yaar to uske saalgirah par kya kya tohfe laaye hain.. byAli Zaryoun December 4, 2024 yaar to uske saalgirah par kya kya tohfe laaye hainaur idhar hamne uski tasveer ko sher sunaayein hainaap se badhkar kaun samajh saka hai rang aur khushboo koaapse koi bahs nahin hai aap uske hamsaayein haikisi bahaane se uski naarazi khatm to karne thiuske pasandeeda shayar ke sher use bhejavai hain --------------------------------------------------यार तो उसके सालगिराह पर क्या क्या तोहफें लाए हैंऔर इधर हमने उसकी तस्वीर को शेर सुनाएं हैंआप से बढ़कर कौन समझ सकता है रंग और खुशबू कोआपसे कोई बहस नहीं है आप उसके हमसाएं हैकिसी बहाने से उसकी नाराजी खत्म तो करनी थीउसके पसंदीदा शायर के शेर उसे भिजवाए हैं Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
baat muqaddar ki hai saari waqt ka likkha maarta hai.. byAli Zaryoun December 4, 2024 baat muqaddar ki hai saari waqt ka likkha maarta haikuchh sajdon mein mar jaate hain kuchh ko sajda maarta haisirf ham hi hain jo tujh par poore ke poore marte hainvarna kisi ko teri aankhen kisi ko lahza maarta haidilwaale ek dooje ki imdaad ko khud mar jaate hainduniyadaar ko jab bhi maare duniyaavaala maarta haishehar mein ek naye kaatil ke husn-e-sukhan ke balve hainusse bach ke rahna sher suna ke banda maarta hai ------------------------------------------------बात मुकद्दर की है सारी वक्त का लिक्खा मारता हैकुछ सजदों में मर जाते हैं कुछ को सजदा मारता हैसिर्फ हम ही हैं जो तुझ पर पूरे के पूरे मरते हैंवरना किसी को तेरी आंखें, किसी को लहज़ा मारता हैदिलवाले एक दूजे की इमदाद को खुद मर जाते हैंदुनियादार को जब भी मारे दुनियावाला मारता हैशहर में एक नए कातिल के हुस्न-ए-सुखन के बलवे हैंउससे बच के रहना शेर सुना के बंदा मारता है Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
man jis ka maula hota hai.. byAli Zaryoun December 4, 2024 man jis ka maula hota haivo bilkul mujh sa hota haitum mujhko apna kahte hokah lene se kya hota haiachhi ladki zid nahin kartedekho ishq bura hota haiaankhen hans kar pooch rahi hainneend aane se kya hota haimitti ki izzat hoti haipaani ka charcha hota haimarne mein koi bahs na karnamar jaana achha hota hai -------------------------मन जिस का मौला होता हैवो बिल्कुल मुझ सा होता हैतुम मुझको अपना कहते होकह लेने से क्या होता हैअच्छी लड़की ज़िद नहीं करतेदेखो इश्क़ बुरा होता हैआँखें हंस कर पूछ रही हैंनींद आने से क्या होता हैमिट्टी की इज़्ज़त होती हैपानी का चर्चा होता हैमरने में कोई बहस ना करनामर जाना अच्छा होता है Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
apne yaaron se bahut door nahin hota tha.. byAli Zaryoun December 4, 2024 apne yaaron se bahut door nahin hota thayaar tu un dinon mashhoor nahin hota thamujhko lagta hai tujhe dil ki dua lag gai haitere chehre par to ye noor nahin hota thakoi to dukh hai jo waapas nahin detavarna main ghar se kabhi door nahin hota tha -----------------------------------------अपने यारों से बहुत दूर नहीं होता थायार तू उन दिनों मशहूर नहीं होता थामुझको लगता है तुझे दिल की दुआ लग गई हैतेरे चेहरे पर तो ये नूर नहीं होता थाकोई तो दुःख है जो वापस नहीं देतावरना मैं घर से कभी दूर नहीं होता था Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
