1. Tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost..

tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tu meri pehli mohabbat thi meri aakhiri dost

log har baat ka afsaana bana dete hain
ye to duniya hai meri jaan kai dushman kai dost

tere qamat se bhi lipti hai amar-bel koi
meri chaahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost

yaad aayi hai to phir toot ke yaad aayi hai
koi guzri hui manzil koi bhooli hui dost

ab bhi aaye ho to ehsaan tumhaara lekin
vo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost

tere lehje ki thakan mein tira dil shaamil hai
aisa lagta hai judaai ki ghadi aa gai dost

baarish-e-sang ka mausam hai mere shehar mein to
tu ye sheeshe sa badan le ke kahaan aa gai dost

main use ahd-shikan kaise samajh luun jis ne
aakhiri khat mein ye likkha tha faqat aap ki dost
----------------------------------------
तुझ से मिल कर तो ये लगता है कि ऐ अजनबी दोस्त
तू मिरी पहली मोहब्बत थी मिरी आख़िरी दोस्त

लोग हर बात का अफ़्साना बना देते हैं
ये तो दुनिया है मिरी जाँ कई दुश्मन कई दोस्त

तेरे क़ामत से भी लिपटी है अमर-बेल कोई
मेरी चाहत को भी दुनिया की नज़र खा गई दोस्त

याद आई है तो फिर टूट के याद आई है
कोई गुज़री हुई मंज़िल कोई भूली हुई दोस्त

अब भी आए हो तो एहसान तुम्हारा लेकिन
वो क़यामत जो गुज़रनी थी गुज़र भी गई दोस्त

तेरे लहजे की थकन में तिरा दिल शामिल है
ऐसा लगता है जुदाई की घड़ी आ गई दोस्त

बारिश-ए-संग का मौसम है मिरे शहर में तो
तू ये शीशे सा बदन ले के कहाँ आ गई दोस्त

मैं उसे अहद-शिकन कैसे समझ लूँ जिस ने
आख़िरी ख़त में ये लिक्खा था फ़क़त आप की दोस्त

Read more

2. Saaqiya ek nazar jaam se pehle pehle..

saaqiya ek nazar jaam se pehle pehle
ham ko jaana hai kahi shaam se pehle pehle

nau-giraftaar-e-wafa saee-e-rihaaee hai abas
ham bhi uljhe the bahut daam se pehle pehle

khush ho ai dil ki mohabbat to nibha di tu ne
log ujad jaate hain anjaam se pehle pehle

ab tire zikr pe ham baat badal dete hain
kitni raghbat thi tire naam se pehle pehle

saamne umr padi hai shab-e-tanhaai ki
vo mujhe chhod gaya shaam se pehle pehle

kitna achha tha ki ham bhi jiya karte the faraaz
ghair-maaruf se gumnaam se pehle pehle
---------------------------------------
साक़िया एक नज़र जाम से पहले पहले
हम को जाना है कहीं शाम से पहले पहले

नौ-गिरफ़्तार-ए-वफ़ा सई-ए-रिहाई है अबस
हम भी उलझे थे बहुत दाम से पहले पहले

ख़ुश हो ऐ दिल कि मोहब्बत तो निभा दी तू ने
लोग उजड़ जाते हैं अंजाम से पहले पहले

अब तिरे ज़िक्र पे हम बात बदल देते हैं
कितनी रग़बत थी तिरे नाम से पहले पहले

सामने उम्र पड़ी है शब-ए-तन्हाई की
वो मुझे छोड़ गया शाम से पहले पहले

कितना अच्छा था कि हम भी जिया करते थे 'फ़राज़'
ग़ैर-मारूफ़ से गुमनाम से पहले पहले
Read more

3. Juz tire koi bhi din raat na jaane mere..

juz tire koi bhi din raat na jaane mere
tu kahaan hai magar ai dost purane mere

tu bhi khushboo hai magar mera tajassus bekar
barg-e-aawara ki maanind thikaane mere

sham'a ki lau thi ki vo tu tha magar hijr ki raat
der tak rota raha koi sirhaane mere

khalk ki be-khabri hai ki meri ruswaai
log mujh ko hi sunaate hain fasaane mere

loot ke bhi khush hoon ki ashkon se bhara hai daaman
dekh ghaarat-gar-e-dil ye bhi khazaane mere

aaj ik aur baras beet gaya us ke baghair
jis ke hote hue hote the zamaane mere

kaash tu bhi meri awaaz kahi sunta ho
phir pukaara hai tujhe dil ki sada ne mere

kaash tu bhi kabhi aa jaaye masihaai ko
log aate hain bahut dil ko dukhaane mere

kaash auron ki tarah main bhi kabhi kah saka
baat sun li hai meri aaj khuda ne mere

tu hai kis haal mein ai zood-faramosh mere
mujh ko to cheen liya ahad-e-wafaa ne mere

chaaragar yun to bahut hain magar ai jaan-e-'faraz
juz tire aur koi zakham na jaane mere 
--------------------------------------
जुज़ तिरे कोई भी दिन रात न जाने मेरे
तू कहाँ है मगर ऐ दोस्त पुराने मेरे

तू भी ख़ुशबू है मगर मेरा तजस्सुस बेकार
बर्ग-ए-आवारा की मानिंद ठिकाने मेरे

शम्अ की लौ थी कि वो तू था मगर हिज्र की रात
देर तक रोता रहा कोई सिरहाने मेरे

ख़ल्क़ की बे-ख़बरी है कि मिरी रुस्वाई
लोग मुझ को ही सुनाते हैं फ़साने मेरे

लुट के भी ख़ुश हूँ कि अश्कों से भरा है दामन
देख ग़ारत-गर-ए-दिल ये भी ख़ज़ाने मेरे

