Waseem Barelavi Poetry

ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaari hai


ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaari hai

ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaari hai
is ek baat pe duniya se jang jaari hai

udaan waalo uraano pe waqt bhari hai
paron ki ab ke nahin hauslon ki baari hai

main qatra ho ke bhi toofaan se jang leta hoon
mujhe bachaana samundar ki zimmedaari hai

isee se jalte hain sehra-e-aarzoo mein charaagh
ye tishnagi to mujhe zindagi se pyaari hai

koi bataaye ye us ke ghuroor-e-beja ko
vo jang main ne ladi hi nahin jo haari hai

har ek saans pe pahra hai be-yaqeeni ka
ye zindagi to nahin maut ki sawaari hai

dua karo ki salaamat rahe meri himmat
ye ik charaagh kai aandhiyon pe bhari hai 
------------------------------------------
ये है तो सब के लिए हो ये ज़िद हमारी है
इस एक बात पे दुनिया से जंग जारी है

उड़ान वालो उड़ानों पे वक़्त भारी है
परों की अब के नहीं हौसलों की बारी है

मैं क़तरा हो के भी तूफ़ाँ से जंग लेता हूँ
मुझे बचाना समुंदर की ज़िम्मेदारी है

इसी से जलते हैं सहरा-ए-आरज़ू में चराग़
ये तिश्नगी तो मुझे ज़िंदगी से प्यारी है

कोई बताए ये उस के ग़ुरूर-ए-बेजा को
वो जंग मैं ने लड़ी ही नहीं जो हारी है

हर एक साँस पे पहरा है बे-यक़ीनी का
ये ज़िंदगी तो नहीं मौत की सवारी है

दुआ करो कि सलामत रहे मिरी हिम्मत
ये इक चराग़ कई आँधियों पे भारी है

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 218