milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhihoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhisharma ke munh na fer nazar ke sawaal parlaati hai aise mod pe qismat kabhi kabhikhulte nahin hain roz dariche bahaar keaati hai jaan-e-man ye qayamat kabhi kabhitanhaa na kat sakenge jawaani ke raastepesh aayegi kisi ki zaroorat kabhi kabhiphir kho na jaayen ham kahi duniya ki bheed meinmilti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi -------------------------------------मिलती है ज़िंदगी में मोहब्बत कभी कभीहोती है दिलबरों की इनायत कभी कभीशर्मा के मुँह न फेर नज़र के सवाल परलाती है ऐसे मोड़ पे क़िस्मत कभी कभीखुलते नहीं हैं रोज़ दरीचे बहार केआती है जान-ए-मन ये क़यामत कभी कभीतन्हा न कट सकेंगे जवानी के रास्तेपेश आएगी किसी की ज़रूरत कभी कभीफिर खो न जाएँ हम कहीं दुनिया की भीड़ मेंमिलती है पास आने की मोहलत कभी कभी Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
dekha hai zindagi ko kuchh itna qareeb se.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 dekha hai zindagi ko kuchh itna qareeb sechehre tamaam lagne lage hain ajeeb sekehne ko dil ki baat jinhen dhoondte the hammehfil mein aa gaye hain vo apne naseeb seneelaam ho raha tha kisi naazneen ka pyaarqeemat nahin chukaai gai ik gareeb seteri wafa ki laash pe la main hi daal doonresham ka ye kafan jo mila hai raqeeb se --------------------------------------देखा है ज़िंदगी को कुछ इतना क़रीब सेचेहरे तमाम लगने लगे हैं अजीब सेकहने को दिल की बात जिन्हें ढूँडते थे हममहफ़िल में आ गए हैं वो अपने नसीब सेनीलाम हो रहा था किसी नाज़नीं का प्यारक़ीमत नहीं चुकाई गई इक ग़रीब सेतेरी वफ़ा की लाश पे ला मैं ही डाल दूँरेशम का ये कफ़न जो मिला है रक़ीब से Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
bharka rahe hain aag lab-e-nagmaagar se ham.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 bharka rahe hain aag lab-e-nagmaagar se hamkhaamosh kya rahenge zamaane ke dar se hamkuchh aur badh gaye jo andhere to kya huamayus to nahin hain tuloo-e-sehr se hamle de ke apne paas faqat ik nazar to haikyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hammaana ki is zameen ko na gulzaar kar sakekuchh khaar kam to kar gaye guzre jidhar se ham --------------------------------------भड़का रहे हैं आग लब-ए-नग़्मागर से हमख़ामोश क्या रहेंगे ज़माने के डर से हमकुछ और बढ़ गए जो अँधेरे तो क्या हुआमायूस तो नहीं हैं तुलू-ए-सहर से हमले दे के अपने पास फ़क़त इक नज़र तो हैक्यूँ देखें ज़िंदगी को किसी की नज़र से हममाना कि इस ज़मीं को न गुलज़ार कर सकेकुछ ख़ार कम तो कर गए गुज़रे जिधर से हम Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main nezamaane ab to khush ho zahar ye bhi pee liya main neabhi zinda hoon lekin sochta rehta hoon khilwat meinki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liya main neunhen apna nahin saka magar itna bhi kya kam haiki kuchh muddat haseen khwaabon mein kho kar jee liya main nebas ab to daaman-e-dil chhod do bekar umeedobahut dukh sah liye main ne bahut din jee liya main ne ------------------------------------------मोहब्बत तर्क की मैं ने गरेबाँ सी लिया मैं नेज़माने अब तो ख़ुश हो ज़हर ये भी पी लिया मैं नेअभी ज़िंदा हूँ लेकिन सोचता रहता हूँ ख़ल्वत मेंकि अब तक किस तमन्ना के सहारे जी लिया मैं नेउन्हें अपना नहीं सकता मगर इतना भी क्या कम हैकि कुछ मुद्दत हसीं ख़्वाबों में खो कर जी लिया मैं नेबस अब तो दामन-ए-दिल छोड़ दो बेकार उम्मीदोबहुत दुख सह लिए मैं ने बहुत दिन जी लिया मैं ने Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
