khoon rulaaya yaaron se bhi yaari ki

aisa pyaar tha ham dono mein ki barson la-ilm rahe
us ne bhi kirdaar nibhaaya main ne bhi fankaari ki

baat to itni si hai waapas jaane ko main aaya tha
saans uthaai umr sameti chalne ki tayyaari ki 
------------------------------------------------
प्यार की हर इक रस्म कि जो मतरूक थी मैं ने जारी की
इश्क़-लबादा तन पर पहना और मोहब्बत तारी की

मैं अब शहर-ए-इश्क़ में कुछ क़ानून बनाने वाला हूँ
अब उस उस की ख़ैर नहीं है जिस जिस ने ग़द्दारी की

पहले थोड़ी बहुत मोहब्बत की कि कैसी होती है
पर जब असली चेहरा देखा मैं ने तो फिर सारी की

जो भी मुड़ कर देखेगा वो पत्थर का हो जाएगा
देखो देखो शहर में आए सन्नाटा और तारीकी

एक जन्म में मैं उस का था एक जन्म में वो मेरा
हम ने की हर बार मोहब्बत लेकिन बारी बारी की

हम सा हो तो सामने आए आदिल और इंसाफ़-पसंद
दुश्मन को भी ख़ून रुलाया यारों से भी यारी की

ऐसा प्यार था हम दोनों में कि बरसों ला-इल्म रहे
उस ने भी किरदार निभाया मैं ने भी फ़नकारी की

बात तो इतनी सी है वापस जाने को मैं आया था
साँस उठाई उम्र समेटी चलने की तय्यारी की
Read more

10. husn tera ghuroor mera tha..

husn tera ghuroor mera tha
sach to ye hai qusoor mera tha

raat yun tere khwaab se guzra
ki badan choor choor mera tha

aaine mein jamaal tha tera
tere chehre pe noor mera tha

aankh ki har zabaan par kal tak
bolne mein uboor mera tha

us ki baaton mein naam mera na tha
zikr bainssootoor mera tha

ek hi waqt mein junoon-o-khirad
la-shu'ur-o-shu'ur mera tha 
-----------------------------------
हुस्न तेरा ग़ुरूर मेरा था
सच तो ये है क़ुसूर मेरा था

रात यूँ तेरे ख़्वाब से गुज़रा
कि बदन चूर चूर मेरा था

आइने में जमाल था तेरा
तेरे चेहरे पे नूर मेरा था

आँख की हर ज़बान पर कल तक
बोलने में उबूर मेरा था

उस की बातों में नाम मेरा न था
ज़िक्र बैनस्सुतूर मेरा था

एक ही वक़्त में जुनून-ओ-ख़िरद
ला-शुऊ'र-ओ-शुऊ'र मेरा था

Read more

11. ye mera aks jo thehra tiri nigaah mein hai..

ye mera aks jo thehra tiri nigaah mein hai
nahin hai pyaar to phir kya tiri salaah mein hai

nahin hai waqt ki jurat ki choo sake us ko
ye tera husn ki jab tak meri panaah mein hai

nazar jo tujh pe ruke to zara nahin sunti
kahaan savaab mein hai ye kahaan gunaah mein hai

zabaan sanbhaal ke ab naam le raqeeb us ka
jo tera pyaar tha vo ab mere nikaah mein hai 
------------------------------------------
ये मेरा अक्स जो ठहरा तिरी निगाह में है
नहीं है प्यार तो फिर क्या तिरी सलाह में है

नहीं है वक़्त की जुरअत कि छू सके उस को
ये तेरा हुस्न कि जब तक मिरी पनाह में है

नज़र जो तुझ पे रुके तो ज़रा नहीं सुनती
कहाँ सवाब में है ये कहाँ गुनाह में है

ज़बाँ सँभाल के अब नाम ले रक़ीब उस का
जो तेरा प्यार था वो अब मिरे निकाह में है
Read more

12. zaroor us ki nazar mujh pe hi gadi hui hai..

zaroor us ki nazar mujh pe hi gadi hui hai
main jim se aa raha hoon aasteen chadhi hui hai

mujhe zara sa bura kah diya to is se kya
vo itni baat pe maa baap se ladi hui hai

use zaroorat-e-parda zara ziyaada hai
ye vo bhi jaanti hai jab se vo badi hui hai

vo meri di hui nathuni pahan ke ghoomti hai
tabhi vo in dinon kuchh aur nak-chadhi hui hai

muaahidon mein lachak bhi zaroori hoti hai
par is ki sooi wahin ki wahin adi hui hai

vo taai baandhti hai aur kheench leti hai
ye kaise waqt use pyaar ki padi hui hai

khuda ke vaaste likhte raho ki us ne ameer
har ik ghazal tiri sau sau dafa padhi hui hai 
-------------------------------------
ज़रूर उस की नज़र मुझ पे ही गड़ी हुई है
मैं जिम से आ रहा हूँ आस्तीं चढ़ी हुई है

