sahir lukhianvi

ye kooche ye neelaamghar dilkashi ke..

ye kooche ye neelaamghar dilkashi ke
ye lutte hue kaarvaan zindagi ke
kahaan hain kahaan hai muhafiz khudi ke
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

ye purpeech galiyaan ye badnaam bazaar
ye gumnaam raahi ye sikko ki jhankaar
ye ismat ke saude ye saudo'n pe takraar
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain


ye sadiyon se bekhwaab sahmi si galiyaan
ye masli hui adhkhili zard kaliyaan
ye bikti hui khokhli rang-ralliyaan
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

vo ujle dareechon mein paayal ki chhan-chhan
thaki-haari saanson pe table ki dhan-dhan
ye berooh kamron mein khansi ki than-than
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

ye phoolon ke gajre ye peeko'n ke chheente
ye bebaak nazren ye gustaakh fikre
ye dhalke badan aur ye beemaar chehre
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

yahaan peer bhi aa chuke hain jawaan bhi
tanomand bete bhi abbaa miyaan bhi
ye biwi bhi hai aur behn bhi hai maa bhi
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

madad chahti hai ye hawwa ki beti
yashoda ki hamjins radha ki beti
payambar ki ummat zulaykhaan ki beti
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain

zara mulk ke rahbaro'n ko bulao
ye kuche ye galiyaan ye manzar dikhaao
jinhen naaz hai hind par unko laao
jinhen naaz hai hind par vo kahaan hain 
--------------------------------------------
ये कूचे, ये नीलामघर दिलकशी के
ये लुटते हुए कारवां ज़िन्दगी के
कहां हैं, कहां है, मुहाफ़िज़ ख़ुदी के
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

ये पुरपेच गलियां, ये बदनाम बाज़ार
ये ग़ुमनाम राही, ये सिक्कों की झन्कार
ये इस्मत के सौदे, ये सौदों पे तकरार
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं


ये सदियों से बेख्वाब, सहमी सी गलियां
ये मसली हुई अधखिली ज़र्द कलियां
ये बिकती हुई खोखली रंग-रलियां
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

वो उजले दरीचों में पायल की छन-छन
थकी-हारी सांसों पे तबले की धन-धन
ये बेरूह कमरों में खांसी की ठन-ठन
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

ये फूलों के गजरे, ये पीकों के छींटे
ये बेबाक नज़रें, ये गुस्ताख फ़िकरे
ये ढलके बदन और ये बीमार चेहरे
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

यहां पीर भी आ चुके हैं, जवां भी
तनोमंद बेटे भी, अब्बा, मियां भी
ये बीवी भी है और बहन भी है, मां भी
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

मदद चाहती है ये हव्वा की बेटी
यशोदा की हमजिंस, राधा की बेटी
पयम्बर की उम्मत, ज़ुलयखां की बेटी
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं

ज़रा मुल्क के रहबरों को बुलाओ
ये कुचे, ये गलियां, ये मंजर दिखाओ
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर उनको लाओ
जिन्हें नाज़ है हिन्द पर वो कहां हैं
Read more

tere honton pe tabassum ki vo halki si lakeer..

hiraas
tere honton pe tabassum ki vo halki si lakeer
mere takhyul mein rah rah ke jhalak uthati hai
yoon achaanak tire aariz ka khayal aata hai
jaise zulmat mein koi shamaan bhadak uthati hai

tere pairahan-e-rangeen ki junoon-khez mahak
khwaab ban ban ke mere zehan mein lehraati hai
raat ki sard khamoshi mein har ik jhonke se
tere anfaas tire jism ki aanch aati hai

main sulagte hue raazon ko ayaan to kar doon
lekin un raazon ki tashheer se jee darta hai
raat ke khwaab ujaale mein bayaan to kar doon
un haseen khwaabon ki taabeer se jee darta hai

teri saanson ki thakan teri nigaahon ka sukoot
dar-haqeeqat koi rangeen sharaarat hi na ho
main jise pyaar ka andaaz samajh baitha hoon
vo tabassum vo takallum tiri aadat hi na ho

sochta hoon ki tujhe mil ke main jis soch mein hoon
pehle us soch ka maqsoom samajh loon to kahoon
main tire shehar mein anjaan hoon pardesi hoon
tere altaaf ka mafhoom samajh loon to kahoon

kahi aisa na ho paanv mere tharraa jaayein
aur tiri marmariin baanhon ka sahaara na mile
ashk bahte rahein khaamosh siyah raaton mein
aur tire reshmi aanchal ka kinaara na mile
----------------------------------------------
हिरास
तेरे होंटों पे तबस्सुम की वो हल्की सी लकीर
मेरे तख़्य्युल में रह रह के झलक उठती है
यूं अचानक तिरे आरिज़ का ख़याल आता है
जैसे ज़ुल्मत में कोई शमां भड़क उठती है

