bollywood poet

uthi nigaah to apne hi roo-b-roo ham the..

uthi nigaah to apne hi roo-b-roo ham the
zameen aaina-khaana thi chaar-soo ham the

dinon ke ba'ad achaanak tumhaara dhyaan aaya
khuda ka shukr ki us waqt ba-wazoo ham the

vo aaina to nahin tha par aaine sa tha
vo ham nahin the magar yaar hoo-b-hoo ham the

zameen pe ladte hue aasmaan ke narghe mein
kabhi kabhi koi dushman kabhu kabhu ham the

hamaara zikr bhi ab jurm ho gaya hai wahan
dinon ki baat hai mehfil ki aabroo ham the

khayal tha ki ye pathraav rok den chal kar
jo hosh aaya to dekha lahu lahu ham the
-------------------------------------
उठी निगाह तो अपने ही रू-ब-रू हम थे
ज़मीन आईना-ख़ाना थी चार-सू हम थे

दिनों के बा'द अचानक तुम्हारा ध्यान आया
ख़ुदा का शुक्र कि उस वक़्त बा-वज़ू हम थे

वो आईना तो नहीं था पर आईने सा था
वो हम नहीं थे मगर यार हू-ब-हू हम थे

ज़मीं पे लड़ते हुए आसमाँ के नर्ग़े में
कभी कभी कोई दुश्मन कभू कभू हम थे

हमारा ज़िक्र भी अब जुर्म हो गया है वहाँ
दिनों की बात है महफ़िल की आबरू हम थे

ख़याल था कि ये पथराव रोक दें चल कर
जो होश आया तो देखा लहू लहू हम थे
Read more

kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai main ne..

kaali raaton ko bhi rangeen kaha hai main ne
teri har baat pe aameen kaha hai main ne

teri dastaar pe tanqeed ki himmat to nahin
apni paa-posh ko qaaleen kaha hai main ne

maslahat kahiye use ya ki siyaasat kahiye
cheel kawwon ko bhi shaheen kaha hai main ne

zaa'iqe baarha aankhon mein maza dete hain
baaz chehron ko bhi namkeen kaha hai main ne

tu ne fan ki nahin shajre ki himayat ki hai
tere ezaaz ko tauheen kaha hai main ne
------------------------------------------
काली रातों को भी रंगीन कहा है मैं ने
तेरी हर बात पे आमीन कहा है मैं ने

तेरी दस्तार पे तन्क़ीद की हिम्मत तो नहीं
अपनी पा-पोश को क़ालीन कहा है मैं ने

मस्लहत कहिए उसे या कि सियासत कहिए
चील कव्वों को भी शाहीन कहा है मैं ने

ज़ाइक़े बारहा आँखों में मज़ा देते हैं
बाज़ चेहरों को भी नमकीन कहा है मैं ने

तू ने फ़न की नहीं शजरे की हिमायत की है
तेरे एज़ाज़ को तौहीन कहा है मैं ने
Read more

mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya..

mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya
ek paagal ne bahut logon ko paagal kar diya

apni palkon par saja kar mere aansu aap ne
raaste ki dhool ko aankhon ka kaajal kar diya

main ne dil de kar use ki thi wafa ki ibtida
us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya

ye hawaaein kab nigaahen fer len kis ko khabar
shohraton ka takht jab toota to paidal kar diya

devataaon aur khudaaon ki lagaaee aag ne
dekhte hi dekhte basti ko jungle kar diya

zakham ki soorat nazar aate hain chehron ke nuqoosh
ham ne aainon ko tahzeebon ka maqtal kar diya

shehar mein charcha hai aakhir aisi ladki kaun hai
jis ne achhe-khaase ik sha'ir ko paagal kar diya 
-------------------------------------------
मेरे अश्कों ने कई आँखों में जल-थल कर दिया
एक पागल ने बहुत लोगों को पागल कर दिया

अपनी पलकों पर सजा कर मेरे आँसू आप ने
रास्ते की धूल को आँखों का काजल कर दिया

मैं ने दिल दे कर उसे की थी वफ़ा की इब्तिदा
उस ने धोका दे के ये क़िस्सा मुकम्मल कर दिया

