malaal hai magar itna malaal thodi hai.. byParveen Shakir November 21, 2024 malaal hai magar itna malaal thodi haiye aankh rone kii shiddat se laal thodi haibas apne vaaste hi fikr-mand hain sab logyahan kisi ko kisi ka khayal thodi haiparon ko kaat diya hai udaan se pehleye khauf-e-hijr hai shauq-e-visaal thodi haimaza to tab hai ki tum haar ke bhi hanste rahohamesha jeet hi jaana kamaal thodi hailagaani padtii hai dubki ubharne se pehleghuroob hone ka matlab zawaal thodi hai ------------------------------------मलाल है मगर इतना मलाल थोड़ी हैये आँख रोने की शिद्दत से लाल थोड़ी हैबस अपने वास्ते ही फ़िक्र-मंद हैं सब लोगयहाँ किसी को किसी का ख़याल थोड़ी हैपरों को काट दिया है उड़ान से पहलेये ख़ौफ़-ए-हिज्र है शौक़-ए-विसाल थोड़ी हैमज़ा तो तब है कि तुम हार के भी हँसते रहोहमेशा जीत ही जाना कमाल थोड़ी हैलगानी पड़ती है डुबकी उभरने से पहलेग़ुरूब होने का मतलब ज़वाल थोड़ी है Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
ik khat mujhe likhna hai.. byAli Zaryoun November 19, 2024 ik khat mujhe likhna haidilli mein base dil koik din mujhe chakhna haikhaaja teri nagri kakhusro teri chaukhat seik shab mujhe peeni haisheereeni sukhanvaalikhushboo ae watan waalighalib tere markad koik sher sunaana haiik saanwali rangat kochupke se bataana haimain dil bhi hoon dilli bhiurdu bhi hoon hindi bhiik khat mujhe likhna haimumkin hai kabhi likkhoonmumkin hai abhi likkhoon---------------------------------इक ख़त मुझे लिखना हैदिल्ली में बसे दिल कोइक दिन मुझे चखना हैखाजा तेरी नगरी काखुसरो तेरी चौखट सेइक शब मुझे पीनी हैशीरीनी सुख़नवालीखुशबू ए वतन वालीग़ालिब तेरे मरकद कोइक शेर सुनाना हैइक सांवली रंगत कोचुपके से बताना हैमैं दिल भी हूँ दिल्ली भीउर्दू भी हूँ हिन्दी भीइक ख़त मुझे लिखना हैमुमकिन है कभी लिक्खूँमुमकिन है अभी लिक्खूँ Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
main ishq alast parast hoon.. byAli Zaryoun November 19, 2024 main ishq alast parast hoonkholoon roohon ke bhedmera naam sunhara saanwaraek sundarta ka vedmain khurchu nakhoon shauk seek shabd bhari deewaarvo shabd bhari deewaar haiye rang saja sansaarhai 114 soorate bas ik soorat ka noorvo soorat sone yaar kijo ahsan aur bharpoorman mukt hua har lobh seab kya chinta kya dukhrahe hardam yaar nigaah meinmere nainan sukh hi sukhye ped parinde titliyaanmeri rooh ke saaye hainye jitne ghaayal log hainmere maa-jaaye haimeri aankh kalander qaadrimera seena hai bagdaadmera maatha din ajmer kadil paak patan aabaadmain ab apna avtaar hoonmain ab apni pehchaanmain din dharm se maavramain hoon hazrat insaan ----------------------मैं इश्क अलस्त परस्त हूंखोलूं रूहों के भेदमेरा नाम सुनहरा सांवराएक सुंदरता का वेदमैं खुरचु नाखुने शौक सेएक शब्द भरी दीवारवो शब्द भरी दीवार हैये रंग सजा संसारहै 114 सूरते बस इक सूरत का नूरवो सूरत सोने यार कीजो अहसन और भरपूरमन मुक्त हुआ हर लोभ सेअब क्या चिंता क्या दुखरहे हरदम यार निगाह मेंमेरे नैनन सुख ही सुखये पेड़, परिंदे, तितलियांमेरी रूह के साए हैंये जितने घायल लोग हैंमेरे माँ-जाये हैमेरी आंख कलंदर कादरीमेरा सीना है बगदादमेरा माथा दिन अजमेर कादिल पाक पतन आबादमैं अब अपना अवतार हूंमैं अब अपनी पहचानमैं दिन धर्म से मावरामैं हूं हजरत इन्सान Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