ham yun hi nahin shah ke azaadaar hue hain.. byAli Zaryoun December 4, 2024 ham yun hi nahin shah ke azaadaar hue hainnasli hain to asli ke parastaar hue haintohmat to laga dete ho bekaari ki hamparpoocho to sahi kislie bekar hue hainsab aake mujhe kahte hain murshid koi chaarajis jis ko dar ae yaar se inkaar hue hainye vo hain jinhen maine sukhun karna sikhaayaye lehje mere saamne talwaar hue hainmilne to akela hi use jaana hai zaryoonye dost magar kislie taiyaar hue hain ------------------------------------------हम यूँ ही नहीं शह के अज़ादार हुए हैंनस्ली हैं तो अस्ली के परस़्तार हुए हैंतोहमत तो लगा देते हो बेकारी की हमपरपूछो तो सही किसलिए बेकार हुए हैंसब आके मुझे कहते हैं मुर्शिद कोई चाराजिस जिस को दर ए यार से इन्कार हुए हैंये वो हैं जिन्हें मैंने सुख़न करना सिखायाये लहजे मेरे सामने तलवार हुए हैंमिलने तो अकेले ही उसे जाना है "ज़रयून"ये दोस्त मगर किसलिए तैयार हुए हैं? Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
mujhe to sab tamasha lag raha hai.. byAli Zaryoun December 4, 2024 mujhe to sab tamasha lag raha haikhuda se pooch use kya lag raha haivaba ke din guzarte ja rahe hainmadeena aur saccha lag raha haiazziziyat se take jaata hoon khudkotumhein ye ghar mein rahna lag raha haikhud apne saath rahna pad gaya thaaur ab dushman bhi achha lag raha hai--------------------------------------मुझे तो सब तमाशा लग रहा हैखुदा से पूछ उसे क्या लग रहा हैवबा के दिन गुज़रते जा रहे हैंमदीना और सच्चा लग रहा हैअज़्जी़यत से तके जाता हूँ खुदकोतुम्हें ये घर में रहना लग रहा हैखुद अपने साथ रहना पड़ गया थाऔर अब दुश्मन भी अच्छा लग रहा है Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
vo hi kartaba teri yaad ka vo hi nai nava ae khayal hai.. byAli Zaryoun December 4, 2024 vo hi kartaba teri yaad ka vo hi nai nava ae khayal haivo hi main jo tha tere hijr mein vo hi mashhad ae khaddo khaal haiteri neend kiske liye udri mera khwaab kisne bujha diyaise sun kar rookh nahin pherna tere maatami ka sawaal haiye mazaq to nahin ho raha main khushi se to nahin ro rahakoi film to nahin chal rahi meri jaan ye mera haal haikisi saiyada ke charan padhoon koi kaazmi jo dua karekoi ho jo gham ki haya kare mera karbalaai malaal haivo charaagh ae shehar ae vifaq hai mere saath jiska firaq haibhale door paar se hi sahi mera raabta to bahaal haivo khushi se itni nihaal thi ki ali main soch kar dar gayamain use bata hi nahin saka ki ye meri aakhiri call hai -----------------------------------------------------वो ही कर्तबा तेरी याद का, वो ही नै नवा ए खयाल हैवो ही मैं जो था तेरे हिज्र में, वो ही मशहद ए खद्दो खाल हैतेरी नींद किसके लिए उड़ी, मेरा ख्वाब किसने बुझा दियाइसे सुन कर रूख़ नहीं फेरना, तेरे मातमी का सवाल हैये मजाक़ तो नहीं हो रहा, मैं खुशी से तो नहीं रो रहाकोई फिल्म तो नहीं चल रही, मेरी जान ये मेरा हाल हैकिसी सैय्यदा के चरण पडूं, कोई काज़मी जो दुआ करेकोई हो जो ग़म की हया करे, मेरा कर्बलाई मलाल हैवो चराग़ ए शहर ए विफाक़ है, मेरे साथ जिसका फिराक़ हैभले दूर पार से ही सही, मेरा राब़्ता तो बहाल हैवो खुशी से इतनी निहाल थी कि "अली" मैं सोच कर डर गयामैं उसे बता ही नहीं सका कि ये मेरी आखिरी कॉल है Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
