javed akhtar

ajeeb aadmi tha vo mohabbaton ka geet tha..

ajeeb aadmi tha vo
mohabbaton ka geet tha
baghawaton ka raag tha
kabhi vo sirf phool tha
kabhi vo sirf aag tha
ajeeb aadmi tha vo

vo muflison se kehta tha
ki din badal bhi sakte hain
vo jaabiroṅ se kehta tha
tumhaare sar pe sone ke jo taaj hain
kabhi pighal bhi sakte hain
vo bandishon se kehta tha
main tum ko tod saka hoon
sahoolaton se kehta tha
main tum ko chhod saka hoon
hawaon se vo kehta tha
main tum ko mod saka hoon

vo khwaab se ye kehta tha
ki tujh ko sach karunga main
vo aarzooon se kehta tha
main tera hum-safar hoon
tere saath hi chalunga main
tu chahe jitni door bhi bana le apni manzilen
kabhi nahin thakoon-ga main

vo zindagi se kehta tha
ki tujh ko main sajaaoonga
tu mujh se chaand maang le
main chaand le ke aaunga

vo aadmi se kehta tha
ki aadmi se pyaar kar
ujad rahi hai ye zameen
kuchh is ka ab singhaar kar
ajeeb aadmi tha vo

vo zindagi ke saare gham
tamaam dukh
har ik sitam se kehta tha
main tum se jeet jaaunga
ki tum ko to mita hi dega
ek roz aadmi
bhula hi dega ye jahaan
meri alag hai dastaan

vo aankhen jin mein khwaab hain
vo dil hai jin mein aarzoo
vo baazu jin mein hai sakat
vo hont jin pe lafz hain
rahoonga un ke darmiyaan
ki jab main beet jaaunga
ajeeb aadmi tha vo 
-------------------------
अजीब आदमी था वो
मोहब्बतों का गीत था
बग़ावतों का राग था
कभी वो सिर्फ़ फूल था
कभी वो सिर्फ़ आग था
अजीब आदमी था वो

वो मुफ़लिसों से कहता था
कि दिन बदल भी सकते हैं
वो जाबिरों से कहता था
तुम्हारे सर पे सोने के जो ताज हैं
कभी पिघल भी सकते हैं
वो बंदिशों से कहता था
मैं तुम को तोड़ सकता हूँ
सहूलतों से कहता था
मैं तुम को छोड़ सकता हूँ
हवाओं से वो कहता था
मैं तुम को मोड़ सकता हूँ

वो ख़्वाब से ये कहता था
कि तुझ को सच करूँगा मैं
वो आरज़ूओं से कहता था
मैं तेरा हम-सफ़र हूँ
तेरे साथ ही चलूँगा मैं
तू चाहे जितनी दूर भी बना ले अपनी मंज़िलें
कभी नहीं थकूँगा मैं

वो ज़िंदगी से कहता था
कि तुझ को मैं सजाऊँगा
तू मुझ से चाँद माँग ले
मैं चाँद ले के आऊँगा

वो आदमी से कहता था
कि आदमी से प्यार कर
उजड़ रही है ये ज़मीं
कुछ इस का अब सिंघार कर
अजीब आदमी था वो

वो ज़िंदगी के सारे ग़म
तमाम दुख
हर इक सितम से कहता था
मैं तुम से जीत जाऊँगा
कि तुम को तो मिटा ही देगा
एक रोज़ आदमी
भुला ही देगा ये जहाँ
मिरी अलग है दास्ताँ

वो आँखें जिन में ख़्वाब हैं
वो दिल है जिन में आरज़ू
वो बाज़ू जिन में है सकत
वो होंट जिन पे लफ़्ज़ हैं
रहूँगा उन के दरमियाँ
कि जब मैं बीत जाऊँगा
अजीब आदमी था वो
Read more

main banjaara waqt ke kitne shehron se guzra hoon..