mard-e-mohabbat.. byAli Zaryoun November 19, 2024 mard-e-mohabbatus ki dictionary mein mard ka matlab na-mard likha hua haikhush-qismat mard aur auratein ek doosre ke dil ki pasand hote hainuski bad-qismati ki poshaak par sab se bada daagh yahi hai ke vo kuchh na-mardon ke niche hisse ko pasand haisivaae ek mard kesivaae ek shakhs keuse kisi mard ke dil ne nahin chaahajis ne use us lamhe bhi sirf dekhajo lamha mard aur na-mard hone ka faisla kar diya karta haimard apni mohabbat ke liye be-shumaar nazmein likh saka haimagar ek baar bhi apni mohabbat ko gaali nahin de sakabhale uski mahbooba jism-farosh hi kyun na homard ke liye devi hoti haiazeem ladkiyon aur izzat mand mardon ke dil salaamat raheinjo dhoke ki talwaaron se kaat diye gayemagar apni mohabbat ki be-hurmati par taiyaar na huaek mard ka lahu-luhaan dil jise bad-dua ki poori ijaazat haivo phir bhi dua mein yahi kehta haimaula use uske naam ka saaya naseeb karvo samajh sake ki mohabbat aur mard ki meem ek hi mitti se bani haimohabbat aur mard ke saath huroof mil kar saath banaate hainlekin use ye ramz koi mard hi bata saka haiuski dictionary aur zindagi mein koi mard nahin hai ---------------------------------------------------मर्द-ए-मोहब्बतउस की डिक्शनरी में मर्द का मतलब "ना-मर्द" लिखा हुआ हैख़ुश-क़िस्मत मर्द और औरतें एक दूसरे के दिल की पसंद होते हैंउसकी बद-क़िस्मती की पोशाक पर सब से बड़ा दाग़ यही है के वो कुछ ना-मर्दों के निचले हिस्से को पसंद है!सिवाए एक मर्द केसिवाए एक शख़्स केउसे किसी मर्द के दिल ने नहीं चाहाजिस ने उसे उस लम्हें भी सिर्फ़ देखाजो लम्हा मर्द और ना-मर्द होने का फ़ैसला कर दिया करता हैमर्द अपनी मोहब्बत के लिए बे-शुमार नज़्में लिख सकता हैमगर एक बार भी अपनी मोहब्बत को गाली नहीं दे सकताभले उसकी महबूबा जिस्म-फ़रोश ही क्यों ना होमर्द के लिए देवी होती हैअज़ीम लड़कियों और इज़्ज़त मंद मर्दों के दिल सलामत रहेंजो धोके की तलवारों से काट दिए गएमगर अपनी मोहब्बत की बे-हुर्मती पर तैयार न हुआएक मर्द का लहू-लुहान दिल जिसे बद-दुआ की पूरी इजाज़त हैवो फिर भी दुआ में यही कहता हैमौला उसे उसके नाम का साया नसीब करवो समझ सके कि मोहब्बत और मर्द की "मीम" एक ही मिट्टी से बनी हैमोहब्बत और मर्द के सात हुरूफ़ मिल कर "साथ" बनाते हैंलेकिन उसे ये रम्ज़ कोई मर्द ही बता सकता हैउसकी डिक्शनरी और ज़िन्दगी में कोई मर्द नहीं है Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
dost ke naam khat.. byAli Zaryoun November 19, 2024 dost ke naam khattumne haal poocha haihaalat-e-mohabbat meinhaal ka bataana kyadil sisak raha ho tozakham ka chhupaana kyatum jo pooch baithe hokuchh to ab bataana haibaat ek bahaana haitumne haal poocha haiik diya jalata hoontheek hai bataata hoonroz uski yaadon meindoor tak chale jaanajo bhi tha kaha usneapne saath dohraanasaans jab ruke to phirapni marti aankhon meinuski shakl le aanaaur zindagi paanaroz aise hota haikuchh purane message hainjinmein uski baatein hainkuchh tabeel subhe hainkuchh qadeem raatein hainmaine uski baaton meinzindagi guzaari haizindagi mitaane kahausla nahin mujhmeinek ek lafz uskasaans mein pirooya hairooh mein samoya haiuske jitne message hairoz khol leta hoonusse kah nahin paatakhud se bol leta hoonuske