तेरे पैराहन-ए-रंगीं की जुनूं-ख़ेज़ महक
ख़्वाब बन बन के मिरे ज़ेहन में लहराती है
रात की सर्द ख़मोशी में हर इक झोंके से
तेरे अन्फ़ास तिरे जिस्म की आंच आती है

मैं सुलगते हुए राज़ों को अयां तो कर दूं
लेकिन उन राज़ों की तशहीर से जी डरता है
रात के ख़्वाब उजाले में बयां तो कर दूं
उन हसीं ख़्वाबों की ताबीर से जी डरता है

तेरी सांसों की थकन तेरी निगाहों का सुकूत
दर-हक़ीक़त कोई रंगीन शरारत ही न हो
मैं जिसे प्यार का अंदाज़ समझ बैठा हूं
वो तबस्सुम वो तकल्लुम तिरी आदत ही न हो

सोचता हूं कि तुझे मिल के मैं जिस सोच में हूं
पहले उस सोच का मक़्सूम समझ लूं तो कहूं
मैं तिरे शहर में अंजान हूं परदेसी हूं
तेरे अल्ताफ़ का मफ़्हूम समझ लूं तो कहूं

कहीं ऐसा न हो पांव मिरे थर्रा जाएं
और तिरी मरमरीं बांहों का सहारा न मिले
अश्क बहते रहें ख़ामोश सियह रातों में
और तिरे रेशमी आंचल का किनारा न मिले

Read more

log aurat ko faqat jism samajh lete hain..

log aurat ko faqat jism samajh lete hain

log aurat ko faqat jism samajh lete hain
rooh bhi hoti hai us mein ye kahaan sochte hain

rooh kya hoti hai is se unhen matlab hi nahin
vo to bas tan ke taqaazon ka kaha maante hain

rooh mar jaate hain to ye jism hai chalti hui laash
is haqeeqat ko na samjhte hain na pahchaante hain

kitni sadiyon se ye vehshat ka chalan jaari hai
kitni sadiyon se hai qaaim ye gunaahon ka rivaaj

log aurat ki har ik cheekh ko naghma samjhe
vo qabeelon ka zamaana ho ki shehron ka rivaaj

jabr se nasl badhe zulm se tan mel karein
ye amal ham mein hai be-ilm parindon mein nahin

ham jo insaano ki tahzeeb liye firte hain
ham sa wahshi koi jungle ke darindon mein nahin

ik bujhi rooh lute jism ke dhaanche mein liye
sochti hoon main kahaan ja ke muqaddar phoroon

main na zinda hoon ki marne ka sahaara dhoondhoon
aur na murda hoon ki jeene ke ghamon se chhootoon

kaun batlaayega mujh ko kise ja kar poochhun
zindagi qahar ke saanchon mein dhalegi kab tak

kab talak aankh na kholega zamaane ka zameer
zulm aur jabr ki ye reet chalegi kab tak

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya
jab jee chaaha masla kuchla jab jee chaaha dhutkaar diya
tulti hai kahi deenaaron mein bikti hai kahi bazaaron mein
nangi nachvaaii jaati hai ayyaashon ke darbaaron mein
ye vo be-izzat cheez hai jo bat jaati hai izzat-daaron mein
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

mardon ke liye har zulm rawa aurat ke liye rona bhi khata
mardon ke liye har aish ka haq aurat ke liye jeena bhi saza
mardon ke liye laakhon sejen aurat ke liye bas ek chitaa
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

jin seenon ne in ko doodh diya un seenon ko bevepaar kiya
jis kokh mein in ka jism dhala us kokh ka kaarobaar kiya
jis tan se uge konpal ban kar us tan ko zaleel-o-khwaar kiya
sansaar ki har ik be-sharmi gurbat ki god mein palati hai
chaklon hi mein aa kar rukti hai faaqon se jo raah nikalti hai
mardon ki havas hai jo akshar aurat ke paap mein dhalti hai
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

aurat sansaar ki qismat hai phir bhi taqdeer ki heti hai
avtaar payambar jantee hai phir bhi shaitaan ki beti hai
ye vo bad-qismat maa hai jo beton ki sej pe leti hai
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazaar diya 
----------------------------------------------------------
लोग औरत को फ़क़त जिस्म समझ लेते हैं

