1- Baithe hain chain se kahin jaana to hai nahi
Hum be-gharon ka koi thikaana to hai nahi
Tum bhi ho beete waqt ke maanind hoo-ba-hoo
Tum ne bhi yaad aana hai aana to hai nahi
Ahad-e-wafa se kis liye khaayif ho meri jaan
Kar lo ke tum ne ahad nibhaana to hai nahi
Woh jo humein azeez hai kaisa hai kaun hai
Kyun poochhte ho hum ne bataana to hai nahi
Duniya hum ahl-e-ishq pe kyun phenkhti hai jaal
Hum ne tire fareb mein aana to hai nahi
Woh ishq to karega magar dekh bhaal ke
'Faris' woh tere jaisa deewana to hai nahi
2- Sadaayen dete hue aur khaak udaate hue
Main apne aap se guzra hoon tujh tak aate hue
Phir us ke baad zamaane ne mujh ko raund diya
Main gir pada tha kisi aur ko uthaate hue
Kahani khatam hui aur aisi khatam hui
Ke log rone lage taaliyan bajaate hue
Phir us ke baad ata ho gayi mujhe taaseer
Main ro pada tha kisi ko ghazal sunaate hue
Kharidna hai to dil ko kharid le fauran
Khilone toot bhi jaate hain aazmaate hue
Tumhara gham bhi kisi tifl-e-sheer-khaar sa hai
Ke oongh jaata hoon main khud use sulaate hue
Agar mile bhi to milta hai raah mein 'Faris'
Kahin se aate hue ya kahin ko jaate hue
3- Khaak udti hai raat-bhar mujh mein
Kaun phirta hai dar-ba-dar mujh mein
Mujh ko khud mein jagah nahi milti
Tu hai maujood is qadar mujh mein
Mausam-e-girya ek guzaarish hai
Gham ke pakne talak thahar mujh mein
Be-ghari ab mera muqaddar hai
Ishq ne kar liya hai ghar mujh mein
Aap ka dhyan khoon ke maanind
Daudta hai idhar-udhar mujh mein
Honsla ho to baat ban jaaye
Honsla hi nahi magar mujh mein
4- Main kaar-aamad hoon ya be-kaar hoon main
Magar ai yaar tera yaar hoon main
Jo dekha hai kisi ko mat bataana
Ilaaqe bhar mein izzat-daar hoon main
Khud apni zaat ke sarmaaye mein bhi
Sifar feesad ka hisse-daar hoon main
Aur ab kyun bain karte aa gaye ho
Kaha tha na bahut beemaar hoon main
Meri to saari duniya bas tumhi ho
Ghalat kya hai jo duniya-daar hoon main
Kahani mein jo hota hi nahi hai
Kahani ka wahi kirdaar hoon main
Ye tay karta hai dastak dene wala
Kahan dar hoon kahan deewaar hoon main
Koi samjhaaye mere dushmanon ko
Zara si dosti ki maar hoon main
Mujhe patthar samajh kar pesh mat aa
Zara sa reham kar jaan-daar hoon main
Bas itna soch kar kije koi hukm
Bada munh-zor khidmat-gaar hoon main
Koi shak hai to be-shak aazma le
Tera hone ka daave-daar hoon main
Agar har haal mein khush rehna fun hai
To phir sab se bada funkaar hoon main
Zamana to mujhe kehta hai 'Faris'
Magar 'Faris' ka parda-daar hoon main
Unhein khilna sikhata hoon main 'Faris'
Gulabon ka suhulat-kaar hoon main
5- Sar-ba-sar yaar ki marzi pe fida ho jaana
Kya ghab kaam hai raazi-ba-raza ho jaana
Band aankho woh chale aayein to wa ho jaana
Aur yun foot ke rona ke fana ho jaana
Ishq mein kaam nahi zor-zabarasti ka
Jab bhi tum chaho juda hona juda ho jaana
Teri jaanib hai ba-tadreej taraqqi meri
Mere hone ki hai meraaj tera ho jaana
Tere aane ki bashaarat ke siwa kuch bhi nahi
Baagh mein sookhe darakhton ka hara ho jaana
Ek nishani hai kisi shehar ki barbaadi ki
Narwa baat ka yak-lakht rawa ho jaana
Tang aa jaun mohabbat se to gahe gahe
Achha lagta hai mujhe tera khafa ho jaana
Si diye jaayein mere hont to ai jaan-e-ghazal
Aisa karna meri aankhon se ada ho jaana
Be-niaazi bhi wahi aur ta’alluq bhi wahi
Tumhein aata hai mohabbat mein khuda ho jaana