आज इक और बरस बीत गया उस के बग़ैर
जिस के होते हुए होते थे ज़माने मेरे

काश तू भी मेरी आवाज़ कहीं सुनता हो
फिर पुकारा है तुझे दिल की सदा ने मेरे

काश तू भी कभी आ जाए मसीहाई को
लोग आते हैं बहुत दिल को दुखाने मेरे

काश औरों की तरह मैं भी कभी कह सकता
बात सुन ली है मिरी आज ख़ुदा ने मेरे

तू है किस हाल में ऐ ज़ूद-फ़रामोश मिरे
मुझ को तो छीन लिया अहद-ए-वफ़ा ने मेरे

चारागर यूँ तो बहुत हैं मगर ऐ जान-ए-'फ़राज़'
जुज़ तिरे और कोई ज़ख़्म न जाने मेरे
Read more

4. Khaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete..

khaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete
bismil ho to qaateel ko dua kyun nahin dete

vehshat ka sabab rauzan-e-zindaan to nahin hai
mehr o mah o anjum ko bujha kyun nahin dete

ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
ai chaaragaro dard badha kyun nahin dete

munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
mujrim hain agar ham to saza kyun nahin dete

rehzan ho to haazir hai mata-e-dil-o-jaan bhi
rahbar ho to manzil ka pata kyun nahin dete

kya beet gai ab ke faraaz ahl-e-chaman par
yaaraan-e-qafas mujh ko sada kyun nahin dete 
------------------------------------
ख़ामोश हो क्यूँ दाद-ए-जफ़ा क्यूँ नहीं देते
बिस्मिल हो तो क़ातिल को दुआ क्यूँ नहीं देते

वहशत का सबब रौज़न-ए-ज़िंदाँ तो नहीं है
मेहर ओ मह ओ अंजुम को बुझा क्यूँ नहीं देते

इक ये भी तो अंदाज़-ए-इलाज-ए-ग़म-ए-जाँ है
ऐ चारागरो दर्द बढ़ा क्यूँ नहीं देते

मुंसिफ़ हो अगर तुम तो कब इंसाफ़ करोगे
मुजरिम हैं अगर हम तो सज़ा क्यूँ नहीं देते

रहज़न हो तो हाज़िर है मता-ए-दिल-ओ-जाँ भी
रहबर हो तो मंज़िल का पता क्यूँ नहीं देते

क्या बीत गई अब के 'फ़राज़' अहल-ए-चमन पर
यारान-ए-क़फ़स मुझ को सदा क्यूँ नहीं देते
Read more

5. Phir usi rahguzar par shaayad..

phir usi rahguzar par shaayad
ham kabhi mil saken magar shaayad

jin ke ham muntazir rahe un ko
mil gaye aur hum-safar shaayad

jaan-pahchaan se bhi kya hoga
phir bhi ai dost ghaur kar shaayad

ajnabbiyyat ki dhund chhat jaaye
chamak utthe tiri nazar shaayad

zindagi bhar lahu rulaayegi
yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad

jo bhi bichhde vo kab mile hain faraaz
phir bhi tu intizaar kar shaayad
----------------------------
फिर उसी रहगुज़ार पर शायद
हम कभी मिल सकें मगर शायद

जिन के हम मुंतज़िर रहे उन को
मिल गए और हम-सफ़र शायद

जान-पहचान से भी क्या होगा
फिर भी ऐ दोस्त ग़ौर कर शायद

अज्नबिय्यत की धुँद छट जाए
चमक उठ्ठे तिरी नज़र शायद

ज़िंदगी भर लहू रुलाएगी
याद-ए-यारान-ए-बे-ख़बर शायद

जो भी बिछड़े वो कब मिले हैं 'फ़राज़'
फिर भी तू इंतिज़ार कर शायद
Read more

6. Aise chup hain ki ye manzil bhi kaddi ho jaise..

aise chup hain ki ye manzil bhi kaddi ho jaise
tera milna bhi judaai ki ghadi ho jaise

apne hi saaye se har gaam larz jaata hoon
raaste mein koi deewaar khadi ho jaise

kitne naadaan hain tire bhoolne waale ki tujhe
yaad karne ke liye umr padi ho jaise

tere maathe ki shikan pehle bhi dekhi thi magar
ye girah ab ke mere dil mein padi ho jaise

manzilen door bhi hain manzilen nazdeek bhi hain
apne hi paanv mein zanjeer padi ho jaise

aaj dil khol ke roye hain to yun khush hain faraaz
chand lamhon ki ye raahat bhi badi ho jaise
----------------------------------------
ऐसे चुप हैं कि ये मंज़िल भी कड़ी हो जैसे
तेरा मिलना भी जुदाई की घड़ी हो जैसे

अपने ही साए से हर गाम लरज़ जाता हूँ
रास्ते में कोई दीवार खड़ी हो जैसे

कितने नादाँ हैं तिरे भूलने वाले कि तुझे
याद करने के लिए उम्र पड़ी हो जैसे

तेरे माथे की शिकन पहले भी देखी थी मगर
ये गिरह अब के मिरे दिल में पड़ी हो जैसे

मंज़िलें दूर भी हैं मंज़िलें नज़दीक भी हैं
अपने ही पाँव में ज़ंजीर पड़ी हो जैसे

आज दिल खोल के रोए हैं तो यूँ ख़ुश हैं 'फ़राज़'
चंद लम्हों की ये राहत भी बड़ी हो जैसे
Read more

7. barson ke baad dekha ik shakhs dilruba sa..