मुझे ज़रा सा बुरा कह दिया तो इस से क्या
वो इतनी बात पे माँ बाप से लड़ी हुई है

उसे ज़रूरत-ए-पर्दा ज़रा ज़ियादा है
ये वो भी जानती है जब से वो बड़ी हुई है

वो मेरी दी हुई नथुनी पहन के घूमती है
तभी वो इन दिनों कुछ और नक-चढ़ी हुई है

मुआहिदों में लचक भी ज़रूरी होती है
पर इस की सूई वहीं की वहीं अड़ी हुई है

वो टाई बाँधती है और खींच लेती है
ये कैसे वक़्त उसे प्यार की पड़ी हुई है

ख़ुदा के वास्ते लिखते रहो कि उस ने 'अमीर'
हर इक ग़ज़ल तिरी सौ सौ दफ़ा पढ़ी हुई है
Read more

13. vo bhi ab yaad karein kis ko manaane nikle..

vo bhi ab yaad karein kis ko manaane nikle
ham bhi yoonhi to na maane the siyaane nikle

main ne mehsoos kiya jab bhi ki ghar se nikla
aur bhi log kai kar ke bahaane nikle

aaj ki baat pe main hansta raha hansta raha
chot taaza jo lagi dard purane nikle

ek shatranj-numa zindagi ke khaanon mein
aise ham shah jo pyaaron ke nishaane nikle

tu ne jis shakhs ko maara tha samajh kar kaafir
us ki mutthi se to tasbeeh ke daane nikle

kaash ho aaj kuchh aisa vo mera maalik-e-dil
mere dil se hi mere dil ko churaane nikle

aap ka dard in aankhon se chhalakta kaise
mere aansu to piyaazon ke bahaane nikle

main samajhta tha tujhe ek zamaane ka magar
tere andar to kai aur zamaane nikle

laapata aaj talak qafile saare hain ameer
jo tire pyaar mein kho kar tujhe paane nikle 
----------------------------------------
वो भी अब याद करें किस को मनाने निकले
हम भी यूँही तो न माने थे सियाने निकले

मैं ने महसूस किया जब भी कि घर से निकला
और भी लोग कई कर के बहाने निकले

आज की बात पे मैं हँसता रहा हँसता रहा
चोट ताज़ा जो लगी दर्द पुराने निकले

एक शतरंज-नुमा ज़िंदगी के ख़ानों में
ऐसे हम शाह जो प्यादों के निशाने निकले

तू ने जिस शख़्स को मारा था समझ कर काफ़िर
उस की मुट्ठी से तो तस्बीह के दाने निकले

काश हो आज कुछ ऐसा वो मिरा मालिक-ए-दिल
मेरे दिल से ही मिरे दिल को चुराने निकले

आप का दर्द इन आँखों से छलकता कैसे
मेरे आँसू तो पियाज़ों के बहाने निकले

मैं समझता था तुझे एक ज़माने का मगर
तेरे अंदर तो कई और ज़माने निकले

लापता आज तलक क़ाफ़िले सारे हैं 'अमीर'
जो तिरे प्यार में खो कर तुझे पाने निकले

Read more

14. vo roothi roothi ye kah rahi thi qareeb aao mujhe manao..

vo roothi roothi ye kah rahi thi qareeb aao mujhe manao
ho mard to aage badh ke mujh ko gale lagao mujhe manao

main kal se naaraz hoon qasam se aur ek kone mein ja padi hoon
haan main galat hoon dikhaao phir bhi tumhi jhukao mujhe manao

tumhaare nakhrin se apni an-ban to badhti jaayegi sun rahe ho
tum ek sorry se khatm kar sakte ho tanaav mujhe manao

tumhein pata bhi hai kis sakhi se tumhaara paala pada hua hai
mua'af kar doongi tum ko fauran hi aao aao mujhe manao

mujhe yun apne se door kar ke na khush rahoge ghuroor kar ke
so mujh se kuchh faasle pe rakho ye rakh-rakhaav mujhe manao

mujhe batao ki meri naarazgi se tum ko hai farq koi
main kha rahi hoon na-jaane kab se hi pech-taav mujhe manao

mujhe pata hai mujhe manaane ko tum bhi bechain ho rahe ho
to kya zaroori hai tum bhi itne bharam dikhaao mujhe manao

mera iraada to pehle hi se hai maan jaane ka sach bataaun
tum apne bhar bhi tamaam harbon ko aazmao mujhe manao

