faiz ahmed faiz

All Time Most Famous Ghazals Of Faiz ahmed faiz..

1- Nasib aazmane ke din aa rahe hain
Qareeb un ke aane ke din aa rahe hain

Jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai
Sab unko sunane ke din aa rahe hain

Abhi se dil o jaan sar-e-raah rakh do
Ki lutne lutane ke din aa rahe hain

Tapakne lagi un nigahon se masti
Nigahen churane ke din aa rahe hain

Saba phir humein poochhti phir rahi hai
Chaman ko sajane ke din aa rahe hain

Chalo 'Faiz' phir se kahin dil lagayein
Suna hai thikane ke din aa rahe hain


2- Yeh dhoop kinara shaam dhale
Milte hain dono waqt jahan

Jo raat na din, jo aaj na kal
Pal bhar ko amar, pal bhar mein dhuan

Is dhoop kinare pal-do-pal
Honthon ki lapak

Baahon ki chanak
Yeh mel hamara jhooth na sach

Kyun raar karo, kyun dosh dharo
Kis kaaran jhoothi baat karo

Jab teri samundar aankhon mein
Is shaam ka suraj doobega

Sukh soyenge ghar dar waale
Aur rahi apni raah lega


3- Gulon mein rang bhare, baad-e-nau-bahaar chale
Chale bhi aao ki gulshan ka karobaar chale

Qafas udaas hai yaaro, saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale

Kabhi to subah tire kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushk-baar chale

Bada hai dard ka rishta yeh dil gareeb sahi
Tumhare naam pe aayenge gham-gusaar chale

Jo hum pe guzri so guzri, magar shab-e-hijraan
Hamare ashq tire aqibat sanwaar chale

Huzoor-e-yaar hui daftar-e-junoon ki talab
Girah mein le ke gareban ka taar-taar chale

Maqaam 'Faiz' koi raah mein jacha hi nahi
Jo koo-e-yaar se nikle to soo-e-daar chale


4- Sab qatl ho ke tere muqabil se aaye hain
Hum log surkh-rooh hain ki manzil se aaye hain

Sham-e-nazar, khayal ke anjum, jigar ke daagh
Jitne charaag hain, teri mehfil se aaye hain

Uth kar to aa gaye hain teri bazm se magar
Kuchh dil hi jaanta hai ki kis dil se aaye hain

Har ek qadam ajal tha, har ek gaam zindagi
Hum ghoom phir ke koocha-e-qaatil se aaye hain

Baad-e-khizan ka shukr karo 'Faiz' jis ke haath
Naam-e-kisi bahaar-e-shimail se aaye hain


5- Dasht-e-tanhai mein ai jaan-e-jahaan larzan hain
Teri awaaz ke saaye, tere honton ke saraab

Dasht-e-tanhai mein doori ke khas-o-khaak tale
Khil rahe hain tire pehlu ke saman aur gulaab

Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushboo mein sulagti hui madhyam madhyam

Door ufuq paar chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam

Is qadar pyar se ai jaan-e-jahaan rakha hai
Dil ke rukhsar pe is waqt teri yaad ne haath

Yun guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din, aa bhi gayi wasl ki raat
------------------------------------------------
1- नसीब आज़माने के दिन आ रहे हैं
क़रीब उन के आने के दिन आ रहे हैं

जो दिल से कहा है जो दिल से सुना है
सब उन को सुनाने के दिन आ रहे हैं

अभी से दिल ओ जाँ सर-ए-राह रख दो
कि लुटने लुटाने के दिन आ रहे हैं

टपकने लगी उन निगाहों से मस्ती
निगाहें चुराने के दिन आ रहे हैं

सबा फिर हमें पूछती फिर रही है
चमन को सजाने के दिन आ रहे हैं

चलो 'फ़ैज़' फिर से कहीं दिल लगाएँ
सुना है ठिकाने के दिन आ रहे हैं


2- ये धूप किनारा शाम ढले
मिलते हैं दोनों वक़्त जहाँ

जो रात न दिन जो आज न कल
पल-भर को अमर पल भर में धुआँ

इस धूप किनारे पल-दो-पल
होंटों की लपक

बाँहों की छनक
ये मेल हमारा झूट न सच

क्यूँ रार करो क्यूँ दोश धरो
किस कारन झूटी बात करो

जब तेरी समुंदर आँखों में
इस शाम का सूरज डूबेगा

सुख सोएँगे घर दर वाले
और राही अपनी रह लेगा


3- गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले
चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले

क़फ़स उदास है यारो सबा से कुछ तो कहो
कहीं तो बहर-ए-ख़ुदा आज ज़िक्र-ए-यार चले

कभी तो सुब्ह तिरे कुंज-ए-लब से हो आग़ाज़
कभी तो शब सर-ए-काकुल से मुश्क-बार चले

बड़ा है दर्द का रिश्ता ये दिल ग़रीब सही
तुम्हारे नाम पे आएँगे ग़म-गुसार चले

जो हम पे गुज़री सो गुज़री मगर शब-ए-हिज्राँ
हमारे अश्क तिरी आक़िबत सँवार चले

हुज़ूर-ए-यार हुई दफ़्तर-ए-जुनूँ की तलब
गिरह में ले के गरेबाँ का तार तार चले

मक़ाम 'फ़ैज़' कोई राह में जचा ही नहीं
जो कू-ए-यार से निकले तो सू-ए-दार चले


4- सब क़त्ल हो के तेरे मुक़ाबिल से आए हैं
हम लोग सुर्ख़-रू हैं कि मंज़िल से आए हैं

शम-ए-नज़र ख़याल के अंजुम जिगर के दाग़
जितने चराग़ हैं तिरी महफ़िल से आए हैं

उठ कर तो आ गए हैं तिरी बज़्म से मगर
कुछ दिल ही जानता है कि किस दिल से आए हैं

हर इक क़दम अजल था हर इक गाम ज़िंदगी
हम घूम फिर के कूचा-ए-क़ातिल से आए हैं

बाद-ए-ख़िज़ाँ का शुक्र करो 'फ़ैज़' जिस के हाथ
नामे किसी बहार-ए-शिमाइल से आए हैं


5- दश्त-ए-तन्हाई में ऐ जान-ए-जहाँ लर्ज़ां हैं
तेरी आवाज़ के साए तिरे होंटों के सराब

दश्त-ए-तन्हाई में दूरी के ख़स ओ ख़ाक तले
खिल रहे हैं तिरे पहलू के समन और गुलाब

उठ रही है कहीं क़ुर्बत से तिरी साँस की आँच
अपनी ख़ुशबू में सुलगती हुई मद्धम मद्धम

दूर उफ़ुक़ पार चमकती हुई क़तरा क़तरा
गिर रही है तिरी दिलदार नज़र की शबनम

इस क़दर प्यार से ऐ जान-ए-जहाँ रक्खा है
दिल के रुख़्सार पे इस वक़्त तिरी याद ने हात

यूँ गुमाँ होता है गरचे है अभी सुब्ह-ए-फ़िराक़
ढल गया हिज्र का दिन आ भी गई वस्ल की रात

Read more

Top 20 most famous Shayari of Faiz Ahmed Faiz ..

1- Tu jo mil jaye to taqdeer nigoon ho jaye,
Yoon na tha maine faqat chaaha tha yoon ho jaye.

2- Nahi nigah mein manzil to justuju hi sahi,
Nahi visaal mayassar to aarzu hi sahi.

3- Jaanta hai ki woh na aayenge,
Phir bhi masroof-e-intezar hai dil.

4- Duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke.

5- Yoon hi hamesha uljhti rahi hai zulm se khalq,
Na unki rasm nayi hai, na apni reet nayi.

6- Raat yoon dil mein teri khoyi hui yaad aayi,
Jaise veerane mein chupke se bahaar aa jaye.

7- ‘Faiz,’ thi raah sar-ba-sar manzil,
Hum jahan pahunche kaamyaab aaye.

