Main ne kuchh nahin kaha.. byMahboob Khizan February 27, 2025 रात उस को ख़्वाब में देख करमैं ने कुछ नहीं कहाचार साल की थकन जवाँ हुईतिश्नगी बढ़ के बे-कराँ हुईहाँ मगर जब आँसुओं की नर्म गर्म ताज़गीआस-पास दिलकशी बिखर गईऔर एक साया सा सिरहाने आ के थम गयामैं ने ये कहा कि ऐ मिरे ख़ुदातू बड़ा रहीम हैउस का दिल दो नीम हैउस के रंग उस के हुस्न को निखार देउस के दिल का बोझ उतार देतू उसे सुकून दे मुझे जुनून देउस के दुख उस के दर्द छीन लेउस के रोग मुझ को देमैं गुनाहगार हूँरात उस को ख़्वाब में देख करचार साल जैसे फिर उसी तरह गुज़र गएचार साल किस तरह गुज़र गएदिल ये सोचता रहामैं ने कुछ नहीं कहा-------------------------------------Raat usko khwaab mein dekh karMain ne kuchh nahin kahaChaar saal ki thakan jawaan huiTishnagi badh ke be-karaan huiHaan magar jab aansuon ki narm-garm taazgiAas-paas dilkashi bikhar gayiAur ek saaya sa sirhaane aa ke tham gayaMain ne ye kaha ki ai mere KhudaTu bada raheem haiUs ka dil do neem haiUs ke rang, us ke husn ko nikhaar deUs ke dil ka bojh utaar deTu use sukoon de, mujhe junoon deUs ke dukh, us ke dard chheen leUs ke rog mujhko deMain gunaahgaar hoonRaat usko khwaab mein dekh karChaar saal jaise phir usi tarah guzar gayeChaar saal kis tarah guzar gayeDil ye sochta rahaMain ne kuchh nahin kaha Read more Mahboob Khizan urdu poetry