uthi nigaah to apne hi roo-b-roo ham the.. byRahat Indori December 2, 2024 uthi nigaah to apne hi roo-b-roo ham thezameen aaina-khaana thi chaar-soo ham thedinon ke ba'ad achaanak tumhaara dhyaan aayakhuda ka shukr ki us waqt ba-wazoo ham thevo aaina to nahin tha par aaine sa thavo ham nahin the magar yaar hoo-b-hoo ham thezameen pe ladte hue aasmaan ke narghe meinkabhi kabhi koi dushman kabhu kabhu ham thehamaara zikr bhi ab jurm ho gaya hai wahandinon ki baat hai mehfil ki aabroo ham thekhayal tha ki ye pathraav rok den chal karjo hosh aaya to dekha lahu lahu ham the-------------------------------------उठी निगाह तो अपने ही रू-ब-रू हम थेज़मीन आईना-ख़ाना थी चार-सू हम थेदिनों के बा'द अचानक तुम्हारा ध्यान आयाख़ुदा का शुक्र कि उस वक़्त बा-वज़ू हम थेवो आईना तो नहीं था पर आईने सा थावो हम नहीं थे मगर यार हू-ब-हू हम थेज़मीं पे लड़ते हुए आसमाँ के नर्ग़े मेंकभी कभी कोई दुश्मन कभू कभू हम थेहमारा ज़िक्र भी अब जुर्म हो गया है वहाँदिनों की बात है महफ़िल की आबरू हम थेख़याल था कि ये पथराव रोक दें चल करजो होश आया तो देखा लहू लहू हम थे Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet
kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai main ne.. byRahat Indori December 2, 2024 kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai main neteri har baat pe aameen kaha hai main neteri dastaar pe tanqeed ki himmat to nahinapni paa-posh ko qaaleen kaha hai main nemaslahat kahiye use ya ki siyaasat kahiyecheel kawwon ko bhi shaheen kaha hai main nezaa'iqe baarha aankhon mein maza dete hainbaaz chehron ko bhi namkeen kaha hai main netu ne fan ki nahin shajre ki himayat ki haitere ezaaz ko tauheen kaha hai main ne------------------------------------------काली रातों को भी रंगीन कहा है मैं नेतेरी हर बात पे आमीन कहा है मैं नेतेरी दस्तार पे तन्क़ीद की हिम्मत तो नहींअपनी पा-पोश को क़ालीन कहा है मैं नेमस्लहत कहिए उसे या कि सियासत कहिएचील कव्वों को भी शाहीन कहा है मैं नेज़ाइक़े बारहा आँखों में मज़ा देते हैंबाज़ चेहरों को भी नमकीन कहा है मैं नेतू ने फ़न की नहीं शजरे की हिमायत की हैतेरे एज़ाज़ को तौहीन कहा है मैं ने Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet
mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya.. byRahat Indori December 2, 2024 mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diyaek paagal ne bahut logon ko paagal kar diyaapni palkon par saja kar mere aansu aap neraaste ki dhool ko aankhon ka kaajal kar diyamain ne dil de kar use ki thi wafa ki ibtidaus ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diyaye hawaaein kab nigaahen fer len kis ko khabarshohraton ka takht jab toota to paidal kar diyadevataaon aur khudaaon ki lagaaee aag nedekhte hi dekhte basti ko jungle kar diyazakham ki soorat nazar aate hain chehron ke nuqooshham ne aainon ko tahzeebon ka maqtal kar diyashehar mein charcha hai aakhir aisi ladki kaun haijis ne achhe-khaase ik sha'ir ko paagal kar diya -------------------------------------------मेरे