urdu poet

aa ki waabasta hain us husn ki yaadein tujh se..

aa ki waabasta hain us husn ki yaadein tujh se
jis ne is dil ko pari-khaana bana rakha tha
jis ki ulfat mein bhula rakhi thi duniya ham ne
dehr ko dehr ka afsaana bana rakha tha

aashna hain tire qadmon se vo raahen jin par
us ki madhosh jawaani ne inaayat ki hai
kaarwaan guzre hain jin se usi raanaai ke
jis ki in aankhon ne be-sood ibadat ki hai

tujh se kheli hain vo mehboob hawaaein jin mein
us ke malboos ki afsurda mahak baaki hai
tujh pe barsa hai usi baam se mahtaab ka noor
jis mein beeti hui raaton ki kasak baaki hai

tu ne dekhi hai vo peshaani vo rukhsaar vo hont
zindagi jin ke tasavvur mein luta di ham ne
tujh pe utthi hain vo khoi hui saahir aankhen
tujh ko maaloom hai kyun umr ganwa di ham ne

ham pe mushtarka hain ehsaan gham-e-ulfat ke
itne ehsaan ki ginwaauun to ginwa na sakoon
ham ne is ishq mein kya khoya hai kya seekha hai
juz tire aur ko samjhaaoon to samjha na sakoon

aajizi seekhi ghareebon ki himayat seekhi
yaas-o-hirmaan ke dukh-dard ke ma'ni seekhe
zer-daston ke masaib ko samajhna seekha
sard aahon ke rukh-e-zard ke ma'ni seekhe

jab kahi baith ke rote hain vo bekas jin ke
ashk aankhon mein bilakte hue so jaate hain
na-tawanoon ke nivaalon pe jhapatte hain uqaab
baazu tole hue mandalaate hue aate hain

jab kabhi bikta hai bazaar mein mazdoor ka gosht
shaah-raahon pe ghareebon ka lahu bahta hai
aag si seene mein rah rah ke ubalti hai na pooch
apne dil par mujhe qaabu hi nahin rehta hai 
-------------------------------------------------
आ कि वाबस्ता हैं उस हुस्न की यादें तुझ से
जिस ने इस दिल को परी-ख़ाना बना रक्खा था
जिस की उल्फ़त में भुला रक्खी थी दुनिया हम ने
दहर को दहर का अफ़्साना बना रक्खा था

आश्ना हैं तिरे क़दमों से वो राहें जिन पर
उस की मदहोश जवानी ने इनायत की है
कारवाँ गुज़रे हैं जिन से उसी रानाई के
जिस की इन आँखों ने बे-सूद इबादत की है

तुझ से खेली हैं वो महबूब हवाएँ जिन में
उस के मल्बूस की अफ़्सुर्दा महक बाक़ी है
तुझ पे बरसा है उसी बाम से महताब का नूर
जिस में बीती हुई रातों की कसक बाक़ी है

तू ने देखी है वो पेशानी वो रुख़्सार वो होंट
ज़िंदगी जिन के तसव्वुर में लुटा दी हम ने
तुझ पे उट्ठी हैं वो खोई हुई साहिर आँखें
तुझ को मालूम है क्यूँ उम्र गँवा दी हम ने

हम पे मुश्तरका हैं एहसान ग़म-ए-उल्फ़त के
इतने एहसान कि गिनवाऊँ तो गिनवा न सकूँ
हम ने इस इश्क़ में क्या खोया है क्या सीखा है
जुज़ तिरे और को समझाऊँ तो समझा न सकूँ

आजिज़ी सीखी ग़रीबों की हिमायत सीखी
यास-ओ-हिरमान के दुख-दर्द के मअ'नी सीखे
ज़ेर-दस्तों के मसाइब को समझना सीखा
सर्द आहों के रुख़-ए-ज़र्द के मअ'नी सीखे

जब कहीं बैठ के रोते हैं वो बेकस जिन के
अश्क आँखों में बिलकते हुए सो जाते हैं
ना-तवानों के निवालों पे झपटते हैं उक़ाब
बाज़ू तोले हुए मंडलाते हुए आते हैं

