apne andaaz ka akela tha.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 apne andaaz ka akela thais liye main bada akela thapyaar to janam ka akela thakya mera tajurba akela thasaath tera na kuchh badal paayamera hi raasta akela thabakhshish-e-be-hisaab ke aagemera dast-e-dua akela thateri samjhauta-baaz duniya meinkaun mere siva akela thajo bhi milta gale laga letakis qadar aaina akela tha -------------------------------अपने अंदाज़ का अकेला थाइस लिए मैं बड़ा अकेला थाप्यार तो जन्म का अकेला थाक्या मिरा तजरबा अकेला थासाथ तेरा न कुछ बदल पायामेरा ही रास्ता अकेला थाबख़्शिश-ए-बे-हिसाब के आगेमेरा दस्त-ए-दुआ' अकेला थातेरी समझौते-बाज़ दुनिया मेंकौन मेरे सिवा अकेला थाजो भी मिलता गले लगा लेताकिस क़दर आइना अकेला था Read more barelavi romaitc poet pashto music
kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhi.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 kitna dushwaar tha duniya ye hunar aana bhitujh se hi fasla rakhna tujhe apnaana bhikaisi aadaab-e-numaish ne lagaaiin sharteinphool hona hi nahin phool nazar aana bhidil ki bigdi hui aadat se ye ummeed na thibhool jaayega ye ik din tira yaad aana bhijaane kab shehar ke rishton ka badal jaaye mizaajitna aasaan to nahin laut ke ghar aana bhiaise rishte ka bharam rakhna koi khel nahintera hona bhi nahin aur tira kahlaana bhikhud ko pehchaan ke dekhe to zara ye dariyabhool jaayega samundar ki taraf jaana bhijaanne waalon ki is bheed se kya hoga waseemis mein ye dekhiye koi mujhe pahchaana bhi -----------------------------------------कितना दुश्वार था दुनिया ये हुनर आना भीतुझ से ही फ़ासला रखना तुझे अपनाना भीकैसी आदाब-ए-नुमाइश ने लगाईं शर्तेंफूल होना ही नहीं फूल नज़र आना भीदिल की बिगड़ी हुई आदत से ये उम्मीद न थीभूल जाएगा ये इक दिन तिरा याद आना भीजाने कब शहर के रिश्तों का बदल जाए मिज़ाजइतना आसाँ तो नहीं लौट के घर आना भीऐसे रिश्ते का भरम रखना कोई खेल नहींतेरा होना भी नहीं और तिरा कहलाना भीख़ुद को पहचान के देखे तो ज़रा ये दरियाभूल जाएगा समुंदर की तरफ़ जाना भीजानने वालों की इस भीड़ से क्या होगा 'वसीम'इस में ये देखिए कोई मुझे पहचाना भी Read more barelavi romaitc poet pashto music
ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaari hai.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 ye hai to sab ke liye ho ye zid hamaari haiis ek baat pe duniya se jang jaari haiudaan waalo uraano pe waqt bhari haiparon ki ab ke nahin hauslon ki baari haimain qatra ho ke bhi toofaan se jang leta hoonmujhe bachaana samundar ki zimmedaari haiisee se jalte hain sehra-e-aarzoo mein charaaghye tishnagi to mujhe zindagi se pyaari haikoi bataaye ye us ke ghuroor-e-beja kovo jang main ne ladi hi nahin jo haari haihar ek saans pe pahra hai be-yaqeeni kaye zindagi to nahin maut ki sawaari haidua karo ki salaamat rahe meri himmatye ik charaagh kai aandhiyon pe bhari hai ------------------------------------------ये है तो सब के लिए हो ये ज़िद हमारी हैइस एक बात पे दुनिया से जंग