Sahir Ludhianvi Poetry

fan jo nadaar tak nahin pahuncha


fan jo nadaar tak nahin pahuncha

fan jo nadaar tak nahin pahuncha
abhi meyaar tak nahin pahuncha

us ne bar-waqt be-rukhi barti
shauq aazaar tak nahin pahuncha

aks-e-may ho ki jalwa-e-gul ho
rang-e-rukhsaar tak nahin pahuncha

harf-e-inkaar sar buland raha
zoof-e-iqraar tak nahin pahuncha

hukm-e-sarkaar kii pahunch mat pooch
ahl-e-sarkaar tak nahin pahuncha

adl-gaahen to door kii shay hain
qatl akhbaar tak nahin pahuncha

inqilaabaat-e-dahr kii buniyaad
haq jo haqdaar tak nahin pahuncha

vo maseeha-nafs nahin jis ka
silsila-daar tak nahin pahuncha 
--------------------------------
फ़न जो नादार तक नहीं पहुँचा
अभी मेयार तक नहीं पहुँचा

उस ने बर-वक़्त बे-रुख़ी बरती
शौक़ आज़ार तक नहीं पहुँचा

अक्स-ए-मय हो कि जल्वा-ए-गुल हो
रंग-ए-रुख़्सार तक नहीं पहुँचा

हर्फ़-ए-इंकार सर बुलंद रहा
ज़ोफ़-ए-इक़रार तक नहीं पहुँचा

हुक्म-ए-सरकार की पहुँच मत पूछ
अहल-ए-सरकार तक नहीं पहुँचा

अद्ल-गाहें तो दूर की शय हैं
क़त्ल अख़बार तक नहीं पहुँचा

इन्क़िलाबात-ए-दहर की बुनियाद
हक़ जो हक़दार तक नहीं पहुँचा

वो मसीहा-नफ़स नहीं जिस का
सिलसिला-दार तक नहीं पहुँचा

Poet - Sahir Ludhianvi
Location: Ludhiana, India
Views: 6