romaitc poet

apne andaaz ka akela tha..

apne andaaz ka akela tha
is liye main bada akela tha

pyaar to janam ka akela tha
kya mera tajurba akela tha

saath tera na kuchh badal paaya
mera hi raasta akela tha

bakhshish-e-be-hisaab ke aage
mera dast-e-dua akela tha

teri samjhauta-baaz duniya mein
kaun mere siva akela tha

jo bhi milta gale laga leta
kis qadar aaina akela tha 
-------------------------------
अपने अंदाज़ का अकेला था
इस लिए मैं बड़ा अकेला था

प्यार तो जन्म का अकेला था
क्या मिरा तजरबा अकेला था

साथ तेरा न कुछ बदल पाया
मेरा ही रास्ता अकेला था

बख़्शिश-ए-बे-हिसाब के आगे
मेरा दस्त-ए-दुआ' अकेला था

तेरी समझौते-बाज़ दुनिया में
कौन मेरे सिवा अकेला था

जो भी मिलता गले लगा लेता
किस क़दर आइना अकेला था
Read more

kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhi..

kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhi
tujh se hi fasla rakhna tujhe apnaana bhi

kaisi aadaab-e-numaish ne lagaaiin shartein
phool hona hi nahin phool nazar aana bhi

dil ki bigdi hui aadat se ye ummeed na thi
bhool jaayega ye ik din tira yaad aana bhi

jaane kab shehar ke rishton ka badal jaaye mizaaj
itna aasaan to nahin laut ke ghar aana bhi

aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin
tera hona bhi nahin aur tira kahlaana bhi

khud ko pehchaan ke dekhe to zara ye dariya
bhool jaayega samundar ki taraf jaana bhi

jaanne waalon ki is bheed se kya hoga waseem
is mein ye dekhiye koi mujhe pahchaana bhi 
-----------------------------------------
कितना दुश्वार था दुनिया ये हुनर आना भी
तुझ से ही फ़ासला रखना तुझे अपनाना भी

कैसी आदाब-ए-नुमाइश ने लगाईं शर्तें
फूल होना ही नहीं फूल नज़र आना भी

दिल की बिगड़ी हुई आदत से ये उम्मीद न थी
भूल जाएगा ये इक दिन तिरा याद आना भी

जाने कब शहर के रिश्तों का बदल जाए मिज़ाज
इतना आसाँ तो नहीं लौट के घर आना भी

ऐसे रिश्ते का भरम रखना कोई खेल नहीं
तेरा होना भी नहीं और तिरा कहलाना भी

ख़ुद को पहचान के देखे तो ज़रा ये दरिया
भूल जाएगा समुंदर की तरफ़ जाना भी

जानने वालों की इस भीड़ से क्या होगा 'वसीम'
इस में ये देखिए कोई मुझे पहचाना भी
Read more

ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaari hai..

ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaari hai
is ek baat pe duniya se jang jaari hai

udaan waalo uraano pe waqt bhari hai
paron ki ab ke nahin hauslon ki baari hai

main qatra ho ke bhi toofaan se jang leta hoon
mujhe bachaana samundar ki zimmedaari hai

isee se jalte hain sehra-e-aarzoo mein charaagh
ye tishnagi to mujhe zindagi se pyaari hai

koi bataaye ye us ke ghuroor-e-beja ko
vo jang main ne ladi hi nahin jo haari hai

har ek saans pe pahra hai be-yaqeeni ka
ye zindagi to nahin maut ki sawaari hai

dua karo ki salaamat rahe meri himmat
ye ik charaagh kai aandhiyon pe bhari hai 
------------------------------------------
ये है तो सब के लिए हो ये ज़िद हमारी है
इस एक बात पे दुनिया से जंग जारी है