जब कभी बिकता है बाज़ार में मज़दूर का गोश्त
शाह-राहों पे ग़रीबों का लहू बहता है
आग सी सीने में रह रह के उबलती है न पूछ
अपने दिल पर मुझे क़ाबू ही नहीं रहता है
Read more

bol ki lab azaad hain tere..

bol ki lab azaad hain tere
bol zabaan ab tak teri hai
tera sutwaan jism hai tera
bol ki jaan ab tak teri hai
dekh ki aahan-gar ki dukaaan mein
tund hain shole surkh hai aahan
khulne lage qulfon ke dahaane
faila har ik zanjeer ka daaman
bol ye thoda waqt bahut hai
jism o zabaan ki maut se pehle
bol ki sach zinda hai ab tak
bol jo kuchh kehna hai kah le
---------------------------------
बोल कि लब आज़ाद हैं तेरे
बोल ज़बाँ अब तक तेरी है
तेरा सुत्वाँ जिस्म है तेरा
बोल कि जाँ अब तक तेरी है
देख कि आहन-गर की दुकाँ में
तुंद हैं शोले सुर्ख़ है आहन
खुलने लगे क़ुफ़्लों के दहाने
फैला हर इक ज़ंजीर का दामन
बोल ये थोड़ा वक़्त बहुत है
जिस्म ओ ज़बाँ की मौत से पहले
बोल कि सच ज़िंदा है अब तक
बोल जो कुछ कहना है कह ले
Read more

moti ho ki sheesha jaam ki dur..

moti ho ki sheesha jaam ki dur
jo toot gaya so toot gaya
kab ashkon se jud saka hai
jo toot gaya so chhoot gaya

tum naahak tukde chun chun kar
daaman mein chhupaaye baithe ho
sheeshon ka maseeha koi nahin
kya aas lagaaye baithe ho

shaayad ki inheen tukdon mein kahi
vo saaghar-e-dil hai jis mein kabhi
sad-naaz se utara karti thi
sahba-e-gham-e-jaanaan ki pari

phir duniya waalon ne tum se
ye saaghar le kar phod diya
jo may thi baha di mitti mein
mehmaan ka shahpar tod diya

ye rangeen reze hain shaayad
un shokh bilorin sapnon ke
tum mast jawaani mein jin se
khilwat ko sajaaya karte the

naadaari daftar bhook aur gham
un sapnon se takraate rahe
be-rehm tha chaumukh patharao
ye kaanch ke dhaanche kya karte

ya shaayad in zarroon mein kahi
moti hai tumhaari izzat ka
vo jis se tumhaare izz pe bhi
shamshaad-qadon ne rashk kiya

is maal ki dhun mein firte the
taajir bhi bahut rehzan bhi kai
hai chor-nagar yaa mufalis ki
gar jaan bachi to aan gai

ye saaghar sheeshe laal-o-guhar
saalim hon to qeemat paate hain
yun tukde tukde hon to faqat
chubhte hain lahu rulwaate hain

tum naahak sheeshe chun chun kar
daaman mein chhupaaye baithe ho
sheeshon ka maseeha koi nahin
kya aas lagaaye baithe ho

yaadon ke girebaanoń ke rafu
par dil ki guzar kab hoti hai
ik bakhiya udhera ek siya
yun umr basar kab hoti hai

is kaar-gah-e-hasti mein jahaan
ye saaghar sheeshe dhalti hain
har shay ka badal mil saka hai
sab daaman pur ho sakte hain

jo haath badhe yaavar hai yahan
jo aankh uthe vo bakhtawar
yaa dhan-daulat ka ant nahin
hon ghaat mein daaku laakh magar

kab loot-jhapat se hasti ki
dukaanein khaali hoti hain
yaa parbat-parbat heere hain
yaa saagar saagar moti hain

kuchh log hain jo is daulat par
parde latkaate firte hain
har parbat ko har saagar ko
neelaam chadhate firte hain

kuchh vo bhi hain jo lad bhir kar
ye parde noch giraate hain
hasti ke uthaai-giron ki
har chaal uljhaaye jaate hain

in dono mein ran padta hai
nit basti-basti nagar-nagar
har baste ghar ke seene mein
har chalti raah ke maathe par

ye kaalk bharte firte hain
vo jot jagaate rahte hain
ye aag lagaate firte hain
vo aag bujhaate rahte hain

sab saaghar sheeshe laal-o-guhar
is baazi mein bad jaate hain
utho sab khaali haathon ko
is ran se bulaave aate hain
----------------------------------
मोती हो कि शीशा जाम कि दुर
जो टूट गया सो टूट गया
कब अश्कों से जुड़ सकता है
जो टूट गया सो छूट गया

