Faiz Ahmed Faiz Poetry

Mujh se pahli si mohabbat


Mujh se pahli si mohabbat
Mujh se pahli si mohabbat mere mahboob na maang
Main ne samjha tha ki tu hai to daraḳhshan hai hayat

Tera gham hai to gham-e-dahr ka jhagda kya hai
Teri surat se hai aalam mein baharon ko sabat
Teri ankhon ke siva duniya mein rakkha kya hai

Tu jo mil jaa.e to taqdir nigun ho jaaye
Yuun na tha maia ne faqat chaha tha yuua ho jaaye

Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siva
Rahatein aur bhi hain vasl ki rahat ke siva

An-ginat sadiyon ke tarik bahimana tilism
Resham-o-atlas-o-kamḳhab mein bunvaye hue
Ja-ba-ja bikte hue kucha-o-bazar mein jism
Khaak mein luthde hue ḳhoon mein nahlae hue
Jism nikle hue amraaz ke tannooron se
Piip bahti hui galte hue naasooron se

Laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kiije
Ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kiije

Aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siva
Rahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siva
Mujh se pahli si mohabbat meri mahboob na maang

-----------------------------------------------------------------------

मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग 
मैं ने समझा था कि तू है तो दरख़्शाँ है हयात 
तेरा ग़म है तो ग़म-ए-दहर का झगड़ा क्या है 
तेरी सूरत से है आलम में बहारों को सबात 
तेरी आँखों के सिवा दुनिया में रक्खा क्या है 

तू जो मिल जाए तो तक़दीर निगूँ हो जाए 
यूँ न था मैं ने फ़क़त चाहा था यूँ हो जाए 
और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा 
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा 

अन-गिनत सदियों के तारीक बहीमाना तिलिस्म 
रेशम-ओ-अतलस ओ कमख़ाब में बुनवाए हुए 
जा-ब-जा बिकते हुए कूचा-ओ-बाज़ार में जिस्म 
ख़ाक में लुथड़े हुए ख़ून में नहलाए हुए

जिस्म निकले हुए अमराज़ के तन्नूरों से 
पीप बहती हुई गलते हुए नासूरों से 
लौट जाती है उधर को भी नज़र क्या कीजे 
अब भी दिलकश है तिरा हुस्न मगर क्या कीजे 

और भी दुख हैं ज़माने में मोहब्बत के सिवा 
राहतें और भी हैं वस्ल की राहत के सिवा 
मुझ से पहली सी मोहब्बत मिरी महबूब न माँग 

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 128