bahut bure ho meri dikhaave ki neend ko bhi tum asl samjhe
kahi se seekho piyaar karna mujhe jagao mujhe manao

tum apne andaaz mein ki jaise chadha ke rakhte ho aasteinen
to main tumhaara radif waali ghazal sunaao mujhe manao

khilaf-e-ma'amool mood achha hai aaj mera main kah rahi hoon
ki phir kabhi mujh se karte rahna ye bhaav-taav mujhe manao

main parle darje ka hat-dharam tha ki phir bhi us ko manaa na paaya
so ab bhi kaanon mein goonjtaa hai mujhe manao mujhe manao 
-------------------------------------------
वो रूठी रूठी ये कह रही थी क़रीब आओ मुझे मनाओ
हो मर्द तो आगे बढ़ के मुझ को गले लगाओ मुझे मनाओ

मैं कल से नाराज़ हूँ क़सम से और एक कोने में जा पड़ी हूँ
हाँ मैं ग़लत हूँ दिखाओ फिर भी तुम्ही झुकाओ मुझे मनाओ

तुम्हारे नख़रों से अपनी अन-बन तो बढ़ती जाएगी सुन रहे हो
तुम एक सॉरी से ख़त्म कर सकते हो तनाव मुझे मनाओ

तुम्हें पता भी है किस सखी से तुम्हारा पाला पड़ा हुआ है
मुआ'फ़ कर दूँगी तुम को फ़ौरन ही आओ आओ मुझे मनाओ

मुझे यूँ अपने से दूर कर के न ख़ुश रहोगे ग़ुरूर कर के
सो मुझ से कुछ फ़ासले पे रक्खो ये रख-रखाव मुझे मनाओ

मुझे बताओ कि मेरी नाराज़गी से तुम को है फ़र्क़ कोई
मैं खा रही हूँ न-जाने कब से ही पेच-ताव मुझे मनाओ

मुझे पता है मुझे मनाने को तुम भी बेचैन हो रहे हो
तो क्या ज़रूरी है तुम भी इतने भरम दिखाओ मुझे मनाओ

मिरा इरादा तो पहले ही से है मान जाने का सच बताऊँ
तुम अपने भर भी तमाम हर्बों को आज़माओ मुझे मनाओ

बहुत बुरे हो मिरी दिखावे की नींद को भी तुम अस्ल समझे
कहीं से सीखो पियार करना मुझे जगाओ मुझे मनाओ

तुम अपने अंदाज़ में कि जैसे चढ़ा के रखते हो आस्तीनें
तो मैं ''तुम्हारा'' रदीफ़ वाली ग़ज़ल सुनाओ मुझे मनाओ

ख़िलाफ़-ए-मा'मूल मूड अच्छा है आज मेरा मैं कह रही हूँ
कि फिर कभी मुझ से करते रहना ये भाव-ताव मुझे मनाओ

मैं परले दर्जे का हट-धरम था कि फिर भी उस को मना न पाया
सो अब भी कानों में गूँजता है मुझे मनाओ मुझे मनाओ

Read more

15. Zarur us Ki nazar mujh pe hi gadi hui hai..

Zarur us Ki nazar mujh pe hi gadi hui hai
main jym se aa raha huun astin chaḌhi hui hai

mujhe zara sa bura kah diya to is se kya
vo itni baat pe maan baap se laḌi hui hai

use zarurat-e-parda zara ziyada hai
ye vo bhi janti hai jab se vo baḌi hui hai

vo meri di hui nthuni pahan ke ghumti hai
tabhi vo in dinon kuchh aur nak-chaḌhi hui hai

muahidon men lachak bhi zaruri hoti hai
par is ki suui vahin ki vahin aḌi hui hai

vo tie bandhti hai aur khinch leti hai
ye kaise vaqt use pyaar ki paḌi hui hai

ḳhuda ke vaste likhte raho ki us ne 'amīr'
har ik ghazal tiri sau sau dafa paḌhi hui hai
------------------------------------------------
ज़रूर उसकी नज़र मुझ पे ही गड़ी हुई है
मैं जिम से आ रहा हूँ आस्तीन चढ़ी हुई है