तुम नाहक़ टुकड़े चुन चुन कर
दामन में छुपाए बैठे हो
शीशों का मसीहा कोई नहीं
क्या आस लगाए बैठे हो

शायद कि इन्हीं टुकड़ों में कहीं
वो साग़र-ए-दिल है जिस में कभी
सद-नाज़ से उतरा करती थी
सहबा-ए-ग़म-ए-जानाँ की परी

फिर दुनिया वालों ने तुम से
ये साग़र ले कर फोड़ दिया
जो मय थी बहा दी मिट्टी में
मेहमान का शहपर तोड़ दिया

ये रंगीं रेज़े हैं शायद
उन शोख़ बिलोरीं सपनों के
तुम मस्त जवानी में जिन से
ख़ल्वत को सजाया करते थे

नादारी दफ़्तर भूक और ग़म
उन सपनों से टकराते रहे
बे-रहम था चौमुख पथराओ
ये काँच के ढाँचे क्या करते

या शायद इन ज़र्रों में कहीं
मोती है तुम्हारी इज़्ज़त का
वो जिस से तुम्हारे इज्ज़ पे भी
शमशाद-क़दों ने रश्क किया

इस माल की धुन में फिरते थे
ताजिर भी बहुत रहज़न भी कई
है चोर-नगर याँ मुफ़लिस की
गर जान बची तो आन गई

ये साग़र शीशे लाल-ओ-गुहर
सालिम हों तो क़ीमत पाते हैं
यूँ टुकड़े टुकड़े हों तो फ़क़त
चुभते हैं लहू रुलवाते हैं

तुम नाहक़ शीशे चुन चुन कर
दामन में छुपाए बैठे हो
शीशों का मसीहा कोई नहीं
क्या आस लगाए बैठे हो

यादों के गिरेबानों के रफ़ू
पर दिल की गुज़र कब होती है
इक बख़िया उधेड़ा एक सिया
यूँ उम्र बसर कब होती है

इस कार-गह-ए-हस्ती में जहाँ
ये साग़र शीशे ढलते हैं
हर शय का बदल मिल सकता है
सब दामन पुर हो सकते हैं

जो हाथ बढ़े यावर है यहाँ
जो आँख उठे वो बख़्तावर
याँ धन-दौलत का अंत नहीं
हों घात में डाकू लाख मगर

कब लूट-झपट से हस्ती की
दूकानें ख़ाली होती हैं
याँ परबत-परबत हीरे हैं
याँ सागर सागर मोती हैं

कुछ लोग हैं जो इस दौलत पर
पर्दे लटकाते फिरते हैं
हर पर्बत को हर सागर को
नीलाम चढ़ाते फिरते हैं

कुछ वो भी हैं जो लड़ भिड़ कर
ये पर्दे नोच गिराते हैं
हस्ती के उठाई-गीरों की
हर चाल उलझाए जाते हैं

इन दोनों में रन पड़ता है
नित बस्ती-बस्ती नगर-नगर
हर बस्ते घर के सीने में
हर चलती राह के माथे पर

ये कालक भरते फिरते हैं
वो जोत जगाते रहते हैं
ये आग लगाते फिरते हैं
वो आग बुझाते रहते हैं

सब साग़र शीशे लाल-ओ-गुहर
इस बाज़ी में बद जाते हैं
उट्ठो सब ख़ाली हाथों को
इस रन से बुलावे आते हैं
Read more

darbaar-e-watan mein jab ik din sab jaane waale jaayenge..