लोग औरत को फ़क़त जिस्म समझ लेते हैं
रूह भी होती है उस में ये कहां सोचते हैं

रूह क्या होती है इस से उन्हें मतलब ही नहीं
वो तो बस तन के तक़ाज़ों का कहा मानते हैं

रूह मर जाते हैं तो ये जिस्म है चलती हुई लाश
इस हक़ीक़त को न समझते हैं न पहचानते हैं

कितनी सदियों से ये वहशत का चलन जारी है
कितनी सदियों से है क़ाएम ये गुनाहों का रिवाज

लोग औरत की हर इक चीख़ को नग़्मा समझे
वो क़बीलों का ज़माना हो कि शहरों का रिवाज

जब्र से नस्ल बढ़े ज़ुल्म से तन मेल करें
ये अमल हम में है बे-इल्म परिंदों में नहीं

हम जो इंसानों की तहज़ीब लिए फिरते हैं
हम सा वहशी कोई जंगल के दरिंदों में नहीं

इक बुझी रूह लुटे जिस्म के ढांचे में लिए
सोचती हूं मैं कहां जा के मुक़द्दर फोड़ूं

मैं न ज़िंदा हूं कि मरने का सहारा ढूंढ़ूं
और न मुर्दा हूं कि जीने के ग़मों से छूटूं

कौन बतलाएगा मुझ को किसे जा कर पूछूं
ज़िंदगी क़हर के सांचों में ढलेगी कब तक

कब तलक आंख न खोलेगा ज़माने का ज़मीर
ज़ुल्म और जब्र की ये रीत चलेगी कब तक

औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया
जब जी चाहा मसला कुचला जब जी चाहा धुत्कार दिया
तुलती है कहीं दीनारों में बिकती है कहीं बाज़ारों में
नंगी नचवाई जाती है अय्याशों के दरबारों में
ये वो बे-इज़्ज़त चीज़ है जो बट जाती है इज़्ज़त-दारों में
औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

मर्दों के लिए हर ज़ुल्म रवा औरत के लिए रोना भी ख़ता
मर्दों के लिए हर ऐश का हक़ औरत के लिए जीना भी सज़ा
मर्दों के लिए लाखों सेजें, औरत के लिए बस एक चिता
औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

जिन सीनों ने इन को दूध दिया उन सीनों को बेवपार किया
जिस कोख में इन का जिस्म ढला उस कोख का कारोबार किया
जिस तन से उगे कोंपल बन कर उस तन को ज़लील-ओ-ख़्वार किया
संसार की हर इक बे-शर्मी ग़ुर्बत की गोद में पलती है
चकलों ही में आ कर रुकती है फ़ाक़ों से जो राह निकलती है
मर्दों की हवस है जो अक्सर औरत के पाप में ढलती है
औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

औरत संसार की क़िस्मत है फिर भी तक़दीर की हेटी है
अवतार पयम्बर जनती है फिर भी शैतान की बेटी है
ये वो बद-क़िस्मत मां है जो बेटों की सेज पे लेटी है
औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया

औरत ने जनम दिया मर्दों को मर्दों ने उसे बाज़ार दिया
Read more

mere khwaabon ke jharokon ko sajaane waali..

mere khwaabon ke jharokon ko sajaane waali
tere khwaabon mein kahi mera guzar hai ki nahin
pooch kar apni nigaahon se bata de mujh ko
meri raaton ke muqaddar mein sehar hai ki nahin

chaar din ki ye rifaqat jo rifaqat bhi nahin
umr bhar ke liye aazaar hui jaati hai
zindagi yoon to hamesha se pareshaan si thi
ab to har saans giran-baar hui jaati hai

meri ujadi hui neendon ke shabistaanon mein
tu kisi khwaab ke paikar ki tarah aayi hai
kabhi apni si kabhi gair nazar aayi hai
kabhi ikhlaas ki moorat kabhi harjaai hai

pyaar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi
tu bata de ki tujhe pyaar karoon ya na karoon
tu ne khud apne tabassum se jagaaya hai jinhen
un tamannaon ka izhaar karoon ya na karoon
tu kisi aur ke daaman ki kali hai lekin
meri raatein tiri khushboo se basi rahti hain
tu kahi bhi ho tire phool se aariz ki qasam
teri palkein meri aankhon pe jhuki rahti hain