main banjaara
waqt ke kitne shehron se guzra hoon
lekin
waqt ke is ik shehar se jaate jaate mud ke dekh raha hoon
soch raha hoon
tum se mera ye naata bhi toot raha hai
tum ne mujh ko chhodaa tha jis shehar mein aa kar
waqt ka ab vo shehar bhi mujh se chhoot raha hai
mujh ko vidaa karne aaye hain
is nagri ke saare baasi
vo saare din
jin ke kandhe par soti hai
ab bhi tumhaari zulf ki khushboo
saare lamhe
jin ke maathe par raushan
ab bhi tumhaare lams ka teeka
nam aankhon se
gum-sum mujh ko dekh rahe hain
mujh ko in ke dukh ka pata hai
in ko mere gham ki khabar hai
lekin mujh ko hukm-e-safar hai
jaana hoga
waqt ke agle shehar mujhe ab jaana hoga

waqt ke agle shehar ke saare baashinde
sab din sab raatein
jo tum se na-waaqif honge
vo kab meri baat sunenge
mujh se kaheinge
jaao apni raah lo raahi
ham ko kitne kaam pade hain
jo beeti so beet gai
ab vo baatein kyun dohraate ho
kandhe par ye jholi rakhe
kyun firte ho kya paate ho
main be-chaara
ik banjaara
aawaara firte firte jab thak jaaunga
tanhaai ke teele par ja kar baithoonga
phir jaise pehchaan ke mujh ko
ik banjaara jaan ke mujh ko
waqt ke agle shehar ke saare nanhe-munne bhole lamhe
nange paanv
daude daude bhaage bhaage aa jaayenge
mujh ko gher ke baithege
aur mujh se kaheinge
kyun banjaare
tum to waqt ke kitne shehron se guzre ho
un shehron ki koi kahaani hamein sunaao
un se kahunga
nanhe lamho
ek thi raani
sun ke kahaani
saare nanhe lamhe
gamgeen ho kar mujh se ye poochhenge
tum kyun in ke shehar na aayein
lekin un ko bahla loonga
un se kahunga
ye mat poocho
aankhen moond
aur ye socho
tum hoti to kaisa hota
tum ye kahtiin
tum vo kahtiin
tum is baat pe hairaan hoti
tum us baat pe kitni hanstiin
tum hoti to aisa hota
tum hoti to waisa hota

dheere dheere
mere saare nanhe lamhe
so jaayenge
aur main
phir hawle se uth kar
apni yaadon ki jholi kandhe par rakh kar
phir chal doonga
waqt ke agle shehar ki jaanib
nanhe lamhon ko samjhaane
bhule lamhon ko bahaalne
yahi kahaani phir dohraane
tum hoti to aisa hota
tum hoti to waisa hota 
---------------------------------
मैं बंजारा
वक़्त के कितने शहरों से गुज़रा हूँ
लेकिन
वक़्त के इस इक शहर से जाते जाते मुड़ के देख रहा हूँ
सोच रहा हूँ
तुम से मेरा ये नाता भी टूट रहा है
तुम ने मुझ को छोड़ा था जिस शहर में आ कर
वक़्त का अब वो शहर भी मुझ से छूट रहा है
मुझ को विदाअ करने आए हैं
इस नगरी के सारे बासी
वो सारे दिन
जिन के कंधे पर सोती है
अब भी तुम्हारी ज़ुल्फ़ की ख़ुशबू
सारे लम्हे
जिन के माथे पर रौशन
अब भी तुम्हारे लम्स का टीका
नम आँखों से
गुम-सुम मुझ को देख रहे हैं
मुझ को इन के दुख का पता है
इन को मेरे ग़म की ख़बर है
लेकिन मुझ को हुक्म-ए-सफ़र है
जाना होगा
वक़्त के अगले शहर मुझे अब जाना होगा

