urdu poet

Tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost..

tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost
tu meri pehli mohabbat thi meri aakhiri dost

log har baat ka afsaana bana dete hain
ye to duniya hai meri jaan kai dushman kai dost

tere qamat se bhi lipti hai amar-bel koi
meri chaahat ko bhi duniya ki nazar kha gai dost

yaad aayi hai to phir toot ke yaad aayi hai
koi guzri hui manzil koi bhooli hui dost

ab bhi aaye ho to ehsaan tumhaara lekin
vo qayamat jo guzarni thi guzar bhi gai dost

tere lehje ki thakan mein tira dil shaamil hai
aisa lagta hai judaai ki ghadi aa gai dost

baarish-e-sang ka mausam hai mere shehar mein to
tu ye sheeshe sa badan le ke kahaan aa gai dost

main use ahd-shikan kaise samajh luun jis ne
aakhiri khat mein ye likkha tha faqat aap ki dost
----------------------------------------
तुझ से मिल कर तो ये लगता है कि ऐ अजनबी दोस्त
तू मिरी पहली मोहब्बत थी मिरी आख़िरी दोस्त

लोग हर बात का अफ़्साना बना देते हैं
ये तो दुनिया है मिरी जाँ कई दुश्मन कई दोस्त

तेरे क़ामत से भी लिपटी है अमर-बेल कोई
मेरी चाहत को भी दुनिया की नज़र खा गई दोस्त

याद आई है तो फिर टूट के याद आई है
कोई गुज़री हुई मंज़िल कोई भूली हुई दोस्त

अब भी आए हो तो एहसान तुम्हारा लेकिन
वो क़यामत जो गुज़रनी थी गुज़र भी गई दोस्त

तेरे लहजे की थकन में तिरा दिल शामिल है
ऐसा लगता है जुदाई की घड़ी आ गई दोस्त

बारिश-ए-संग का मौसम है मिरे शहर में तो
तू ये शीशे सा बदन ले के कहाँ आ गई दोस्त

मैं उसे अहद-शिकन कैसे समझ लूँ जिस ने
आख़िरी ख़त में ये लिक्खा था फ़क़त आप की दोस्त

Read more

Saaqiya ek nazar jaam se pehle pehle..

saaqiya ek nazar jaam se pehle pehle
ham ko jaana hai kahi shaam se pehle pehle

nau-giraftaar-e-wafa saee-e-rihaaee hai abas
ham bhi uljhe the bahut daam se pehle pehle

khush ho ai dil ki mohabbat to nibha di tu ne
log ujad jaate hain anjaam se pehle pehle

ab tire zikr pe ham baat badal dete hain
kitni raghbat thi tire naam se pehle pehle

saamne umr padi hai shab-e-tanhaai ki
vo mujhe chhod gaya shaam se pehle pehle

kitna achha tha ki ham bhi jiya karte the faraaz
ghair-maaruf se gumnaam se pehle pehle
---------------------------------------
साक़िया एक नज़र जाम से पहले पहले
हम को जाना है कहीं शाम से पहले पहले

नौ-गिरफ़्तार-ए-वफ़ा सई-ए-रिहाई है अबस
हम भी उलझे थे बहुत दाम से पहले पहले

ख़ुश हो ऐ दिल कि मोहब्बत तो निभा दी तू ने
लोग उजड़ जाते हैं अंजाम से पहले पहले

अब तिरे ज़िक्र पे हम बात बदल देते हैं
कितनी रग़बत थी तिरे नाम से पहले पहले

सामने उम्र पड़ी है शब-ए-तन्हाई की
वो मुझे छोड़ गया शाम से पहले पहले

कितना अच्छा था कि हम भी जिया करते थे 'फ़राज़'
ग़ैर-मारूफ़ से गुमनाम से पहले पहले
Read more

Juz tire koi bhi din raat na jaane mere..

