munir niyazi

Top 20 most famous Shayari of Munir Niazi ..

1- Muddat ke baad aaj use dekh kar 'Munir',
Ik baar dil to dhadka magar phir sambhal gaya.

2- Jaante the dono hum usko nibha sakte nahin,
Usne wada kar liya, maine bhi wada kar liya.

3- Mahak uthe rang-e-surkh jaise,
Khile chaman mein gulaab itne.

4- Waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'Munir',
Aaj kal hota gaya aur din hawa hote gaye.

5- Ye kaisa nasha hai, main kis ajab khumaar mein hoon,
Tu aa ke ja bhi chuka hai, main intezaar mein hoon.

6- Main usko dekh ke chup tha usi ki shaadi mein,
Maza to saara isi rasam ke nibah mein tha.

7-'Munir', accha nahin lagta ye tera,
Kisi ke hijr mein beemar hona.

8- Shahar ka tabdeel hona, shaad rehna aur udaas,
Raunakien jitni yahan hain auraton ke dum se hain.

9- Awaaz de ke dekh lo, shayad woh mil hi jaye,
Warna ye umr bhar ka safar rayegan to hai.

10- Jaanta hoon ek aise shaks ko main bhi 'Munir',
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin.

11- Aadat si bana li hai tumne to 'Munir' apni,
Jis shahar mein bhi rehna, uktaaye hue rehna.

12- Main to 'Munir' aaine mein khud ko tak kar hairan hua,
Ye chehra kuch aur tarah tha pehle kisi zamane mein.

13- Ik aur dariya ka saamna tha 'Munir' mujh ko,
Main ek dariya ke paar utra to maine dekha.

14- Aa gayi yaad shaam dhalte hi,
Bujh gaya dil, charagh jalte hi.

15- Hawa jab chali, phadphada kar ude,
Parinde purane mahallat ke.

16- Khayal jiska tha mujhe, khayal mein mila mujhe,
Sawal ka jawab bhi, sawal mein mila mujhe.

17- Kisi ko apne amal ka hisaab kya dete,
Sawal saare galat the, jawab kya dete.

18- Rida us chaman ki uda le gayi,
Darakhton ke patte hawa le gayi.

19- Gayi jis ghadi shaam-e-seher-e-wafa,
Manazir se ik rang sa le gayi.

20- 'Munir', itna husn us zamane mein tha,
Kahan usko koi bala le gayi.
---------------------------------------
1- मुद्दत के बाद आज उसे देखकर 'मुनीर'
इक बार दिल तो धड़का मगर फिर सँभल गया


2- जानते थे दोनों हम उस को निभा सकते नहीं
उस ने वादा कर लिया मैं ने भी वादा कर लिया

3- महक उठे रंग-ए-सुर्ख़ जैसे
खिले चमन में गुलाब इतने

4- वक़्त किस तेज़ी से गुज़रा रोज़-मर्रा में 'मुनीर'
आज कल होता गया और दिन हवा होते गए

5- ये कैसा नश्शा है मैं किस अजब ख़ुमार में हूँ
तू आ के जा भी चुका है मैं इंतिज़ार में हूँ

6- मैं उस को देख के चुप था उसी की शादी में
मज़ा तो सारा इसी रस्म के निबाह में था

7- 'मुनीर' अच्छा नहीं लगता ये तेरा
किसी के हिज्र में बीमार होना

8- शहर का तब्दील होना शाद रहना और उदास
रौनक़ें जितनी यहाँ हैं औरतों के दम से हैं

9- आवाज़ दे के देख लो शायद वो मिल ही जाए
वर्ना ये उम्र भर का सफ़र राएगाँ तो है

10- जानता हूँ एक ऐसे शख़्स को मैं भी 'मुनीर'
ग़म से पत्थर हो गया लेकिन कभी रोया नहीं

11- आदत सी बना ली है तुमने तो 'मुनीर' अपनी
जिस शहर में भी रहना उकताए हुए रहना

12- मैं तो 'मुनीर' आईने में ख़ुद को तक कर हैरान हुआ
ये चेहरा कुछ और तरह था पहले किसी ज़माने में