वक़्त के अगले शहर के सारे बाशिंदे
सब दिन सब रातें
जो तुम से ना-वाक़िफ़ होंगे
वो कब मेरी बात सुनेंगे
मुझ से कहेंगे
जाओ अपनी राह लो राही
हम को कितने काम पड़े हैं
जो बीती सो बीत गई
अब वो बातें क्यूँ दोहराते हो
कंधे पर ये झोली रक्खे
क्यूँ फिरते हो क्या पाते हो
मैं बे-चारा
इक बंजारा
आवारा फिरते फिरते जब थक जाऊँगा
तन्हाई के टीले पर जा कर बैठूँगा
फिर जैसे पहचान के मुझ को
इक बंजारा जान के मुझ को
वक़्त के अगले शहर के सारे नन्हे-मुन्ने भोले लम्हे
नंगे पाँव
दौड़े दौड़े भागे भागे आ जाएँगे
मुझ को घेर के बैठेंगे
और मुझ से कहेंगे
क्यूँ बंजारे
तुम तो वक़्त के कितने शहरों से गुज़रे हो
उन शहरों की कोई कहानी हमें सुनाओ
उन से कहूँगा
नन्हे लम्हो!
एक थी रानी
सुन के कहानी
सारे नन्हे लम्हे
ग़मगीं हो कर मुझ से ये पूछेंगे
तुम क्यूँ इन के शहर न आईं
लेकिन उन को बहला लूँगा
उन से कहूँगा
ये मत पूछो
आँखें मूँदो
और ये सोचो
तुम होतीं तो कैसा होता
तुम ये कहतीं
तुम वो कहतीं
तुम इस बात पे हैराँ होतीं
तुम उस बात पे कितनी हँसतीं
तुम होतीं तो ऐसा होता
तुम होतीं तो वैसा होता

धीरे धीरे
मेरे सारे नन्हे लम्हे
सो जाएँगे
और मैं
फिर हौले से उठ कर
अपनी यादों की झोली कंधे पर रख कर
फिर चल दूँगा
वक़्त के अगले शहर की जानिब
नन्हे लम्हों को समझाने
भूले लम्हों को बहलाने
यही कहानी फिर दोहराने
तुम होतीं तो ऐसा होता
तुम होतीं तो वैसा होता
Read more

main bhool jaaun tumhein..

main bhool jaaun tumhein
ab yahi munaasib hai
magar bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhoolun
ki tum to phir bhi haqeeqat vo
koi khwaab nahin
yahan to dil ka ye aalam hai kya kahoon
kam-bakht
bhula na paaya vo silsila
jo tha hi nahin
vo ik khayal
jo awaaz tak gaya hi nahin
vo ek baat
jo main kah nahin saka tum se
vo ek rabt
jo ham mein kabhi raha hi nahin
mujhe hai yaad vo sab
jo kabhi hua hi nahin 
----------------------------
मैं भूल जाऊँ तुम्हें
अब यही मुनासिब है
मगर भुलाना भी चाहूँ तो किस तरह भूलूँ
कि तुम तो फिर भी हक़ीक़त वो
कोई ख़्वाब नहीं
यहाँ तो दिल का ये आलम है क्या कहूँ
कम-बख़्त!
भुला न पाया वो सिलसिला
जो था ही नहीं
वो इक ख़याल
जो आवाज़ तक गया ही नहीं
वो एक बात
जो मैं कह नहीं सका तुम से
वो एक रब्त
जो हम में कभी रहा ही नहीं
मुझे है याद वो सब
जो कभी हुआ ही नहीं
Read more

mere mukhalif ne chaal chal di hai..

mere mukhalif ne chaal chal di hai
aur ab
meri chaal ke intizaar mein hai
magar main kab se
safed-khaanon
siyaah-khaanon mein rakhe
kaale safed mohron ko dekhta hoon
main sochta hoon
ye mohre kya hain