juz tire koi bhi din raat na jaane mere
tu kahaan hai magar ai dost purane mere

tu bhi khushboo hai magar mera tajassus bekar
barg-e-aawara ki maanind thikaane mere

sham'a ki lau thi ki vo tu tha magar hijr ki raat
der tak rota raha koi sirhaane mere

khalk ki be-khabri hai ki meri ruswaai
log mujh ko hi sunaate hain fasaane mere

loot ke bhi khush hoon ki ashkon se bhara hai daaman
dekh ghaarat-gar-e-dil ye bhi khazaane mere

aaj ik aur baras beet gaya us ke baghair
jis ke hote hue hote the zamaane mere

kaash tu bhi meri awaaz kahi sunta ho
phir pukaara hai tujhe dil ki sada ne mere

kaash tu bhi kabhi aa jaaye masihaai ko
log aate hain bahut dil ko dukhaane mere

kaash auron ki tarah main bhi kabhi kah saka
baat sun li hai meri aaj khuda ne mere

tu hai kis haal mein ai zood-faramosh mere
mujh ko to cheen liya ahad-e-wafaa ne mere

chaaragar yun to bahut hain magar ai jaan-e-'faraz
juz tire aur koi zakham na jaane mere 
--------------------------------------
जुज़ तिरे कोई भी दिन रात न जाने मेरे
तू कहाँ है मगर ऐ दोस्त पुराने मेरे

तू भी ख़ुशबू है मगर मेरा तजस्सुस बेकार
बर्ग-ए-आवारा की मानिंद ठिकाने मेरे

शम्अ की लौ थी कि वो तू था मगर हिज्र की रात
देर तक रोता रहा कोई सिरहाने मेरे

ख़ल्क़ की बे-ख़बरी है कि मिरी रुस्वाई
लोग मुझ को ही सुनाते हैं फ़साने मेरे

लुट के भी ख़ुश हूँ कि अश्कों से भरा है दामन
देख ग़ारत-गर-ए-दिल ये भी ख़ज़ाने मेरे

आज इक और बरस बीत गया उस के बग़ैर
जिस के होते हुए होते थे ज़माने मेरे

काश तू भी मेरी आवाज़ कहीं सुनता हो
फिर पुकारा है तुझे दिल की सदा ने मेरे

काश तू भी कभी आ जाए मसीहाई को
लोग आते हैं बहुत दिल को दुखाने मेरे

काश औरों की तरह मैं भी कभी कह सकता
बात सुन ली है मिरी आज ख़ुदा ने मेरे

तू है किस हाल में ऐ ज़ूद-फ़रामोश मिरे
मुझ को तो छीन लिया अहद-ए-वफ़ा ने मेरे

चारागर यूँ तो बहुत हैं मगर ऐ जान-ए-'फ़राज़'
जुज़ तिरे और कोई ज़ख़्म न जाने मेरे
Read more

Khaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete..

khaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete
bismil ho to qaateel ko dua kyun nahin dete

vehshat ka sabab rauzan-e-zindaan to nahin hai
mehr o mah o anjum ko bujha kyun nahin dete

ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
ai chaaragaro dard badha kyun nahin dete

munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
mujrim hain agar ham to saza kyun nahin dete

rehzan ho to haazir hai mata-e-dil-o-jaan bhi
rahbar ho to manzil ka pata kyun nahin dete

kya beet gai ab ke faraaz ahl-e-chaman par
yaaraan-e-qafas mujh ko sada kyun nahin dete 
------------------------------------
ख़ामोश हो क्यूँ दाद-ए-जफ़ा क्यूँ नहीं देते
बिस्मिल हो तो क़ातिल को दुआ क्यूँ नहीं देते

वहशत का सबब रौज़न-ए-ज़िंदाँ तो नहीं है
मेहर ओ मह ओ अंजुम को बुझा क्यूँ नहीं देते

इक ये भी तो अंदाज़-ए-इलाज-ए-ग़म-ए-जाँ है
ऐ चारागरो दर्द बढ़ा क्यूँ नहीं देते

मुंसिफ़ हो अगर तुम तो कब इंसाफ़ करोगे
मुजरिम हैं अगर हम तो सज़ा क्यूँ नहीं देते

रहज़न हो तो हाज़िर है मता-ए-दिल-ओ-जाँ भी
रहबर हो तो मंज़िल का पता क्यूँ नहीं देते

क्या बीत गई अब के 'फ़राज़' अहल-ए-चमन पर
यारान-ए-क़फ़स मुझ को सदा क्यूँ नहीं देते
Read more

Phir usi rahguzar par shaayad..

phir usi rahguzar par shaayad
ham kabhi mil saken magar shaayad

jin ke ham muntazir rahe un ko
mil gaye aur hum-safar shaayad

jaan-pahchaan se bhi kya hoga
phir bhi ai dost ghaur kar shaayad

ajnabbiyyat ki dhund chhat jaaye
chamak utthe tiri nazar shaayad

zindagi bhar lahu rulaayegi
yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad

jo bhi bichhde vo kab mile hain faraaz
phir bhi tu intizaar kar shaayad
----------------------------
फिर उसी रहगुज़ार पर शायद
हम कभी मिल सकें मगर शायद