tere haathon ki hararat tire saanson ki mahak
tairti rahti hai ehsaas ki pahnaai mein
dhoondhti rahti hain takh'eel ki baanhen tujh ko
sard raaton ki sulagti hui tanhaai mein
tera altaf-o karam ek haqeeqat hai magar
ye haqeeqat bhi haqeeqat mein fasana hi na ho
teri maanoos nigaahon ka ye mohtaath payaam
dil ke khun karne ka ek aur bahaana hi na ho

kaun jaane mere imroz ka farda kya hai
qurbaten badh ke pashemaan bhi ho jaati hain
dil ke daaman se liptati hui rangeen nazrein
dekhte dekhte anjaan bhi ho jaati hain

meri darmaanda jawaani ki tamannaon ke
muzmahil khwaab ki taabeer bata de mujh ko

mera haasil meri taqdeer bata de mujh ko 
--------------------------------------------
मेरे ख़्वाबों के झरोकों को सजाने वाली
तेरे ख़्वाबों में कहीं मेरा गुज़र है कि नहीं
पूछ कर अपनी निगाहों से बता दे मुझ को
मेरी रातों के मुक़द्दर में सहर है कि नहीं

चार दिन की ये रिफ़ाक़त जो रिफ़ाक़त भी नहीं
उम्र भर के लिए आज़ार हुई जाती है
ज़िंदगी यूं तो हमेशा से परेशान सी थी
अब तो हर सांस गिरां-बार हुई जाती है

मेरी उजड़ी हुई नींदों के शबिस्तानों में
तू किसी ख़्वाब के पैकर की तरह आई है
कभी अपनी सी कभी ग़ैर नज़र आई है
कभी इख़्लास की मूरत कभी हरजाई है

प्यार पर बस तो नहीं है मिरा लेकिन फिर भी
तू बता दे कि तुझे प्यार करूं या न करूं
तू ने ख़ुद अपने तबस्सुम से जगाया है जिन्हें
उन तमन्नाओं का इज़हार करूं या न करूं
तू किसी और के दामन की कली है लेकिन
मेरी रातें तिरी ख़ुश्बू से बसी रहती हैं
तू कहीं भी हो तिरे फूल से आरिज़ की क़सम
तेरी पलकें मिरी आंखों पे झुकी रहती हैं

तेरे हाथों की हरारत तिरे सांसों की महक
तैरती रहती है एहसास की पहनाई में
ढूंढ़ती रहती हैं तख़्ईल की बांहें तुझ को
सर्द रातों की सुलगती हुई तन्हाई में
तेरा अल्ताफ़-ओ- करम एक हक़ीक़त है मगर
ये हक़ीक़त भी हक़ीक़त में फ़साना ही न हो
तेरी मानूस निगाहों का ये मोहतात पयाम
दिल के ख़ूँ करने का एक और बहाना ही न हो

कौन जाने मिरे इमरोज़ का फ़र्दा क्या है
क़ुर्बतें बढ़ के पशेमान भी हो जाती हैं
दिल के दामन से लिपटती हुई रंगीं नज़रें
देखते देखते अंजान भी हो जाती हैं

मेरी दरमांदा जवानी की तमन्नाओं के
मुज़्महिल ख़्वाब की ताबीर बता दे मुझ को

मेरा हासिल मेरी तक़दीर बता दे मुझ को
Read more

main pal-do-pal ka shayar hoon pal-do-pal meri kahaani hai..

main pal-do-pal ka shayar hoon pal-do-pal meri kahaani hai
pal-do-pal meri hasti hai pal-do-pal meri jawaani hai

mujh se pehle kitne shayar aaye aur aa kar chale gaye
kuchh aahen bhar kar laut gaye kuchh nagmein ga kar chale gaye
ve bhi ek pal ka qissa the main bhi ek pal ka qissa hoon
kal tum se juda ho jaaunga go aaj tumhaara hissa hoon

main pal-do-pal ka shayar hoon pal-do-pal meri kahaani hai
pal-do-pal meri hasti hai pal-do-pal meri jawaani hai

kal aur aayenge nagmon ki khilti kaliyaan chunne waale
mujhse behtar kehne waale tumse behtar sunne waale
kal koi mujh ko yaad kare kyun koi mujh ko yaad kare
masroof zamaana mere liye kyun waqt apna barbaad kare