darbaar-e-watan mein jab ik din sab jaane waale jaayenge
kuchh apni saza ko pahunchege kuchh apni jazaa le jaayenge

ai khaak-nashino uth baitho vo waqt qareeb aa pahuncha hai
jab takht giraaye jaayenge jab taaj uchaale jaayenge

ab toot girengi zanjeeren ab zindaanon ki khair nahin
jo dariya jhoom ke utthe hain tinkon se na taale jaayenge

kate bhi chalo badhte bhi chalo baazu bhi bahut hain sar bhi bahut
chalte bhi chalo ki ab deray manzil hi pe dale jaayenge

ai zulm ke maato lab kholo chup rahne waalo chup kab tak
kuchh hashr to un se uthhega kuchh door to naale jaayenge 
--------------------------------------------------------------
दरबार-ए-वतन में जब इक दिन सब जाने वाले जाएँगे
कुछ अपनी सज़ा को पहुँचेंगे, कुछ अपनी जज़ा ले जाएँगे

ऐ ख़ाक-नशीनो उठ बैठो वो वक़्त क़रीब आ पहुँचा है
जब तख़्त गिराए जाएँगे जब ताज उछाले जाएँगे

अब टूट गिरेंगी ज़ंजीरें अब ज़िंदानों की ख़ैर नहीं
जो दरिया झूम के उट्ठे हैं तिनकों से न टाले जाएँगे

कटते भी चलो, बढ़ते भी चलो, बाज़ू भी बहुत हैं सर भी बहुत
चलते भी चलो कि अब डेरे मंज़िल ही पे डाले जाएँगे

ऐ ज़ुल्म के मातो लब खोलो चुप रहने वालो चुप कब तक
कुछ हश्र तो उन से उट्ठेगा कुछ दूर तो नाले जाएँगे
Read more

mere dil mere musaafir..

mere dil mere musaafir
hua phir se hukm saadir
ki watan-badar hon ham tum
den gali gali sadaaein
karein rukh nagar nagar ka
ki suraagh koi paaye
kisi yaar-e-naama-bar ka
har ik ajnabi se poochen
jo pata tha apne ghar ka
sar-e-koo-e-na-shanaayaan
hamein din se raat karna
kabhi is se baat karna
kabhi us se baat karna
tumhein kya kahoon ki kya hai
shab-e-gham buri bala hai
hamein ye bhi tha ghaneemat
jo koi shumaar hota
hamein kya bura tha marna
agar ek baar hota
---------------------------
मिरे दिल, मिरे मुसाफ़िर
हुआ फिर से हुक्म सादिर
कि वतन-बदर हों हम तुम
दें गली गली सदाएँ
करें रुख़ नगर नगर, का
कि सुराग़ कोई पाएँ
किसी यार-ए-नामा-बर का
हर इक अजनबी से पूछें
जो पता था अपने घर का
सर-ए-कू-ए-ना-शनायाँ
हमें दिन से रात करना
कभी इस से बात करना
कभी उस से बात करना
तुम्हें क्या कहूँ कि क्या है
शब-ए-ग़म बुरी बला है
हमें ये भी था ग़नीमत
जो कोई शुमार होता
हमें क्या बुरा था मरना
अगर एक बार होता!

Read more

taaza hain abhi yaad mein ai saaqi-e-gulfaam..

1- taaza hain abhi yaad mein ai saaqi-e-gulfaam
vo aks-e-rukh-e-yaar se lahke hue ayyaam
vo phool si khulti hui deedaar ki saaat
vo dil sa dhadakta hua ummeed ka hangaam

ummeed ki lau jaaga gham-e-dil ka naseeba
lo shauq ki tarsi hui shab ho gai aakhir
lo doob gaye dard ke be-khwab sitaare
ab chamkega be-sabr nigaahon ka muqaddar

is baam se niklega tire husn ka khurshid
is kunj se phootegi kiran rang-e-hina ki
is dar se bahega tiri raftaar ka seemaab
us raah pe failegi shafaq teri qaba ki

phir dekhe hain vo hijr ke tapte hue din bhi
jab fikr-e-dil-o-jaan mein fugaan bhool gai hai
har shab vo siyah bojh ki dil baith gaya hai
har subh ki lau teer si seene mein lagi hai

tanhaai mein kya kya na tujhe yaad kiya hai
kya kya na dil-e-zaar ne dhundi hain panaahen
aankhon se lagaaya hai kabhi dast-e-saba ko
daali hain kabhi gardan-e-mahtaab mein baahen