ये हवाएँ कब निगाहें फेर लें किस को ख़बर
शोहरतों का तख़्त जब टूटा तो पैदल कर दिया

देवताओं और ख़ुदाओं की लगाई आग ने
देखते ही देखते बस्ती को जंगल कर दिया

ज़ख़्म की सूरत नज़र आते हैं चेहरों के नुक़ूश
हम ने आईनों को तहज़ीबों का मक़्तल कर दिया

शहर में चर्चा है आख़िर ऐसी लड़की कौन है
जिस ने अच्छे-ख़ासे इक शाइ'र को पागल कर दिया
Read more

zindagi ko zakham ki lazzat se mat mahroom kar..

zindagi ko zakham ki lazzat se mat mahroom kar
raaste ke pattharon se khairiyat ma'aloom kar

toot kar bikhri hui talwaar ke tukde samet
aur apne haar jaane ka sabab ma'aloom kar

jaagti aankhon ke khwaabon ko ghazal ka naam de
raat bhar ki karvaton ka zaa'ika manzoom kar

shaam tak laut aaunga haathon ka khaali-pan liye
aaj phir nikla hoon main ghar se hatheli choom kar

mat sikha lehje ko apni barchiyon ke paintare
zinda rahna hai to lehje ko zara ma'soom kar 
------------------------------------------
ज़िंदगी को ज़ख़्म की लज़्ज़त से मत महरूम कर
रास्ते के पत्थरों से ख़ैरियत मा'लूम कर

टूट कर बिखरी हुई तलवार के टुकड़े समेट
और अपने हार जाने का सबब मा'लूम कर

जागती आँखों के ख़्वाबों को ग़ज़ल का नाम दे
रात भर की करवटों का ज़ाइक़ा मंज़ूम कर

शाम तक लौट आऊँगा हाथों का ख़ाली-पन लिए
आज फिर निकला हूँ मैं घर से हथेली चूम कर

मत सिखा लहजे को अपनी बर्छियों के पैंतरे
ज़िंदा रहना है तो लहजे को ज़रा मा'सूम कर
Read more

shehar kya dekhen ki har manzar mein jaale pad gaye..

shehar kya dekhen ki har manzar mein jaale pad gaye
aisi garmi hai ki peele phool kaale pad gaye

main andheron se bacha laaya tha apne-aap ko
mera dukh ye hai mere peeche ujaale pad gaye

jin zameenon ke qibaale hain mere purkhon ke naam
un zameenon par mere jeene ke laale pad gaye

taq mein baitha hua boodha kabootar ro diya
jis mein dera tha usi masjid mein taale pad gaye

koi waaris ho to aaye aur aa kar dekh le
zill-e-subhaani ki unchi chat mein jaale pad gaye 
-----------------------------------------
शहर क्या देखें कि हर मंज़र में जाले पड़ गए
ऐसी गर्मी है कि पीले फूल काले पड़ गए

मैं अँधेरों से बचा लाया था अपने-आप को
मेरा दुख ये है मिरे पीछे उजाले पड़ गए

जिन ज़मीनों के क़बाले हैं मिरे पुरखों के नाम
उन ज़मीनों पर मिरे जीने के लाले पड़ गए

ताक़ में बैठा हुआ बूढ़ा कबूतर रो दिया
जिस में डेरा था उसी मस्जिद में ताले पड़ गए

कोई वारिस हो तो आए और आ कर देख ले
ज़िल्ल-ए-सुब्हानी की ऊँची छत में जाले पड़ गए
Read more

bair duniya se qabeele se ladai lete..

bair duniya se qabeele se ladai lete
ek sach ke liye kis kis se buraai lete

aable apne hi angaaron ke taaza hain abhi
log kyun aag hatheli pe paraai lete

barf ki tarah december ka safar hota hai
ham use saath na lete to razaai lete

kitna maanoos sa hamdardon ka ye dard raha
ishq kuchh rog nahin tha jo davaai lete

chaand raaton mein hamein dasta hai din mein suraj
sharm aati hai andheron se kamaai lete

tum ne jo tod diye khwaab ham un ke badle
koi qeemat kabhi lete to khudaai lete 
--------------------------------------
बैर दुनिया से क़बीले से लड़ाई लेते
एक सच के लिए किस किस से बुराई लेते

