1. Khayal jis ka tha mujhe ḳhayal men mila mujhe..

ḳhayal jis ka tha mujhe ḳhayal men mila mujhe
saval ka javab bhi saval men mila mujhe

gaya to is tarah gaya ki muddaton nahin mila
mila jo phir to yuun ki vo malal men mila mujhe

tamam ilm ziist Ka guzishtagan se hi hua
amal guzishta daur Ka misal men mila mujhe

nihal sabz rang men jamal jis ka hai 'munir'
Kisi qadim ḳhvab ke muhal men mila mujhe
------------------------------------------
ख़याल जिसका था मुझे ख़याल में मिला मुझे
सवाल का जवाब भी सवाल में मिला मुझे

गया तो इस तरह गया कि सदियों नहीं मिला
मिला जो फिर तो यूँ की वो मलाल में मिला मुझे

तमाम इल्म ज़ीस्त का गुज़िश्तगां से ही हुआ
अमल गुज़िश्ता दौर का मिसाल में मिला मुझे

निहाल सब्ज़ रंग में जमाल जिसका है 'मुनीर'
किसी क़दीम ख़्वाब के मुहाल में मिला मुझे

Read more

2. Aa gai yaad shaam Dhalte hi..

aa gai yaad shaam Dhalte hi
bujh gaya dil charagh jalte hi

khul gae shahr-e-gham ke darvaze
ik zara si hava ke chalte hi

kaun tha tu ki phir na dekha tujhe
miT gaya ḳhvab aankh malte hī

ḳhauf aata hai apne hi ghar se
mah-e-shab-tab ke nikalte hi

tu bhi jaise badal sa jaata hai
aks-e-divar ke badalte hi

ḳhuun sa lag gaya hai hāthon men
chaḌh gaya zahr gul masalte hi
---------------------------------
आ गई याद शाम ढलते ही
बुझ गया दिल चराग़ जलते ही

खुल गए शहर-ए-ग़म के दरवाज़े
एक ज़रा सी हवा के चलते ही

कौन था तू कि फिर न देखा तुझसे
मिट गया ख़्वाब आँख मलते ही

ख़ौफ़ आता है अपने ही घर से
माह-ए-शब-ताब के निकलते ही

तू भी जैसे बदल सा जाता है
अक्स-ए-दिवार के बदलते ही

ख़ून सा लग गया है हाथों में
चढ़ गया ज़हर गुल मसलते ही

Read more

3. Itne ḳhamosh bhi raha na karo..

Itne ḳhamosh bhi raha na karo
Gham judai men yuun kiya na karo

ḳhvab hote hain dekhne ke liye
un men ja kar magar raha na karo

kuchh na hoga gila bhi karne se
zalimon se gila kiya na karo

un se niklen hikayaten shayad
harf likh kar miTā diyā na karo

apne rutbe ka kuchh lihaz 'munīr'
yaar sab ko bana liya na karo
-------------------------------
इतने ख़ामोश भी रहा न करो
ग़म जुदाई में यूँ किया न करो

ख़्वाब होते हैं देखने के लिए
उन में जाकर मगर रहा न करो

कुछ न होगा गिला भी करने से
ज़ालिमों से गिला किया न करो

उन से निकलें हिकायतें शायद
हर्फ़ लिख कर मिटा दिया न करो

अपने रुतबे का कुछ लिहाज़ 'मुनीर'
यार सब को बना लिया न करो






Read more

4. hamesha der kar deta hoon main..

हमेशा देर कर देता हूं मैं 
ज़रूरी बात कहनी हो 
कोई वादा निभाना हो 
उसे आवाज़ देनी हो 
उसे वापस बुलाना हो 
हमेशा देर कर देता हूं मैं
 
मदद करनी हो उसकी 
यार का ढांढस बंधाना हो 
बहुत देरीना रास्तों पर 
किसी से मिलने जाना हो 
हमेशा देर कर देता हूं मैं 

बदलते मौसमों की सैर में 
दिल को लगाना हो 
किसी को याद रखना हो 
किसी को भूल जाना हो 
हमेशा देर कर देता हूं मैं 

किसी को मौत से पहले 
किसी ग़म से बचाना हो 
हक़ीक़त और थी कुछ 
उस को जा के ये बताना हो 
हमेशा देर कर देता हूं मैं 

---------------------------------------

Hamesha der kar deta hoon main
Jaruri baat kahni ho
Koi waada nibhana ho
Use awaaz deni ho
Use waapas bulana ho
Hamesha der kar deta hoon main
Hamesha der kar deta hoon main

Madat karni ho uski
Yaar ki dhadas bandhna ho
Bahot deri na rashto par
Kisi se milne jaana ho
Hamesha der kar deta hoon main
Hamesha der kar deta hoon main

Badalte maushmo ki sair mein
Dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho,
Kisi ko bhool jaana ho
Hamesha der kar deta hoon main
Hamesha der kar deta hoon main

Kisi ko maut se pahle
Kisi gham se bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch
Usko jaake ye batana ho
Hamesha der kar deta hoon main
Hamesha der kar deta hoon main
Read more