agar main samjhoon
ke ye jo mohre hain
sirf lakdi ke hain khilone
to jeetna kya hai haarna kya
na ye zaroori
na vo ahem hai
agar khushi hai na jeetne ki
na haarne ka hi koi gham hai
to khel kya hai
main sochta hoon
jo khelna hai
to apne dil mein yaqeen kar luun
ye mohre sach-much ke baadshaah o wazeer
sach-much ke hain pyaade
aur in ke aage hai
dushmanon ki vo fauj
rakhti hai jo ki mujh ko tabaah karne ke
saare mansoobe
sab iraade
magar aisa jo maan bhi luun
to sochta hoon
ye khel kab hai
ye jang hai jis ko jeetna hai
ye jang hai jis mein sab hai jaayez
koi ye kehta hai jaise mujh se
ye jang bhi hai
ye khel bhi hai
ye jang hai par khilaadiyon ki
ye khel hai jang ki tarah ka
main sochta hoon
jo khel hai
is mein is tarah ka usool kyun hai
ki koi mohra rahe ki jaaye
magar jo hai baadshaah
us par kabhi koi aanch bhi na aaye
wazeer hi ko hai bas ijaazat
ki jis taraf bhi vo chahe jaaye

main sochta hoon
jo khel hai
is mein is tarah usool kyun hai
piyaada jo apne ghar se nikle
palat ke waapas na jaane paaye
main sochta hoon
agar yahi hai usool
to phir usool kya hai
agar yahi hai ye khel
to phir ye khel kya hai

main in sawaalon se jaane kab se uljh raha hoon
mere mukhalif ne chaal chal di hai
aur ab meri chaal ke intizaar mein hai
---------------------------------------
मिरे मुख़ालिफ़ ने चाल चल दी है
और अब
मेरी चाल के इंतिज़ार में है
मगर मैं कब से
सफ़ेद-ख़ानों
सियाह-ख़ानों में रक्खे
काले सफ़ेद मोहरों को देखता हूँ
मैं सोचता हूँ
ये मोहरे क्या हैं

अगर मैं समझूँ
के ये जो मोहरे हैं
सिर्फ़ लकड़ी के हैं खिलौने
तो जीतना क्या है हारना क्या
न ये ज़रूरी
न वो अहम है
अगर ख़ुशी है न जीतने की
न हारने का ही कोई ग़म है
तो खेल क्या है
मैं सोचता हूँ
जो खेलना है
तो अपने दिल में यक़ीन कर लूँ
ये मोहरे सच-मुच के बादशाह ओ वज़ीर
सच-मुच के हैं प्यादे
और इन के आगे है
दुश्मनों की वो फ़ौज
रखती है जो कि मुझ को तबाह करने के
सारे मंसूबे
सब इरादे
मगर ऐसा जो मान भी लूँ
तो सोचता हूँ
ये खेल कब है
ये जंग है जिस को जीतना है
ये जंग है जिस में सब है जाएज़
कोई ये कहता है जैसे मुझ से
ये जंग भी है
ये खेल भी है
ये जंग है पर खिलाड़ियों की
ये खेल है जंग की तरह का
मैं सोचता हूँ
जो खेल है
इस में इस तरह का उसूल क्यूँ है
कि कोई मोहरा रहे कि जाए
मगर जो है बादशाह
उस पर कभी कोई आँच भी न आए
वज़ीर ही को है बस इजाज़त
कि जिस तरफ़ भी वो चाहे जाए

मैं सोचता हूँ
जो खेल है
इस में इस तरह उसूल क्यूँ है
पियादा जो अपने घर से निकले
पलट के वापस न जाने पाए
मैं सोचता हूँ
अगर यही है उसूल
तो फिर उसूल क्या है
अगर यही है ये खेल
तो फिर ये खेल क्या है

मैं इन सवालों से जाने कब से उलझ रहा हूँ
मिरे मुख़ालिफ़ ने चाल चल दी है
और अब मेरी चाल के इंतिज़ार में है
Read more

main akshar sochta hoon..