जिन के हम मुंतज़िर रहे उन को
मिल गए और हम-सफ़र शायद

जान-पहचान से भी क्या होगा
फिर भी ऐ दोस्त ग़ौर कर शायद

अज्नबिय्यत की धुँद छट जाए
चमक उठ्ठे तिरी नज़र शायद

ज़िंदगी भर लहू रुलाएगी
याद-ए-यारान-ए-बे-ख़बर शायद

जो भी बिछड़े वो कब मिले हैं 'फ़राज़'
फिर भी तू इंतिज़ार कर शायद
Read more

Aise chup hain ki ye manzil bhi kaddi ho jaise..

aise chup hain ki ye manzil bhi kaddi ho jaise
tera milna bhi judaai ki ghadi ho jaise

apne hi saaye se har gaam larz jaata hoon
raaste mein koi deewaar khadi ho jaise

kitne naadaan hain tire bhoolne waale ki tujhe
yaad karne ke liye umr padi ho jaise

tere maathe ki shikan pehle bhi dekhi thi magar
ye girah ab ke mere dil mein padi ho jaise

manzilen door bhi hain manzilen nazdeek bhi hain
apne hi paanv mein zanjeer padi ho jaise

aaj dil khol ke roye hain to yun khush hain faraaz
chand lamhon ki ye raahat bhi badi ho jaise
----------------------------------------
ऐसे चुप हैं कि ये मंज़िल भी कड़ी हो जैसे
तेरा मिलना भी जुदाई की घड़ी हो जैसे

अपने ही साए से हर गाम लरज़ जाता हूँ
रास्ते में कोई दीवार खड़ी हो जैसे

कितने नादाँ हैं तिरे भूलने वाले कि तुझे
याद करने के लिए उम्र पड़ी हो जैसे

तेरे माथे की शिकन पहले भी देखी थी मगर
ये गिरह अब के मिरे दिल में पड़ी हो जैसे

मंज़िलें दूर भी हैं मंज़िलें नज़दीक भी हैं
अपने ही पाँव में ज़ंजीर पड़ी हो जैसे

आज दिल खोल के रोए हैं तो यूँ ख़ुश हैं 'फ़राज़'
चंद लम्हों की ये राहत भी बड़ी हो जैसे
Read more

barson ke baad dekha ik shakhs dilruba sa..

barson ke baad dekha ik shakhs dilruba sa
ab zehan mein nahin hai par naam tha bhala sa

abroo khinche khinche se aankhen jhuki jhuki si
baatein ruki ruki si lahja thaka thaka sa

alfaaz the ki jugnoo awaaz ke safar mein
ban jaaye junglon mein jis tarah raasta sa

khwaabon mein khwaab uske yaadon mein yaad uski
neendon mein khul gaya ho jaise ki ratjaga sa

pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein
woh har tarah se lekin auron se tha juda sa

kuchh ye ki muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar mein khula tha ahbaab ka dilaasa

phir yun hua ki saawan aankhon mein aa base the
phir yun hua ki jaise dil bhi tha aablaa sa

ab sach kahein to yaaron hamko khabar nahin thi
ban jaayega qayamat ik waqia zara sa

tevar the be-rukhi ke andaaz dosti ke
woh ajnabi tha lekin lagta tha aashnaa sa

ham dasht the ki dariya ham zahar the ki amrit
na-haq tha zoom hamko jab vo nahin tha pyaasa

hamne bhi usko dekha kal shaam ittefaqan
apna bhi haal hai ab logon faraaz ka sa
-------------------------------------
बरसों के बाद देखा इक शख़्स दिलरुबा सा
अब ज़ेहन में नहीं है पर नाम था भला सा

अबरू खिंचे खिंचे से आँखें झुकी झुकी सी
बातें रुकी रुकी सी लहजा थका थका सा

अल्फ़ाज़ थे कि जुगनू आवाज़ के सफ़र में
बन जाए जंगलों में जिस तरह रास्ता सा

ख़्वाबों में ख़्वाब उसके यादों में याद उसकी
नींदों में खुल गया हो जैसे कि रतजगा सा

