1. Zindagi ko na bana len vo saza mere baad..

zindagi ko na bana len vo saza mere baad
hausla dena unhen mere ḳhuda mere baad

kaun ghunghat ko uThaega sitamgar kah ke
aur phir kis se karenge vo haya mere baad

phir mohabbat ki zamane men na pursish hogi
roegi siskiyan le le ke vafa mere baad

haath uThte hue un ke na koi dekhega
kis ke aane ki karenge vo dua mere baad

kis qadar gham hai unhen mujh se bichhaḌ jaane ka
ho gae vo bhi zamane se juda mere baad

vo jo kahta tha ki 'nāsir' ke liye jiita huun
us ka kya janiye kya haal hua mere baad
------------------------------------------
ज़िंदगी को न बना लें वो सज़ा मेरे बाद  
हौसला देना उन्हें मेरे ख़ुदा मेरे बाद  

कौन घूँघट को उठाएगा सितमगर कह के  
और फिर किस से करेंगे वो हया मेरे बाद  

फिर मोहब्बत की ज़माने में न पुरसिश होगी  
रोएगी सिसकियाँ ले ले के वफ़ा मेरे बाद  

हाथ उठते हुए उनके न कोई देखेगा  
किसके आने की करेंगे वो दुआ मेरे बाद  

किस क़दर ग़म है उन्हें मुझसे बिछड़ जाने का  
हो गए वो भी ज़माने से जुदा मेरे बाद  

वो जो कहता था कि 'नासिर' के लिए जीता हूँ  
उसका क्या जानिए क्या हाल हुआ मेरे बाद  

Read more

2. Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai..

जब से तू ने मुझे दीवाना बना रक्खा है
संग हर शख़्स ने हाथों में उठा रक्खा है

उस के दिल पर भी कड़ी इश्क़ में गुज़री होगी
नाम जिस ने भी मोहब्बत का सज़ा रक्खा है

पत्थरो आज मिरे सर पे बरसते क्यूँ हो
मैं ने तुम को भी कभी अपना ख़ुदा रक्खा है

अब मिरी दीद की दुनिया भी तमाशाई है
तू ने क्या मुझ को मोहब्बत में बना रक्खा है

पी जा अय्याम की तल्ख़ी को भी हँस कर 'नासिर'
ग़म को सहने में भी क़ुदरत ने मज़ा रक्खा है
------------------------------------------
Jab se tu ne mujhe deewana bana rakha hai
Sang har shakhs ne haathon mein utha rakha hai

Us ke dil par bhi kadi ishq mein guzri hogi
Naam jis ne bhi mohabbat ka sazaa rakha hai

Pattharo aaj mere sar pe baraste kyun ho
Main ne tum ko bhi kabhi apna Khuda rakha hai

Ab meri deed ki duniya bhi tamashai hai
Tu ne kya mujh ko mohabbat mein bana rakha hai

Pee ja ayyaam ki talkhi ko bhi hans kar 'Nasir'
Gham ko sehne mein bhi qudrat ne mazaa rakha hai
Read more