pej par ja karroz dekhta hoon mainaaj kitne logon neuski pairavi ki haiaur sochta hoon mainye naseeb waale hainusko dekh sakte hainusse baat karte hainye ijaazaton waalemujhse kitne behtar hainmain to daagh tha koijo mita diya usnegar mita diya usnetheek hi kiya usnetumne haal poocha thalo bata diya mainejo bhi kuchh bataaya haiusko mat bata denapadh ke ro paro to phirin tamaam lafzon kobas gale laga lenavo meri mohabbat haiaur sada rahegi vojab nahin rahoonga toek din kahegi votum ali faqat tum thejisne mujhko chaaha thajisne mere maathe kochoom kar bataaya thatum dua ka chehra hotum haya ka pahra homain to tab nahin hoongapar meri sabhi nazmeinuski baat sun lengetum bhi muskuraa denaphir bahut mohabbat seusko sab bata denauske narm haathon meinmera khat thama denalo ye khat tumhaara haiaur uski jaanib sevo jo bas tumhaara thaaaj bhi tumhaara hai-----------------------"दोस्त के नाम ख़त"तुमने हाल पूछा हैहालत-ए-मोहब्बत मेंहाल का बताना क्या!दिल सिसक रहा हो तोज़ख़्म का छुपाना क्या!तुम जो पूछ बैठे होकुछ तो अब बताना हैबात एक बहाना हैतुमने हाल पूछा हैइक दिया जलाता हूँठीक है बताता हूँरोज़ उसकी यादों मेंदूर तक चले जानाजो भी था कहा उसनेअपने साथ दोहरानासाँस जब रुके तो फिरअपनी मरती आँखों मेंउसकी शक्ल ले आनाऔर ज़िन्दगी पानारोज़ ऐसे होता हैकुछ पुराने मैसेज हैंजिनमें उसकी बातें हैंकुछ तबील सुबहे हैंकुछ क़दीम रातें हैंमैंने उसकी बातों मेंज़िन्दगी गुज़ारी हैज़िन्दगी मिटाने काहौसला नहीं मुझमेंएक एक लफ़्ज़ उसकासाँस में पिरोया है,रूह में समोया हैउसके जितने मैसेज हैरोज़ खोल लेता हूँउससे कह नहीं पाताख़ुद से बोल लेता हूँउसके पेज पर जा कररोज़ देखता हूँ मैंआज कितने लोगों नेउसकी पैरवी की हैऔर सोचता हूँ मैंये नसीब वाले हैंउसको देख सकते हैंउससे बात करते हैंये इजाज़तों वालेमुझसे कितने बेहतर हैंमैं तो दाग़ था कोईजो मिटा दिया उसनेगर मिटा दिया उसनेठीक ही किया उसने,तुमने हाल पूछा थालो बता दिया मैंनेजो भी कुछ बताया हैउसको मत बता देनापढ़ के रो पड़ो तो फिरइन तमाम लफ़्ज़ों कोबस गले लगा लेना,वो मेरी मोहब्बत हैऔर सदा रहेगी वोजब नहीं रहूँगा तोएक दिन कहेगी वोतुम अली फ़क़त तुम थेजिसने मुझको चाहा थाजिसने मेरे माथे कोचूम कर बताया थातुम दुआ का चेहरा होतुम हया का पहरा होमैं तो तब नहीं हूँगापर मेरी सभी नज़्मेंउसकी बात सुन लेंगीतुम भी मुस्कुरा देनाफिर बहुत मोहब्बत सेउसको सब बता देनाउसके नर्म हाथों मेंमेरा ख़त थमा देनालो ये ख़त तुम्हारा हैऔर उसकी जानिब सेवो जो बस तुम्हारा थाआज भी तुम्हारा है Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
shaahsaazi mein riayaat bhi nahi karte ho.. byAli Zaryoun November 19, 2024 shaahsaazi mein riayaat bhi nahi karte hosaamne aake hukoomat bhi nahi karte hotumse kya baat kare kaun kahaan qatl huatum to is zulm pe hairat bhi nahi karte hoab mere haal pe kyun tumko pareshaani haiab to tum mujhse muhabbat bhi nahi karte hopyaar karne ki sanad kaise tumhe jaari karoontum abhi theek se nafrat bhi nahi karte homashvare hans ke diya karte the deewaanon kokya hua ab to naseehat bhi nahi karte ho------------------------------------शाहसाज़ी में रियायत भी नही करते होसामने आके हुकूमत भी नही करते होतुमसे क्या बात करे कौन कहाँ क़त्ल हुआतुम तो इस ज़ुल्म पे हैरत भी नही करते होअब मेरे हाल पे क्यों तुमको परेशानी हैअब तो तुम मुझसे मुहब्बत भी नही करते होप्यार करने की सनद कैसे तुम्हे जारी करूँतुम अभी ठीक से नफ़रत भी नही करते होमश्वरे हँस के दिया करते थे दीवानों कोक्या हुआ अब तो नसीहत भी नही करते हो Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
