1. Meri tanhai badhate hain chale jaate hain..

meri tanhai baḌhate hain chale jaate hain
hans talab pe aate hain chale jaate hain

is liye ab main Kisi ko nahin jaane deta
jo mujhe chhoḌ ke jaate hain chale jaate hain

meri ankhon se baha karti hai un ki ḳhushbu
raftagan ḳhvab men aate hain chale jaate hain

shadi-e-marg ka mahaul bana rahta hai
aap aate hain rulate hain chale jaate hain

kab tumhen ishq pe majbur kiya hai ham ne
ham to bas yaad dilate hain chale jaate hain

aap ko kaun tamasha.īi samajhta hai yahan
aap to aag lagate hain chale jaate hain

haath patthar ko baḌhaun to sagan-e-duniya
hairati ban ke dikhate hain chale jaate hain
----------------------------------------------
मेरी तन्हाई बढ़ाते हैं चले जाते हैं  
हँस तालाब पे आते हैं चले जाते हैं  

इसलिए अब मैं किसी को नहीं जाने देता  
जो मुझे छोड़ के जाते हैं चले जाते हैं  

मेरी आँखों से बहा करती है उनकी ख़ुशबू  
रफ्तगान ख़्वाब में आते हैं चले जाते हैं  

शादी-ए-मर्ग का माहौल बना रहता है  
आप आते हैं रुलाते हैं चले जाते हैं  

कब तुम्हें इश्क़ पे मजबूर किया है हम ने  
हम तो बस याद दिलाते हैं चले जाते हैं  

आप को कौन तमाशाई समझता है यहाँ  
आप तो आग लगाते हैं चले जाते हैं  

हाथ पत्थर को बढ़ाऊँ तो सगान-ए-दुनिया  
हैरती बन के दिखाते हैं चले जाते हैं

Read more

2. Hansne nahin deta kabhi rone nahin deta..

hansne nahin deta kabhi rone nahin deta
ye dil to koi kaam bhi hone nahin deta

tum maang rahe ho mire dil se miri ḳhvahish
bachcha to kabhi apne khilaune nahin deta

main aap uThata huun shab-o-roz Ki zillat
ye bojh kisi aur ko Dhone nahin deta

vo kaun hai us se to main vaqif bhi nahin huun
jo mujh ko kisi aur ka hone nahin deta
-----------------------------------------
हँसने नहीं देता कभी, रोने नहीं देता,
ये दिल तो कोई काम भी होने नहीं देता।

तुम माँग रहे हो मेरे दिल से मेरी ख़्वाहिश,
बच्चा तो कभी अपने खिलौने नहीं देता।

मैं आप उठाता हूँ, शब-ओ-रोज़ की जिल्लत,
ये बोझ किसी और को धोने नहीं देता।

वो कौन है, उससे तो मैं वाकिफ़ भी नहीं हूँ,
जो मुझको किसी और का होने नहीं देता।

Read more