1. aankhon ke liye jashn ka paighaam to aaya..

aankhon ke liye jashn ka paighaam to aaya
taakheer se hi chaand lab-e-baam to aaya

us baagh mein ik phool khila mere liye bhi
khushboo kii kahaani mein mera naam to aaya

patjhad ka zamaana tha to ye bakht hamaara
sair-e-chaman-e-dil ko vo gulfaam to aaya

ud jaayega phir apni hawaon mein to kya gham
vo taa'ir-e-khush-rang tah-e-daam to aaya

har chand ki kam arsa-e-zebai mein thehra
har chehra-e-gul baagh ke kuchh kaam to aaya

shab se bhi guzar jaayenge gar teri raza ho
duraan-e-safar marhala-e-shaam to aaya 
---------------------------------------
आँखों के लिए जश्न का पैग़ाम तो आया
ताख़ीर से ही चाँद लब-ए-बाम तो आया

उस बाग़ में इक फूल खिला मेरे लिए भी
ख़ुशबू की कहानी में मेरा नाम तो आया

पतझड़ का ज़माना था तो ये बख़्त हमारा
सैर-ए-चमन-ए-दिल को वो गुलफ़ाम तो आया

उड़ जाएगा फिर अपनी हवाओं में तो क्या ग़म
वो ताइर-ए-ख़ुश-रंग तह-ए-दाम तो आया

हर चंद कि कम अरसा-ए-ज़ेबाई में ठहरा
हर चेहरा-ए-गुल बाग़ के कुछ काम तो आया

शब से भी गुज़र जाएँगे गर तेरी रज़ा हो
दौरान-ए-सफ़र मरहला-ए-शाम तो आया
Read more

2. malaal hai magar itna malaal thodi hai..

malaal hai magar itna malaal thodi hai
ye aankh rone kii shiddat se laal thodi hai

bas apne vaaste hi fikr-mand hain sab log
yahan kisi ko kisi ka khayal thodi hai

paron ko kaat diya hai udaan se pehle
ye khauf-e-hijr hai shauq-e-visaal thodi hai

maza to tab hai ki tum haar ke bhi hanste raho
hamesha jeet hi jaana kamaal thodi hai

lagaani padtii hai dubki ubharne se pehle
ghuroob hone ka matlab zawaal thodi hai 
------------------------------------
मलाल है मगर इतना मलाल थोड़ी है
ये आँख रोने की शिद्दत से लाल थोड़ी है

बस अपने वास्ते ही फ़िक्र-मंद हैं सब लोग
यहाँ किसी को किसी का ख़याल थोड़ी है

परों को काट दिया है उड़ान से पहले
ये ख़ौफ़-ए-हिज्र है शौक़-ए-विसाल थोड़ी है

मज़ा तो तब है कि तुम हार के भी हँसते रहो
हमेशा जीत ही जाना कमाल थोड़ी है

लगानी पड़ती है डुबकी उभरने से पहले
ग़ुरूब होने का मतलब ज़वाल थोड़ी है
Read more

3. Ab bhala chhod ke ghar kya karte..

ab bhala chhod ke ghar kya karte
shaam ke vaqt safar kya karte

Teri masrufiyaten jante hain
apne aane ki ḳhabar kya karte

jab sitare hi nahin mil paae
le ke ham shams-o-qamar kya karte

vo musafir hi khuli dhuup Ka tha
saae phaila ke shajar kya karte

ḳhaak hi avval o aḳhir Thahri
kar ke zarre ko guhar kya karte

raae pahle se bana li tu ne
dil men ab ham tire ghar kya karte

ishq ne saare saliqe baḳhshe
husn se kasb-e-hunar kya karte
--------------------------------
अब भला छोड़ के घर क्या करते
शाम के वक़्त सफ़र क्या करते

तेरी मशरूफ़ियतें जानते हैं
अपने आने की ख़बर क्या करते

जब सितारे ही नहीं मिल पाए
ले के हम शम्स-ओ-क़मर क्या करते

वो मुसाफ़िर ही खुली धूप का था
साए फैला के शजर क्या करते

ख़ाक ही अव्वल-ओ-आख़िर ठहरी
कर के ज़र्रे को गुहर क्या करते

राय पहले से बना ली तू ने
दिल में अब हम तेरे घर क्या करते

इश्क़ ने सारे सलीक़े बख़्शे
हुस्न से कस्ब-ए-हुनर क्या करते
Read more

4. Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya..

चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया
इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझ को निढाल कर दिया

ऐ मिरी गुल-ज़मीं तुझे चाह थी इक किताब की
अहल-ए-किताब ने मगर क्या तिरा हाल कर दिया

मिलते हुए दिलों के बीच और था फ़ैसला कोई
उस ने मगर बिछड़ते वक़्त और सवाल कर दिया

अब के हवा के साथ है दामन-ए-यार मुंतज़िर
बानू-ए-शब के हाथ में रखना सँभाल कर दिया

मुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी था
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया

मेरे लबों पे मोहर थी पर मेरे शीशा-रू ने तो
शहर के शहर को मिरा वाक़िफ़-ए-हाल कर दिया

चेहरा ओ नाम एक साथ आज न याद आ सके
वक़्त ने किस शबीह को ख़्वाब ओ ख़याल कर दिया

मुद्दतों बा'द उस ने आज मुझ से कोई गिला किया
मंसब-ए-दिलबरी पे क्या मुझ को बहाल कर दिया

--------------------------------------

Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya
Ishq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko NiDhaal Kar Diya

Ai Meri Gul-Zamiin Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab Ki
Ahl-E-Kitaab Ne Magar Kya Tera Haal Kar Diya

Milte Hue Dilon Ke Biich Aur Tha Faisla Koi
Us Ne Magar BichhaḌte Vaqt Aur Savaal Kar Diya

Ab Ke Havaa Ke Saath Hai Daaman-E-Yaar Muntazir
Baanu-E-Shab Ke Haath Mein Rakhna Sambhaal Kar Diya

Mumkina Faislon Mein Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha
Ham Ne To Ek Baat Ki Us Ne Kamaal Kar Diya

Mere Labon Pe Mohr Thi Par Mere Shisha-Ru Ne To
Shahr Ke Shahr Ko Mera Vaaqif-E-Haal Kar Diya

Chehra O Naam Ek Saath Aaj Na Yaad Aa Sake
Vaqt Ne Kis Shabih Ko Ḳhvaab O Ḳhayaal Kar Diya

Muddaton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gila Kiya
Mansab-E-Dilbari Pe Kya Mujh Ko Bahaal Kar Diya
Read more