sahir lukhianvi

mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne..

mohabbat tark ki main ne garebaan si liya main ne
zamaane ab to khush ho zahar ye bhi pee liya main ne

abhi zinda hoon lekin sochta rehta hoon khilwat mein
ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liya main ne

unhen apna nahin saka magar itna bhi kya kam hai
ki kuchh muddat haseen khwaabon mein kho kar jee liya main ne

bas ab to daaman-e-dil chhod do bekar umeedo
bahut dukh sah liye main ne bahut din jee liya main ne 
------------------------------------------
मोहब्बत तर्क की मैं ने गरेबाँ सी लिया मैं ने
ज़माने अब तो ख़ुश हो ज़हर ये भी पी लिया मैं ने

अभी ज़िंदा हूँ लेकिन सोचता रहता हूँ ख़ल्वत में
कि अब तक किस तमन्ना के सहारे जी लिया मैं ने

उन्हें अपना नहीं सकता मगर इतना भी क्या कम है
कि कुछ मुद्दत हसीं ख़्वाबों में खो कर जी लिया मैं ने

बस अब तो दामन-ए-दिल छोड़ दो बेकार उम्मीदो
बहुत दुख सह लिए मैं ने बहुत दिन जी लिया मैं ने

Read more

tiri duniya mein jeene se to behtar hai ki mar jaayen..

tiri duniya mein jeene se to behtar hai ki mar jaayen
wahi aansu wahi aahen wahi gham hai jidhar jaayen

koi to aisa ghar hota jahaan se pyaar mil jaata
wahi begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayen

are o aasmaan waale bata is mein bura kya hai
khushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaayen 
---------------------------------------------------
तिरी दुनिया में जीने से तो बेहतर है कि मर जाएँ
वही आँसू वही आहें वही ग़म है जिधर जाएँ

कोई तो ऐसा घर होता जहाँ से प्यार मिल जाता
वही बेगाने चेहरे हैं जहाँ जाएँ जिधर जाएँ

अरे ओ आसमाँ वाले बता इस में बुरा क्या है
ख़ुशी के चार झोंके गर इधर से भी गुज़र जाएँ

Read more

bhule se mohabbat kar baitha naadaan tha bechaara dil hi to hai..

bhule se mohabbat kar baitha naadaan tha bechaara dil hi to hai
har dil se khata ho jaati hai bigdo na khudaara dil hi to hai

is tarah nigaahen mat fero aisa na ho dhadkan ruk jaaye
seene mein koi patthar to nahin ehsaas ka maara dil hi to hai

jazbaat bhi hindu hote hain chaahat bhi musalmaan hoti hai
duniya ka ishaara tha lekin samjha na ishaara dil hi to hai

bedaad-garon ki thokar se sab khwaab suhaane choor hue
ab dil ka sahaara gham hi to hai ab gham ka sahaara dil hi to hai 
----------------------------------------------------
भूले से मोहब्बत कर बैठा, नादाँ था बेचारा, दिल ही तो है
हर दिल से ख़ता हो जाती है, बिगड़ो न ख़ुदारा, दिल ही तो है

इस तरह निगाहें मत फेरो, ऐसा न हो धड़कन रुक जाए
सीने में कोई पत्थर तो नहीं एहसास का मारा, दिल ही तो है

जज़्बात भी हिन्दू होते हैं चाहत भी मुसलमाँ होती है
दुनिया का इशारा था लेकिन समझा न इशारा, दिल ही तो है

बेदाद-गरों की ठोकर से सब ख़्वाब सुहाने चूर हुए
अब दिल का सहारा ग़म ही तो है अब ग़म का सहारा दिल ही तो है

Read more

ab aayein ya na aayein idhar poochte chalo..

ab aayein ya na aayein idhar poochte chalo
kya chahti hai un ki nazar poochte chalo

ham se agar hai tark-e-taalluq to kya hua
yaaro koi to un ki khabar poochte chalo

jo khud ko kah rahe hain ki manzil-shanaas hain
un ko bhi kya khabar hai magar poochte chalo

kis manzil-e-muraad ki jaanib ravaan hain ham
ai rah-ravaan-e-khaak-basar poochte chalo 
----------------------------------------------
अब आएँ या न आएँ इधर पूछते चलो
क्या चाहती है उन की नज़र पूछते चलो

हम से अगर है तर्क-ए-तअल्लुक़ तो क्या हुआ
यारो कोई तो उन की ख़बर पूछते चलो

जो ख़ुद को कह रहे हैं कि मंज़िल-शनास हैं
उन को भी क्या ख़बर है मगर पूछते चलो

किस मंज़िल-ए-मुराद की जानिब रवाँ हैं हम
ऐ रह-रवान-ए-ख़ाक-बसर पूछते चलो

Read more

havas-naseeb nazar ko kahi qaraar nahin..

havas-naseeb nazar ko kahi qaraar nahin
main muntazir hoon magar tera intizaar nahin

humeen se rang-e-gulistaan humeen se rang-e-bahaar
humeen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahin

abhi na chhed mohabbat ke geet ai mutarib
abhi hayaat ka maahol khush-gawaar nahin

tumhaare ahad-e-wafaa ko main ahad kya samjhoon
mujhe khud apni mohabbat pe e'tibaar nahin

na jaane kitne gile is mein muztarib hain nadeem
vo ek dil jo kisi ka gila-guzaar nahin

gurez ka nahin qaail hayaat se lekin
jo sach kahoon ki mujhe maut naagawaar nahin

ye kis maqaam pe pahuncha diya zamaane ne
ki ab hayaat pe tera bhi ikhtiyaar nahin 
-----------------------------------
हवस-नसीब नज़र को कहीं क़रार नहीं
मैं मुंतज़िर हूँ मगर तेरा इंतिज़ार नहीं