main akshar sochta hoon
zehan ki tareek galiyon mein
dahakta aur pighlata
dheere dheere aage badhta
gham ka ye laava
agar chaahoon
to ruk saka hai
mere dil ki kacchi khaal par rakha ye angaara
agar chaahoon
to bujh saka hai
lekin
phir khayal aata hai
mere saare rishton mein
padi saari daraado se
guzar ke aane waali barf se thandi hawa
aur meri har pehchaan par sardi ka ye mausam
kahi aisa na ho
is jism ko is rooh ko hi munjamid kar de
main akshar sochta hoon
zehan ki tareek galiyon mein
dahakta aur pighlata
dheere dheere aage badhta
gham ka ye laava
aziyyat hai
magar phir bhi ghaneemat hai
isee se rooh mein garmi
badan mein ye hararat hai
ye gham meri zaroorat hai
main apne gham se zinda hoon
-----------------------------
मैं अक्सर सोचता हूँ
ज़ेहन की तारीक गलियों में
दहकता और पिघलता
धीरे धीरे आगे बढ़ता
ग़म का ये लावा
अगर चाहूँ
तो रुक सकता है
मेरे दिल की कच्ची खाल पर रक्खा ये अँगारा
अगर चाहूँ
तो बुझ सकता है
लेकिन
फिर ख़याल आता है
मेरे सारे रिश्तों में
पड़ी सारी दराड़ों से
गुज़र के आने वाली बर्फ़ से ठंडी हवा
और मेरी हर पहचान पर सर्दी का ये मौसम
कहीं ऐसा न हो
इस जिस्म को इस रूह को ही मुंजमिद कर दे
मैं अक्सर सोचता हूँ
ज़ेहन की तारीक गलियों में
दहकता और पिघलता
धीरे धीरे आगे बढ़ता
ग़म का ये लावा
अज़िय्यत है
मगर फिर भी ग़नीमत है
इसी से रूह में गर्मी
बदन में ये हरारत है
ये ग़म मेरी ज़रूरत है
मैं अपने ग़म से ज़िंदा हूँ
Read more

shaam hone ko hai..

shaam hone ko hai
laal suraj samundar mein khone ko hai
aur us ke pare
kuchh parinde
qataarein banaaye
unhin junglon ko chale
jin ke pedon ki shaakhon pe hain ghonsle
ye parinde
wahin laut kar jaayenge
aur so jaayenge
ham hi hairaan hain
is makaanon ke jungle mein
apna kahi bhi thikaana nahin
shaam hone ko hai
ham kahaan jaayenge 
----------------------------
शाम होने को है
लाल सूरज समुंदर में खोने को है
और उस के परे
कुछ परिंदे
क़तारें बनाए
उन्हीं जंगलों को चले
जिन के पेड़ों की शाख़ों पे हैं घोंसले
ये परिंदे
वहीं लौट कर जाएँगे
और सो जाएँगे
हम ही हैरान हैं
इस मकानों के जंगल में
अपना कहीं भी ठिकाना नहीं
शाम होने को है
हम कहाँ जाएँगे
Read more

karodon chehre aur un ke peeche karodon chehre..

karodon chehre
aur un ke peeche
karodon chehre
ye raaste hain ki bhir ke chatte
zameen jismoon se dhak gai hai
qadam to kya til bhi dharne ki ab jagah nahin hai
ye dekhta hoon to sochta hoon
ki ab jahaan hoon
wahin simat ke khada rahoon main
magar karoon kya
ki jaanta hoon
ki ruk gaya to
jo bheed peeche se aa rahi hai
vo mujh ko pairo'n tale kuchal degi pees degi
to ab jo chalta hoon main
to khud mere apne pairo'n mein aa raha hai
kisi ka seena
kisi ka baazu
kisi ka chehra
chaloon
to auron pe zulm ḍhaaon
rookoon
to auron ke zulm jheluun
zameer
tujh ko to naaz hai apni munsifi par
zara sunoon to
ki aaj kya tera faisla hai 
-------------------------------
करोड़ों चेहरे
और उन के पीछे
करोड़ों चेहरे
ये रास्ते हैं कि भिड़ के छत्ते
ज़मीन जिस्मों से ढक गई है
क़दम तो क्या तिल भी धरने की अब जगह नहीं है
ये देखता हूँ तो सोचता हूँ
कि अब जहाँ हूँ
वहीं सिमट के खड़ा रहूँ मैं
मगर करूँ क्या
कि जानता हूँ
कि रुक गया तो
जो भीड़ पीछे से आ रही है
वो मुझ को पैरों तले कुचल देगी पीस देगी
तो अब जो चलता हूँ मैं
तो ख़ुद मेरे अपने पैरों में आ रहा है
किसी का सीना
किसी का बाज़ू
किसी का चेहरा
चलूँ
तो औरों पे ज़ुल्म ढाऊँ
रुकूँ
तो औरों के ज़ुल्म झेलूँ
ज़मीर
तुझ को तो नाज़ है अपनी मुंसिफ़ी पर
ज़रा सुनूँ तो
कि आज क्या तेरा फ़ैसला है
Read more