आबले अपने ही अँगारों के ताज़ा हैं अभी
लोग क्यूँ आग हथेली पे पराई लेते

बर्फ़ की तरह दिसम्बर का सफ़र होता है
हम उसे साथ न लेते तो रज़ाई लेते

कितना मानूस सा हमदर्दों का ये दर्द रहा
इश्क़ कुछ रोग नहीं था जो दवाई लेते

चाँद रातों में हमें डसता है दिन में सूरज
शर्म आती है अँधेरों से कमाई लेते

तुम ने जो तोड़ दिए ख़्वाब हम उन के बदले
कोई क़ीमत कभी लेते तो ख़ुदाई लेते
Read more

sirf sach aur jhooth ki mizaan mein rakhe rahe..

sirf sach aur jhooth ki mizaan mein rakhe rahe
ham bahadur the magar maidaan mein rakhe rahe

jugnuon ne phir andheron se ladai jeet li
chaand suraj ghar ke raushan-daan mein rakhe rahe

dheere dheere saari kirnen khud-kushi karne lagin
ham sahifa the magar juzdaan mein rakhe rahe

band kamre khol kar sacchaaiyaan rahne lagin
khwaab kacchi dhoop the daalaan mein rakhe rahe

sirf itna fasla hai zindagi se maut ka
shaakh se tode gaye gul-daan mein rakhe rahe

zindagi bhar apni goongi dhadkano ke saath saath
ham bhi ghar ke qeemti samaan mein rakhe rahe 
------------------------------------------
सिर्फ़ सच और झूट की मीज़ान में रक्खे रहे
हम बहादुर थे मगर मैदान में रक्खे रहे

जुगनुओं ने फिर अँधेरों से लड़ाई जीत ली
चाँद सूरज घर के रौशन-दान में रक्खे रहे

धीरे धीरे सारी किरनें ख़ुद-कुशी करने लगीं
हम सहीफ़ा थे मगर जुज़्दान में रक्खे रहे

बंद कमरे खोल कर सच्चाइयाँ रहने लगीं
ख़्वाब कच्ची धूप थे दालान में रक्खे रहे

सिर्फ़ इतना फ़ासला है ज़िंदगी से मौत का
शाख़ से तोड़े गए गुल-दान में रक्खे रहे

ज़िंदगी भर अपनी गूँगी धड़कनों के साथ साथ
हम भी घर के क़ीमती सामान में रक्खे रहे
Read more

jo mansabon ke pujaari pahan ke aate hain..

jo mansabon ke pujaari pahan ke aate hain
kulaah tauq se bhari pahan ke aate hain

ameer-e-shahr tiri tarah qeemti poshaak
meri gali mein bhikaari pahan ke aate hain

yahi aqeeq the shahon ke taaj ki zeenat
jo ungliyon mein madari pahan ke aate hain

hamaare jism ke daaghoon pe tabsira karne
qameesen log hamaari pahan ke aate hain

ibaadaton ka tahaffuz bhi un ke zimme hai
jo masjidoon mein safari pahan ke aate hain 
----------------------------------------
जो मंसबों के पुजारी पहन के आते हैं
कुलाह तौक़ से भारी पहन के आते हैं

अमीर-ए-शहर तिरी तरह क़ीमती पोशाक
मिरी गली में भिकारी पहन के आते हैं

यही अक़ीक़ थे शाहों के ताज की ज़ीनत
जो उँगलियों में मदारी पहन के आते हैं

हमारे जिस्म के दाग़ों पे तब्सिरा करने
क़मीसें लोग हमारी पहन के आते हैं

इबादतों का तहफ़्फ़ुज़ भी उन के ज़िम्मे है
जो मस्जिदों में सफ़ारी पहन के आते हैं
Read more

shajar hain ab samar-aasaar mere..

