1- Jata diya ki mohabbat mein gham bhi hote hain,
Diya gulaab to kaante bhi the gulaab ke saath.
2- Baithe hain chain se kahin jaana to hai nahi,
Hum be-gharon ka koi thikana to hai nahi.
3- Agar hukoomat tumhari tasveer chhap de note par meri dost,
To dekhna tum ki log bilkul fazool-kharchi nahi karenge.
4- Hum pe kar dhyan are chaand ko takne waale,
Chaand ke paas to mohlat hai sehar hone tak.
5- Jhela hai maine teen sau painsath dukhon ka saal,
Chaho to pichhle barah mahinon se poochh lo.
6- Ye kya ki jab bhi milo poochh ke bata ke milo,
Kabhi karo mujhe hairaan achanak aa ke milo.
7- Akelepan se kahaan taalmel hota hai,
Khilaadi ishq mein do hon to khel hota hai.
8- Khamosh jeel ke paani mein wo udaasi thi,
Ki dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath.
9- Sadaayen dete hue aur khaak udate hue,
Main apne aap se guzra hoon tujh tak aate hue.
10- Tere bin ghadiyaan gini hain raat din,
Nau baras gyaarah maheene saat din.
11- Kahani khatam hui aur aisi khatam hui,
Ki log rone lage taaliyan bajate hue.
12- Tune bahut kharaab kiya hai mujhe magar,
Is sher mein kharaab ka matlab kuchh aur hai.
13- Aapki aankhein agar sher sunane lag jaayein,
Hum jo ghazlein liye phirte hain, thikane lag jaayein.
14- Yahi dua hai yahi hai salaam ishq b-khair,
Mire sabhi rufaqa-e-kiraam ishq b-khair.
15- Raat aa baithi hai pehlu mein sitaaro takhaliya,
Ab humein darkaar hai khalwat so yaaro takhaliya.
16- Vida-e-yaar ka lamha thahar gaya mujh mein,
Main khud to zinda raha waqt mar gaya mujh mein.
17- Umr-bhar ishq kisi taur na kam ho aameen,
Dil ko har roz ata ne'mat-e-gham ho aameen.
18- Mujhe gharaz hai sitare na mahtaab ke saath,
Chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath.
19- Sukoot-e-shaam mein goonji sada udaasi ki,
Ki hai mazeed udaasi dawa udaasi ki.
20- Nazar uthayein to kya kya fasaana banta hai,
Sau pesh-e-yaar nigaahein jhukana banta hai.
-------------------------------------------------
1- जता दिया कि मोहब्बत में ग़म भी होते हैं
दिया गुलाब तो काँटे भी थे गुलाब के साथ
2- बैठे हैं चैन से कहीं जाना तो है नहीं
हम बे-घरों का कोई ठिकाना तो है नहीं
3- अगर हुकूमत तुम्हारी तस्वीर छाप दे नोट पर मेरी दोस्त
तो देखना तुम कि लोग बिल्कुल फ़ुज़ूल-ख़र्ची नहीं करेंगे
4- हम पे कर ध्यान अरे चाँद को तकने वाले
चाँद के पास तो मोहलत है सहर होने तक
5- झेला है मैंने तीन सौ पैंसठ दुखों का साल
चाहो तो पिछले बारह महीनों से पूछ लो
6- ये क्या कि जब भी मिलो पूछ के बता के मिलो
कभी करो मुझे हैरान अचानक आ के मिलो
7- अकेलेपन से कहाँ तालमेल होता है
खिलाड़ी इश्क में दो हों तो खेल होता है
8- ख़मोश झील के पानी में वो उदासी थी
कि दिल भी डूब गया रात माहताब के साथ
9- सदाएँ देते हुए और ख़ाक उड़ाते हुए
मैं अपने आप से गुज़रा हूँ तुझ तक आते हुए
10- तेरे बिन घड़ियाँ गिनी हैं रात दिन
नौ बरस ग्यारह महीने सात दिन
11- कहानी ख़त्म हुई और ऐसी ख़त्म हुई
कि लोग रोने लगे तालियाँ बजाते हुए
12- तूने बहुत ख़राब किया है मुझे मगर
इस शेर में ख़राब का मतलब कुछ और है
13- आपकी आँखें अगर शेर सुनाने लग जाएँ
हम जो ग़ज़लें लिए फिरते हैं, ठिकाने लग जाएँ
14- यही दुआ है यही है सलाम इश्क़ ब-ख़ैर
मिरे सभी रुफ़क़ा-ए-किराम इश्क़ ब-ख़ैर
15- रात आ बैठी है पहलू में सितारो तख़लिया
अब हमें दरकार है ख़ल्वत सो यारो तख़लिया
16- विदा-ए-यार का लम्हा ठहर गया मुझ में
मैं ख़ुद तो ज़िंदा रहा वक़्त मर गया मुझ में
17- उम्र-भर इश्क़ किसी तौर न कम हो आमीन
दिल को हर रोज़ अता ने'मत-ए-ग़म हो आमीन
18- मुझे ग़रज़ है सितारे न माहताब के साथ
चमक रहा है ये दिल पूरी आब-ओ-ताब के साथ
19- सुकूत-ए-शाम में गूँजी सदा उदासी की
कि है मज़ीद उदासी दवा उदासी की
20- नज़र उठाएँ तो क्या क्या फ़साना बनता है
सौ पेश-ए-यार निगाहें झुकाना बनता है