jab vo kam-umr hi tha..

jab vo kam-umr hi tha
us ne ye jaan liya tha ki agar jeena hai
badi chaalaaki se jeena hoga
aankh ki aakhiri had tak hai bisaat-e-hasti
aur vo maamooli sa ik mohra hai
ek ik khaana bahut soch ke chalna hoga
baazi aasaan nahin thi us ki
door tak chaaron taraf phaile the
mohre
jallaad
nihaayat hi saffaaq
sakht be-rehm
bahut hi chaalaak
apne qabze mein liye
poori bisaat
us ke hisse mein faqat maat liye
vo jidhar jaata
use milta tha
har naya khaana nayi ghaat liye
vo magar bachta raha
chalta raha
ek ghar
doosra ghar
teesra ghar
paas aaya kabhi auron ke
kabhi door hua
vo magar bachta raha
chalta raha
go ki maamooli sa mohra tha magar jeet gaya
yun vo ik roz bada mohra bana
ab vo mahfooz hai ik khaane mein
itna mahfooz hai ik khaane mein
itna mahfooz ki dushman to alag
dost bhi paas nahin aa sakte
us ke ik haath mein hai jeet us ki
doosre haath mein tanhaai hai 
--------------------------------------
जब वो कम-उम्र ही था
उस ने ये जान लिया था कि अगर जीना है
बड़ी चालाकी से जीना होगा
आँख की आख़िरी हद तक है बिसात-ए-हस्ती
और वो मामूली सा इक मोहरा है
एक इक ख़ाना बहुत सोच के चलना होगा
बाज़ी आसान नहीं थी उस की
दूर तक चारों तरफ़ फैले थे
मोहरे
जल्लाद
निहायत ही सफ़्फ़ाक
सख़्त बे-रहम
बहुत ही चालाक
अपने क़ब्ज़े में लिए
पूरी बिसात
उस के हिस्से में फ़क़त मात लिए
वो जिधर जाता
उसे मिलता था
हर नया ख़ाना नई घात लिए
वो मगर बचता रहा
चलता रहा
एक घर
दूसरा घर
तीसरा घर
पास आया कभी औरों के
कभी दूर हुआ
वो मगर बचता रहा
चलता रहा
गो कि मामूली सा मुहरा था मगर जीत गया
यूँ वो इक रोज़ बड़ा मुहरा बना
अब वो महफ़ूज़ है इक ख़ाने में
इतना महफ़ूज़ है इक ख़ाने में
इतना महफ़ूज़ कि दुश्मन तो अलग
दोस्त भी पास नहीं आ सकते
उस के इक हाथ में है जीत उस की
दूसरे हाथ में तन्हाई है
Read more

ye aaye din ke hangaame..

