religious poet

Maqrooz Ke Bigray Huye Halaat Ki Maanind..

मक़रूज़ के बिगड़े हुए ख़यालात की मानिंद
मज़बूर के होठों के सवालात की मानिंद

दिल का तेरी चाहत में अजब हाल हुआ है
सैलाब से बर्बाद मकानात की मानिंद

मैं उस में भटकते हुए जुगनू की तरह हूँ
उस शख्स की आँख हैं किसी रात की मानिंद

दिल रोज़ सजाता हूँ मैं दुल्हन की तरह से
ग़म रोज़ चले आते हैं बारात की मानिंद

अब ये भी नहीं याद के क्या नाम था उसका
जिस शख्स को माँगा था मुनाजात की मानिंद

किस दर्जा मुकद्दस है तेरे क़ुर्ब की ख्वाहिश
मासूम से बच्चे के ख़यालात की मानिंद

उस शख्स से मेरा मिलना मुमकिन ही नहीं था
मैं प्यास का सेहरा हूँ वो बरसात की मानिंद

समझाओ 'मोहसिन' उसको के अब तो रहम करे
ग़म बाँटता फिरता है वो सौगात की मानिंद

------------------------------------

Maqrooz Ke Bigray Huye Halaat Ki Maanind
Majboor Ke Honton Pe Sawaalaat Ki Maanind

Dil Ka Teri Chaahat Mein Ajab Haal Hua Hai
Sailaab Se Barbaad Makaanaat Ki Maanind

Mein Un Mein Bhatkay Howay Jugnu Ki Tarah Hun
Usss Shakhs Ki Aankhain Hain Kisi Raat Ki Maanind

Dil Roz Sajaata Hun Mein Dulhan Ki Tarah
Gham Roz Chalay Aatay Hain Baaraat Ki Maanind

Ab Ye Bhi Nahi Yaad Ke Kya Naam Tha Os Ka
Jis Shakhs Ko Maanga Tha Manaajaat Ki Maanind

Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khwaahish
Maasoom Se Bachay Ke Khayaalaat Ki Maanind

Uss Shakhs Se Mera Milna Mumkin Hi Nahi
Mein Pyaas Ka Sehra Hun Wo Barsaat Ki Maanind

Samjhao Mohsin Us Ko Ke Ab Reham Kare
Dukh Baant’ta Phirta Hai Woh Soghaat Ki Maanind
Read more

Wohi Qissay Hain Wohi Baat Purani Apni..

Wohi Qissay Hain Wohi Baat Purani Apni
Kon Suntan Hai Bhala Raam Kahani Apni
 
Har Sitamgar Ko Yeh Hamdard Samajh Leti Hai
Kitni Khush Feham Hai Kambakht Jawani Apni
 
Roz Miltey Hein Dareechay Mein Naey Phool Khiley
Chorr Jata Hai Koi Roz Nishani Apni
 
Tujhse Bichrrey Hein Tou Paya Hai Bayabaa’n Ka Sakoot
Warna Daryao’n Se Milti Thi Rawani Apni
 
Qeht-E-Pindaar Ka Mosam Hai Sunehray Logo
Kuch Taiz Karo Ab K Giraani Apni
 
Dushmano Se He Ab Gham-E-Dil Ka Madava Mangey
Doston Ne Tou Koi Baat Na Maani Apni
 
Aaj Phir Chaand Ufaq Par Nahi Ubhra Mohsin
Aaj Phir Raat Na Guzrey Gi Suhani Apni.
Read more