मुझे ज़रा सा बुरा कह दिया तो इससे क्या
वो इतनी बात पे माँ-बाप से लड़ी हुई है

उसे ज़रूरत-ए-परदा ज़रा ज़्यादा है
ये वो भी जानती है जब से वो बड़ी हुई है

वो मेरी दी हुई घुंटी पहन के घूमती है
तभी वो इन दिनों कुछ और नख-चढ़ी हुई है

मुआहिदों में लचक भी ज़रूरी होती है
पर इसकी सूई वहीं की वहीं अड़ी हुई है

वो टाई बांधती है और खींच लेती है
ये कैसे वक्त उसे प्यार की पड़ी हुई है

ख़ुदा के वास्ते लिखते रहो कि उसने 'अमीर'
हर इक ग़ज़ल तिरी सौ सौ दफ़ा पढ़ी हुई है

Read more

16. Agar ye keh do baghair mere nahi guzara toh main tumhara..

Agar ye keh do baghair mere nahi guzara toh main tumhara
Ya us pe mabni koi tasur koi ishara toh main tumhara

Guroor-parwar ana ka malik kuch is tarah ke hain naam mere
Magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukara toh main tumhara

Tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaoon baazi
Agar main jeeta toh tum ho mere agar main haara toh main tumhara

Tumhara aashiq tumhara mukhlis tumhara saathi tumhara apna
Raha na in mein se koi duniya mein jab tumhara toh main tumhara

Tumhara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhodta hoon
Agar muqaddar ka koi toota kabhi sitara toh main tumhara

Ye kis pe taweez kar rahe ho ye kis ko paane ke hain wazeefe
Tamaam chhodo bas ek kar lo jo istikhara toh main tumhara
---------------------------------------------------------------------------------
अगर ये कह दो बग़ैर मेरे नहीं गुज़ारा तो मैं तुम्हारा
या उस पे मब्नी कोई त'अस्सुर कोई इशारा तो मैं तुम्हारा

ग़ुरूर-परवर अना का मालिक कुछ इस तरह के हैं नाम मेरे
मगर क़सम से जो तुम ने इक नाम भी पुकारा तो मैं तुम्हारा

तुम अपनी शर्तों पे खेल खेलो मैं जैसे चाहे लगाऊँ बाज़ी
अगर मैं जीता तो तुम हो मेरे अगर मैं हारा तो मैं तुम्हारा

तुम्हारा आशिक़ तुम्हारा मुख़्लिस तुम्हारा साथी तुम्हारा अपना
रहा न इन में से कोई दुनिया में जब तुम्हारा तो मैं तुम्हारा

तुम्हारा होने के फ़ैसले को मैं अपनी क़िस्मत पे छोड़ता हूँ
अगर मुक़द्दर का कोई टूटा कभी सितारा तो मैं तुम्हारा

ये किस पे ता'वीज़ कर रहे हो ये किस को पाने के हैं वज़ीफ़े
तमाम छोड़ो बस एक कर लो जो इस्तिख़ारा तो मैं तुम्हारा
Read more

17. Bajae koi shahnai mujhe achchha nahin lagta..

बजाए कोई शहनाई मुझे अच्छा नहीं लगता
मोहब्बत का तमाशाई मुझे अच्छा नहीं लगता

वो जब बिछड़े थे हम तो याद है गर्मी की छुट्टीयाँ थीं
तभी से माह जुलाई मुझे अच्छा नहीं लगता

वो शरमाती है इतना कि हमेशा उस की बातों का
क़रीबन एक चौथाई मुझे अच्छा नहीं लगता

न-जाने इतनी कड़वाहट कहाँ से आ गई मुझ में
करे जो मेरी अच्छाई मुझे अच्छा नहीं लगता

मिरे दुश्मन को इतनी फ़ौक़ियत तो है बहर-सूरत
कि तू है उस की हम-साई मुझे अच्छा नहीं लगता

न इतनी दाद दो जिस में मिरी आवाज़ दब जाए
करे जो यूँ पज़ीराई मुझे अच्छा नहीं लगता

तिरी ख़ातिर नज़र-अंदाज़ करता हूँ उसे वर्ना
वो जो है ना तिरा भाई मुझे अच्छा नहीं लगता

------------------------------------------------

baja.e koi shahna.i mujhe achchha nahin lagta
mohabbat ka tamasha.i mujhe achchha nahin lagta 

vo jab bichhDe the ham to yaad hai garmi ki chhuTTiyan thiin
tabhi se maah july mujhe achchha nahin lagta 

vo sharmati hai itna ki hamesha us ki baton ka
qariban ek chautha.i mujhe achchha nahin lagta 

na-jane itni kaDvahaT kahan se aa ga.i mujh men 
kare jo meri achchha.i mujhe achchha nahin lagta 

mire dushman ko itni fauqiyat to hai bahar-surat
ki tu hai us ki ham-sa.i mujhe achchha nahin lagta 

na itni daad do jis men miri avaz dab jaa.e
kare jo yuun pazira.i mujhe achchha nahin lagta 

tiri khatir nazar-andaz karta huun use varna
vo jo hai na tira bhaa.i mujhe achchha nahin lagta
Read more