8- Shaam-e-firaaq ab na poochh aayi aur aa ke tal gayi,
Dil tha ki phir behal gaya, jaan thi ki phir sambhal gayi.

9- Phir nazar mein phool mehkay, dil mein phir shamaein jalin,
Phir tasavvur ne liya us bazm mein jaane ka naam.

10- Hum mehnatkash is duniya se jab apna hissa maangenge,
Ek baagh nahi, ek khet nahi, hum saari duniya maangenge.

11- Ab apna ikhtiyaar hai chahe jahan chalein,
Rahbar se apni raah juda kar chuke hain hum.

12- Laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya keejay,
Ab bhi dilkash hai tera husn magar kya keejay.

13- Teri soorat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat,
Teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai.

14- Magar guzaarne waalon ke din guzarte hain,
Tere firaaq mein yoon subah-o-shaam karte hain.

15- Unhi ke ‘Faiz’ se bazaar-e-aql roshan hai,
Jo gaah gaah junoon ikhtiyaar karte rahe.

16- Qafas udaas hai yaaron, saba se kuchh to kaho,
Kahin to bahre-khuda aaj zikr-e-yaar chale.

17- Tune dekhi hai woh peshaani, woh rukhsar, woh hont,
Zindagi jinke tasavvur mein luta di humne.

18- Kab thahrega dard aye dil, kab raat basar hogi?
Sunte the woh aayenge, sunte the sehar hogi.

19- Aaye kuchh abr, kuchh sharaab aaye,
Iske baad aaye jo azaab aaye.

20- Ab jo koi poochhe bhi to us se kya sharh-e-halaat karein,
Dil thahre to dard sunaayein, dard thame to baat karein.
--------------------------------------------------
1- तू जो मिल जाए तो तक़दीर निगूँ हो जाए
यूँ न था मैंने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाए

2- नहीं निगाह में मंज़िल तो जुस्तुजू ही सही
नहीं विसाल मयस्सर तो आरज़ू ही सही

3- जानता है कि वो न आएँगे
फिर भी मसरूफ़-ए-इंतिज़ार है दिल

4- दुनिया ने तेरी याद से बेगाना कर दिया
तुझ से भी दिल-फ़रेब हैं ग़म रोज़गार के

5- यूँ ही हमेशा उलझती रही है ज़ुल्म से ख़ल्क़
न उनकी रस्म नई है, न अपनी रीत नई

6- रात यूँ दिल में तिरी खोई हुई याद आई
जैसे वीराने में चुपके से बहार आ जाए

7- 'फ़ैज़' थी राह सर-ब-सर मंज़िल
हम जहाँ पहुँचे कामयाब आए

8- शाम-ए-फ़िराक़ अब न पूछ आई और आ के टल गई
दिल था कि फिर बहल गया जाँ थी कि फिर सँभल गई

9- फिर नज़र में फूल महके दिल में फिर शमएँ जलीं 
फिर तसव्वुर ने लिया उस बज़्म में जाने का नाम

10- हम मेहनतकश इस दुनिया से जब अपना हिस्सा मांगेंगे
इक बाग़ नहीं, इक खेत नहीं, हम सारी दुनिया मांगेगे

11- अब अपना इख़्तियार है चाहे जहाँ चलें
रहबर से अपनी राह जुदा कर चुके हैं हम

12- लौट जाती है उधर को भी नज़र क्या कीजे
अब भी दिलकश है तेरा हुस्न मगर क्या कीजे

13- तेरी सूरत से है आलम में बहारों को सबात
तेरी आँखों के सिवा दुनिया में रक्खा क्या है

14- मगर गुज़ारनेवालों के दिन गुज़रते हैं
तेरे फ़िराक़ में यूँ सुबह-ओ-शाम करते हैं

15- उन्हीं के फ़ैज़ से बाज़ार-ए-अक़्ल रौशन है,
जो गाह गाह जुनूँ इख़्तियार करते रहे

