Ali Zaryoun Poetry

shaahsaazi mein riayaat bhi nahi karte ho


shaahsaazi mein riayaat bhi nahi karte ho

shaahsaazi mein riayaat bhi nahi karte ho
saamne aake hukoomat bhi nahi karte ho

tumse kya baat kare kaun kahaan qatl hua
tum to is zulm pe hairat bhi nahi karte ho

ab mere haal pe kyun tumko pareshaani hai
ab to tum mujhse muhabbat bhi nahi karte ho

pyaar karne ki sanad kaise tumhe jaari karoon
tum abhi theek se nafrat bhi nahi karte ho

mashvare hans ke diya karte the deewaanon ko
kya hua ab to naseehat bhi nahi karte ho
------------------------------------
शाहसाज़ी में रियायत भी नही करते हो
सामने आके हुकूमत भी नही करते हो

तुमसे क्या बात करे कौन कहाँ क़त्ल हुआ
तुम तो इस ज़ुल्म पे हैरत भी नही करते हो

अब मेरे हाल पे क्यों तुमको परेशानी है
अब तो तुम मुझसे मुहब्बत भी नही करते हो

प्यार करने की सनद कैसे तुम्हे जारी करूँ
तुम अभी ठीक से नफ़रत भी नही करते हो

मश्वरे हँस के दिया करते थे दीवानों को
क्या हुआ अब तो नसीहत भी नही करते हो

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 73