उड़ान वालो उड़ानों पे वक़्त भारी है
परों की अब के नहीं हौसलों की बारी है

मैं क़तरा हो के भी तूफ़ाँ से जंग लेता हूँ
मुझे बचाना समुंदर की ज़िम्मेदारी है

इसी से जलते हैं सहरा-ए-आरज़ू में चराग़
ये तिश्नगी तो मुझे ज़िंदगी से प्यारी है

कोई बताए ये उस के ग़ुरूर-ए-बेजा को
वो जंग मैं ने लड़ी ही नहीं जो हारी है

हर एक साँस पे पहरा है बे-यक़ीनी का
ये ज़िंदगी तो नहीं मौत की सवारी है

दुआ करो कि सलामत रहे मिरी हिम्मत
ये इक चराग़ कई आँधियों पे भारी है
Read more

shaam tak subh ki nazaron se utar jaate hain..

shaam tak subh ki nazaron se utar jaate hain
itne samjhauton pe jeete hain ki mar jaate hain

phir wahi talkhi-e-haalat muqaddar thehri
nashshe kaise bhi hon kuchh din mein utar jaate hain

ik judaai ka vo lamha ki jo marta hi nahin
log kahte the ki sab waqt guzar jaate hain

ghar ki girti hui deewarein hi mujh se achhi
raasta chalte hue log thehar jaate hain

ham to be-naam iraadon ke musaafir hain waseem
kuchh pata ho to bataayein ki kidhar jaate hain 
---------------------------------------------
शाम तक सुब्ह की नज़रों से उतर जाते हैं
इतने समझौतों पे जीते हैं कि मर जाते हैं

फिर वही तल्ख़ी-ए-हालात मुक़द्दर ठहरी
नश्शे कैसे भी हों कुछ दिन में उतर जाते हैं

इक जुदाई का वो लम्हा कि जो मरता ही नहीं
लोग कहते थे कि सब वक़्त गुज़र जाते हैं

घर की गिरती हुई दीवारें ही मुझ से अच्छी
रास्ता चलते हुए लोग ठहर जाते हैं

हम तो बे-नाम इरादों के मुसाफ़िर हैं 'वसीम'
कुछ पता हो तो बताएँ कि किधर जाते हैं
Read more

door se hi bas dariya dariya lagta hai..

door se hi bas dariya dariya lagta hai
doob ke dekho kitna pyaasa lagta hai

tanhaa ho to ghabraaya sa lagta hai
bheed mein us ko dekh ke achha lagta hai

aaj ye hai kal aur yahan hoga koi
socho to sab khel-tamasha lagta hai

main hi na maanoon mere bikharna mein warna
duniya bhar ko haath tumhaara lagta hai

zehan se kaaghaz par tasveer utarte hi
ek musavvir kitna akela lagta hai

pyaar ke is nashsha ko koi kya samjhe
thokar mein jab saara zamaana lagta hai

bheed mein rah kar apna bhi kab rah paata
chaand akela hai to sab ka lagta hai

shaakh pe baithi bholi-bhaali ik chidiya
kya jaane us par bhi nishaana lagta hai 
------------------------------------------
दूर से ही बस दरिया दरिया लगता है
डूब के देखो कितना प्यासा लगता है

तन्हा हो तो घबराया सा लगता है
भीड़ में उस को देख के अच्छा लगता है

आज ये है कल और यहाँ होगा कोई
सोचो तो सब खेल-तमाशा लगता है

मैं ही न मानूँ मेरे बिखरने में वर्ना
दुनिया भर को हाथ तुम्हारा लगता है

ज़ेहन से काग़ज़ पर तस्वीर उतरते ही
एक मुसव्विर कितना अकेला लगता है

प्यार के इस नश्शा को कोई क्या समझे
ठोकर में जब सारा ज़माना लगता है

भीड़ में रह कर अपना भी कब रह पाता
चाँद अकेला है तो सब का लगता है

शाख़ पे बैठी भोली-भाली इक चिड़िया
क्या जाने उस पर भी निशाना लगता है
Read more

mere gham ko jo apna bataate rahe..