barson ke baad dekha ik shakhs dilruba sa
ab zehan mein nahin hai par naam tha bhala sa

abroo khinche khinche se aankhen jhuki jhuki si
baatein ruki ruki si lahja thaka thaka sa

alfaaz the ki jugnoo awaaz ke safar mein
ban jaaye junglon mein jis tarah raasta sa

khwaabon mein khwaab uske yaadon mein yaad uski
neendon mein khul gaya ho jaise ki ratjaga sa

pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
woh har tarah se lekin auron se tha juda sa

kuchh ye ki muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar mein khula tha ahbaab ka dilaasa

phir yun hua ki saawan aankhon mein aa base the
phir yun hua ki jaise dil bhi tha aablaa sa

ab sach kahein to yaaron hamko khabar nahin thi
ban jaayega qayamat ik waqia zara sa

tevar the be-rukhi ke andaaz dosti ke
woh ajnabi tha lekin lagta tha aashnaa sa

ham dasht the ki dariya ham zahar the ki amrit
na-haq tha zoom hamko jab vo nahin tha pyaasa

hamne bhi usko dekha kal shaam ittefaqan
apna bhi haal hai ab logon faraaz ka sa
-------------------------------------
बरसों के बाद देखा इक शख़्स दिलरुबा सा
अब ज़ेहन में नहीं है पर नाम था भला सा

अबरू खिंचे खिंचे से आँखें झुकी झुकी सी
बातें रुकी रुकी सी लहजा थका थका सा

अल्फ़ाज़ थे कि जुगनू आवाज़ के सफ़र में
बन जाए जंगलों में जिस तरह रास्ता सा

ख़्वाबों में ख़्वाब उसके यादों में याद उसकी
नींदों में खुल गया हो जैसे कि रतजगा सा

पहले भी लोग आए कितने ही ज़िंदगी में
वह हर तरह से लेकिन औरों से था जुदा सा

कुछ ये कि मुद्दतों से हम भी नहीं थे रोए
कुछ ज़हर में खुला था अहबाब का दिलासा

फिर यूँ हुआ कि सावन आँखों में आ बसे थे
फिर यूँ हुआ कि जैसे दिल भी था आबला सा

अब सच कहें तो यारों हमको ख़बर नहीं थी
बन जाएगा क़यामत इक वाक़िआ ज़रा सा

तेवर थे बे-रुख़ी के अंदाज़ दोस्ती के
वह अजनबी था लेकिन लगता था आशना सा

हम दश्त थे कि दरिया हम ज़हर थे कि अमृत
ना-हक़ था ज़ोम हमको जब वो नहीं था प्यासा

हमने भी उसको देखा कल शाम इत्तेफ़ाक़न
अपना भी हाल है अब लोगों फ़राज़ का सा
Read more

8. kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom..

kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom
haath utha liye sabne aur dua nahin maaloom

mausamon ke chehron se zardiyaan nahin jaati
phool kyun nahin lagte khush-numa nahin maaloom

rahbaro'n ke tevar bhi rahzano se lagte hain
kab kahaan pe loot jaaye qaafila nahin maaloom

sarv to gai rut mein qaamaten ganwa baithe
qumariyaan hui kaise be-sada nahin maaloom

aaj sabko daava hai apni apni chaahat ka
kaun kis se hota hai kal juda nahin maaloom

manzaron kii tabdeeli bas nazar mein rahti hai
ham bhi hote jaate hain kya se kya nahin maaloom

ham faraaz sheron se dil ke zakhm bharte hain
kya karein maseeha ko jab dava nahin maaloom
----------------------------------------------
किस तरफ़ को चलती है अब हवा नहीं मालूम
हाथ उठा लिए सबने और दुआ नहीं मालूम

मौसमों के चेहरों से ज़र्दियाँ नहीं जाती
फूल क्यूँ नहीं लगते ख़ुश-नुमा नहीं मालूम

रहबरों के तेवर भी रहज़नों से लगते हैं
कब कहाँ पे लुट जाए क़ाफ़िला नहीं मालूम

सर्व तो गई रुत में क़ामतें गँवा बैठे
क़ुमरियाँ हुईं कैसे बे-सदा नहीं मालूम

आज सबको दावा है अपनी अपनी चाहत का
कौन किस से होता है कल जुदा नहीं मालूम

मंज़रों की तब्दीली बस नज़र में रहती है
हम भी होते जाते हैं क्या से क्या नहीं मालूम

हम 'फ़राज़' शेरों से दिल के ज़ख़्म भरते हैं
क्या करें मसीहा को जब दवा नहीं मालूम
Read more

9. faraz tujh ko na aayeen mohabbatein karni..

ये क्या कि सब से बयाँ दिल की हालतें करनी
'फ़राज़' तुझ को न आईं मोहब्बतें करनी 

ये क़ुर्ब क्या है कि तू सामने है और हमें
शुमार अभी से जुदाई की साअ'तें करनी 

कोई ख़ुदा हो कि पत्थर जिसे भी हम चाहें
तमाम उम्र उसी की इबादतें करनी 

सब अपने अपने क़रीने से मुंतज़िर उस के
किसी को शुक्र किसी को शिकायतें करनी 

हम अपने दिल से ही मजबूर और लोगों को
ज़रा सी बात पे बरपा क़यामतें करनी 

मिलें जब उन से तो मुबहम सी गुफ़्तुगू करना
फिर अपने आप से सौ सौ वज़ाहतें करनी 

ये लोग कैसे मगर दुश्मनी निबाहते हैं
हमें तो रास न आईं मोहब्बतें करनी 

कभी 'फ़राज़' नए मौसमों में रो देना
कभी तलाश पुरानी रिफाक़तें करनी

---------------------------------

Yeh kya ke sab se bayaan dil kii haalatein karni
'faraz' tujh ko na aayeen mohabbatein karni