जारी हैउड़ान वालो उड़ानों पे वक़्त भारी हैपरों की अब के नहीं हौसलों की बारी हैमैं क़तरा हो के भी तूफ़ाँ से जंग लेता हूँमुझे बचाना समुंदर की ज़िम्मेदारी हैइसी से जलते हैं सहरा-ए-आरज़ू में चराग़ये तिश्नगी तो मुझे ज़िंदगी से प्यारी हैकोई बताए ये उस के ग़ुरूर-ए-बेजा कोवो जंग मैं ने लड़ी ही नहीं जो हारी हैहर एक साँस पे पहरा है बे-यक़ीनी काये ज़िंदगी तो नहीं मौत की सवारी हैदुआ करो कि सलामत रहे मिरी हिम्मतये इक चराग़ कई आँधियों पे भारी है Read more barelavi romaitc poet pashto music
shaam tak subh ki nazaron se utar jaate hain.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 shaam tak subh ki nazaron se utar jaate hainitne samjhauton pe jeete hain ki mar jaate hainphir wahi talkhi-e-haalat muqaddar thehrinashshe kaise bhi hon kuchh din mein utar jaate hainik judaai ka vo lamha ki jo marta hi nahinlog kahte the ki sab waqt guzar jaate hainghar ki girti hui deewarein hi mujh se achhiraasta chalte hue log thehar jaate hainham to be-naam iraadon ke musaafir hain waseemkuchh pata ho to bataayein ki kidhar jaate hain ---------------------------------------------शाम तक सुब्ह की नज़रों से उतर जाते हैंइतने समझौतों पे जीते हैं कि मर जाते हैंफिर वही तल्ख़ी-ए-हालात मुक़द्दर ठहरीनश्शे कैसे भी हों कुछ दिन में उतर जाते हैंइक जुदाई का वो लम्हा कि जो मरता ही नहींलोग कहते थे कि सब वक़्त गुज़र जाते हैंघर की गिरती हुई दीवारें ही मुझ से अच्छीरास्ता चलते हुए लोग ठहर जाते हैंहम तो बे-नाम इरादों के मुसाफ़िर हैं 'वसीम'कुछ पता हो तो बताएँ कि किधर जाते हैं Read more barelavi romaitc poet pashto music
door se hi bas dariya dariya lagta hai.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 door se hi bas dariya dariya lagta haidoob ke dekho kitna pyaasa lagta haitanhaa ho to ghabraaya sa lagta haibheed mein us ko dekh ke achha lagta haiaaj ye hai kal aur yahan hoga koisocho to sab khel-tamasha lagta haimain hi na maanoon mere bikharna mein warnaduniya bhar ko haath tumhaara lagta haizehan se kaaghaz par tasveer utarte hiek musavvir kitna akela lagta haipyaar ke is nashsha ko koi kya samjhethokar mein jab saara zamaana lagta haibheed mein rah kar apna bhi kab rah paatachaand akela hai to sab ka lagta haishaakh pe baithi bholi-bhaali ik chidiyakya jaane us par bhi nishaana lagta hai ------------------------------------------दूर से ही बस दरिया दरिया लगता हैडूब के देखो कितना प्यासा लगता हैतन्हा हो तो घबराया सा लगता हैभीड़ में उस को देख के अच्छा लगता हैआज ये है कल और यहाँ होगा कोईसोचो तो सब खेल-तमाशा लगता हैमैं ही न मानूँ मेरे बिखरने में वर्नादुनिया भर को हाथ तुम्हारा लगता हैज़ेहन से काग़ज़ पर तस्वीर उतरते हीएक मुसव्विर कितना अकेला लगता हैप्यार के इस नश्शा को कोई क्या समझेठोकर में जब सारा ज़माना लगता हैभीड़ में रह कर अपना भी कब रह पाताचाँद अकेला है तो सब का लगता हैशाख़ पे बैठी भोली-भाली इक चिड़ियाक्या जाने उस पर भी निशाना लगता है Read more barelavi romaitc poet pashto music