16- क़फस उदास है यारों सबा से कुछ तो कहो
कहीं तो बहरे-खुदा आज ज़िक्र-ए-यार चले

17- तूने देखी है वो पेशानी वो रुख़्सार वो होंठ
ज़िंदगी जिनके तसव्वुर में लुटा दी हमने

18- कब ठहरेगा दर्द ऐ दिल कब रात बसर होगी
सुनते थे वो आएँगे सुनते थे सहर होगी

19- आए कुछ अब्र कुछ शराब आए
इस के बाद आए जो अज़ाब आए

20- अब जो कोई पूछे भी तो उस से क्या शरह-ए-हालात करें
दिल ठहरे तो दर्द सुनाएँ दर्द थमे तो बात करें
Read more

Jab dukh ki nadiya mein ham ne..

jab dukh ki nadiya mein ham ne
jeevan ki naav daali thi
tha kitna kas-bal baanhon mein
lohoo mein kitni laali thi
yun lagta tha do haath lage
aur naav puram paar lagi
aisa na hua har dhaare mein
kuchh an-dekhi manzdharein theen
kuchh maanjhi the anjaan bahut
kuchh be-parkhi patwaarein theen
ab jo bhi chaaho chaan karo
ab jitne chaaho dosh dharo
nadiya to wahi hai naav wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
ab kaise paar utarna hai
jab apni chaati mein ham ne
is des ke ghaav dekhe the
tha vedon par vishvaash bahut
aur yaad bahut se nuskhe the
yun lagta tha bas kuchh din mein
saari bipata kat jaayegi
aur sab ghaav bhar jaayenge
aisa na hua ki rog apne
kuchh itne dher purane the
ved in ki toh ko pa na sake
aur totke sab be-kaar gaye
ab jo bhi chaaho chaan karo
ab jitne chaaho dosh dharo
chaati to wahi hai ghaav wahi
ab tum hi kaho kya karna hai
ye ghaav kaise bharna hai
-----------------------------
जब दुख की नदिया में हम ने
जीवन की नाव डाली थी
था कितना कस-बल बाँहों में
लोहू में कितनी लाली थी
यूँ लगता था दो हाथ लगे
और नाव पूरम पार लगी
ऐसा न हुआ, हर धारे में
कुछ अन-देखी मंजधारें थीं
कुछ माँझी थे अंजान बहुत
कुछ बे-परखी पतवारें थीं
अब जो भी चाहो छान करो
अब जितने चाहो दोश धरो
नदिया तो वही है, नाव वही
अब तुम ही कहो क्या करना है
अब कैसे पार उतरना है
जब अपनी छाती में हम ने
इस देस के घाव देखे थे
था वेदों पर विश्वाश बहुत
और याद बहुत से नुस्ख़े थे
यूँ लगता था बस कुछ दिन में
सारी बिपता कट जाएगी
और सब घाव भर जाएँगे
ऐसा न हुआ कि रोग अपने
कुछ इतने ढेर पुराने थे
वेद इन की टोह को पा न सके
और टोटके सब बे-कार गए
अब जो भी चाहो छान करो
अब जितने चाहो दोश धरो
छाती तो वही है, घाव वही
अब तुम ही कहो क्या करना है
ये घाव कैसे भरना है
Read more

Vo jis ki deed mein laakhon masarratein pinhaan..