tiri duniya mein jeene se to behtar hai ki mar jaayen.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 tiri duniya mein jeene se to behtar hai ki mar jaayenwahi aansu wahi aahen wahi gham hai jidhar jaayenkoi to aisa ghar hota jahaan se pyaar mil jaatawahi begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayenare o aasmaan waale bata is mein bura kya haikhushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaayen ---------------------------------------------------तिरी दुनिया में जीने से तो बेहतर है कि मर जाएँवही आँसू वही आहें वही ग़म है जिधर जाएँकोई तो ऐसा घर होता जहाँ से प्यार मिल जातावही बेगाने चेहरे हैं जहाँ जाएँ जिधर जाएँअरे ओ आसमाँ वाले बता इस में बुरा क्या हैख़ुशी के चार झोंके गर इधर से भी गुज़र जाएँ Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
bhule se mohabbat kar baitha naadaan tha bechaara dil hi to hai.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 bhule se mohabbat kar baitha naadaan tha bechaara dil hi to haihar dil se khata ho jaati hai bigdo na khudaara dil hi to haiis tarah nigaahen mat fero aisa na ho dhadkan ruk jaayeseene mein koi patthar to nahin ehsaas ka maara dil hi to haijazbaat bhi hindu hote hain chaahat bhi musalmaan hoti haiduniya ka ishaara tha lekin samjha na ishaara dil hi to haibedaad-garon ki thokar se sab khwaab suhaane choor hueab dil ka sahaara gham hi to hai ab gham ka sahaara dil hi to hai ----------------------------------------------------भूले से मोहब्बत कर बैठा, नादाँ था बेचारा, दिल ही तो हैहर दिल से ख़ता हो जाती है, बिगड़ो न ख़ुदारा, दिल ही तो हैइस तरह निगाहें मत फेरो, ऐसा न हो धड़कन रुक जाएसीने में कोई पत्थर तो नहीं एहसास का मारा, दिल ही तो हैजज़्बात भी हिन्दू होते हैं चाहत भी मुसलमाँ होती हैदुनिया का इशारा था लेकिन समझा न इशारा, दिल ही तो हैबेदाद-गरों की ठोकर से सब ख़्वाब सुहाने चूर हुएअब दिल का सहारा ग़म ही तो है अब ग़म का सहारा दिल ही तो है Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
ab aayein ya na aayein idhar poochte chalo.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 ab aayein ya na aayein idhar poochte chalokya chahti hai un ki nazar poochte chaloham se agar hai tark-e-taalluq to kya huayaaro koi to un ki khabar poochte chalojo khud ko kah rahe hain ki manzil-shanaas hainun ko bhi kya khabar hai magar poochte chalokis manzil-e-muraad ki jaanib ravaan hain hamai rah-ravaan-e-khaak-basar poochte chalo ----------------------------------------------अब आएँ या न आएँ इधर पूछते चलोक्या चाहती है उन की नज़र पूछते चलोहम से अगर है तर्क-ए-तअल्लुक़ तो क्या हुआयारो कोई तो उन की ख़बर पूछते चलोजो ख़ुद को कह रहे हैं कि मंज़िल-शनास हैंउन को भी क्या ख़बर है मगर पूछते चलोकिस मंज़िल-ए-मुराद की जानिब रवाँ हैं हमऐ रह-रवान-ए-ख़ाक-बसर पूछते चलो Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
