18th century poet

Arzuen hazar rakhte hain..

arzuen hazar rakhte hain
to bhi ham dil ko maar rakhte hain

barq kam-hausla hai ham bhi to
dilak-e-be-qarar rakhte hain

ghair hi maurid-e-inayat hai
ham bhi to tum se pyaar rakhte hain

na nigah ne payam ne vaada
naam ko ham bhi yaar rakhte hain

ham se ḳhush-zamzama kahan yuun to
lab o lahja hazar rakhte hain

choTTe dil ke hain butan mashhur
bas yahi e'tibar rakhte hain

phir bhi karte hain 'mir' sahab ishq
hain javan iḳhtiyar rakhte hain
-----------------------------------
आऱ्ज़ुएँ हज़ार रखते हैं
तो भी हम दिल को मार रखते हैं

बर्क कम-हौसला है हम भी तो
दिलक-ए-बे-करार रखते हैं

ग़ैर ही मुअरिद-ए-इनायत है
हम भी तो तुम से प्यार रखते हैं

ना निगाह ने पैगाम ने वादा
नाम को हम भी यार रखते हैं

हम से ख़ुश-ज़मज़मा कहाँ यूँ तो
लब ओ लहजा हज़ार रखते हैं

छोटे दिल के हैं बुतां मशहूर
बस यही एतिबार रखते हैं

फिर भी करते हैं 'मीर' साहब इश्क़
हैं जवां इख़्तियार रखते हैं


Read more