vo jis ki deed mein laakhon masarratein pinhaan
vo husn jis ki tamannaa mein jannaten pinhaan
hazaar fitne tah-e-pa-e-naaz khaak-nasheen
har ik nigaah khumaar-e-shabaab se rangeen
shabaab jis se takhayyul pe bijliyaan barse
vaqaar jis ki rafaqat ko shokhiyaan tarsen
ada-e-laghzish-e-pa par qayaamaatein qurbaan
bayaaz-rukh pe sehar ki sabahtein qurbaan
siyaah zulfon mein waarfta nikhaton ka hujoom
taveel raaton ki khwaabida raahaton ka hujoom
vo aankh jis ke banaav p khaaliq itraaye
zabaan-e-sher ko taarif karte sharm aaye
vo hont faiz se jin ke bahaar laala-farosh
behisht o kausar o tasneem o salsabeel b-dosh
gudaaz jism qaba jis pe saj ke naaz kare
daraaz qad jise sarv-e-sahi namaaz kare
garz vo husn jo mohtaaj-e-wasf-o-naam nahin
vo hasan jis ka tasavvur bashar ka kaam nahin
kisi zamaane mein is rah-guzar se guzra tha
b-sad ghuroor o tajammul idhar se guzra tha
aur ab ye raah-guzar bhi hai dil-fareb o haseen
hai is ki khaak mein kaif-e-sharaab-o-sheer makeen
hawa mein shokhi-e-raftaar ki adaayein hain
fazaa mein narmi-e-guftaar ki sadaaein hain
garz vo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai
niyaaz-e-ishq ko ik sajda-gah mayassar hai
-------------------------------------
वो जिस की दीद में लाखों मसर्रतें पिन्हाँ
वो हुस्न जिस की तमन्ना में जन्नतें पिन्हाँ
हज़ार फ़ित्ने तह-ए-पा-ए-नाज़ ख़ाक-नशीं
हर इक निगाह ख़ुमार-ए-शबाब से रंगीं
शबाब जिस से तख़य्युल पे बिजलियाँ बरसें
वक़ार जिस की रफ़ाक़त को शोख़ियाँ तरसें
अदा-ए-लग़्ज़िश-ए-पा पर क़यामतें क़ुर्बां
बयाज़-रुख़ पे सहर की सबाहतें क़ुर्बां
सियाह ज़ुल्फ़ों में वारफ़्ता निकहतों का हुजूम
तवील रातों की ख़्वाबीदा राहतों का हुजूम
वो आँख जिस के बनाव प ख़ालिक़ इतराए
ज़बान-ए-शेर को तारीफ़ करते शर्म आए
वो होंट फ़ैज़ से जिन के बहार लाला-फ़रोश
बहिश्त ओ कौसर ओ तसनीम ओ सलसबील ब-दोश
गुदाज़ जिस्म क़बा जिस पे सज के नाज़ करे
दराज़ क़द जिसे सर्व-ए-सही नमाज़ करे
ग़रज़ वो हुस्न जो मोहताज-ए-वस्फ़-ओ-नाम नहीं
वो हसन जिस का तसव्वुर बशर का काम नहीं
किसी ज़माने में इस रह-गुज़र से गुज़रा था
ब-सद ग़ुरूर ओ तजम्मुल इधर से गुज़रा था
और अब ये राह-गुज़र भी है दिल-फ़रेब ओ हसीं
है इस की ख़ाक में कैफ़-ए-शराब-ओ-शेर मकीं
हवा में शोख़ी-ए-रफ़्तार की अदाएँ हैं
फ़ज़ा में नर्मी-ए-गुफ़्तार की सदाएँ हैं
ग़रज़ वो हुस्न अब इस रह का जुज़्व-ए-मंज़र है
नियाज़-ए-इश्क़ को इक सज्दा-गह मयस्सर है
Read more

anjaam, hain labreiz aahon se thandi hawaaein..

anjaam
hain labreiz aahon se thandi hawaaein
udaasi mein doobi hui hain ghataaein
mohabbat ki duniya pe shaam aa chuki hai
siyah-posh hain zindagi ki fazaayein

machalti hain seene mein laakh aarzuen
tadapati hain aankhon mein laakh iltijaaein
taghaaful ki aaghosh mein so rahe hain
tumhaare sitam aur meri wafaayein
magar phir bhi ai mere maasoom qaateel
tumhein pyaar karti hain meri duaaein
-------------------------------------
"अंजाम"
हैं लबरेज़ आहों से ठंडी हवाएँ
उदासी में डूबी हुई हैं घटाएँ
मोहब्बत की दुनिया पे शाम आ चुकी है
सियह-पोश हैं ज़िंदगी की फ़ज़ाएँ