havas-naseeb nazar ko kahi qaraar nahin.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 havas-naseeb nazar ko kahi qaraar nahinmain muntazir hoon magar tera intizaar nahinhumeen se rang-e-gulistaan humeen se rang-e-bahaarhumeen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahinabhi na chhed mohabbat ke geet ai mutaribabhi hayaat ka maahol khush-gawaar nahintumhaare ahad-e-wafaa ko main ahad kya samjhoonmujhe khud apni mohabbat pe e'tibaar nahinna jaane kitne gile is mein muztarib hain nadeemvo ek dil jo kisi ka gila-guzaar nahingurez ka nahin qaail hayaat se lekinjo sach kahoon ki mujhe maut naagawaar nahinye kis maqaam pe pahuncha diya zamaane neki ab hayaat pe tera bhi ikhtiyaar nahin -----------------------------------हवस-नसीब नज़र को कहीं क़रार नहींमैं मुंतज़िर हूँ मगर तेरा इंतिज़ार नहींहमीं से रंग-ए-गुलिस्ताँ हमीं से रंग-ए-बहारहमीं को नज़्म-ए-गुलिस्ताँ पे इख़्तियार नहींअभी न छेड़ मोहब्बत के गीत ऐ मुतरिबअभी हयात का माहौल ख़ुश-गवार नहींतुम्हारे अहद-ए-वफ़ा को मैं अहद क्या समझूँमुझे ख़ुद अपनी मोहब्बत पे ए'तिबार नहींन जाने कितने गिले इस में मुज़्तरिब हैं नदीमवो एक दिल जो किसी का गिला-गुज़ार नहींगुरेज़ का नहीं क़ाइल हयात से लेकिनजो सच कहूँ कि मुझे मौत नागवार नहींये किस मक़ाम पे पहुँचा दिया ज़माने नेकि अब हयात पे तेरा भी इख़्तियार नहीं Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaunga.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaungatera vaada to nahin hoon jo badal jaaungasoz bhar do mere sapne mein gham-e-ulfat kamain koi mom nahin hoon jo pighal jaaungadard kehta hai ye ghabra ke shab-e-furqat meinaah ban kar tire pahluu se nikal jaaungamujh ko samjhaao na saahir main ik din khud hithokren kha ke mohabbat mein sambhal jaaunga --------------------------------------------------मेरी तक़दीर में जलना है तो जल जाऊँगातेरा वादा तो नहीं हूँ जो बदल जाऊँगासोज़ भर दो मिरे सपने में ग़म-ए-उल्फ़त कामैं कोई मोम नहीं हूँ जो पिघल जाऊँगादर्द कहता है ये घबरा के शब-ए-फ़ुर्क़त मेंआह बन कर तिरे पहलू से निकल जाऊँगामुझ को समझाओ न 'साहिर' मैं इक दिन ख़ुद हीठोकरें खा के मोहब्बत में सँभल जाऊँगा Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan
itni haseen itni jawaan raat kya karein.. bySahir Ludhianvi November 21, 2024 itni haseen itni jawaan raat kya kareinjaage hain kuchh ajeeb se jazbaat kya kareinpedon ke baazuon mein mehkati hai chaandnibechain ho rahe hain khayaalaat kya kareinsaanson mein ghul rahi hai kisi saans ki mahakdaaman ko choo raha hai koi haath kya kareinshaayad tumhaare aane se ye bhed khul sakehairaan hain ki aaj nayi baat kya karein -------------------------------------इतनी हसीन इतनी जवाँ रात क्या करेंजागे हैं कुछ अजीब से जज़्बात क्या करेंपेड़ों के बाज़ुओं में महकती है चाँदनीबेचैन हो रहे हैं ख़यालात क्या करेंसाँसों में घुल रही है किसी साँस की महकदामन को छू रहा है कोई हात क्या करेंशायद तुम्हारे आने से ये भेद खुल सकेहैरान हैं कि आज नई बात क्या करें Read more sahir lukhianvi bollyword poet amrita pritam talkhiyaan