mere gham ko jo apna bataate rahe.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 mere gham ko jo apna bataate rahewaqt padne pe haathon se jaate rahebaarishen aayein aur faisla kar gaeeinlog tooti chaten aazmaate raheaankhen manzar hui kaan naghma hueghar ke andaaz hi ghar se jaate raheshaam aayi to bichhde hue hum-safaraansuon se in aankhon mein aate rahenanhe bacchon ne choo bhi liya chaand koboodhe baba kahaani sunaate rahedoor tak haath mein koi patthar na thaphir bhi ham jaane kyun sar bachaate raheshaayri zahar thi kya karein ai waseemlog peete rahe ham pilaate rahe--------------------------------- मेरे ग़म को जो अपना बताते रहेवक़्त पड़ने पे हाथों से जाते रहेबारिशें आईं और फ़ैसला कर गईंलोग टूटी छतें आज़माते रहेआँखें मंज़र हुईं कान नग़्मा हुएघर के अंदाज़ ही घर से जाते रहेशाम आई तो बिछड़े हुए हम-सफ़रआँसुओं से इन आँखों में आते रहेनन्हे बच्चों ने छू भी लिया चाँद कोबूढ़े बाबा कहानी सुनाते रहेदूर तक हाथ में कोई पत्थर न थाफिर भी हम जाने क्यूँ सर बचाते रहेशाइरी ज़हर थी क्या करें ऐ 'वसीम'लोग पीते रहे हम पिलाते रहे Read more barelavi romaitc poet pashto music
mujhe to qatra hi hona bahut sataata hai.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 mujhe to qatra hi hona bahut sataata haiisee liye to samundar pe rehm aata haivo is tarah bhi meri ahmiyat ghataata haiki mujh se milne mein shartein bahut lagata haibichhadte waqt kisi aankh mein jo aata haitamaam umr vo aansu bahut rulaata haikahaan pahunch gai duniya use pata hi nahinjo ab bhi maazi ke qisse sunaaye jaata haiuthaaye jaayen jahaan haath aise jalse meinwahi bura jo koi mas'ala uthaata haina koi ohda na degree na naam ki takhtimain rah raha hoon yahan mera ghar bataata haisamajh raha ho kahi khud ko meri kamzorito us se kah do mujhe bhoolna bhi aata hai -------------------------------------मुझे तो क़तरा ही होना बहुत सताता हैइसी लिए तो समुंदर पे रहम आता हैवो इस तरह भी मिरी अहमियत घटाता हैकि मुझ से मिलने में शर्तें बहुत लगाता हैबिछड़ते वक़्त किसी आँख में जो आता हैतमाम उम्र वो आँसू बहुत रुलाता हैकहाँ पहुँच गई दुनिया उसे पता ही नहींजो अब भी माज़ी के क़िस्से सुनाए जाता हैउठाए जाएँ जहाँ हाथ ऐसे जलसे मेंवही बुरा जो कोई मसअला उठाता हैन कोई ओहदा न डिग्री न नाम की तख़्तीमैं रह रहा हूँ यहाँ मेरा घर बताता हैसमझ रहा हो कहीं ख़ुद को मेरी कमज़ोरीतो उस से कह दो मुझे भूलना भी आता है Read more barelavi romaitc poet pashto music
kuchh itna khauf ka maara hua bhi pyaar na ho.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 kuchh itna khauf ka maara hua bhi pyaar na hovo e'tibaar dilaae aur e'tibaar na hohawa khilaaf ho maujon pe ikhtiyaar na hoye kaisi zid hai ki dariya kisi se paar na homain gaav laut raha hoon bahut dinon ke baadkhuda kare ki use mera intizaar na hozara si baat pe ghut ghut ke subh kar denameri tarah bhi koi mera gham-gusaar na hodukhi samaaj mein aansu bhare zamaane meinuse ye kaun bataaye ki ashk-baar na hogunaahgaaron pe ungli uthaaye dete howaseem aaj kahi tum bhi sangsaar na ho --------------------------------------कुछ इतना ख़ौफ़ का मारा हुआ भी प्यार न होवो ए'तिबार दिलाए और ए'तिबार न होहवा ख़िलाफ़ हो मौजों पे इख़्तियार न होये कैसी ज़िद है कि दरिया किसी से पार न होमैं गाँव लौट रहा हूँ बहुत दिनों के बादख़ुदा करे कि उसे मेरा इंतिज़ार न होज़रा सी बात पे घुट घुट के सुब्ह कर देनामिरी तरह भी कोई मेरा ग़म-गुसार न होदुखी समाज में आँसू भरे ज़माने मेंउसे ये कौन बताए कि अश्क-बार न होगुनाहगारों पे उँगली उठाए देते हो'वसीम' आज कहीं तुम भी संगसार न हो Read more barelavi romaitc poet pashto music
chalo ham hi pehal kar den ki ham se bad-gumaan kyun ho.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 chalo ham hi pehal kar den ki ham se bad-gumaan kyun hokoi rishta zara si zid ki khaatir raayegaan kyun homain zinda hoon to is zinda-zameeri ki badaulat hijo bole tere lehje mein bhala meri zabaan kyun hosawaal aakhir ye ik din dekhna ham hi uthaayengena samjhe jo zameen ke gham vo apna aasmaan kyun hohamaari guftugoo ki aur bhi gaddaari bahut si hainkisi ka dil dukhaane hi ko phir apni zabaan kyun hobikhar kar rah gaya hamsaayagi ka khwaab hi warnadiye is ghar mein raushan hon to us ghar mein dhuaan kyun homohabbat aasmaan ko jab zameen karne ki zid thehrito phir buzdil usoolon ki sharaafat darmiyaan kyun hoummeedein saari duniya se waseem aur khud mein aise ghamkisi pe kuchh na zaahir ho to koi meherbaan kyun ho---------------------------------------------- चलो हम ही पहल कर दें कि हम से बद-गुमाँ क्यूँ होकोई रिश्ता ज़रा सी ज़िद की ख़ातिर राएगाँ क्यूँ होमैं ज़िंदा हूँ तो इस ज़िंदा-ज़मीरी की बदौलत हीजो बोले तेरे लहजे में भला मेरी ज़बाँ क्यूँ होसवाल आख़िर ये इक दिन देखना हम ही उठाएँगेन समझे जो ज़मीं के ग़म वो अपना आसमाँ क्यूँ होहमारी गुफ़्तुगू की और भी सम्तें बहुत सी हैंकिसी का दिल दुखाने ही को फिर अपनी ज़बाँ क्यूँ होबिखर कर रह गया हमसायगी का ख़्वाब ही वर्नादिए इस घर में रौशन हों तो उस घर में धुआँ क्यूँ होमोहब्बत आसमाँ को जब ज़मीं करने की ज़िद ठहरीतो फिर बुज़दिल उसूलों की शराफ़त दरमियाँ क्यूँ होउम्मीदें सारी दुनिया से 'वसीम' और ख़ुद में ऐसे ग़मकिसी पे कुछ न ज़ाहिर हो तो कोई मेहरबाँ क्यूँ हो Read more barelavi romaitc poet pashto music
main ye nahin kehta ki mera sar na milega.. byWaseem Barelavi December 5, 2024 main ye nahin kehta ki mera sar na milegalekin meri aankhon mein tujhe dar na milegasar par to bithaane ko hai taiyyaar zamaanalekin tire rahne ko yahan ghar na milegajaati hai chali jaaye ye may-khaane ki raunaqkam-zarfon ke haathon mein to saaghar na milegaduniya ki talab hai to qanaat hi na karnaqatre hi se khush ho to samundar na milega-----------------------------------मैं ये नहीं कहता कि मिरा सर न मिलेगालेकिन मिरी आँखों में तुझे डर न मिलेगासर पर तो बिठाने को है तय्यार ज़मानालेकिन तिरे रहने को यहाँ घर न मिलेगाजाती है चली जाए ये मय-ख़ाने की रौनक़कम-ज़र्फ़ों के हाथों में तो साग़र न मिलेगादुनिया की तलब है तो क़नाअत ही न करनाक़तरे ही से ख़ुश हो तो समुंदर न मिलेगा Read more barelavi romaitc poet pashto music