पहले भी लोग आए कितने ही ज़िंदगी में
वह हर तरह से लेकिन औरों से था जुदा सा

कुछ ये कि मुद्दतों से हम भी नहीं थे रोए
कुछ ज़हर में खुला था अहबाब का दिलासा

फिर यूँ हुआ कि सावन आँखों में आ बसे थे
फिर यूँ हुआ कि जैसे दिल भी था आबला सा

अब सच कहें तो यारों हमको ख़बर नहीं थी
बन जाएगा क़यामत इक वाक़िआ ज़रा सा

तेवर थे बे-रुख़ी के अंदाज़ दोस्ती के
वह अजनबी था लेकिन लगता था आशना सा

हम दश्त थे कि दरिया हम ज़हर थे कि अमृत
ना-हक़ था ज़ोम हमको जब वो नहीं था प्यासा

हमने भी उसको देखा कल शाम इत्तेफ़ाक़न
अपना भी हाल है अब लोगों फ़राज़ का सा
Read more

kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom..

kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin maaloom
haath utha liye sabne aur dua nahin maaloom

mausamon ke chehron se zardiyaan nahin jaati
phool kyun nahin lagte khush-numa nahin maaloom

rahbaro'n ke tevar bhi rahzano se lagte hain
kab kahaan pe loot jaaye qaafila nahin maaloom

sarv to gai rut mein qaamaten ganwa baithe
qumariyaan hui kaise be-sada nahin maaloom

aaj sabko daava hai apni apni chaahat ka
kaun kis se hota hai kal juda nahin maaloom

manzaron kii tabdeeli bas nazar mein rahti hai
ham bhi hote jaate hain kya se kya nahin maaloom

ham faraaz sheron se dil ke zakhm bharte hain
kya karein maseeha ko jab dava nahin maaloom
----------------------------------------------
किस तरफ़ को चलती है अब हवा नहीं मालूम
हाथ उठा लिए सबने और दुआ नहीं मालूम

मौसमों के चेहरों से ज़र्दियाँ नहीं जाती
फूल क्यूँ नहीं लगते ख़ुश-नुमा नहीं मालूम

रहबरों के तेवर भी रहज़नों से लगते हैं
कब कहाँ पे लुट जाए क़ाफ़िला नहीं मालूम

सर्व तो गई रुत में क़ामतें गँवा बैठे
क़ुमरियाँ हुईं कैसे बे-सदा नहीं मालूम

आज सबको दावा है अपनी अपनी चाहत का
कौन किस से होता है कल जुदा नहीं मालूम

मंज़रों की तब्दीली बस नज़र में रहती है
हम भी होते जाते हैं क्या से क्या नहीं मालूम

हम 'फ़राज़' शेरों से दिल के ज़ख़्म भरते हैं
क्या करें मसीहा को जब दवा नहीं मालूम
Read more

Jab dukh ki nadiya mein ham ne..

jab dukh ki nadiya mein ham ne
jeevan ki naav daali thi
tha kitna kas-bal baanhon mein
lohoo mein kitni laali thi
yun lagta tha do haath lage
aur naav puram paar lagi
aisa na hua har dhaare mein
kuchh an-dekhi manzdharein theen
kuchh maanjhi the anjaan bahut
kuchh be-parkhi patwaarein theen
ab jo bhi chaaho chaan karo
ab jitne chaaho dosh dharo
nadiya to wahi hai naav wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
ab kaise paar utarna hai
jab apni chaati mein ham ne
is des ke ghaav dekhe the
tha vedon par vishvaash bahut
aur yaad bahut se nuskhe the
yun lagta tha bas kuchh din mein
saari bipata kat jaayegi
aur sab ghaav bhar jaayenge
aisa na hua ki rog apne
kuchh itne dher purane the
ved in ki toh ko pa na sake
aur totke sab be-kaar gaye
ab jo bhi chaaho chaan karo
ab jitne chaaho dosh dharo
chaati to wahi hai ghaav wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
ye ghaav kaise bharna hai
-----------------------------
जब दुख की नदिया में हम ने
जीवन की नाव डाली थी
था कितना कस-बल बाँहों में
लोहू में कितनी लाली थी
यूँ लगता था दो हाथ लगे
और नाव पूरम पार लगी
ऐसा न हुआ, हर धारे में
कुछ अन-देखी मंजधारें थीं
कुछ माँझी थे अंजान बहुत
कुछ बे-परखी पतवारें थीं
अब जो भी चाहो छान करो
अब जितने चाहो दोश धरो
नदिया तो वही है, नाव वही
अब तुम ही कहो क्या करना है
अब कैसे पार उतरना है
जब अपनी छाती में हम ने
इस देस के घाव देखे थे
था वेदों पर विश्वाश बहुत
और याद बहुत से नुस्ख़े थे
यूँ लगता था बस कुछ दिन में
सारी बिपता कट जाएगी
और सब घाव भर जाएँगे
ऐसा न हुआ कि रोग अपने
कुछ इतने ढेर पुराने थे
वेद इन की टोह को पा न सके
और टोटके सब बे-कार गए
अब जो भी चाहो छान करो
अब जितने चाहो दोश धरो
छाती तो वही है, घाव वही
अब तुम ही कहो क्या करना है
ये घाव कैसे भरना है
Read more

