1- Falak pe chand ke haale bhi sog karte hain
Jo tu nahi to ujale bhi sog karte hain
Tumhare haath ki choodi bhi bain karti hai
Hamare hont ke taale bhi sog karte hain
Nagar nagar mein woh bikhre hain zulm ke manzar
Hamari rooh ke chale bhi sog karte hain
Use kaho ke sitam mein woh kuch kami kar de
Ke zulm todne wale bhi sog karte hain
Tum apne dukh pe akele nahi ho afsorda
Tumhare chahne wale bhi sog karte hain
2- Maan le ab bhi meri jaan-e-ada dard na chun
Kaam aati nahi phir koi dua dard na chun
Aur kuch der mein mujh ko chale jana hoga
Aur kuch der mujhe khwab dikha dard na chun
Ek bhi dard na kam hoga kai sadiyon mein
Ab bhi kehta hoon tujhe waqt bacha dard na chun
Woh jo likha hai kisi taur nahi tal sakta
Aa mere dil mein koi deep jala dard na chun
Main tere lams se mehroom na rah jaun kahin
Aakhri baar mujhe khud se laga dard na chun
Ab to ye reshmi poren bhi chhidi jaati hain
Khud ko ab bakhsh bhi de zulm na dha dard na chun
Ye nahi honge to khaya nahi ho jaunga main
Mere zakhmon se koi geet bana dard na chun
Kuch na dega ye masail se ulajhte rehna
Chhod sab kuch meri baanhon mein sama dard na chun
3- Qalam ho teg ho tesha ki dhaal mat cheeno
Kabhi kisi se kisi ka kamaal mat cheeno
Khushi isi mein agar hai to har khushi le lo
Ye dukh ye dard ye huzn-o-malaal mat cheeno
Isi khalish ke sabab phir mujhe ubharna hai
Khuda ke wastay ahad-e-zawal mat cheeno
Main chhod sakta nahi saath istiqamat ka
Meri azaan se josh-e-bilal mat cheeno
Abhi kitaab na cheeno tum in ke haathon se
Hamare bachon ka husn-o-jamaal mat cheeno
Hamari aankh mein yaadon ke zakhm rehne do
Hamare haath se phoolon ki daal mat cheeno
Abhi bujhao na candle na cake kato abhi
Kuch aur der mera pichhla saal mat cheeno
4- Meri wafa ne khilaye the jo gulaab saare jhulas gaye hain
Tumhari aankhon mein jis kadar the woh khwab saare jhulas gaye hain
Meri zameen ko kisi naye haadise ka hai intezaar shayad
Gunaah phalne lage hain ajr-o-sawab saare jhulas gaye hain
Jo tum gaye to meri nazar pe haqeeqaton ke azaab utre
Ye sochta hoon ke kya karunga saraab saare jhulas gaye hain
Ye mojza sirf ek shab ki masafaton ke sabab hua hai
Tumhare aur mere darmiyan ke hijaab saare jhulas gaye hain
Use batana ke us ki yaadon ke saare safhe jala chuka hoon
Kitaab-e-dil mein raqam the jitne woh baab saare jhulas gaye hain
Nazar uthaoon main jis taraf bhi muheeb saaye hain zulmaton ke
Ye kya ke mere naseeb ke mahtaab saare jhulas gaye hain
Tumhari nazron ki ye tapish hai ke mere lafzon pe aabale hain
Sawaal saare jhulas gaye hain jawaab saare jhulas gaye hain
Ye aag khamoshiyon ki kaisi tumhari aankhon mein tairti hai
Tumhare honton pe darj the jo nisab saare jhulas gaye hain
5-Gham ki is sil ko kabhi bhi na samajh paayegi
Tu mere dil ko kabhi bhi na samajh paayegi
Mujh ko tasleem teri saari zeehanat lekin
Mujh se jahil ko kabhi bhi na samajh paayegi
Pooch le mujh se haqeeqat tu warna apne
Aankh ke til ko kabhi bhi na samajh paayegi