bujhi aankhon mein kirnen bhar rahi ho kaun ho tum.. byAli Zaryoun December 4, 2024 bujhi aankhon mein kirnen bhar rahi ho kaun ho tummeri neendon ko roshan kar rahi ho kaun ho tummujh aise ghar mein to shaitaan bhi aata nahin haitum itne din mere andar rahi ho kaun ho tummain jiski yaad mein roya hua hoon vo kahaan haimera tawaan tum kyun bhar rahi ho kaun ho tumbhare majme se kamre tak tumheen laai ho mujhkoab is tanhaai se khud dar rahi ho kaun ho tum ---------------------------------------------------बुझी आंखों में किरणें भर रही हो, कौन हो तुम?मेरी नींदों को रोशन कर रही हो, कौन हो तुम?मुझ ऐसे घर में तो शैतान भी आता नहीं है,तुम इतने दिन मेरे अंदर रही हो, कौन हो तुम?मैं जिसकी याद में 'रोया' हुआ हूँ वो कहाँ है?मेरा तावान तुम क्यों भर रही हो, कौन हो तुम?भरे मजमे से कमरे तक तुम्हीं लाई हो मुझको,अब इस तन्हाई से खुद डर रही हो, कौन हो तुम? Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
zane haseen thi aur phool chun kar laati thi.. byAli Zaryoun December 4, 2024 zane haseen thi aur phool chun kar laati thimain sher kehta tha vo dastaan sunaati thiarab lahu tha ragon mein badan sunhara thavo muskuraati nahin thi die jalaati thiali se door raho log usse kahte thevo mera sach hai bahut cheekh kar bataati thiali ye log tumhein jaante nahin hain abhigale lagaakar mera hausla badhaati thiye phool dekh rahe ho ye uska lahja thaye jheel dekh rahe ho yahan vo aati thimain uske baad kabhi theek se nahin jaagavo mujhko khwaab nahin neend se jagati thiuse kisi se mohabbat thi aur vo main nahin thaye baat mujhse ziyaada use roolaati thimain kuchh bata nahin saka vo meri kya thi aliki usko dekhkar bas apni yaad aati thi ------------------------------------------ज़ने हसीन थी और फूल चुन कर लाती थीमैं शेर कहता था, वो दास्ताँ सुनाती थीअरब लहू था रगों में, बदन सुनहरा थावो मुस्कुराती नहीं थी, दीए जलाती थी"अली से दूर रहो", लोग उससे कहते थे"वो मेरा सच है", बहुत चीख कर बताती थी"अली ये लोग तुम्हें जानते नहीं हैं अभी"गले लगाकर मेरा हौसला बढ़ाती थीये फूल देख रहे हो, ये उसका लहजा थाये झील देख रहे हो, यहाँ वो आती थीमैं उसके बाद कभी ठीक से नहीं जागावो मुझको ख्वाब नहीं नींद से जगाती थीउसे किसी से मोहब्बत थी और वो मैं नहीं थाये बात मुझसे ज़्यादा उसे रूलाती थीमैं कुछ बता नहीं सकता वो मेरी क्या थी "अली"कि उसको देखकर बस अपनी याद आती थी Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
haalat ae hijr mein hoon yaar meri samt na dekh.. byAli Zaryoun December 4, 2024 haalat ae hijr mein hoon yaar meri samt na dekhtu na ho jaaye girftaar meri samt na dekhaasteen mein jo chhupe saanp hain unko to nikaalapne nuksaan par har baar meri samt na dekhtujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti haiaise nashshe mein lagaataar meri samt na dekhya koi baat suna ya mujhe seene se lagais tarah baithkar bekar meri samt na dekhtera yaaron se nahin jeb se yaaraana haiai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh-----------------------------------------------हालत ए हिज्र में हूँ यार मेरी सम्त न देखतू न हो जाए गिरफ्तार, मेरी सम्त न देखआस्तीन में जो छूपे सांप हैं उनको तो निकालअपने नुकसान पर हर बार मेरी सम्त न देखतुझको जिस बात का 'ख़द्शा' है वो हो सकती हैऐसे नश्शे में लगातार मेरी सम्त न देखया कोई बात सुना या मुझे सीने से लगाइस तरह बैठकर बेकार मेरी सम्त न देखतेरा यारों से नहीं जेब से याराना हैऐ मोहब्बत के दुकाँदार मेरी सम्त न देख Read more ali zaryoun pakistani poet young poet