shajar hain ab samar-aasaar mere
chale aate hain daavedaar mere

muhaajir hain na ab ansaar mere
mukhalif hain bahut is baar mere

yahan ik boond ka muhtaaj hoon main
samundar hain samundar paar mere

abhi murdon mein roohen phoonk daalen
agar chahein to ye beemaar mere

hawaaein odh kar soya tha dushman
gaye bekar saare vaar mere

main aa kar dushmanon mein bas gaya hoon
yahan hamdard hain do-chaar mere

hasi mein taal dena tha mujhe bhi
khata kyun ho gaye sarkaar mere

tasavvur mein na jaane kaun aaya
mahak utthe dar-o-deewar mere

tumhaara naam duniya jaanti hai
bahut rusva hain ab ashaar mere

bhanwar mein ruk gai hai naav meri
kinaare rah gaye is paar mere

main khud apni hifazat kar raha hoon
abhi soye hain pahre-daar mere 
-----------------------------------
शजर हैं अब समर-आसार मेरे
चले आते हैं दावेदार मेरे

मुहाजिर हैं न अब अंसार मेरे
मुख़ालिफ़ हैं बहुत इस बार मेरे

यहाँ इक बूँद का मुहताज हूँ मैं
समुंदर हैं समुंदर पार मेरे

अभी मुर्दों में रूहें फूँक डालें
अगर चाहें तो ये बीमार मेरे

हवाएँ ओढ़ कर सोया था दुश्मन
गए बेकार सारे वार मेरे

मैं आ कर दुश्मनों में बस गया हूँ
यहाँ हमदर्द हैं दो-चार मेरे

हँसी में टाल देना था मुझे भी
ख़ता क्यूँ हो गए सरकार मेरे

तसव्वुर में न जाने कौन आया
महक उट्ठे दर-ओ-दीवार मेरे

तुम्हारा नाम दुनिया जानती है
बहुत रुस्वा हैं अब अशआर मेरे

भँवर में रुक गई है नाव मेरी
किनारे रह गए इस पार मेरे

मैं ख़ुद अपनी हिफ़ाज़त कर रहा हूँ
अभी सोए हैं पहरे-दार मेरे
Read more

jab kabhi phoolon ne khushboo ki tijaarat ki hai..

jab kabhi phoolon ne khushboo ki tijaarat ki hai
patti patti ne hawaon se shikaayat ki hai

yun laga jaise koi itr fazaa mein ghul jaaye
jab kisi bacche ne quraan ki tilaavat ki hai

jaa-namaazon ki tarah noor mein ujlaai sehar
raat bhar jaise farishton ne ibadat ki hai

sar uthaaye theen bahut surkh hawa mein phir bhi
ham ne palkon ke charaagon ki hifazat ki hai

mujhe toofaan-e-haawadis se daraane waalo
haadson ne to mere haath pe bai't ki hai

aaj ik daana-e-gandum ke bhi haqdaar nahin
ham ne sadiyon inheen kheton pe hukoomat ki hai

ye zaroori tha ki ham dekhte qilon ke jalaal
umr bhar ham ne mazaaron ki ziyaarat ki hai
---------------------------------------
जब कभी फूलों ने ख़ुश्बू की तिजारत की है
पत्ती पत्ती ने हवाओं से शिकायत की है

यूँ लगा जैसे कोई इत्र फ़ज़ा में घुल जाए
जब किसी बच्चे ने क़ुरआँ की तिलावत की है

जा-नमाज़ों की तरह नूर में उज्लाई सहर
रात भर जैसे फ़रिश्तों ने इबादत की है

सर उठाए थीं बहुत सुर्ख़ हवा में फिर भी
हम ने पलकों के चराग़ों की हिफ़ाज़त की है

मुझे तूफ़ान-ए-हवादिस से डराने वालो
हादसों ने तो मिरे हाथ पे बैअ'त की है

आज इक दाना-ए-गंदुम के भी हक़दार नहीं
हम ने सदियों इन्हीं खेतों पे हुकूमत की है

ये ज़रूरी था कि हम देखते क़िलओं' के जलाल
उम्र भर हम ने मज़ारों की ज़ियारत की है
Read more