Bin mohabbat ke tu hansti hui in aankhon ki
Bheegi jhilmil ko kabhi bhi na samajh paayegi
Zindagi khud bhi tujhe marna padega warna
Mere qatil ko kabhi bhi na samajh paayegi
--------------------------------------
1- फ़लक पे चाँद के हाले भी सोग करते हैं
जो तू नहीं तो उजाले भी सोग करते हैं
तुम्हारे हाथ की चूड़ी भी बैन करती है
हमारे होंट के ताले भी सोग करते हैं
नगर नगर में वो बिखरे हैं ज़ुल्म के मंज़र
हमारी रूह के छाले भी सोग करते हैं
उसे कहो कि सितम में वो कुछ कमी कर दे
कि ज़ुल्म तोड़ने वाले भी सोग करते हैं
तुम अपने दुख पे अकेले नहीं हो अफ़्सुर्दा
तुम्हारे चाहने वाले भी सोग करते हैं
2- मान ले अब भी मिरी जान-ए-अदा दर्द न चुन
काम आती नहीं फिर कोई दुआ दर्द न चुन
और कुछ देर में मुझ को चले जाना होगा
और कुछ देर मुझे ख़्वाब दिखा दर्द न चुन
एक भी दर्द न कम होगा कई सदियों में
अब भी कहता हूँ तुझे वक़्त बचा दर्द न चुन
वो जो लिक्खा है किसी तौर नहीं टल सकता
आ मिरे दिल में कोई दीप जला दर्द न चुन
मैं तिरे लम्स से महरूम न रह जाऊँ कहीं
आख़िरी बार मुझे ख़ुद से लगा दर्द न चुन
अब तो ये रेशमी पोरें भी छिदी जाती हैं
ख़ुद को अब बख़्श भी दे ज़ुल्म न ढह दर्द न चुन
ये नहीं होंगे तो खाए नहीं हो जाऊँगा मैं
मेरे ज़ख़्मों से कोई गीत बना दर्द न चुन
कुछ न देगा ये मसाइल से उलझते रहना
छोड़ सब कुछ मिरी बाँहों में समा दर्द न चुन
3- क़लम हो तेग़ हो तेशा कि ढाल मत छीनो
कभी किसी से किसी का कमाल मत छीनो
ख़ुशी इसी में अगर है तो हर ख़ुशी ले लो
ये दुख ये दर्द ये हुज़्न-ओ-मलाल मत छीनो
इसी ख़लिश के सबब फिर मुझे उभरना है
ख़ुदा के वास्ते अहद-ए-ज़वाल मत छीनो
मैं छोड़ सकता नहीं साथ इस्तक़ामत का
मिरी अज़ान से जोश-ए-बिलाल मत छीनो
अभी किताब न छीनो तुम इन के हाथों से
हमारे बच्चों का हुस्न-ओ-जमाल मत छीनो
हमारी आँख में यादों के ज़ख़्म रहने दो
हमारे हाथ से फूलों की डाल मत छीनो
अभी बुझाओ न कैंडल न केक काटो अभी
कुछ और देर मिरा पिछ्ला साल मत छीनो
4- मरी वफ़ा ने खिलाए थे जो गुलाब सारे झुलस गए हैं
तुम्हारी आँखों में जिस क़दर थे वो ख़्वाब सारे झुलस गए हैं
मरी ज़मीं को किसी नए हादसे का है इंतिज़ार शायद
गुनाह फलने लगे हैं अज्र ओ सवाब सारे झुलस गए हैं
जो तुम गए तो मिरी नज़र पे हक़ीक़तों के अज़ाब उतरे
ये सोचता हूँ कि क्या करूँगा सराब सारे झुलस गए हैं
ये मो'जिज़ा सिर्फ़ एक शब की मसाफ़तों के सबब हुआ है
तुम्हारे और मेरे दरमियाँ के हिजाब सारे झुलस गए हैं
उसे बताना कि उस की यादों के सारे सफ़्हे जला चुका हूँ
किताब-ए-दिल में रक़म थे जितने वो बाब सारे झुलस गए हैं
नज़र उठाऊँ मैं जिस तरफ़ भी मुहीब साए हैं ज़ुल्मतों के
ये क्या कि मेरे नसीब के माहताब सारे झुलस गए हैं
तुम्हारी नज़रों की ये तपिश है कि मेरे लफ़्ज़ों पे आबले हैं
सवाल सारे झुलस गए हैं जवाब सारे झुलस गए हैं
ये आग ख़ामोशियों की कैसी तुम्हारी आँखों में तैरती है
तुम्हारे होंटों पे दर्ज थे जो निसाब सारे झुलस गए हैं
5- ग़म की इस सिल को कभी भी न समझ पाएगी
तू मिरे दिल को कभी भी न समझ पाएगी
मुझ को तस्लीम तिरी सारी ज़ेहानत लेकिन
मुझ से जाहिल को कभी भी न समझ पाएगी
पूछ ले मुझ से हक़ीक़त तू वगर्ना अपने
आँख के तिल को कभी भी न समझ पाएगी
बिन मोहब्बत के तू हँसती हुई इन आँखों की
भीगी झिलमिल को कभी भी न समझ पाएगी
ज़िंदगी ख़ुद भी तुझे मरना पड़ेगा वर्ना
मेरे क़ातिल को कभी भी न समझ पाएगी