yeh qurb kya hai ke tu saamne hai aur hamein
shumaar abhi se Khudaai ke sa'atein karni

koi khuda ho ke patthar jise bhi ham
chaahein tamaam umr usi kii ibaadatein karni

sab apne apne qareene se muntazir us ke
kisi ko shukr kisi ko shikaayatein karni

ham apne dil se hi majboor aur logon ko
zaraa si baat pe barpaa qayaamatein karni

milen jab un se to mubham si guftagoo karna
phir apne aap se sau sau dafaa hmaqtein karni

yeh log kaise magar dushmani nibaahte hain
hamein to raas na aayen mohabbatein karni

kabhi "faraz" naye mausamon mein ro dena
kabhi talaash puraani rafaaqatein karni
Read more

10. jis samt bhi dekhun nazar aataa hai ki tum ho..

जिस सम्त भी देखूँ नज़र आता है कि तुम हो
ऐ जान-ए-जहाँ ये कोई तुम सा है कि तुम हो

ये ख़्वाब है ख़ुशबू है कि झोंका है कि पल है 
ये धुँद है बादल है कि साया है कि तुम हो 

इस दीद की साअत में कई रंग हैं लर्ज़ां 
मैं हूँ कि कोई और है दुनिया है कि तुम हो 

देखो ये किसी और की आँखें हैं कि मेरी 
देखूँ ये किसी और का चेहरा है कि तुम हो 

ये उम्र-ए-गुरेज़ाँ कहीं ठहरे तो ये जानूँ 
हर साँस में मुझ को यही लगता है कि तुम हो 

हर बज़्म में मौज़ू-ए-सुख़न दिल-ज़दगाँ का 
अब कौन है शीरीं है कि लैला है कि तुम हो 

इक दर्द का फैला हुआ सहरा है कि मैं हूँ 
इक मौज में आया हुआ दरिया है कि तुम हो 

वो वक़्त न आए कि दिल-ए-ज़ार भी सोचे 
इस शहर में तन्हा कोई हम सा है कि तुम हो

आबाद हम आशुफ़्ता-सरों से नहीं मक़्तल 
ये रस्म अभी शहर में ज़िंदा है कि तुम हो 

ऐ जान-ए-'फ़राज़' इतनी भी तौफ़ीक़ किसे थी 
हम को ग़म-ए-हस्ती भी गवारा है कि तुम हो 

---------------------------------------------

jis samt bhi dekhun nazar aataa hai ki tum ho
ai jaan e jahaan ye koi tum saa hai ki tum ho

ye Khvaab hai Khushbu hai ki jhonkaa hai ki pul hai
ye dhund hai baadal hai ki saayaa hai ki tum ho

is did ki saa.at men kai rang hain larzaan
main hun ki koi aur hai duniyaa hai ki tum ho

dekho ye kisi aur ki aankhen hain ki meri
dekhun ye kisi aur kaa chehra hai ki tum ho

ye umr e gurezaan kahin thahre to ye jaanun
har saans men mujh ko yahi lagtaa hai ki tum ho

har bazm men mauzu e suKhan dil zadgaan kaa
ab kaun hai shirin hai ki lailaa hai ki tum ho

ik dard kaa phailaa huaa sahraa hai ki main hun
ik mauj men aayaa huaa dariyaa hai ki tum ho

vo vaqt na aa.e ki dil e zaar bhi soche
is shahr men tanhaa koi ham saa hai ki tum ho

aabaad ham aashufta-saron se nahin maqtal
ye rasm abhi shahr men zinda hai ki tum ho

ai jaan e faraaz itni bhi taufiq kise thi
ham ko gham e hasti bhi gavaara hai ki tum ho
Read more

11. Iss Se Pehle K Bewafa Ho Jaye..

इस से पहले कि बे-वफ़ा हो जाएँ
क्यूँ न ऐ दोस्त हम जुदा हो जाएँ

तू भी हीरे से बन गया पत्थर
हम भी कल जाने क्या से क्या हो जाएँ

तू कि यकता था बे-शुमार हुआ
हम भी टूटें तो जा-ब-जा हो जाएँ

हम भी मजबूरियों का उज़्र करें
फिर कहीं और मुब्तला हो जाएँ

हम अगर मंज़िलें न बन पाए
मंज़िलों तक का रास्ता हो जाएँ

देर से सोच में हैं परवाने
राख हो जाएँ या हवा हो जाएँ

इश्क़ भी खेल है नसीबों का
ख़ाक हो जाएँ कीमिया हो जाएँ

अब के गर तू मिले तो हम तुझ से
ऐसे लिपटें तिरी क़बा हो जाएँ

बंदगी हम ने छोड़ दी है 'फ़राज़'
क्या करें लोग जब ख़ुदा हो जाएँ

-----------------------------------

Iss Se Pehle K Bewafa Ho Jaye
Q Na A Dost Hum Juda Ho Jaye

Tu B Heere Se Ban Gaya Patthar
Hum B Kal Jane Kia Se Kia Hojaye

Tu K Yakta Ta Beshumar Hua
Hum B Toote To Jabaja Ho Jaye

Hum B Majburiyo Ka Uzr Kare
Pir Kahe Aur Mubtila Ho Jaye

Hum Agar Manzile Na Ban Paye
Manzilo Takk Ka Rasta Hojaye

Dair Se Soch Mai Hai Parwane
Raak Ho Jaye Ya Hawa Hojaye

Ishq B Khel Hai Naseebo Ka
Khak Hojaye Keemya Hojaye

Ab K Gar Tu Mile To Hum Tujh Se
Aise Lipte Teri Qaba Hojaye

Bandagi Hum Ne Chorh Di Hai 'Faraz'
Kia Kare Log Jab Khuda Hojaye
Read more

12. Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala..