13- इक और दरिया का सामना था 'मुनीर' मुझ को
मैं एक दरिया के पार उतरा तो मैं ने देखा

14- आ गई याद शाम ढलते ही
बुझ गया दिल चराग़ जलते ही

15- हवा जब चली फड़फड़ा कर उड़े
परिंदे पुराने महल्लात के

16- ख़याल जिस का था मुझे ख़याल में मिला मुझे
सवाल का जवाब भी सवाल में मिला मुझे

17- किसी को अपने अमल का हिसाब क्या देते
सवाल सारे ग़लत थे जवाब क्या देते

18- रिदा उस चमन की उड़ा ले गई
दरख़्तों के पत्ते हवा ले गई

19- गई जिस घड़ी शाम-ए-सेहर-ए-वफ़ा
मनाज़िर से इक रंग सा ले गई

20- 'मुनीर' इतना हुस्न उस ज़माने में था
कहाँ उस को कोई बला ले गई

Read more

sapna aage jaata kaise ..

Chhota sa ik gaanv tha jis men
diye the kam aur bahut andhera
bahut shajar the thode ghar the 
jin ko tha duuri ne ghera
itni badi tanhai thi jis men
jagta rahta tha dil mera
bahut qadim firaq tha jis men
ek muqarrar had se aage 
soch na sakta tha dil mera
aisi surat men phir dil ko 
dhyan aata kis ḳhvab men tera 
raaz jo had se bahar men tha 
apna-ap dikhata kaise 
sapne ki bhi had thi akhir 
sapna aage jaata kaise 
-----------------------
छोटा सा इक गाँव था जिस में
दिए थे कम और बहुत अंधेरा
बहुत शजर थे थोड़े घर थे
जिनको था दूरी ने घेरा
इतनी बड़ी तन्हाई थी जिस में
जागता रहता था दिल मेरा
बहुत क़दीम फ़िराक़ था जिस में
एक मुक़र्रर हद से आगे
सोच न सकता था दिल मेरा
ऐसी सूरत में फिर दिल को
ध्यान आता किस ख़्वाब में तेरा
राज़ जो हद से बाहर में था
अपना-आप दिखाता कैसे
सपने की भी हद थी आख़िर
सपना आगे जाता कैसे

Read more

hamesha der kar deta hoon main..

हमेशा देर कर देता हूं मैं 
ज़रूरी बात कहनी हो 
कोई वादा निभाना हो 
उसे आवाज़ देनी हो 
उसे वापस बुलाना हो 
हमेशा देर कर देता हूं मैं
 
मदद करनी हो उसकी 
यार का ढांढस बंधाना हो 
बहुत देरीना रास्तों पर 
किसी से मिलने जाना हो 
हमेशा देर कर देता हूं मैं 

बदलते मौसमों की सैर में 
दिल को लगाना हो 
किसी को याद रखना हो 
किसी को भूल जाना हो 
हमेशा देर कर देता हूं मैं 

किसी को मौत से पहले 
किसी ग़म से बचाना हो 
हक़ीक़त और थी कुछ 
उस को जा के ये बताना हो 
हमेशा देर कर देता हूं मैं 

---------------------------------------

Hamesha der kar deta hoon main
Jaruri baat kahni ho
Koi waada nibhana ho
Use awaaz deni ho
Use waapas bulana ho
Hamesha der kar deta hoon main
Hamesha der kar deta hoon main

Madat karni ho uski
Yaar ki dhadas bandhna ho
Bahot deri na rashto par
Kisi se milne jaana ho
Hamesha der kar deta hoon main
Hamesha der kar deta hoon main

Badalte maushmo ki sair mein
Dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho,
Kisi ko bhool jaana ho
Hamesha der kar deta hoon main
Hamesha der kar deta hoon main

Kisi ko maut se pahle
Kisi gham se bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch
Usko jaake ye batana ho
Hamesha der kar deta hoon main
Hamesha der kar deta hoon main
Read more