मचलती हैं सीने में लाख आरज़ुएँ
तड़पती हैं आँखों में लाख इल्तिजाएँ
तग़ाफ़ुल की आग़ोश में सो रहे हैं
तुम्हारे सितम और मेरी वफ़ाएँ
मगर फिर भी ऐ मेरे मासूम क़ातिल
तुम्हें प्यार करती हैं मेरी दुआएँ
Read more

yaad, dast-e-tanhaai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hain..

yaad
dast-e-tanhaai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hain
teri awaaz ke saaye tire honton ke saraab
dast-e-tanhaai mein doori ke khas-o-khaak tale
khil rahe hain tire pahluu ke saman aur gulaab

uth rahi hai kahin qurbat se tiri saans kii aanch
apni khushboo mein sulagti hui madhham madhham
door ufuq paar chamakti hui qatra qatra
gir rahi hai tiri dildaar nazar kii shabnam

is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaan rakkha hai
dil ke rukhsaar pe is waqt tiri yaad ne haath
yun gumaan hota hai garche hai abhi subh-e-firaq
dhal gaya hijr ka din aa bhi gai vasl kii raat 
----------------------------------------
"याद"
दश्त-ए-तन्हाई में ऐ जान-ए-जहाँ लर्ज़ां हैं
तेरी आवाज़ के साए तिरे होंटों के सराब
दश्त-ए-तन्हाई में दूरी के ख़स-ओ-ख़ाक तले
खिल रहे हैं तिरे पहलू के समन और गुलाब

उठ रही है कहीं क़ुर्बत से तिरी साँस की आँच
अपनी ख़ुशबू में सुलगती हुई मद्धम मद्धम
दूर उफ़ुक़ पार चमकती हुई क़तरा क़तरा
गिर रही है तिरी दिलदार नज़र की शबनम

इस क़दर प्यार से ऐ जान-ए-जहाँ रक्खा है
दिल के रुख़्सार पे इस वक़्त तिरी याद ने हाथ
यूँ गुमाँ होता है गरचे है अभी सुब्ह-ए-फ़िराक़
ढल गया हिज्र का दिन आ भी गई वस्ल की रात
Read more

Darbaar mein ab satwat-e-shaahi ki alaamat..

darbaar mein ab satwat-e-shaahi ki alaamat
darbaan ka asa hai ki musannif ka qalam hai

aawaara hai phir koh-e-nida par jo basharat
tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai

jis dhajji ko galiyon mein liye firte hain tiflaan
ye mera garebaan hai ki lashkar ka alam hai

jis noor se hai shehar ki deewaar darkhshan
ye khun-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai

halka kiye baithe raho ik sham'a ko yaaro
kuchh raushni baaki to hai har-chand ki kam hai
-------------------------------------
दरबार में अब सतवत-ए-शाही की अलामत
दरबाँ का असा है कि मुसन्निफ़ का क़लम है

आवारा है फिर कोह-ए-निदा पर जो बशारत
तम्हीद-ए-मसर्रत है कि तूल-ए-शब-ए-ग़म है

जिस धज्जी को गलियों में लिए फिरते हैं तिफ़्लाँ
ये मेरा गरेबाँ है कि लश्कर का अलम है

जिस नूर से है शहर की दीवार दरख़्शाँ
ये ख़ून-ए-शहीदाँ है कि ज़र-ख़ाना-ए-जम है

हल्क़ा किए बैठे रहो इक शम्अ को यारो
कुछ रौशनी बाक़ी तो है हर-चंद कि कम है
Read more

Go sab ko bahm saaghar o baada to nahin tha..

go sab ko bahm saaghar o baada to nahin tha
ye shehar udaas itna ziyaada to nahin tha

galiyon mein fira karte the do chaar deewane
har shakhs ka sad chaak labaada to nahin tha

manzil ko na pahchaane rah-e-ishq ka raahi
naadaan hi sahi aisa bhi saada to nahin tha

thak kar yoonhi pal bhar ke liye aankh lagi thi
so kar hi na utthen ye iraada to nahin tha

wa'iz se rah-o-rasm rahi rind se sohbat
farq in mein koi itna ziyaada to nahin tha
-----------------------------------
गो सब को बहम साग़र ओ बादा तो नहीं था
ये शहर उदास इतना ज़ियादा तो नहीं था