ye aaye din ke hangaame
ye jab dekho safar karna
yahan jaana wahan jaana
ise milna use milna
hamaare saare lamhe
aise lagte hain
ki jaise train ke chalne se pehle
railway-station par
jaldi jaldi apne dabbe dhoondte
koi musaafir hon
jinhen kab saans bhi lene ki mohlat hai
kabhi lagta hai
tum ko mujh se mujh ko tum se milne ka
khayal aaye
kahaan itni bhi furqat hai
magar jab sang-dil duniya mera dil todti hai to
koi ummeed chalte chalte
jab munh morati hai to
kabhi koi khushi ka phool
jab is dil mein khilta hai
kabhi jab mujh ko apne zehan se
koi khayal inaam milta hai
kabhi jab ik tamannaa poori hone se
ye dil khaali sa hota hai
kabhi jab dard aa ke palkon pe moti piroota hai
to ye ehsaas hota hai
khushi ho gham ho hairat ho
koi jazba ho
is mein jab kahi ik mod aaye to
wahan pal bhar ko
saari duniya peeche chhoot jaati hai
wahan pal bhar ko
is kath-putli jaisi zindagi ki
dori toot jaati hai
mujhe us mod par
bas ik tumhaari hi zaroorat hai
magar ye zindagi ki khoobsurat ik haqeeqat hai
ki meri raah mein jab aisa koi mod aaya hai
to har us mod par main ne
tumhein ham-raah paaya hai 
-----------------------------------
ये आए दिन के हंगामे
ये जब देखो सफ़र करना
यहाँ जाना वहाँ जाना
इसे मिलना उसे मिलना
हमारे सारे लम्हे
ऐसे लगते हैं
कि जैसे ट्रेन के चलने से पहले
रेलवे-स्टेशन पर
जल्दी जल्दी अपने डब्बे ढूँडते
कोई मुसाफ़िर हों
जिन्हें कब साँस भी लेने की मोहलत है
कभी लगता है
तुम को मुझ से मुझ को तुम से मिलने का
ख़याल आए
कहाँ इतनी भी फ़ुर्सत है
मगर जब संग-दिल दुनिया मेरा दिल तोड़ती है तो
कोई उम्मीद चलते चलते
जब मुँह मोड़ती है तो
कभी कोई ख़ुशी का फूल
जब इस दिल में खिलता है
कभी जब मुझ को अपने ज़ेहन से
कोई ख़याल इनआम मिलता है
कभी जब इक तमन्ना पूरी होने से
ये दिल ख़ाली सा होता है
कभी जब दर्द आ के पलकों पे मोती पिरोता है
तो ये एहसास होता है
ख़ुशी हो ग़म हो हैरत हो
कोई जज़्बा हो
इस में जब कहीं इक मोड़ आए तो
वहाँ पल भर को
सारी दुनिया पीछे छूट जाती है
वहाँ पल भर को
इस कठ-पुतली जैसी ज़िंदगी की
डोरी टूट जाती है
मुझे उस मोड़ पर
बस इक तुम्हारी ही ज़रूरत है
मगर ये ज़िंदगी की ख़ूबसूरत इक हक़ीक़त है
कि मेरी राह में जब ऐसा कोई मोड़ आया है
तो हर उस मोड़ पर मैं ने
तुम्हें हम-राह पाया है
Read more

ham dono jo harf the..

ham dono jo harf the
ham ik roz mile
ik lafz bana
aur ham ne ik ma'ni paaye
phir jaane kya ham par guzri
aur ab yun hai
tum ab harf ho
ik khaane mein
mein ik harf hoon
ik khaane mein
beech mein
kitne lamhon ke khaane khaali hain
phir se koi lafz bane
aur ham dono ik ma'ni paaye
aisa ho saka hai
lekin sochna hoga
in khaali khaanon mein ham ko bharna kya hai 
---------------------------------------
हम दोनों जो हर्फ़ थे
हम इक रोज़ मिले
इक लफ़्ज़ बना
और हम ने इक मअ'नी पाए
फिर जाने क्या हम पर गुज़री
और अब यूँ है
तुम अब हर्फ़ हो
इक ख़ाने में
में इक हर्फ़ हूँ
इक ख़ाने में
बीच में
कितने लम्हों के ख़ाने ख़ाली हैं
फिर से कोई लफ़्ज़ बने
और हम दोनों इक मअ'नी पाएँ
ऐसा हो सकता है
लेकिन सोचना होगा
इन ख़ाली ख़ानों में हम को भरना क्या है

Read more