main pal-do-pal ka shayar hoon pal-do-pal meri kahaani hai
pal-do-pal meri hasti hai pal-do-pal meri jawaani hai

main har ik pal ka shayar hoon har ik pal meri kahaani hai
har ik pal meri hasti hai har ik pal meri jawaani hai

rishton ka roop badalta hai buniyaadein khatm nahin hoti
khwaabon aur umangon ki miyaadein khatm nahin hoti
ik phool mein tera roop basa ik phool mein meri jawaani hai
ik chehra teri nishaani hai ik chehra meri nishaani hai

main har ik pal ka shayar hoon har ik pal meri kahaani hai
har ik pal meri hasti hai har ik pal meri jawaani hai

tujhko mujhko jeevan amrit ab in haathon se peena hai
inki dhadkan mein basna hai inki saanson mein jeena hai
tu apni adaayein baksh inhen main apni wafaayein deta hoon
jo apne liye socheen thi kabhi vo saari duaayein deta hoon

main har ik pal ka shayar hoon har ik pal meri kahaani hai
har ik pal meri hasti hai har ik pal meri jawaani hai 
-----------------------------------------------------
मैं पल-दो-पल का शायर हूँ, पल-दो-पल मेरी कहानी है
पल-दो-पल मेरी हस्ती है, पल-दो-पल मेरी जवानी है

मुझ से पहले कितने शायर आए और आ कर चले गए
कुछ आहें भर कर लौट गए, कुछ नग़में गा कर चले गए
वे भी एक पल का क़िस्सा थे, मैं भी एक पल का क़िस्सा हूँ
कल तुम से जुदा हो जाऊंगा गो आज तुम्हारा हिस्सा हूँ

मैं पल-दो-पल का शायर हूँ, पल-दो-पल मेरी कहानी है
पल-दो-पल मेरी हस्ती है, पल-दो-पल मेरी जवानी है

कल और आएंगे नग़मों की खिलती कलियाँ चुनने वाले
मुझसे बेहतर कहने वाले, तुमसे बेहतर सुनने वाले
कल कोई मुझ को याद करे, क्यों कोई मुझ को याद करे
मसरुफ़ ज़माना मेरे लिए, क्यों वक़्त अपना बरबाद करे

मैं पल-दो-पल का शायर हूँ, पल-दो-पल मेरी कहानी है
पल-दो-पल मेरी हस्ती है, पल-दो-पल मेरी जवानी है

मैं हर इक पल का शायर हूँ हर इक पल मेरी कहानी है
हर इक पल मेरी हस्ती है हर इक पल मेरी जवानी है

रिश्तों का रूप बदलता है, बुनियादें खत्म नहीं होतीं
ख़्वाबों और उमँगों की मियादें खत्म नहीं होतीं
इक फूल में तेरा रूप बसा, इक फूल में मेरी जवानी है
इक चेहरा तेरी निशानी है, इक चेहरा मेरी निशानी है

मैं हर इक पल का शायर हूँ हर इक पल मेरी कहानी है
हर इक पल मेरी हस्ती है हर इक पल मेरी जवानी है

तुझको मुझको जीवन अम्रित अब इन हाथों से पीना है
इनकी धड़कन में बसना है, इनकी साँसों में जीना है
तू अपनी अदाएं बक्ष इन्हें, मैं अपनी वफ़ाएं देता हूँ
जो अपने लिए सोचीं थी कभी, वो सारी दुआएं देता हूँ

मैं हर इक पल का शायर हूँ हर इक पल मेरी कहानी है
हर इक पल मेरी हस्ती है हर इक पल मेरी जवानी है
Read more

All Time Most Famous Ghazals Of Sahir lukhianvi..

1- Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye to achha
Is raat ki taqdeer sanwar jaye to achha

Jis tarah se thodi si tire saath kati hai
Baaki bhi usi tarah guzar jaye to achha

Duniya ki nigahon mein bhala kya hai bura kya
Yeh bojh agar dil se utar jaye to achha

Waise to tumhi ne mujhe barbaad kiya hai
Ilzaam kisi aur ke sar jaye to achha


2- Chehre pe khushi chha jaati hai, aankhon mein suroor aa jaata hai
Jab tum mujhe apna kehte ho, apne pe ghuroor aa jaata hai

Tum husn ki khud ek duniya ho, shayad yeh tumhe maaloom nahi
Mahfil mein tumhare aane se har cheez pe noor aa jaata hai