गलियों में फिरा करते थे दो चार दिवाने
हर शख़्स का सद चाक लबादा तो नहीं था

मंज़िल को न पहचाने रह-ए-इश्क़ का राही
नादाँ ही सही ऐसा भी सादा तो नहीं था

थक कर यूँही पल भर के लिए आँख लगी थी
सो कर ही न उट्ठें ये इरादा तो नहीं था

वाइ'ज़ से रह-ओ-रस्म रही रिंद से सोहबत
फ़र्क़ इन में कोई इतना ज़ियादा तो नहीं था
Read more

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein..

sabhi kuchh hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kulphatein
kabhi sohbaten kabhi furqatein kabhi dooriyaan kabhi qurbaten

ye sukhun jo ham ne raqam kiye ye hain sab varq tiri yaad ke
koi lamha subh-e-visaal ka koi shaam-e-hijr ki muddatein

jo tumhaari maan len naaseha to rahega daaman-e-dil mein kya
na kisi adoo ki adaavaten na kisi sanam ki muravvatein

chalo aao tum ko dikhaayein ham jo bacha hai maqtal-e-shehr mein
ye mazaar ahl-e-safa ke hain ye hain ahl-e-sidq ki turbatein

meri jaan aaj ka gham na kar ki na jaane kaatib-e-waqt ne
kisi apne kal mein bhi bhool kar kahi likh rakhi hon masarratein 
-------------------------------------------------
सभी कुछ है तेरा दिया हुआ सभी राहतें सभी कुल्फ़तें
कभी सोहबतें कभी फ़ुर्क़तें कभी दूरियाँ कभी क़ुर्बतें

ये सुख़न जो हम ने रक़म किए ये हैं सब वरक़ तिरी याद के
कोई लम्हा सुब्ह-ए-विसाल का कोई शाम-ए-हिज्र की मुद्दतें

जो तुम्हारी मान लें नासेहा तो रहेगा दामन-ए-दिल में क्या
न किसी अदू की अदावतें न किसी सनम की मुरव्वतें

चलो आओ तुम को दिखाएँ हम जो बचा है मक़्तल-ए-शहर में
ये मज़ार अहल-ए-सफ़ा के हैं ये हैं अहल-ए-सिद्क़ की तुर्बतें

मिरी जान आज का ग़म न कर कि न जाने कातिब-ए-वक़्त ने
किसी अपने कल में भी भूल कर कहीं लिख रखी हों मसर्रतें
Read more

aap kii yaad aati rahi raat bhar..

aap kii yaad aati rahi raat bhar
chaandni dil dukhaati rahi raat bhar

gaah jaltee hui gaah bujhti hui
sham-e-gham jhilmilaati rahi raat bhar

koii khushboo badalti rahi pairhan
koii tasveer gaati rahi raat bhar

phir saba saaya-e-shaakh-e-gul ke tale
koii qissa sunaati rahi raat bhar

jo na aaya use koii zanjeer-e-dar
har sada par bulaati rahi raat bhar

ek ummeed se dil bahalta raha
ik tamannaa sataati rahi raat bhar
----------------------------------
आप की याद आती रही रात भर
चाँदनी दिल दुखाती रही रात भर

गाह जलती हुई गाह बुझती हुई
शम-ए-ग़म झिलमिलाती रही रात भर

कोई ख़ुशबू बदलती रही पैरहन
कोई तस्वीर गाती रही रात भर

फिर सबा साया-ए-शाख़-ए-गुल के तले
कोई क़िस्सा सुनाती रही रात भर

जो न आया उसे कोई ज़ंजीर-ए-दर
हर सदा पर बुलाती रही रात भर

एक उम्मीद से दिल बहलता रहा
इक तमन्ना सताती रही रात भर
Read more