2- chaaha hai isee rang mein laila-e-watan ko
tadpa hai isee taur se dil us ki lagan mein
dhundi hai yoonhi shauq ne aasaish-e-manzil
rukhsaar ke kham mein kabhi kaakul ki shikan mein

us jaan-e-jahaan ko bhi yoonhi qalb-o-nazar ne
hans hans ke sada di kabhi ro ro ke pukaara
poore kiye sab harf-e-tamanna ke taqaze
har dard ko ujyaalaa har ik gham ko sanwaara

waapas nahin fera koi farmaan junoon ka
tanhaa nahin lauti kabhi awaaz jars ki
khairiyyat-e-jaan rahat-e-tan sehhat-e-daaman
sab bhool gaeein maslihatein ahl-e-hawas ki

is raah mein jo sab pe guzarti hai vo guzri
tanhaa pas-e-zindaan kabhi rusva sar-e-bazaar
garje hain bahut shaikh sar-e-gosha-e-mimbar
karkke hain bahut ahl-e-hukm bar-sar-e-darbaar

chhodaa nahin ghairoon ne koi navak-e-dushnaam
chhooti nahin apnon se koi tarz-e-malamat
us ishq na us ishq pe naadim hai magar dil
har daagh hai is dil mein ba-juz-daag-e-nadaamat 
------------------------------------------------
(1)ताज़ा हैं अभी याद में ऐ साक़ी-ए-गुलफ़ाम
वो अक्स-ए-रुख़-ए-यार से लहके हुए अय्याम
वो फूल सी खुलती हुई दीदार की साअत
वो दिल सा धड़कता हुआ उम्मीद का हंगाम

उम्मीद कि लौ जागा ग़म-ए-दिल का नसीबा
लो शौक़ की तरसी हुई शब हो गई आख़िर
लो डूब गए दर्द के बे-ख़्वाब सितारे
अब चमकेगा बे-सब्र निगाहों का मुक़द्दर

इस बाम से निकलेगा तिरे हुस्न का ख़ुर्शीद
इस कुंज से फूटेगी किरन रंग-ए-हिना की
इस दर से बहेगा तिरी रफ़्तार का सीमाब
उस राह पे फैलेगी शफ़क़ तेरी क़बा की

फिर देखे हैं वो हिज्र के तपते हुए दिन भी
जब फ़िक्र-ए-दिल-ओ-जाँ में फ़ुग़ाँ भूल गई है
हर शब वो सियह बोझ कि दिल बैठ गया है
हर सुब्ह की लौ तीर सी सीने में लगी है

तंहाई में क्या क्या न तुझे याद किया है
क्या क्या न दिल-ए-ज़ार ने ढूँडी हैं पनाहें
आँखों से लगाया है कभी दस्त-ए-सबा को
डाली हैं कभी गर्दन-ए-महताब में बाहें

(2) चाहा है इसी रंग में लैला-ए-वतन को
तड़पा है इसी तौर से दिल उस की लगन में
ढूँडी है यूँही शौक़ ने आसाइश-ए-मंज़िल
रुख़्सार के ख़म में कभी काकुल की शिकन में

उस जान-ए-जहाँ को भी यूँही क़ल्ब-ओ-नज़र ने
हँस हँस के सदा दी कभी रो रो के पुकारा
पूरे किए सब हर्फ़-ए-तमन्ना के तक़ाज़े
हर दर्द को उजयाला हर इक ग़म को सँवारा

वापस नहीं फेरा कोई फ़रमान जुनूँ का
तन्हा नहीं लौटी कभी आवाज़ जरस की
ख़ैरिय्यत-ए-जाँ राहत-ए-तन सेह्हत-ए-दामाँ
सब भूल गईं मस्लिहतें अहल-ए-हवस की

इस राह में जो सब पे गुज़रती है वो गुज़री
तन्हा पस-ए-ज़िंदाँ कभी रुस्वा सर-ए-बाज़ार
गरजे हैं बहुत शैख़ सर-ए-गोशा-ए-मिम्बर
कड़के हैं बहुत अहल-ए-हकम बर-सर-ए-दरबार