Hum paas se tumko kya dekhein, tum jab bhi muqabil hote ho
Betaab nigahon ke aage parda sa zaroor aa jaata hai

Jab tum se mohabbat ki hum ne, tab ja ke kahin yeh raaz khula
Marne ka saleeqa aate hi jeene ka shuoor aa jaata hai


3- Har tarah ke jazbaat ka elaan hain aankhen
Shabnam kabhi shola, kabhi toofan hain aankhen

Aankhon se badi koi tarazoo nahi hoti
Tulta hai bashar jis mein, woh meezan hain aankhen

Aankhen hi milaati hain zamaane mein dilon ko
Anjaan hain hum tum agar anjaan hain aankhen

Lab kuch bhi kahe, is se haqeeqat nahi khulti
Insaan ke sach jhooth ki pehchaan hain aankhen

Aankhen na jhukiin teri kisi gair ke aage
Duniya mein badi cheez meri jaan! hain aankhen


4- Tum apna ranj-o-gham, apni pareshani mujhe de do
Tumhe gham ki qasam, is dil ki veerani mujhe de do

Yeh maana main kisi qabil nahi hoon in nigahon mein
Bura kya hai agar yeh dukh, yeh hairani mujhe de do

Main dekhoon to sahi duniya tumhe kaise satati hai
Koi din ke liye apni nigahbani mujhe de do

Woh dil jo maine maanga tha magar gairon ne paaya hai
Badi shay hai agar uski pashemani mujhe de do


5- Kabhi khud pe, kabhi haalaat pe rona aaya
Baat nikli to har ek baat pe rona aaya

Hum to samjhe the ki hum bhool gaye hain unko
Kya hua aaj yeh kis baat pe rona aaya

Kis liye jeete hain hum, kis ke liye jeete hain
Baarha aise sawaalaat pe rona aaya

Kaun rota hai kisi aur ki khaatir ai dost
Sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
------------------------------------------------
1- ये ज़ुल्फ़ अगर खुल के बिखर जाए तो अच्छा
इस रात की तक़दीर सँवर जाए तो अच्छा

जिस तरह से थोड़ी सी तिरे साथ कटी है
बाक़ी भी उसी तरह गुज़र जाए तो अच्छा

दुनिया की निगाहों में भला क्या है बुरा क्या
ये बोझ अगर दिल से उतर जाए तो अच्छा

वैसे तो तुम्हीं ने मुझे बरबाद किया है
इल्ज़ाम किसी और के सर जाए तो अच्छा


2- चेहरे पे ख़ुशी छा जाती है आँखों में सुरूर आ जाता है
जब तुम मुझे अपना कहते हो अपने पे ग़ुरूर आ जाता है

तुम हुस्न की ख़ुद इक दुनिया हो शायद ये तुम्हें मालूम नहीं
महफ़िल में तुम्हारे आने से हर चीज़ पे नूर आ जाता है

हम पास से तुम को क्या देखें तुम जब भी मुक़ाबिल होते हो
बेताब निगाहों के आगे पर्दा सा ज़रूर आ जाता है

जब तुम से मोहब्बत की हम ने तब जा के कहीं ये राज़ खुला
मरने का सलीक़ा आते ही जीने का शुऊ'र आ जाता है


3- हर तरह के जज़्बात का एलान हैं आँखें
शबनम कभी शो'ला कभी तूफ़ान हैं आँखें

आँखों से बड़ी कोई तराज़ू नहीं होती
तुलता है बशर जिस में वो मीज़ान हैं आँखें

आँखें ही मिलाती हैं ज़माने में दिलों को
अंजान हैं हम तुम अगर अंजान हैं आँखें

लब कुछ भी कहें इस से हक़ीक़त नहीं खुलती
इंसान के सच झूट की पहचान हैं आँखें

आँखें न झुकीं तेरी किसी ग़ैर के आगे
दुनिया में बड़ी चीज़ मिरी जान! हैं आँखें


4- तुम अपना रंज-ओ-ग़म अपनी परेशानी मुझे दे दो
तुम्हें ग़म की क़सम इस दिल की वीरानी मुझे दे दो

ये माना मैं किसी क़ाबिल नहीं हूँ इन निगाहों में
बुरा क्या है अगर ये दुख ये हैरानी मुझे दे दो

मैं देखूँ तो सही दुनिया तुम्हें कैसे सताती है
कोई दिन के लिए अपनी निगहबानी मुझे दे दो

