Aziz itna hi rakho ke ji sambhal jaye.. byBashir Badr November 6, 2024 अज़ीज़ इतना ही रक्खो कि जी सँभल जाएअब इस क़दर भी न चाहो कि दम निकल जाएमिले हैं यूँ तो बहुत आओ अब मिलें यूँ भीकि रूह गर्मी-ए-अनफ़ास से पिघल जाएमोहब्बतों में अजब है दिलों को धड़का साकि जाने कौन कहाँ रास्ता बदल जाएज़हे वो दिल जो तमन्ना-ए-ताज़ा-तर में रहेख़ोशा वो उम्र जो ख़्वाबों ही में बहल जाएमैं वो चराग़ सर-ए-रहगुज़ार-ए-दुनिया हूँजो अपनी ज़ात की तन्हाइयों में जल जाएहर एक लहज़ा यही आरज़ू यही हसरतजो आग दिल में है वो शेर में भी ढल जाए----------------------------------------------Aziz itna hi rakho ke ji sambhal jayeAb is qadar bhi na chaho ke dam nikal jayeMile hain yun to bahut, aao ab milen yun bhiKe rooh garmi-e-anfaas se pighal jayeMohabbatoin mein ajab hai dilon ko dhadka saKe jaane kaun kahan rasta badal jayeZahe wo dil jo tamanna-e-taaza-tar mein raheKhushha wo umr jo khwabon hi mein bahl jayeMain wo charaag sar-e-rahguzar-e-duniya hoonJo apni zaat ki tanhaiyon mein jal jayeHar ek lahza yehi arzu yehi hasratJo aag dil mein hai wo sher mein bhi dhal jaye Read more bashir badr urdu poet aligarh muslim university
hai ajib shahr ki zindagi.. byBashir Badr August 10, 2023 है अजीब शहर की ज़िंदगी न सफ़र रहा न क़याम हैकहीं कारोबार सी दोपहर कहीं बद-मिज़ाज सी शाम है यूँही रोज़ मिलने की आरज़ू बड़ी रख-रखाव की गुफ़्तुगूये शराफ़तें नहीं बे-ग़रज़ इसे आप से कोई काम हैकहाँ अब दुआओं की बरकतें वो नसीहतें वो हिदायतें ये मुतालबों का ख़ुलूस है ये ज़रूरतों का सलाम है वो दिलों में आग लगाएगा मैं दिलों की आग बुझाऊंगा उसे अपने काम से काम है मुझे अपने काम से काम हैन उदास हो न मलाल कर किसी बात का न ख़याल कर कई साल बा'द मिले हैं हम तिरे नाम आज की शाम है कोई नग़्मा धूप के गाँव सा कोई नग़्मा शाम की छाँव सा ज़रा इन परिंदों से पूछना ये कलाम किस का कलाम है.---------------------------------------------------------------hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam haikahin karobar si dopahr kahin bad-mizaj si sham haiyunhi roz milne ki aarzu baDi rakh-rakhaw ki guftuguye sharafaten nahin be-gharaz ise aap se koi kaam haikahan ab duaon ki barkaten wo nasihaten wo hidayatenye mutalbon ka KHulus hai ye zaruraton ka salam haiwo dilon mein aag lagaega main dilon ki aag bujhaungause apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam haina udas ho na malal kar kisi baat ka na KHayal karkai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham haikoi naghma dhup ke ganw sa koi naghma sham ki chhanw sazara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai Read more bashir badr urdu poet aligarh muslim university