tum jo kahte ho sunoonga jo pukaaroge mujhe.. byAli Zaryoun November 19, 2024 tum jo kahte ho sunoonga jo pukaaroge mujhejaanta hoon ki tum hi gher ke maaroge mujhemain bhi ik shakhs pe ik shart laga baitha thatum bhi ik roz isee khel mein haaroge mujheeed ke din ki tarah tumne mujhe zaaya kiyamain samajhta tha muhabbat se guzaaroge mujhe ------------------------------------तुम जो कहते हो सुनूँगा जो पुकारोगे मुझेजानता हूँ कि तुम ही घेर के मारोगे मुझेमैं भी इक शख़्स पे इक शर्त लगा बैठा थातुम भी इक रोज़ इसी खेल में हारोगे मुझेईद के दिन की तरह तुमने मुझे ज़ाया कियामैं समझता था मुहब्बत से गुज़ारोगे मुझे Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
jis tarah waqt guzarne ke liye hota hai.. byAli Zaryoun November 19, 2024 jis tarah waqt guzarne ke liye hota haiaadmi shakl pe marne ke liye hota haiteri aankhon se mulaqaat hui tab ye khuladoobne waala ubharne ke liye hota haiishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaanhusn to khair mukarne ke liye hota haiaankh hoti hai kisi raah ko takne ke liyedil kisi paanv pe dharne ke liye hota haidil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahabjab bhi hota hai ye harne ke liye hota haikoi basti ho ujhadne ke liye basti haikoi mazma ho bikharna ke liye hota hai -------------------------------------जिस तरह वक़्त गुज़रने के लिए होता हैआदमी शक्ल पे मरने के लिए होता हैतेरी आँखों से मुलाक़ात हुई तब ये खुलाडूबने वाला उभरने के लिए होता हैइश्क़ क्यूँ पीछे हटा बात निभाने से मियाँहुस्न तो ख़ैर मुकरने के लिए होता हैआँख होती है किसी राह को तकने के लिएदिल किसी पाँव पे धरने के लिए होता हैदिल की दिल्ली का चुनाव ही अलग है साहबजब भी होता है ये हरने के लिए होता हैकोई बस्ती हो उजड़ने के लिए बसती हैकोई मज़मा हो बिखरने के लिए होता है Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
paagal kaise ho jaate hain.. byAli Zaryoun November 19, 2024 paagal kaise ho jaate haindekho aise ho jaate hainkhwaabon ka dhanda karti hokitne paise ho jaate hainduniya sa hona mushkil haitere jaise ho jaate hainmere kaam khuda karta haitere vaise ho jaate hain-----------------------------पागल कैसे हो जाते हैंदेखो ऐसे हो जाते हैंख़्वाबों का धंधा करती होकितने पैसे हो जाते हैंदुनिया सा होना मुश्किल हैतेरे जैसे हो जाते हैंमेरे काम ख़ुदा करता हैतेरे वैसे हो जाते हैं Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
Isee liye to mujhe sunke taish aaya hai.. byAli Zaryoun November 19, 2024 isee liye to mujhe sunke taish aaya haitumhaara haal kisi aur ne bataaya haimujhe bata mera bhaai shaheed kaise huatu uske saath tha tu kaise bach ke aaya haiabhi ye zakham kisi par nahin khula meraabhi ye sher kisi ko nahin sunaaya hai -----------------------------इसी लिए तो मुझे सुनके तैश आया हैतुम्हारा हाल किसी और ने बताया हैमुझे बता मेरा भाई शहीद कैसे हुआतू उसके साथ था तू कैसे बच के आया हैअभी ये ज़ख़्म किसी पर नहीं खुला मेराअभी ये शेर किसी को नहीं सुनाया है Read more ali zaryoun pakistani poet young poet