Allama Iqbal Poetry

sitaron se aage jahan aur bhi hain


sitaron se aage jahan aur bhi hain

सितारों से आगे जहाँ और भी हैं
अभी इश्क़ के इम्तिहाँ और भी हैं

तही ज़िंदगी से नहीं ये फ़ज़ाएँ
यहाँ सैकड़ों कारवाँ और भी हैं

क़नाअत न कर आलम-ए-रंग-ओ-बू पर
चमन और भी आशियाँ और भी हैं

अगर खो गया इक नशेमन तो क्या ग़म
मक़ामात-ए-आह-ओ-फ़ुग़ाँ और भी हैं

तू शाहीं है परवाज़ है काम तेरा
तिरे सामने आसमाँ और भी हैं

इसी रोज़ ओ शब में उलझ कर न रह जा
कि तेरे ज़मान ओ मकाँ और भी हैं

गए दिन कि तन्हा था मैं अंजुमन में
यहाँ अब मिरे राज़-दाँ और भी हैं

------------------------------

sitaron se aage jahan aur bhi hain 
abhi ishq ke imtihan aur bhi hain 

tahi zindagi se nahin ye faza.en 
yahan saikDon karvan aur bhi hain 

qana.at na kar alam-e-rang-o-bu par 
chaman aur bhi ashiyan aur bhi hain 

agar kho gaya ik nasheman to kya gham 
maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain 

tu shahin hai parvaz hai kaam tera 
tire samne asman aur bhi hain 

isi roz o shab men ulajh kar na rah ja 
ki tere zaman o makan aur bhi hain 

ga.e din ki tanha tha main anjuman men 
yahan ab mire raz-dan aur bhi hain

Poet - Allama Iqbal
Location: Sialkot, Punjab, British India (now in Pakistan)
Views: 433