दोस्त बन कर भी नहीं साथ निभाने वाला
वही अंदाज़ है ज़ालिम का ज़माने वाला

अब उसे लोग समझते हैं गिरफ़्तार मिरा
सख़्त नादिम है मुझे दाम में लाने वाला

सुब्ह-दम छोड़ गया निकहत-ए-गुल की सूरत
रात को ग़ुंचा-ए-दिल में सिमट आने वाला

क्या कहें कितने मरासिम थे हमारे उस से
वो जो इक शख़्स है मुँह फेर के जाने वाला

तेरे होते हुए आ जाती थी सारी दुनिया
आज तन्हा हूँ तो कोई नहीं आने वाला

मुंतज़िर किस का हूँ टूटी हुई दहलीज़ पे मैं
कौन आएगा यहाँ कौन है आने वाला

क्या ख़बर थी जो मिरी जाँ में घुला है इतना
है वही मुझ को सर-ए-दार भी लाने वाला

मैं ने देखा है बहारों में चमन को जलते
है कोई ख़्वाब की ताबीर बताने वाला

तुम तकल्लुफ़ को भी इख़्लास समझते हो 'फ़राज़'
दोस्त होता नहीं हर हाथ मिलाने वाला

-------------------------------------

Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala
Wohi andaz hay zalim ka zamane wala

Ab usay log samjhte hain giraftar mera
Sakht naadim hay mujhe daam main lane wala

Subah dam choRR geya nikhat-e-gull ki surat
Raat ko guncha-e-dil may simatt aane wala

Kya kahen kitne marasim they hamare us se
Wo jo ik shakhss hai muh phair kay jaane wala

Tere hote huye aa jati thi sari dunia
Ajj tanha hoon to koi nahi aane wala

Muntazir kiss ka hoon tooti hoi dehleez pe main
Kon aye ga yahan, kon hai aane wala

Kya khabar thi jo meri jaan may ghulla hay itna
Hay wohi mujh ko sar-e-daar bhi laane wala

Main ne dekha hay baharon may chaman ko jalte
Hai koi khawb ki tabeer batane wala

Tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhte ho Faraz
Dost hota nahi har hath milane wala
Read more

13. zindagii se yahii gilaa hai mujhe..

ज़िंदगी से यही गिला है मुझे
तू बहुत देर से मिला है मुझे

तू मोहब्बत से कोई चाल तो चल
हार जाने का हौसला है मुझे

दिल धड़कता नहीं टपकता है
कल जो ख़्वाहिश थी आबला है मुझे

हम-सफ़र चाहिए हुजूम नहीं
इक मुसाफ़िर भी क़ाफ़िला है मुझे

कोहकन हो कि क़ैस हो कि 'फ़राज़'
सब में इक शख़्स ही मिला है मुझे

---------------------------

Zindagii se yahii gilaa hai mujhe
Tu bahut der se milaa hai mujhe

Hamasafr chaahiye hujoom nahiin
Ek musaafir bhii kaafilaa hai mujhe

Tu mohabbat se koii chaal to chal
Haar jaane kaa hausalaa hai mujhe

Lab kushaan hoon to is yakiin ke saath
Katl hone kaa hausalaa hai mujhe

Dil dhaDakataa nahiin sulagataa hai
Vo jo khvaahish thii, aabalaa hai mujhe

Kaun jaane ki chaahato men fraaj
Kyaa ganvaayaa hai kyaa milaa hai mujhe
Read more

14. samne us ke kabhi us ki sataish nahin ki..

सामने उस के कभी उस की सताइश नहीं की
दिल ने चाहा भी अगर होंटों ने जुम्बिश नहीं की

अहल-ए-महफ़िल पे कब अहवाल खुला है अपना
मैं भी ख़ामोश रहा उस ने भी पुर्सिश नहीं की

जिस क़दर उस से तअल्लुक़ था चला जाता है
उस का क्या रंज हो जिस की कभी ख़्वाहिश नहीं की

ये भी क्या कम है कि दोनों का भरम क़ाएम है
उस ने बख़्शिश नहीं की हम ने गुज़ारिश नहीं की

इक तो हम को अदब आदाब ने प्यासा रक्खा
उस पे महफ़िल में सुराही ने भी गर्दिश नहीं की

हम कि दुख ओढ़ के ख़ल्वत में पड़े रहते हैं
हम ने बाज़ार में ज़ख़्मों की नुमाइश नहीं की

ऐ मिरे अब्र-ए-करम देख ये वीराना-ए-जाँ
क्या किसी दश्त पे तू ने कभी बारिश नहीं की

कट मरे अपने क़बीले की हिफ़ाज़त के लिए
मक़्तल-ए-शहर में ठहरे रहे जुम्बिश नहीं की

वो हमें भूल गया हो तो अजब क्या है 'फ़राज़'
हम ने भी मेल-मुलाक़ात की कोशिश नहीं की

--------------------------------

samne us ke kabhi us ki sataish nahin ki
dil ne chaha bhi agar honTon ne jumbish nahin ki

ahl-e-mahfil pe kab ahwal khula hai apna
main bhi KHamosh raha us ne bhi pursish nahin ki

jis qadar us se talluq tha chala jata hai
us ka kya ranj ho jis ki kabhi KHwahish nahin ki

ye bhi kya kam hai ki donon ka bharam qaem hai
us ne baKHshish nahin ki hum ne guzarish nahin ki

ek to hum ko adab aadab ne pyasa rakkha
us pe mahfil mein surahi ne bhi gardish nahin ki

hum ki dukh oDh ke KHalwat mein paDe rahte hain
hum ne bazar mein zaKHmon ki numaish nahin ki

ai mere abr-e-karam dekh ye virana-e-jaan
kya kisi dasht pe tu ne kabhi barish nahin ki

kaT mare apne qabile ki hifazat ke liye
maqtal-e-shahr mein Thahre rahe jumbish nahin ki

wo hamein bhul gaya ho to ajab kya hai 'faraaz'
hum ne bhi mel-mulaqat ki koshish nahin ki
Read more

15. ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan..