Vo jis ki deed mein laakhon masarratein pinhaan..

vo jis ki deed mein laakhon masarratein pinhaan
vo husn jis ki tamannaa mein jannaten pinhaan
hazaar fitne tah-e-pa-e-naaz khaak-nasheen
har ik nigaah khumaar-e-shabaab se rangeen
shabaab jis se takhayyul pe bijliyaan barse
vaqaar jis ki rafaqat ko shokhiyaan tarsen
ada-e-laghzish-e-pa par qayaamaatein qurbaan
bayaaz-rukh pe sehar ki sabahtein qurbaan
siyaah zulfon mein waarfta nikhaton ka hujoom
taveel raaton ki khwaabida raahaton ka hujoom
vo aankh jis ke banaav p khaaliq itraaye
zabaan-e-sher ko taarif karte sharm aaye
vo hont faiz se jin ke bahaar laala-farosh
behisht o kausar o tasneem o salsabeel b-dosh
gudaaz jism qaba jis pe saj ke naaz kare
daraaz qad jise sarv-e-sahi namaaz kare
garz vo husn jo mohtaaj-e-wasf-o-naam nahin
vo hasan jis ka tasavvur bashar ka kaam nahin
kisi zamaane mein is rah-guzar se guzra tha
b-sad ghuroor o tajammul idhar se guzra tha
aur ab ye raah-guzar bhi hai dil-fareb o haseen
hai is ki khaak mein kaif-e-sharaab-o-sheer makeen
hawa mein shokhi-e-raftaar ki adaayein hain
fazaa mein narmi-e-guftaar ki sadaaein hain
garz vo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai
niyaaz-e-ishq ko ik sajda-gah mayassar hai
-------------------------------------
वो जिस की दीद में लाखों मसर्रतें पिन्हाँ
वो हुस्न जिस की तमन्ना में जन्नतें पिन्हाँ
हज़ार फ़ित्ने तह-ए-पा-ए-नाज़ ख़ाक-नशीं
हर इक निगाह ख़ुमार-ए-शबाब से रंगीं
शबाब जिस से तख़य्युल पे बिजलियाँ बरसें
वक़ार जिस की रफ़ाक़त को शोख़ियाँ तरसें
अदा-ए-लग़्ज़िश-ए-पा पर क़यामतें क़ुर्बां
बयाज़-रुख़ पे सहर की सबाहतें क़ुर्बां
सियाह ज़ुल्फ़ों में वारफ़्ता निकहतों का हुजूम
तवील रातों की ख़्वाबीदा राहतों का हुजूम
वो आँख जिस के बनाव प ख़ालिक़ इतराए
ज़बान-ए-शेर को तारीफ़ करते शर्म आए
वो होंट फ़ैज़ से जिन के बहार लाला-फ़रोश
बहिश्त ओ कौसर ओ तसनीम ओ सलसबील ब-दोश
गुदाज़ जिस्म क़बा जिस पे सज के नाज़ करे
दराज़ क़द जिसे सर्व-ए-सही नमाज़ करे
ग़रज़ वो हुस्न जो मोहताज-ए-वस्फ़-ओ-नाम नहीं
वो हसन जिस का तसव्वुर बशर का काम नहीं
किसी ज़माने में इस रह-गुज़र से गुज़रा था
ब-सद ग़ुरूर ओ तजम्मुल इधर से गुज़रा था
और अब ये राह-गुज़र भी है दिल-फ़रेब ओ हसीं
है इस की ख़ाक में कैफ़-ए-शराब-ओ-शेर मकीं
हवा में शोख़ी-ए-रफ़्तार की अदाएँ हैं
फ़ज़ा में नर्मी-ए-गुफ़्तार की सदाएँ हैं
ग़रज़ वो हुस्न अब इस रह का जुज़्व-ए-मंज़र है
नियाज़-ए-इश्क़ को इक सज्दा-गह मयस्सर है
Read more