छोड़ा नहीं ग़ैरों ने कोई नावक-ए-दुश्नाम
छूटी नहीं अपनों से कोई तर्ज़-ए-मलामत
उस इश्क़ न उस इश्क़ पे नादिम है मगर दिल
हर दाग़ है इस दिल में ब-जुज़-दाग़-ए-नदामत
Read more

aaj ik harf ko phir dhundhta firta hai khayal..

aaj ik harf ko phir dhundhta firta hai khayal
madh bhara harf koi zahar bhara harf koi
dil-nasheen harf koi qahar bhara harf koi
harf-e-ulfaat koi dildaar-e-nazar ho jaise
jis se milti hai nazar bosa-e-lab ki soorat
itna raushan ki sar-e-mauja-e-zar ho jaise
sohbat-e-yaar mein aaghaaz-e-tarab ki soorat
harf-e-nafrat koi shamsheer-e-ghazab ho jaise
ta-abad shahr-e-sitam jis se tabah ho jaayen
itna tareek ki shamshaan ki shab ho jaise
lab pe laaun to mere hont siyah ho jaayen

aaj har sur se har ik raag ka naata toota
dhundti phirti hai mutarib ko phir us ki awaaz
joshish-e-dard se majnoon ke garebaan ki tarah
chaak-dar-chaak hua aaj har ik parda-e-saaz
aaj har mauj-e-hawa se hai sawaali khilqat
la koi naghma koi saut tiri umr daraaz
nauha-e-gham hi sahi shor-e-shahadat hi sahi
soor-e-mahshar hi sahi baang-e-qayamat hi sahi
---------------------------------------------------
आज इक हर्फ़ को फिर ढूँडता फिरता है ख़याल
मध भरा हर्फ़ कोई ज़हर भरा हर्फ़ कोई
दिल-नशीं हर्फ़ कोई क़हर भरा हर्फ़ कोई
हर्फ़-ए-उल्फ़त कोई दिलदार-ए-नज़र हो जैसे
जिस से मिलती है नज़र बोसा-ए-लब की सूरत
इतना रौशन कि सर-ए-मौजा-ए-ज़र हो जैसे
सोहबत-ए-यार में आग़ाज़-ए-तरब की सूरत
हर्फ़-ए-नफ़रत कोई शमशीर-ए-ग़ज़ब हो जैसे
ता-अबद शहर-ए-सितम जिस से तबह हो जाएँ
इतना तारीक कि शमशान की शब हो जैसे
लब पे लाऊँ तो मिरे होंट सियह हो जाएँ

आज हर सुर से हर इक राग का नाता टूटा
ढूँडती फिरती है मुतरिब को फिर उस की आवाज़
जोशिश-ए-दर्द से मजनूँ के गरेबाँ की तरह
चाक-दर-चाक हुआ आज हर इक पर्दा-ए-साज़
आज हर मौज-ए-हवा से है सवाली ख़िल्क़त
ला कोई नग़्मा कोई सौत तिरी उम्र दराज़
नौहा-ए-ग़म ही सही शोर-ए-शहादत ही सही
सूर-ए-महशर ही सही बाँग-ए-क़यामत ही सही
Read more

vo waqt meri jaan bahut door nahin hai..

vo waqt meri jaan bahut door nahin hai
jab dard se ruk jaayengi sab zeest ki raahen
aur had se guzar jaayega andoh-e-nihaani
thak jaayengi tarsi hui naakaam nigaahen
chin jaayenge mujh se mere aansu meri aahen
chin jaayegi mujh se meri be-kaar jawaani

shaayad meri ulfat ko bahut yaad karogi
apne dil-e-maasoom ko naashaad karogi
aaogi meri gor pe tum ashk bahaane
nau-khez bahaaron ke haseen phool chadhaane

shaayad meri turbat ko bhi thukra ke chalogi
shaayad meri be-sood wafaon pe hansogi
is waz-e-karam ka bhi tumhein paas na hoga
lekin dil-e-naakaam ko ehsaas na hoga