अश्कों ने कई आँखों में जल-थल कर दियाएक पागल ने बहुत लोगों को पागल कर दियाअपनी पलकों पर सजा कर मेरे आँसू आप नेरास्ते की धूल को आँखों का काजल कर दियामैं ने दिल दे कर उसे की थी वफ़ा की इब्तिदाउस ने धोका दे के ये क़िस्सा मुकम्मल कर दियाये हवाएँ कब निगाहें फेर लें किस को ख़बरशोहरतों का तख़्त जब टूटा तो पैदल कर दियादेवताओं और ख़ुदाओं की लगाई आग नेदेखते ही देखते बस्ती को जंगल कर दियाज़ख़्म की सूरत नज़र आते हैं चेहरों के नुक़ूशहम ने आईनों को तहज़ीबों का मक़्तल कर दियाशहर में चर्चा है आख़िर ऐसी लड़की कौन हैजिस ने अच्छे-ख़ासे इक शाइ'र को पागल कर दिया Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet
zindagi ko zakham ki lazzat se mat mahroom kar.. byRahat Indori December 2, 2024 zindagi ko zakham ki lazzat se mat mahroom karraaste ke pattharon se khairiyat ma'aloom kartoot kar bikhri hui talwaar ke tukde sametaur apne haar jaane ka sabab ma'aloom karjaagti aankhon ke khwaabon ko ghazal ka naam deraat bhar ki karvaton ka zaa'ika manzoom karshaam tak laut aaunga haathon ka khaali-pan liyeaaj phir nikla hoon main ghar se hatheli choom karmat sikha lehje ko apni barchiyon ke paintarezinda rahna hai to lehje ko zara ma'soom kar ------------------------------------------ज़िंदगी को ज़ख़्म की लज़्ज़त से मत महरूम कररास्ते के पत्थरों से ख़ैरियत मा'लूम करटूट कर बिखरी हुई तलवार के टुकड़े समेटऔर अपने हार जाने का सबब मा'लूम करजागती आँखों के ख़्वाबों को ग़ज़ल का नाम देरात भर की करवटों का ज़ाइक़ा मंज़ूम करशाम तक लौट आऊँगा हाथों का ख़ाली-पन लिएआज फिर निकला हूँ मैं घर से हथेली चूम करमत सिखा लहजे को अपनी बर्छियों के पैंतरेज़िंदा रहना है तो लहजे को ज़रा मा'सूम कर Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet
shehar kya dekhen ki har manzar mein jaale pad gaye.. byRahat Indori December 2, 2024 shehar kya dekhen ki har manzar mein jaale pad gayeaisi garmi hai ki peele phool kaale pad gayemain andheron se bacha laaya tha apne-aap komera dukh ye hai mere peeche ujaale pad gayejin zameenon ke qibaale hain mere purkhon ke naamun zameenon par mere jeene ke laale pad gayetaq mein baitha hua boodha kabootar ro diyajis mein dera tha usi masjid mein taale pad gayekoi waaris ho to aaye aur aa kar dekh lezill-e-subhaani ki unchi chat mein jaale pad gaye -----------------------------------------शहर क्या देखें कि हर मंज़र में जाले पड़ गएऐसी गर्मी है कि पीले फूल काले पड़ गएमैं अँधेरों से बचा लाया था अपने-आप कोमेरा दुख ये है मिरे पीछे उजाले पड़ गएजिन ज़मीनों के क़बाले हैं मिरे पुरखों के नामउन ज़मीनों पर मिरे जीने के लाले पड़ गएताक़ में बैठा हुआ बूढ़ा कबूतर रो दियाजिस में डेरा था उसी मस्जिद में ताले पड़ गएकोई वारिस हो तो आए और आ कर देख लेज़िल्ल-ए-सुब्हानी की ऊँची छत में जाले पड़ गए Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet
bair duniya se qabeele se ladai lete.. byRahat Indori December 2, 2024 bair duniya se qabeele se ladai leteek sach ke liye kis kis se buraai leteaable apne hi angaaron ke taaza hain abhilog kyun aag hatheli pe paraai letebarf ki tarah december ka safar hota haiham use saath na lete to razaai letekitna maanoos sa hamdardon ka ye dard rahaishq kuchh rog nahin tha jo davaai letechaand raaton mein hamein dasta hai din mein surajsharm aati hai andheron se kamaai letetum ne jo tod diye khwaab ham un ke badlekoi qeemat kabhi lete to khudaai lete --------------------------------------बैर दुनिया से क़बीले से लड़ाई लेतेएक सच के लिए किस किस से बुराई लेतेआबले अपने ही अँगारों के ताज़ा हैं अभीलोग क्यूँ आग हथेली पे पराई लेतेबर्फ़ की तरह दिसम्बर का सफ़र होता हैहम उसे साथ न लेते तो रज़ाई लेतेकितना मानूस सा हमदर्दों का ये दर्द रहाइश्क़ कुछ रोग नहीं था जो दवाई लेतेचाँद रातों में हमें डसता है दिन में सूरजशर्म आती है अँधेरों से कमाई लेतेतुम ने जो तोड़ दिए ख़्वाब हम उन के बदलेकोई क़ीमत कभी लेते तो ख़ुदाई लेते Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet
sirf sach aur jhooth ki mizaan mein rakhe rahe.. byRahat Indori December 2, 2024 sirf sach aur jhooth ki mizaan mein rakhe raheham bahadur the magar maidaan mein rakhe rahejugnuon ne phir andheron se ladai jeet lichaand suraj ghar ke raushan-daan mein rakhe rahedheere dheere saari kirnen khud-kushi karne laginham sahifa the magar juzdaan mein rakhe raheband kamre khol kar sacchaaiyaan rahne laginkhwaab kacchi dhoop the daalaan mein rakhe rahesirf itna fasla hai zindagi se maut kashaakh se tode gaye gul-daan mein rakhe rahezindagi bhar apni goongi dhadkano ke saath saathham bhi ghar ke qeemti samaan mein rakhe rahe ------------------------------------------सिर्फ़ सच और झूट की मीज़ान में रक्खे रहेहम बहादुर थे मगर मैदान में रक्खे रहेजुगनुओं ने फिर अँधेरों से लड़ाई जीत लीचाँद सूरज घर के रौशन-दान में रक्खे रहेधीरे धीरे सारी किरनें ख़ुद-कुशी करने लगींहम सहीफ़ा थे मगर जुज़्दान में रक्खे रहेबंद कमरे खोल कर सच्चाइयाँ रहने लगींख़्वाब कच्ची धूप थे दालान में रक्खे रहेसिर्फ़ इतना फ़ासला है ज़िंदगी से मौत काशाख़ से तोड़े गए गुल-दान में रक्खे रहेज़िंदगी भर अपनी गूँगी धड़कनों के साथ साथहम भी घर के क़ीमती सामान में रक्खे रहे Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet
jo mansabon ke pujaari pahan ke aate hain.. byRahat Indori December 2, 2024 jo mansabon ke pujaari pahan ke aate hainkulaah tauq se bhari pahan ke aate hainameer-e-shahr tiri tarah qeemti poshaakmeri gali mein bhikaari pahan ke aate hainyahi aqeeq the shahon ke taaj ki zeenatjo ungliyon mein madari pahan ke aate hainhamaare jism ke daaghoon pe tabsira karneqameesen log hamaari pahan ke aate hainibaadaton ka tahaffuz bhi un ke zimme haijo masjidoon mein safari pahan ke aate hain ----------------------------------------जो मंसबों के पुजारी पहन के आते हैंकुलाह तौक़ से भारी पहन के आते हैंअमीर-ए-शहर तिरी तरह क़ीमती पोशाकमिरी गली में भिकारी पहन के आते हैंयही अक़ीक़ थे शाहों के ताज की ज़ीनतजो उँगलियों में मदारी पहन के आते हैंहमारे जिस्म के दाग़ों पे तब्सिरा करनेक़मीसें लोग हमारी पहन के आते हैंइबादतों का तहफ़्फ़ुज़ भी उन के ज़िम्मे हैजो मस्जिदों में सफ़ारी पहन के आते हैं Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet
shajar hain ab samar-aasaar mere.. byRahat Indori December 2, 2024 shajar hain ab samar-aasaar merechale aate hain daavedaar meremuhaajir hain na ab ansaar meremukhalif hain bahut is baar mereyahan ik boond ka muhtaaj hoon mainsamundar hain samundar paar mereabhi murdon mein roohen phoonk daalenagar chahein to ye beemaar merehawaaein odh kar soya tha dushmangaye bekar saare vaar meremain aa kar dushmanon mein bas gaya hoonyahan hamdard hain do-chaar merehasi mein taal dena tha mujhe bhikhata kyun ho gaye sarkaar meretasavvur mein na jaane kaun aayamahak utthe dar-o-deewar meretumhaara naam duniya jaanti haibahut rusva hain ab ashaar merebhanwar mein ruk gai hai naav merikinaare rah gaye is paar meremain khud apni hifazat kar raha hoonabhi soye hain pahre-daar mere -----------------------------------शजर हैं अब समर-आसार मेरेचले आते हैं दावेदार मेरेमुहाजिर हैं न अब अंसार मेरेमुख़ालिफ़ हैं बहुत इस बार मेरेयहाँ इक बूँद का मुहताज हूँ मैंसमुंदर हैं समुंदर पार मेरेअभी मुर्दों में रूहें फूँक डालेंअगर चाहें तो ये बीमार मेरेहवाएँ ओढ़ कर सोया था दुश्मनगए बेकार सारे वार मेरेमैं आ कर दुश्मनों में बस गया हूँयहाँ हमदर्द हैं दो-चार मेरेहँसी में टाल देना था मुझे भीख़ता क्यूँ हो गए सरकार मेरेतसव्वुर में न जाने कौन आयामहक उट्ठे दर-ओ-दीवार मेरेतुम्हारा नाम दुनिया जानती हैबहुत रुस्वा हैं अब अशआर मेरेभँवर में रुक गई है नाव मेरीकिनारे रह गए इस पार मेरेमैं ख़ुद अपनी हिफ़ाज़त कर रहा हूँअभी सोए हैं पहरे-दार मेरे Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet
jab kabhi phoolon ne khushboo ki tijaarat ki hai.. byRahat Indori December 2, 2024 jab kabhi phoolon ne khushboo ki tijaarat ki haipatti patti ne hawaon se shikaayat ki haiyun laga jaise koi itr fazaa mein ghul jaayejab kisi bacche ne quraan ki tilaavat ki haijaa-namaazon ki tarah noor mein ujlaai seharraat bhar jaise farishton ne ibadat ki haisar uthaaye theen bahut surkh hawa mein phir bhiham ne palkon ke charaagon ki hifazat ki haimujhe toofaan-e-haawadis se daraane waalohaadson ne to mere haath pe bai't ki haiaaj ik daana-e-gandum ke bhi haqdaar nahinham ne sadiyon inheen kheton pe hukoomat ki haiye zaroori tha ki ham dekhte qilon ke jalaalumr bhar ham ne mazaaron ki ziyaarat ki hai---------------------------------------जब कभी फूलों ने ख़ुश्बू की तिजारत की हैपत्ती पत्ती ने हवाओं से शिकायत की हैयूँ लगा जैसे कोई इत्र फ़ज़ा में घुल जाएजब किसी बच्चे ने क़ुरआँ की तिलावत की हैजा-नमाज़ों की तरह नूर में उज्लाई सहररात भर जैसे फ़रिश्तों ने इबादत की हैसर उठाए थीं बहुत सुर्ख़ हवा में फिर भीहम ने पलकों के चराग़ों की हिफ़ाज़त की हैमुझे तूफ़ान-ए-हवादिस से डराने वालोहादसों ने तो मिरे हाथ पे बैअ'त की हैआज इक दाना-ए-गंदुम के भी हक़दार नहींहम ने सदियों इन्हीं खेतों पे हुकूमत की हैये ज़रूरी था कि हम देखते क़िलओं' के जलालउम्र भर हम ने मज़ारों की ज़ियारत की है Read more rahat indori urdu poetry bollywood poet