1- Nasib aazmane ke din aa rahe hain
Qareeb un ke aane ke din aa rahe hain
Jo dil se kaha hai, jo dil se suna hai
Sab unko sunane ke din aa rahe hain
Abhi se dil o jaan sar-e-raah rakh do
Ki lutne lutane ke din aa rahe hain
Tapakne lagi un nigahon se masti
Nigahen churane ke din aa rahe hain
Saba phir humein poochhti phir rahi hai
Chaman ko sajane ke din aa rahe hain
Chalo 'Faiz' phir se kahin dil lagayein
Suna hai thikane ke din aa rahe hain
2- Yeh dhoop kinara shaam dhale
Milte hain dono waqt jahan
Jo raat na din, jo aaj na kal
Pal bhar ko amar, pal bhar mein dhuan
Is dhoop kinare pal-do-pal
Honthon ki lapak
Baahon ki chanak
Yeh mel hamara jhooth na sach
Kyun raar karo, kyun dosh dharo
Kis kaaran jhoothi baat karo
Jab teri samundar aankhon mein
Is shaam ka suraj doobega
Sukh soyenge ghar dar waale
Aur rahi apni raah lega
3- Gulon mein rang bhare, baad-e-nau-bahaar chale
Chale bhi aao ki gulshan ka karobaar chale
Qafas udaas hai yaaro, saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale
Kabhi to subah tire kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushk-baar chale
Bada hai dard ka rishta yeh dil gareeb sahi
Tumhare naam pe aayenge gham-gusaar chale
Jo hum pe guzri so guzri, magar shab-e-hijraan
Hamare ashq tire aqibat sanwaar chale
Huzoor-e-yaar hui daftar-e-junoon ki talab
Girah mein le ke gareban ka taar-taar chale
Maqaam 'Faiz' koi raah mein jacha hi nahi
Jo koo-e-yaar se nikle to soo-e-daar chale
4- Sab qatl ho ke tere muqabil se aaye hain
Hum log surkh-rooh hain ki manzil se aaye hain
Sham-e-nazar, khayal ke anjum, jigar ke daagh
Jitne charaag hain, teri mehfil se aaye hain
Uth kar to aa gaye hain teri bazm se magar
Kuchh dil hi jaanta hai ki kis dil se aaye hain
Har ek qadam ajal tha, har ek gaam zindagi
Hum ghoom phir ke koocha-e-qaatil se aaye hain
Baad-e-khizan ka shukr karo 'Faiz' jis ke haath
Naam-e-kisi bahaar-e-shimail se aaye hain
5- Dasht-e-tanhai mein ai jaan-e-jahaan larzan hain
Teri awaaz ke saaye, tere honton ke saraab
Dasht-e-tanhai mein doori ke khas-o-khaak tale
Khil rahe hain tire pehlu ke saman aur gulaab
Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushboo mein sulagti hui madhyam madhyam
Door ufuq paar chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam
Is qadar pyar se ai jaan-e-jahaan rakha hai
Dil ke rukhsar pe is waqt teri yaad ne haath
Yun guman hota hai garche hai abhi subah-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din, aa bhi gayi wasl ki raat
------------------------------------------------
1- नसीब आज़माने के दिन आ रहे हैं
क़रीब उन के आने के दिन आ रहे हैं
जो दिल से कहा है जो दिल से सुना है
सब उन को सुनाने के दिन आ रहे हैं
अभी से दिल ओ जाँ सर-ए-राह रख दो
कि लुटने लुटाने के दिन आ रहे हैं
टपकने लगी उन निगाहों से मस्ती
निगाहें चुराने के दिन आ रहे हैं
सबा फिर हमें पूछती फिर रही है
चमन को सजाने के दिन आ रहे हैं
चलो 'फ़ैज़' फिर से कहीं दिल लगाएँ
सुना है ठिकाने के दिन आ रहे हैं
2- ये धूप किनारा शाम ढले
मिलते हैं दोनों वक़्त जहाँ
जो रात न दिन जो आज न कल
पल-भर को अमर पल भर में धुआँ
इस धूप किनारे पल-दो-पल
होंटों की लपक
बाँहों की छनक
ये मेल हमारा झूट न सच
क्यूँ रार करो क्यूँ दोश धरो
किस कारन झूटी बात करो
जब तेरी समुंदर आँखों में
इस शाम का सूरज डूबेगा
सुख सोएँगे घर दर वाले
और राही अपनी रह लेगा
3- गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले
चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले
क़फ़स उदास है यारो सबा से कुछ तो कहो
कहीं तो बहर-ए-ख़ुदा आज ज़िक्र-ए-यार चले
कभी तो सुब्ह तिरे कुंज-ए-लब से हो आग़ाज़
कभी तो शब सर-ए-काकुल से मुश्क-बार चले
बड़ा है दर्द का रिश्ता ये दिल ग़रीब सही
तुम्हारे नाम पे आएँगे ग़म-गुसार चले
जो हम पे गुज़री सो गुज़री मगर शब-ए-हिज्राँ
हमारे अश्क तिरी आक़िबत सँवार चले
हुज़ूर-ए-यार हुई दफ़्तर-ए-जुनूँ की तलब
गिरह में ले के गरेबाँ का तार तार चले
मक़ाम 'फ़ैज़' कोई राह में जचा ही नहीं
जो कू-ए-यार से निकले तो सू-ए-दार चले
4- सब क़त्ल हो के तेरे मुक़ाबिल से आए हैं
हम लोग सुर्ख़-रू हैं कि मंज़िल से आए हैं
शम-ए-नज़र ख़याल के अंजुम जिगर के दाग़
जितने चराग़ हैं तिरी महफ़िल से आए हैं
उठ कर तो आ गए हैं तिरी बज़्म से मगर
कुछ दिल ही जानता है कि किस दिल से आए हैं
हर इक क़दम अजल था हर इक गाम ज़िंदगी
हम घूम फिर के कूचा-ए-क़ातिल से आए हैं
बाद-ए-ख़िज़ाँ का शुक्र करो 'फ़ैज़' जिस के हाथ
नामे किसी बहार-ए-शिमाइल से आए हैं
5- दश्त-ए-तन्हाई में ऐ जान-ए-जहाँ लर्ज़ां हैं
तेरी आवाज़ के साए तिरे होंटों के सराब
दश्त-ए-तन्हाई में दूरी के ख़स ओ ख़ाक तले
खिल रहे हैं तिरे पहलू के समन और गुलाब
उठ रही है कहीं क़ुर्बत से तिरी साँस की आँच
अपनी ख़ुशबू में सुलगती हुई मद्धम मद्धम
दूर उफ़ुक़ पार चमकती हुई क़तरा क़तरा
गिर रही है तिरी दिलदार नज़र की शबनम
इस क़दर प्यार से ऐ जान-ए-जहाँ रक्खा है
दिल के रुख़्सार पे इस वक़्त तिरी याद ने हात
यूँ गुमाँ होता है गरचे है अभी सुब्ह-ए-फ़िराक़
ढल गया हिज्र का दिन आ भी गई वस्ल की रात