al-qissaa maal-e-gham-e-ulfaat pe haso tum
ya ashk bahaati raho fariyaad karo tum
maazi pe nadaamat ho tumhein ya ki masarrat
khaamosh pada soega vaamaanda-e-ulfaat 
--------------------------------------------
वो वक़्त मिरी जान बहुत दूर नहीं है
जब दर्द से रुक जाएँगी सब ज़ीस्त की राहें
और हद से गुज़र जाएगा अंदोह-ए-निहानी
थक जाएँगी तरसी हुई नाकाम निगाहें
छिन जाएँगे मुझ से मिरे आँसू मिरी आहें
छिन जाएगी मुझ से मिरी बे-कार जवानी

शायद मिरी उल्फ़त को बहुत याद करोगी
अपने दिल-ए-मासूम को नाशाद करोगी
आओगी मिरी गोर पे तुम अश्क बहाने
नौ-ख़ेज़ बहारों के हसीं फूल चढ़ाने

शायद मिरी तुर्बत को भी ठुकरा के चलोगी
शायद मिरी बे-सूद वफ़ाओं पे हँसोगी
इस वज़्-ए-करम का भी तुम्हें पास न होगा
लेकिन दिल-ए-नाकाम को एहसास न होगा

अल-क़िस्सा मआल-ए-ग़म-ए-उल्फ़त पे हँसो तुम
या अश्क बहाती रहो फ़रियाद करो तुम
माज़ी पे नदामत हो तुम्हें या कि मसर्रत
ख़ामोश पड़ा सोएगा वामांदा-ए-उल्फ़त
Read more

aaj phir dard-o-gham ke dhaage mein..

aaj phir dard-o-gham ke dhaage mein
ham piro kar tire khayal ke phool
tark-e-ulft ke dasht se chun kar
aashnaai ke maah o saal ke phool
teri dahleez par saja aaye
phir tiri yaad par chadha aaye
baandh kar aarzoo ke palle mein
hijr ki raakh aur visaal ke phool 
----------------------------------
आज फिर दर्द-ओ-ग़म के धागे में
हम पिरो कर तिरे ख़याल के फूल
तर्क-ए-उल्फ़त के दश्त से चुन कर
आश्नाई के माह ओ साल के फूल
तेरी दहलीज़ पर सजा आए
फिर तिरी याद पर चढ़ा आए
बाँध कर आरज़ू के पल्ले में
हिज्र की राख और विसाल के फूल
Read more

tum mere paas raho..

tum mere paas raho
mere qaateel mere dildaar mere paas raho
jis ghadi raat chale
aasmaanon ka lahu pee ke siyah raat chale
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas liye
bein karti hui hansati hui gaati nikle
dard ke kaasni paazeb bajaati nikle
jis ghadi seenon mein doobe hue dil
aasteenon mein nihaan haathon ki rah takne lage
aas liye
aur bacchon ke bilkane ki tarah qulqul-e-may
bahr-e-na-soodgi machle to manaae na mane
jab koi baat banaaye na bane
jab na koi baat chale
jis ghadi raat chale
jis ghadi maatami sunsaan siyah raat chale
paas raho
mere qaateel mere dildaar mere paas raho
--------------------------------------------
तुम मिरे पास रहो
मिरे क़ातिल, मिरे दिलदार मिरे पास रहो
जिस घड़ी रात चले,
आसमानों का लहू पी के सियह रात चले
मरहम-ए-मुश्क लिए, नश्तर-ए-अल्मास लिए
बैन करती हुई हँसती हुई, गाती निकले
दर्द के कासनी पाज़ेब बजाती निकले
जिस घड़ी सीनों में डूबे हुए दिल
आस्तीनों में निहाँ हाथों की रह तकने लगे
आस लिए
और बच्चों के बिलकने की तरह क़ुलक़ुल-ए-मय
बहर-ए-ना-सूदगी मचले तो मनाए न मने
जब कोई बात बनाए न बने
जब न कोई बात चले
जिस घड़ी रात चले
जिस घड़ी मातमी सुनसान सियह रात चले
पास रहो
मिरे क़ातिल, मिरे दिलदार मिरे पास रहो

Read more