वो दिल जो मैं ने माँगा था मगर ग़ैरों ने पाया है
बड़ी शय है अगर उस की पशेमानी मुझे दे दो


5- कभी ख़ुद पे कभी हालात पे रोना आया
बात निकली तो हर इक बात पे रोना आया

हम तो समझे थे कि हम भूल गए हैं उन को
क्या हुआ आज ये किस बात पे रोना आया

किस लिए जीते हैं हम किस के लिए जीते हैं
बारहा ऐसे सवालात पे रोना आया

कौन रोता है किसी और की ख़ातिर ऐ दोस्त
सब को अपनी ही किसी बात पे रोना आया




Read more

Top 20 most famous Shayari of Sahir Ludhianvi..

1- Tujhse pehle kitni baar,
Humne apne dil ko samjhaya hai.

2- Zindagi bhi kitni ajeeb hai,
Jo pal mein khatam ho jaati hai.

3- Chupke-chupke raat din aansu bahana yaad hai,
Teri mohabbat mein apna dil lagana yaad hai.

4- Main bhi Muhammad hoon, tum bhi Muhammad ho,
Dhoondhne ke baad kyun chhupte ho?

5- Aaj phir dil ne ek tamanna ki,
Aaj phir dil ne ek nai khushboo chhupa li.

6- Kabhi kabhi yunhi milna, kabhi kabhi yunhi chhupna,
Zindagi ko humne is tarah jeena hai.

7- Zindagi se khoobsurat kuch nahin,
Dil se dil milne ka waqt aur nai baat kuch nahin.

8- Jinhe naaz hai Hind par,
Woh kahan hain?

9- Dil ki raahon mein aisa koi jahaan nahin,
Chhup ke jeena bhi koi jeena nahin.

10- Hum agar na hote, toh tum bhi na hote,
Teri yaadon ke saath hum bhi na hote.

11- Agar tum na hote, toh zindagi mein kya hota,
Humne kabhi kisi ka intezaar kiya hi na hota.

12- Aaj phir jeene ki khwahish hai,
Aaj phir zindagi ko apnana hai.

13- Jo apni mohabbat ki dastaan sunaye,
Woh shayar hai, shayar hai.

14- Chhupke se zindagi ke raaz khud se khoya,
Duniya ki har baat pe muskuraya.

15- Agar hum tumhe dil se chahein,
Toh dil ki duniya mein tum hi ho.

16- Jinhein zindagi ki har khushi chahiye,
Unhe sab kuch apna kehna padta hai.

17- Yeh jo mohabbat hai, sirf ek paheli hai,
Agar hum samajh paaye, toh kuch bhi nahin.

18- Humein apni khushboo ke baare mein kisne bataya,
Teri khushboo se sab ne humara rishta samjha.

19- Waqt ki chadar par humse raaz chhupaye,
Dil ki baat ko sabne samjha aur jahaz bhi.

20- Kabhi bhi agar apni yaadon ko chhupana ho,
Tum bas mujhe apne dil se yeh rishta mat dena.
---------------------------------------------------
1- तुझसे पहले कितनी बार 
हमने अपने दिल को समझाया है।

2- ज़िंदगी भी कितनी अजीब है,
 जो पल में खत्म हो जाती है।

3- चुपके-चुपके रात दिन आँसू बहाना याद है,
तेरी मोहब्बत में अपना दिल लगाना याद है।

4- मैं भी मुहम्मद हूँ, तुम भी मुहम्मद हो,
ढूँढ़ने के बाद क्यों छुपते हो?

5- आज फिर दिल ने एक तमन्ना की,
आज फिर दिल ने एक नई खुशबू छुपा ली।

6- कभी कभी यूँही मिलना, कभी कभी यूँही छुपना,
ज़िंदगी को हमने इस तरह जीना है।

7- ज़िंदगी से खूबसूरत कुछ नहीं,
दिल से दिल मिलने का वक्त और नई बात कुछ नहीं।

8- जिन्हे नाज़ है हिंद पर, 
वो कहाँ हैं?