mere gham ko jo apna bataate rahe
waqt padne pe haathon se jaate rahe

baarishen aayein aur faisla kar gaeein
log tooti chaten aazmaate rahe

aankhen manzar hui kaan naghma hue
ghar ke andaaz hi ghar se jaate rahe

shaam aayi to bichhde hue hum-safar
aansuon se in aankhon mein aate rahe

nanhe bacchon ne choo bhi liya chaand ko
boodhe baba kahaani sunaate rahe

door tak haath mein koi patthar na tha
phir bhi ham jaane kyun sar bachaate rahe

shaayri zahar thi kya karein ai waseem
log peete rahe ham pilaate rahe
---------------------------------
 मेरे ग़म को जो अपना बताते रहे
वक़्त पड़ने पे हाथों से जाते रहे

बारिशें आईं और फ़ैसला कर गईं
लोग टूटी छतें आज़माते रहे

आँखें मंज़र हुईं कान नग़्मा हुए
घर के अंदाज़ ही घर से जाते रहे

शाम आई तो बिछड़े हुए हम-सफ़र
आँसुओं से इन आँखों में आते रहे

नन्हे बच्चों ने छू भी लिया चाँद को
बूढ़े बाबा कहानी सुनाते रहे

दूर तक हाथ में कोई पत्थर न था
फिर भी हम जाने क्यूँ सर बचाते रहे

शाइरी ज़हर थी क्या करें ऐ 'वसीम'
लोग पीते रहे हम पिलाते रहे
Read more

mujhe to qatra hi hona bahut sataata hai..

mujhe to qatra hi hona bahut sataata hai
isee liye to samundar pe rehm aata hai

vo is tarah bhi meri ahmiyat ghataata hai
ki mujh se milne mein shartein bahut lagata hai

bichhadte waqt kisi aankh mein jo aata hai
tamaam umr vo aansu bahut rulaata hai

kahaan pahunch gai duniya use pata hi nahin
jo ab bhi maazi ke qisse sunaaye jaata hai

uthaaye jaayen jahaan haath aise jalse mein
wahi bura jo koi mas'ala uthaata hai

na koi ohda na degree na naam ki takhti
main rah raha hoon yahan mera ghar bataata hai

samajh raha ho kahi khud ko meri kamzori
to us se kah do mujhe bhoolna bhi aata hai 
-------------------------------------
मुझे तो क़तरा ही होना बहुत सताता है
इसी लिए तो समुंदर पे रहम आता है

वो इस तरह भी मिरी अहमियत घटाता है
कि मुझ से मिलने में शर्तें बहुत लगाता है

बिछड़ते वक़्त किसी आँख में जो आता है
तमाम उम्र वो आँसू बहुत रुलाता है

कहाँ पहुँच गई दुनिया उसे पता ही नहीं
जो अब भी माज़ी के क़िस्से सुनाए जाता है

उठाए जाएँ जहाँ हाथ ऐसे जलसे में
वही बुरा जो कोई मसअला उठाता है

न कोई ओहदा न डिग्री न नाम की तख़्ती
मैं रह रहा हूँ यहाँ मेरा घर बताता है

समझ रहा हो कहीं ख़ुद को मेरी कमज़ोरी
तो उस से कह दो मुझे भूलना भी आता है
Read more

kuchh itna khauf ka maara hua bhi pyaar na ho..

kuchh itna khauf ka maara hua bhi pyaar na ho
vo e'tibaar dilaae aur e'tibaar na ho

hawa khilaaf ho maujon pe ikhtiyaar na ho
ye kaisi zid hai ki dariya kisi se paar na ho

main gaav laut raha hoon bahut dinon ke baad
khuda kare ki use mera intizaar na ho

zara si baat pe ghut ghut ke subh kar dena
meri tarah bhi koi mera gham-gusaar na ho

dukhi samaaj mein aansu bhare zamaane mein
use ye kaun bataaye ki ashk-baar na ho

gunaahgaaron pe ungli uthaaye dete ho
waseem aaj kahi tum bhi sangsaar na ho 
--------------------------------------
कुछ इतना ख़ौफ़ का मारा हुआ भी प्यार न हो
वो ए'तिबार दिलाए और ए'तिबार न हो