अब के तजदीद-ए-वफ़ा का नहीं इम्काँ जानाँ
याद क्या तुझ को दिलाएँ तिरा पैमाँ जानाँ

यूँही मौसम की अदा देख के याद आया है
किस क़दर जल्द बदल जाते हैं इंसाँ जानाँ

ज़िंदगी तेरी अता थी सो तिरे नाम की है
हम ने जैसे भी बसर की तिरा एहसाँ जानाँ

दिल ये कहता है कि शायद है फ़सुर्दा तू भी
दिल की क्या बात करें दिल तो है नादाँ जानाँ

अव्वल अव्वल की मोहब्बत के नशे याद तो कर
बे-पिए भी तिरा चेहरा था गुलिस्ताँ जानाँ

आख़िर आख़िर तो ये आलम है कि अब होश नहीं
रग-ए-मीना सुलग उट्ठी कि रग-ए-जाँ जानाँ

मुद्दतों से यही आलम न तवक़्क़ो न उमीद
दिल पुकारे ही चला जाता है जानाँ जानाँ

हम भी क्या सादा थे हम ने भी समझ रक्खा था
ग़म-ए-दौराँ से जुदा है ग़म-ए-जानाँ जानाँ

अब के कुछ ऐसी सजी महफ़िल-ए-याराँ जानाँ
सर-ब-ज़ानू है कोई सर-ब-गरेबाँ जानाँ

हर कोई अपनी ही आवाज़ से काँप उठता है
हर कोई अपने ही साए से हिरासाँ जानाँ

जिस को देखो वही ज़ंजीर-ब-पा लगता है
शहर का शहर हुआ दाख़िल-ए-ज़िंदाँ जानाँ

अब तिरा ज़िक्र भी शायद ही ग़ज़ल में आए
और से और हुए दर्द के उनवाँ जानाँ

हम कि रूठी हुई रुत को भी मना लेते थे
हम ने देखा ही न था मौसम-ए-हिज्राँ जानाँ

होश आया तो सभी ख़्वाब थे रेज़ा रेज़ा
जैसे उड़ते हुए औराक़-ए-परेशाँ जानाँ

----------------------------------

ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan
yaad kya tujh ko dilaen tera paiman jaanan

yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jaanan

zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan

dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi
dil ki kya baat karen dil to hai nadan jaanan

awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhi tera chehra tha gulistan jaanan

aaKHir aaKHir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag utthi ki rag-e-jaan jaanan

muddaton se yahi aalam na tawaqqo na umid
dil pukare hi chala jata hai jaanan jaanan

hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakkha tha
gham-e-dauran se juda hai gham-e-jaanan jaanan

ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran jaanan
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban jaanan

har koi apni hi aawaz se kanp uThta hai
har koi apne hi sae se hirasan jaanan

jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai
shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan jaanan

ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aae
aur se aur hue dard ke unwan jaanan

hum ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaanan

hosh aaya to sabhi KHwab the reza reza
jaise uDte hue auraq-e-pareshan jaanan

Read more

16. aur faraz chāhiyen kitni mohabbaten tujhe..

उस ने सुकूत-ए-शब में भी अपना पयाम रख दिया
हिज्र की रात बाम पर माह-ए-तमाम रख दिया

आमद-ए-दोस्त की नवेद कू-ए-वफ़ा में आम थी
मैं ने भी इक चराग़ सा दिल सर-ए-शाम रख दिया

शिद्दत-ए-तिश्नगी में भी ग़ैरत-ए-मय-कशी रही
उस ने जो फेर ली नज़र मैं ने भी जाम रख दिया

उस ने नज़र नज़र में ही ऐसे भले सुख़न कहे
मैं ने तो उस के पाँव में सारा कलाम रख दिया

देखो ये मेरे ख़्वाब थे देखो ये मेरे ज़ख़्म हैं
मैं ने तो सब हिसाब-ए-जाँ बर-सर-ए-आम रख दिया

अब के बहार ने भी कीं ऐसी शरारतें कि बस
कब्क-ए-दरी की चाल में तेरा ख़िराम रख दिया

जो भी मिला उसी का दिल हल्क़ा-ब-गोश-ए-यार था
उस ने तो सारे शहर को कर के ग़ुलाम रख दिया

और 'फ़राज़' चाहिएँ कितनी मोहब्बतें तुझे
माओं ने तेरे नाम पर बच्चों का नाम रख दिया

---------------------------------------------------

us ne sukut-e-shab men bhi apna payam rakh diya
hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya

amad-e-dost ki naved ku-e-vafa men aam thi
main ne bhi ik charaġh sa dil sar-e-sham rakh diya 

shiddat-e-tishnagi men bhi ġhairat-e-mai-kashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya 

us ne nazar nazar men hi aise bhale suḳhan kahe
main ne to us ke paanv men saara kalam rakh diya 

dekho ye mere ḳhvab the dekho ye mere zaḳhm hain
main ne to sab hisab-e-jan bar-sar-e-am rakh diya 

ab ke bahar ne bhi kiin aisi shararten ki bas
kabk-e-dari ki chaal men tera ḳhiram rakh diya 

jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha
us ne to saare shahr ko kar ke ġhulam rakh diya 

aur 'faraz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe
maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diya 
Read more

17. Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon mein milen..

अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख़्वाबों में मिलें
जिस तरह सूखे हुए फूल किताबों में मिलें

ढूँढ उजड़े हुए लोगों में वफ़ा के मोती
ये ख़ज़ाने तुझे मुमकिन है ख़राबों में मिलें

ग़म-ए-दुनिया भी ग़म-ए-यार में शामिल कर लो
नशा बढ़ता है शराबें जो शराबों में मिलें

तू ख़ुदा है न मिरा इश्क़ फ़रिश्तों जैसा
दोनों इंसाँ हैं तो क्यूँ इतने हिजाबों में मिलें

आज हम दार पे खींचे गए जिन बातों पर
क्या अजब कल वो ज़माने को निसाबों में मिलें

अब न वो मैं न वो तू है न वो माज़ी है 'फ़राज़'
जैसे दो शख़्स तमन्ना के सराबों में मिलें

-------------------------

ab ke ham bichhDe to shayad kabhi khvabon men milen
jis tarah sukhe hue phuul kitabon men milen

DhunDh ujDe hue logon men vafa ke moti
ye khazane tujhe mumkin hai kharabon men milen 

gham-e-duniya bhi gham-e-yar men shamil kar lo
nashsha baDhta hai sharaben jo sharabon men milen 

tu khuda hai na mira ishq farishton jaisa 
donon insan hain to kyuun itne hijabon men milen 

aaj ham daar pe khinche ga.e jin baton par
kya ajab kal vo zamane ko nisabon men milen 

ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai 'faraz' 
jaise do shakhs tamanna ke sarabon men milen
Read more

18. Us ka apna hi karishma hai fusun hai yun hai..

उस का अपना ही करिश्मा है फ़ुसूँ है यूँ है
यूँ तो कहने को सभी कहते हैं यूँ है यूँ है

जैसे कोई दर-ए-दिल पर हो सितादा कब से
एक साया न दरूँ है न बरूँ है यूँ है

तुम ने देखी ही नहीं दश्त-ए-वफ़ा की तस्वीर
नोक-ए-हर-ख़ार पे इक क़तरा-ए-ख़ूँ है यूँ है

तुम मोहब्बत में कहाँ सूद-ओ-ज़ियाँ ले आए
इश्क़ का नाम ख़िरद है न जुनूँ है यूँ है

अब तुम आए हो मिरी जान तमाशा करने
अब तो दरिया में तलातुम न सुकूँ है यूँ है

नासेहा तुझ को ख़बर क्या कि मोहब्बत क्या है
रोज़ आ जाता है समझाता है यूँ है यूँ है

शाइ'री ताज़ा ज़मानों की है मे'मार 'फ़राज़'
ये भी इक सिलसिला-ए-कुन-फ़यकूँ है यूँ है

--------------------------------------------------------

us ka apna hi karishma hai fusun hai yuun hai
yuun to kahne ko sabhi kahte hain yuun hai yuun hai 

jaise koi dar-e-dil par ho sitada kab se
ek saaya na darun hai na barun hai yuun hai 

tum ne dekhi hi nahin dasht-e-vafa ki tasvir
nok-e-har-khar pe ik qatra-e-khun hai yuun hai 

tum mohabbat men kahan sud-o-ziyan le aa.e
ishq ka naam khirad hai na junun hai yuun hai 

ab tum aa.e ho miri jaan tamasha karne
ab to dariya men talatum na sukun hai yuun hai 

naseha tujh ko khabar kya ki mohabbat kya hai
roz aa jaata hai samjhata hai yuun hai yuun hai 

sha.iri taaza zamanon ki hai me.amar 'faraz'
ye bhi ik silsila-e-kun-fayakun hai yuun hai
Read more

19. Na hareef-e-jaan na shareek-e-gam shab-e-intizaar koi to ho..

न हरीफ़-ए-जाँ न शरीक-ए-ग़म शब-ए-इंतिज़ार कोई तो हो
किसे बज़्म-ए-शौक़ में लाएँ हम दिल-ए-बे-क़रार कोई तो हो

किसे ज़िंदगी है अज़ीज़ अब किसे आरज़ू-ए-शब-ए-तरब
मगर ऐ निगार-ए-वफ़ा तलब तिरा ए'तिबार कोई तो हो

कहीं तार-ए-दामन-ए-गुल मिले तो ये मान लें कि चमन खिले
कि निशान फ़स्ल-ए-बहार का सर-ए-शाख़-सार कोई तो हो

ये उदास उदास से बाम ओ दर ये उजाड़ उजाड़ सी रह-गुज़र
चलो हम नहीं न सही मगर सर-ए-कू-ए-यार कोई तो हो

ये सुकून-ए-जाँ की घड़ी ढले तो चराग़-ए-दिल ही न बुझ चले
वो बला से हो ग़म-ए-इश्क़ या ग़म-ए-रोज़गार कोई तो हो

सर-ए-मक़्तल-ए-शब-ए-आरज़ू रहे कुछ तो इश्क़ की आबरू
जो नहीं अदू तो 'फ़राज़' तू कि नसीब-ए-दार कोई तो हो

---------------------------------------------------------


na harif-e-jan na sharik-e-gham shab-e-intizar koi to ho
kise bazm-e-shauq men laa.en ham dil-e-be-qarar koi to ho 

kise zindagi hai aziiz ab kise arzu-e-shab-e-tarab
magar ai nigar-e-vafa talab tira e'tibar koi to ho 

kahin tar-e-daman-e-gul mile to ye maan len ki chaman khile
ki nishan fasl-e-bahar ka sar-e-shakh-sar koi to ho 

ye udaas udaas se baam o dar ye ujaaD ujaaD si rah-guzar
chalo ham nahin na sahi magar sar-e-ku-e-yar koi to ho 

ye sukun-e-jan ki ghaDi Dhale to charagh-e-dil hi na bujh chale
vo bala se ho gham-e-ishq ya gham-e-rozgar koi to ho 

sar-e-maqtal-e-shab-e-arzu rahe kuchh to ishq ki aabru
jo nahin adu to 'faraz' tu ki nasib-e-dar koi to ho
Read more

20. ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa..