9- दिल की राहों में ऐसा कोई जहां नहीं,
छुप के जीना भी कोई जीना नहीं।

10- हम अगर न होते, तो तुम भी न होते,
तेरी यादों के साथ हम भी न होते।

11- अगर तुम न होते, तो ज़िंदगी में क्या होता,
हमने कभी किसी का इंतजार किया ही न होता।

12- आज फिर जीने की ख़्वाहिश है,
आज फिर ज़िंदगी को अपनाना है।

13- जो अपनी मोहब्बत की दास्तान सुनाए,
वो शायर है, शायर है।

14- छुपके से ज़िंदगी के राज़ खुद से खोया,
दुनिया की हर बात पे मुस्कुराया।

15- अगर हम तुम्हें दिल से चाहें,
तो दिल की दुनिया में तुम ही हो।

16- जिन्हें ज़िंदगी की हर खुशी चाहिए,
उन्हें सब कुछ अपना कहना पड़ता है।

17- ये जो मोहब्बत है, सिर्फ एक पहेली है,
अगर हम समझ पाए, तो कुछ भी नहीं।

18- हमें अपनी खुशबू के बारे में किसने बताया,
तेरी खुशबू से सब ने हमारा रिश्ता समझा।

19- वक्त की चादर पर हमसे राज़ छुपाए,
दिल की बात को सबने समझा और जहाज़ भी।

20- कभी भी अगर अपनी यादों को छुपाना हो,
तुम बस मुझे अपने दिल से ये रिश्ता मत देना।

Read more

milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi..

milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi

sharma ke munh na fer nazar ke sawaal par
laati hai aise mod pe qismat kabhi kabhi

khulte nahin hain roz dariche bahaar ke
aati hai jaan-e-man ye qayamat kabhi kabhi

tanhaa na kat sakenge jawaani ke raaste
pesh aayegi kisi ki zaroorat kabhi kabhi

phir kho na jaayen ham kahi duniya ki bheed mein
milti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi 
-------------------------------------
मिलती है ज़िंदगी में मोहब्बत कभी कभी
होती है दिलबरों की इनायत कभी कभी

शर्मा के मुँह न फेर नज़र के सवाल पर
लाती है ऐसे मोड़ पे क़िस्मत कभी कभी

खुलते नहीं हैं रोज़ दरीचे बहार के
आती है जान-ए-मन ये क़यामत कभी कभी

तन्हा न कट सकेंगे जवानी के रास्ते
पेश आएगी किसी की ज़रूरत कभी कभी

फिर खो न जाएँ हम कहीं दुनिया की भीड़ में
मिलती है पास आने की मोहलत कभी कभी
Read more

dekha hai zindagi ko kuchh itna qareeb se..

dekha hai zindagi ko kuchh itna qareeb se
chehre tamaam lagne lage hain ajeeb se

kehne ko dil ki baat jinhen dhoondte the ham
mehfil mein aa gaye hain vo apne naseeb se

neelaam ho raha tha kisi naazneen ka pyaar
qeemat nahin chukaai gai ik gareeb se

teri wafa ki laash pe la main hi daal doon
resham ka ye kafan jo mila hai raqeeb se 
--------------------------------------
देखा है ज़िंदगी को कुछ इतना क़रीब से
चेहरे तमाम लगने लगे हैं अजीब से

कहने को दिल की बात जिन्हें ढूँडते थे हम
महफ़िल में आ गए हैं वो अपने नसीब से

नीलाम हो रहा था किसी नाज़नीं का प्यार
क़ीमत नहीं चुकाई गई इक ग़रीब से

तेरी वफ़ा की लाश पे ला मैं ही डाल दूँ
रेशम का ये कफ़न जो मिला है रक़ीब से
Read more

bharka rahe hain aag lab-e-nagmaagar se ham..

bharka rahe hain aag lab-e-nagmaagar se ham
khaamosh kya rahenge zamaane ke dar se ham

kuchh aur badh gaye jo andhere to kya hua
mayus to nahin hain tuloo-e-sehr se ham

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham

maana ki is zameen ko na gulzaar kar sake
kuchh khaar kam to kar gaye guzre jidhar se ham 
--------------------------------------
भड़का रहे हैं आग लब-ए-नग़्मागर से हम
ख़ामोश क्या रहेंगे ज़माने के डर से हम

कुछ और बढ़ गए जो अँधेरे तो क्या हुआ
मायूस तो नहीं हैं तुलू-ए-सहर से हम

ले दे के अपने पास फ़क़त इक नज़र तो है
क्यूँ देखें ज़िंदगी को किसी की नज़र से हम

माना कि इस ज़मीं को न गुलज़ार कर सके
कुछ ख़ार कम तो कर गए गुज़रे जिधर से हम

Read more