हवा ख़िलाफ़ हो मौजों पे इख़्तियार न हो
ये कैसी ज़िद है कि दरिया किसी से पार न हो

मैं गाँव लौट रहा हूँ बहुत दिनों के बाद
ख़ुदा करे कि उसे मेरा इंतिज़ार न हो

ज़रा सी बात पे घुट घुट के सुब्ह कर देना
मिरी तरह भी कोई मेरा ग़म-गुसार न हो

दुखी समाज में आँसू भरे ज़माने में
उसे ये कौन बताए कि अश्क-बार न हो

गुनाहगारों पे उँगली उठाए देते हो
'वसीम' आज कहीं तुम भी संगसार न हो
Read more

chalo ham hi pehal kar den ki ham se bad-gumaan kyun ho..

chalo ham hi pehal kar den ki ham se bad-gumaan kyun ho
koi rishta zara si zid ki khaatir raayegaan kyun ho

main zinda hoon to is zinda-zameeri ki badaulat hi
jo bole tere lehje mein bhala meri zabaan kyun ho

sawaal aakhir ye ik din dekhna ham hi uthaayenge
na samjhe jo zameen ke gham vo apna aasmaan kyun ho

hamaari guftugoo ki aur bhi gaddaari bahut si hain
kisi ka dil dukhaane hi ko phir apni zabaan kyun ho

bikhar kar rah gaya hamsaayagi ka khwaab hi warna
diye is ghar mein raushan hon to us ghar mein dhuaan kyun ho

mohabbat aasmaan ko jab zameen karne ki zid thehri
to phir buzdil usoolon ki sharaafat darmiyaan kyun ho

ummeedein saari duniya se waseem aur khud mein aise gham
kisi pe kuchh na zaahir ho to koi meherbaan kyun ho
----------------------------------------------
 चलो हम ही पहल कर दें कि हम से बद-गुमाँ क्यूँ हो
कोई रिश्ता ज़रा सी ज़िद की ख़ातिर राएगाँ क्यूँ हो

मैं ज़िंदा हूँ तो इस ज़िंदा-ज़मीरी की बदौलत ही
जो बोले तेरे लहजे में भला मेरी ज़बाँ क्यूँ हो

सवाल आख़िर ये इक दिन देखना हम ही उठाएँगे
न समझे जो ज़मीं के ग़म वो अपना आसमाँ क्यूँ हो

हमारी गुफ़्तुगू की और भी सम्तें बहुत सी हैं
किसी का दिल दुखाने ही को फिर अपनी ज़बाँ क्यूँ हो

बिखर कर रह गया हमसायगी का ख़्वाब ही वर्ना
दिए इस घर में रौशन हों तो उस घर में धुआँ क्यूँ हो

मोहब्बत आसमाँ को जब ज़मीं करने की ज़िद ठहरी
तो फिर बुज़दिल उसूलों की शराफ़त दरमियाँ क्यूँ हो

उम्मीदें सारी दुनिया से 'वसीम' और ख़ुद में ऐसे ग़म
किसी पे कुछ न ज़ाहिर हो तो कोई मेहरबाँ क्यूँ हो
Read more

main ye nahin kehta ki mera sar na milega..

main ye nahin kehta ki mera sar na milega
lekin meri aankhon mein tujhe dar na milega

sar par to bithaane ko hai taiyyaar zamaana
lekin tire rahne ko yahan ghar na milega

jaati hai chali jaaye ye may-khaane ki raunaq
kam-zarfon ke haathon mein to saaghar na milega

duniya ki talab hai to qanaat hi na karna
qatre hi se khush ho to samundar na milega
-----------------------------------
मैं ये नहीं कहता कि मिरा सर न मिलेगा
लेकिन मिरी आँखों में तुझे डर न मिलेगा

सर पर तो बिठाने को है तय्यार ज़माना
लेकिन तिरे रहने को यहाँ घर न मिलेगा

जाती है चली जाए ये मय-ख़ाने की रौनक़
कम-ज़र्फ़ों के हाथों में तो साग़र न मिलेगा

दुनिया की तलब है तो क़नाअत ही न करना
क़तरे ही से ख़ुश हो तो समुंदर न मिलेगा
Read more