रंजिश ही सही दिल ही दुखाने के लिए आ
आ फिर से मुझे छोड़ के जाने के लिए आ

कुछ तो मिरे पिंदार-ए-मोहब्बत का भरम रख
तू भी तो कभी मुझ को मनाने के लिए आ

पहले से मरासिम न सही फिर भी कभी तो
रस्म-ओ-रह-ए-दुनिया ही निभाने के लिए आ

किस किस को बताएंगे जुदाई का सबब हम
तू मुझ से ख़फ़ा है तो ज़माने के लिए आ

इक उम्र से हूं लज़्ज़त-ए-गिर्या से भी महरूम
ऐ राहत-ए-जां मुझ को रुलाने के लिए आ

अब तक दिल-ए-ख़ुश-फ़हम को तुझ से हैं उम्मीदें
ये आख़िरी शमाएं भी बुझाने के लिए आ

------------------------------------

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa

Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa

kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa
Read more

21. suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain..


सुना है लोग उसे आँख भर के देखते हैं 
सो उस के शहर में कुछ दिन ठहर के देखते हैं 

सुना है रब्त है उस को ख़राब-हालों से 
सो अपने आप को बरबाद कर के देखते हैं 

सुना है दर्द की गाहक है चश्म-ए-नाज़ उस की 
सो हम भी उस की गली से गुज़र के देखते हैं 

सुना है उस को भी है शेर ओ शाइरी से शग़फ़ 
सो हम भी मो'जिज़े अपने हुनर के देखते हैं 

सुना है बोले तो बातों से फूल झड़ते हैं 
ये बात है तो चलो बात कर के देखते हैं 

सुना है रात उसे चाँद तकता रहता है 
सितारे बाम-ए-फ़लक से उतर के देखते हैं 

सुना है दिन को उसे तितलियाँ सताती हैं 
सुना है रात को जुगनू ठहर के देखते हैं 

सुना है हश्र हैं उस की ग़ज़ाल सी आँखें 
सुना है उस को हिरन दश्त भर के देखते हैं 

सुना है रात से बढ़ कर हैं काकुलें उस की 
सुना है शाम को साए गुज़र के देखते हैं 

सुना है उस की सियह-चश्मगी क़यामत है 
सो उस को सुरमा-फ़रोश आह भर के देखते हैं 

सुना है उस के लबों से गुलाब जलते हैं 
सो हम बहार पे इल्ज़ाम धर के देखते हैं 

सुना है आइना तिमसाल है जबीं उस की 
जो सादा दिल हैं उसे बन-सँवर के देखते हैं 

सुना है जब से हमाइल हैं उस की गर्दन में 
मिज़ाज और ही लाल ओ गुहर के देखते हैं 

सुना है चश्म-ए-तसव्वुर से दश्त-ए-इम्काँ में 
पलंग ज़ाविए उस की कमर के देखते हैं 

सुना है उस के बदन की तराश ऐसी है 
कि फूल अपनी क़बाएँ कतर के देखते हैं 

वो सर्व-क़द है मगर बे-गुल-ए-मुराद नहीं 
कि उस शजर पे शगूफ़े समर के देखते हैं 

बस इक निगाह से लुटता है क़ाफ़िला दिल का 
सो रह-रवान-ए-तमन्ना भी डर के देखते हैं 

सुना है उस के शबिस्ताँ से मुत्तसिल है बहिश्त 
मकीं उधर के भी जल्वे इधर के देखते हैं 

रुके तो गर्दिशें उस का तवाफ़ करती हैं 
चले तो उस को ज़माने ठहर के देखते हैं 

किसे नसीब कि बे-पैरहन उसे देखे 
कभी कभी दर ओ दीवार घर के देखते हैं 

कहानियाँ ही सही सब मुबालग़े ही सही 
अगर वो ख़्वाब है ताबीर कर के देखते हैं 

अब उस के शहर में ठहरें कि कूच कर जाएँ 
'फ़राज़' आओ सितारे सफ़र के देखते हैं|

-----------------------------------------------------

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain

suna hai rabt hai us ko KHarab-haalon se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain

suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki
so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf
so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain

suna hai bole to baaton se phul jhaDte hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

suna hai raat use chand takta rahta hai
sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain

suna hai din ko use titliyan satati hain
suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain

suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki
suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain

suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain

suna hai us ke labon se gulab jalte hain
so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain

suna hai aaina timsal hai jabin us ki
jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain

suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein
mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain

suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein
palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain

suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain

wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin
ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain

bas ek nigah se luTta hai qafila dil ka
so rah-rawan-e-tamanna bhi Dar ke dekhte hain

suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

ruke to gardishen us ka tawaf karti hain
chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain

kise nasib ki be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain

kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi
agar wo KHwab hai tabir kar ke dekhte hain

ab us ke shahr mein Thahren ki kuch kar jaen
'Faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain
Read more