Azdaha ban ke rag-o-pai ko jakad leta hai
Itna aasaan nahi gham se riha ho jaana
Achhe achhon pe bure din hain lihaaza 'Faris'
Achha hone se to achha hai bura ho jaana
-------------------------------------------
1- बैठे हैं चैन से कहीं जाना तो है नहीं
हम बे-घरों का कोई ठिकाना तो है नहीं
तुम भी हो बीते वक़्त के मानिंद हू-ब-हू
तुम ने भी याद आना है आना तो है नहीं
अहद-ए-वफ़ा से किस लिए ख़ाइफ़ हो मेरी जान
कर लो कि तुम ने अहद निभाना तो है नहीं
वो जो हमें अज़ीज़ है कैसा है कौन है
क्यूँ पूछते हो हम ने बताना तो है नहीं
दुनिया हम अहल-ए-इश्क़ पे क्यूँ फेंकती है जाल
हम ने तिरे फ़रेब में आना तो है नहीं
वो इश्क़ तो करेगा मगर देख भाल के
'फ़ारिस' वो तेरे जैसा दिवाना तो है नहीं
2- सदाएँ देते हुए और ख़ाक उड़ाते हुए
मैं अपने आप से गुज़रा हूँ तुझ तक आते हुए
फिर उस के बा'द ज़माने ने मुझ को रौंद दिया
मैं गिर पड़ा था किसी और को उठाते हुए
कहानी ख़त्म हुई और ऐसी ख़त्म हुई
कि लोग रोने लगे तालियाँ बजाते हुए
फिर उस के बा'द अता हो गई मुझे तासीर
मैं रो पड़ा था किसी को ग़ज़ल सुनाते हुए
ख़रीदना है तो दिल को ख़रीद ले फ़ौरन
खिलौने टूट भी जाते हैं आज़माते हुए
तुम्हारा ग़म भी किसी तिफ़्ल-ए-शीर-ख़ार सा है
कि ऊँघ जाता हूँ मैं ख़ुद उसे सुलाते हुए
अगर मिले भी तो मिलता है राह में 'फ़ारिस'
कहीं से आते हुए या कहीं को जाते हुए
3- ख़ाक उड़ती है रात-भर मुझ में
कौन फिरता है दर-ब-दर मुझ में
मुझ को ख़ुद में जगह नहीं मिलती
तू है मौजूद इस क़दर मुझ में
मौसम-ए-गिर्या एक गुज़ारिश है
ग़म के पकने तलक ठहर मुझ में
बे-घरी अब मिरा मुक़द्दर है
इश्क़ ने कर लिया है घर मुझ में
आप का ध्यान ख़ून के मानिंद
दौड़ता है इधर-उधर मुझ में
हौसला हो तो बात बन जाए
हौसला ही नहीं मगर मुझ में
4- मैं कार-आमद हूँ या बे-कार हूँ मैं
मगर ऐ यार तेरा यार हूँ मैं
जो देखा है किसी को मत बताना
इलाक़े भर में इज़्ज़त-दार हूँ मैं
ख़ुद अपनी ज़ात के सरमाए में भी
सिफ़र फ़ीसद का हिस्से-दार हूँ मैं
और अब क्यूँ बैन करते आ गए हों
कहा था ना बहुत बीमार हूँ मैं
मिरी तो सारी दुनिया बस तुम्ही हो
ग़लत क्या है जो दुनिया-दार हूँ मैं
कहानी में जो होता ही नहीं है
कहानी का वही किरदार हूँ मैं
ये तय करता है दस्तक देने वाला
कहाँ दर हूँ कहाँ दीवार हूँ मैं
कोई समझाए मेरे दुश्मनों को
ज़रा सी दोस्ती की मार हूँ मैं
मुझे पत्थर समझ कर पेश मत आ
ज़रा सा रहम कर जाँ-दार हूँ मैं
बस इतना सोच कर कीजे कोई हुक्म
बड़ा मुँह-ज़ोर ख़िदमत-गार हूँ मैं
कोई शक है तो बे-शक आज़मा ले
तिरा होने का दा'वे-दार हूँ मैं
अगर हर हाल में ख़ुश रहना फ़न है
तो फिर सब से बड़ा फ़नकार हूँ मैं
ज़माना तो मुझे कहता है 'फ़ारिस'
मगर 'फ़ारिस' का पर्दा-दार हूँ मैं
उन्हें खिलना सिखाता हूँ मैं 'फ़ारिस'
गुलाबों का सुहूलत-कार हूँ मैं
5- सर-ब-सर यार की मर्ज़ी पे फ़िदा हो जाना
क्या ग़ज़ब काम है राज़ी-ब-रज़ा हो जाना
बंद आँखो वो चले आएँ तो वा हो जाना
और यूँ फूट के रोना कि फ़ना हो जाना
इश्क़ में काम नहीं ज़ोर-ज़बरदस्ती का
जब भी तुम चाहो जुदा होना जुदा हो जाना
तेरी जानिब है ब-तदरीज तरक़्क़ी मेरी
मेरे होने की है मेराज तिरा हो जाना
तेरे आने की बशारत के सिवा कुछ भी नहीं
बाग़ में सूखे दरख़्तों का हरा हो जाना
इक निशानी है किसी शहर की बर्बादी की
नारवा बात का यक-लख़्त रवा हो जाना
तंग आ जाऊँ मोहब्बत से तो गाहे गाहे
अच्छा लगता है मुझे तेरा ख़फ़ा हो जाना
सी दिए जाएँ मिरे होंट तो ऐ जान-ए-ग़ज़ल
ऐसा करना मिरी आँखों से अदा हो जाना
बे-नियाज़ी भी वही और तअ'ल्लुक़ भी वही
तुम्हें आता है मोहब्बत में ख़ुदा हो जाना
अज़दहा बन के रग-ओ-पै को जकड़ लेता है
इतना आसान नहीं ग़म से रिहा हो जाना
अच्छे अच्छों पे बुरे दिन हैं लिहाज़ा 'फ़ारिस'
अच्छे होने से तो अच्छा है बुरा हो जाना