1- Usne nazar nazar mein hi aise bhale sukhun kahe,
Maine to uske paon mein saara kalaam rakh diya.
2- Use 'Faraz,' agar dukh na tha bichhadne ka,
To kyun wo door talak dekhta raha mujhko.
3- Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon mein milein,
Jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein milein.
4- Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai,
Aur tujh se bichhad jaane ka dar bhi nahin jaata.
5- Main kya kahoon ke mujhe sabr kyun nahin aata,
Main kya karoon ke tujhe dekhne ki aadat hai.
6- Ek ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai,
Ae charagaro, dard badha kyun nahin dete.
7- Kaun taakon pe raha kaun sar-e-rahguzar,
Shehar ke saare charagon ko hawa jaanti hai.
8- Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain,
So uske shehar mein kuch din thahar ke dekhte hain.
9- Kis kis ko bataayenge judai ka sabab hum,
Tu mujh se khafa hai to zamaane ke liye aa.
10- Hum tere shauk mein yun khud ko ganwa baithe hain,
Jaise bachche kisi tyohaar mein gum ho jaayein.
11- Mujhe kehta hai jhoothi hain teri bekaar si baatein 'Faraz,'
Magar lagta hai wo meri unhi baaton pe marta hai.
12- Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui,
So abke dono hi chaalen badal ke dekhte hain.
13- Wo jis ghamand se bichhda gila to iska hai,
Ki saari baat mohabbat mein rakh-rakhav ki thi.
14- Mana ke mohabbat ka chhupana hai mohabbat,
Chupke se kisi roz jatane ke liye aa.
15- Abhi to jaag rahe hain charag raahon ke,
Abhi hai door seher, thodi door saath chalo.
16- Toota to hoon magar abhi bikhra nahin 'Faraz,'
Mere badan pe jaise shikaston ka jaal ho.
17- 'Faraz,' tark-e-taalluq to khair kya hoga,
Yahi bahut hai ke kam kam mila karo usse.
18- Munsif ho agar tum to kab insaaf karoge,
Mujrim hain agar hum to saza kyun nahin dete.
19- Abhi kuch aur karishme ghazal ke dekhte hain,
'Faraz,' ab zara lehja badal ke dekhte hain.
20- Jo zeher pee chuka hoon tumhi ne mujhe diya,
Ab tum to zindagi ki duaen mujhe na do.
----------------------------------------
1- उसने नज़र नज़र में ही ऐसे भले सुख़न कहे
मैंने तो उसके पाँव में सारा कलाम रख दिया
2- उसे 'फ़राज़' अगर दुख न था बिछड़ने का
तो क्यूँ वो दूर तलक देखता रहा मुझको
3- अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख़्वाबों में मिलें
जिस तरह सूखे हुए फूल किताबों में मिलें
4- दिल को तेरी चाहत पे भरोसा भी बहुत है
और तुझ से बिछड़ जाने का डर भी नहीं जाता
5- मैं क्या कहूँ के मुझे सब्र क्यूँ नहीं आता
मैं क्या करूँ के तुझे देखने की आदत है
6- इक ये भी तो अंदाज़-ए-इलाज-ए-ग़म-ए-जाँ है
ऐ चारागरो दर्द बढ़ा क्यूँ नहीं देते
7- कौन ताक़ों पे रहा कौन सर-ए-राहगुज़र
शहर के सारे चराग़ों को हवा जानती है
8- सुना है लोग उसे आँख भर के देखते हैं
सो उस के शहर में कुछ दिन ठहर के देखते हैं
9- किस किस को बताएँगे जुदाई का सबब हम
तू मुझ से ख़फ़ा है तो ज़माने के लिए आ
10- हम तिरे शौक़ में यूँ ख़ुद को गँवा बैठे हैं
जैसे बच्चे किसी त्यौहार में गुम हो जाएँ
11- मुझे कहता है झूठी हैं तेरी बेकार सी बातें फ़राज़
मगर लगता है वो मेरी उन्ही बातों पे मरता है
12- न तुझ को मात हुई है न मुझ को मात हुई
सो अबके दोनों ही चालें बदल के देखते हैं
13- वो जिस घमंड से बिछड़ा गिला तो इस का है
कि सारी बात मोहब्बत में रख-रखाव की थी
14- माना के मोहब्बत का छुपाना है मोहब्बत
चुपके से किसी रोज़ जताने के लिए आ
15- अभी तो जाग रहे हैं चराग़ राहों के
अभी है दूर सहर थोड़ी दूर साथ चलो
16- टूटा तो हूँ मगर अभी बिखरा नहीं 'फ़राज़'
मेरे बदन पे जैसे शिकस्तों का जाल हो
17- 'फ़राज़' तर्क-ए-तअल्लुक़ तो ख़ैर क्या होगा
यही बहुत है कि कम कम मिला करो उस से
18- मुन्सिफ़ हो अगर तुम तो कब इंसाफ़ करोगे
मुजरिम हैं अगर हम तो सज़ा क्यूँ नहीं देते
19- अभी कुछ और करिश्मे ग़ज़ल के देखते हैं
'फ़राज़' अब ज़रा लहजा बदल के देखते हैं
20- जो ज़हर पी चुका हूँ तुम्हीं ने मुझे दिया
अब तुम तो ज़िन्दगी की दुआएँ मुझे न दो