हमीं से रंग-ए-गुलिस्ताँ हमीं से रंग-ए-बहार
हमीं को नज़्म-ए-गुलिस्ताँ पे इख़्तियार नहीं

अभी न छेड़ मोहब्बत के गीत ऐ मुतरिब
अभी हयात का माहौल ख़ुश-गवार नहीं

तुम्हारे अहद-ए-वफ़ा को मैं अहद क्या समझूँ
मुझे ख़ुद अपनी मोहब्बत पे ए'तिबार नहीं

न जाने कितने गिले इस में मुज़्तरिब हैं नदीम
वो एक दिल जो किसी का गिला-गुज़ार नहीं

गुरेज़ का नहीं क़ाइल हयात से लेकिन
जो सच कहूँ कि मुझे मौत नागवार नहीं

ये किस मक़ाम पे पहुँचा दिया ज़माने ने
कि अब हयात पे तेरा भी इख़्तियार नहीं

Read more

meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaunga..

meri taqdeer mein jalna hai to jal jaaunga
tera vaada to nahin hoon jo badal jaaunga

soz bhar do mere sapne mein gham-e-ulfat ka
main koi mom nahin hoon jo pighal jaaunga

dard kehta hai ye ghabra ke shab-e-furqat mein
aah ban kar tire pahluu se nikal jaaunga

mujh ko samjhaao na saahir main ik din khud hi
thokren kha ke mohabbat mein sambhal jaaunga 
--------------------------------------------------
मेरी तक़दीर में जलना है तो जल जाऊँगा
तेरा वादा तो नहीं हूँ जो बदल जाऊँगा

सोज़ भर दो मिरे सपने में ग़म-ए-उल्फ़त का
मैं कोई मोम नहीं हूँ जो पिघल जाऊँगा

दर्द कहता है ये घबरा के शब-ए-फ़ुर्क़त में
आह बन कर तिरे पहलू से निकल जाऊँगा

मुझ को समझाओ न 'साहिर' मैं इक दिन ख़ुद ही
ठोकरें खा के मोहब्बत में सँभल जाऊँगा
Read more

itni haseen itni jawaan raat kya karein..

itni haseen itni jawaan raat kya karein
jaage hain kuchh ajeeb se jazbaat kya karein

pedon ke baazuon mein mehkati hai chaandni
bechain ho rahe hain khayaalaat kya karein

saanson mein ghul rahi hai kisi saans ki mahak
daaman ko choo raha hai koi haath kya karein

shaayad tumhaare aane se ye bhed khul sake
hairaan hain ki aaj nayi baat kya karein 
-------------------------------------
इतनी हसीन इतनी जवाँ रात क्या करें
जागे हैं कुछ अजीब से जज़्बात क्या करें

पेड़ों के बाज़ुओं में महकती है चाँदनी
बेचैन हो रहे हैं ख़यालात क्या करें

साँसों में घुल रही है किसी साँस की महक
दामन को छू रहा है कोई हात क्या करें

शायद तुम्हारे आने से ये भेद खुल सके
हैरान हैं कि आज नई बात क्या करें
Read more

jurm-e-ulfat pe hamein log saza dete hain..

jurm-e-ulfat pe hamein log saza dete hain
kaise naadaan hain sholon ko hawa dete hain

ham se deewane kahi tark-e-wafa karte hain
jaan jaaye ki rahe baat nibha dete hain

aap daulat ke taraazu mein dilon ko taulein
ham mohabbat se mohabbat ka sila dete hain

takht kya cheez hai aur laal-o-jawaahar kya hain
ishq waale to khudaai bhi luta dete hain

ham ne dil de bhi diya ahad-e-wafaa le bhi liya
aap ab shauq se de len jo saza dete hain 
-----------------------------------
जुर्म-ए-उल्फ़त पे हमें लोग सज़ा देते हैं
कैसे नादान हैं शोलों को हवा देते हैं

हम से दीवाने कहीं तर्क-ए-वफ़ा करते हैं
जान जाए कि रहे बात निभा देते हैं

आप दौलत के तराज़ू में दिलों को तौलें
हम मोहब्बत से मोहब्बत का सिला देते हैं

तख़्त क्या चीज़ है और लाल-ओ-जवाहर क्या हैं
इश्क़ वाले तो ख़ुदाई भी लुटा देते हैं

हम ने दिल दे भी दिया अहद-ए-वफ़ा ले भी लिया
आप अब शौक़ से दे लें जो सज़ा देते हैं
Read more

sansaar ki har shay ka itna hi fasana hai..

sansaar ki har shay ka itna hi fasana hai
ik dhund se aana hai ik dhund mein jaana hai

ye raah kahaan se hai ye raah kahaan tak hai
ye raaz koi raahi samjha hai na jaana hai

ik pal ki palak par hai thehri hui ye duniya
ik pal ke jhapakne tak har khel suhaana hai

kya jaane koi kis par kis mod par kya beete
is raah mein ai raahi har mod bahaana hai

ham log khilauna hain ik aise khilaadi ka
jis ko abhi sadiyon tak ye khel rachaana hai 
------------------------------------
संसार की हर शय का इतना ही फ़साना है
इक धुँद से आना है इक धुँद में जाना है

ये राह कहाँ से है ये राह कहाँ तक है
ये राज़ कोई राही समझा है न जाना है

इक पल की पलक पर है ठहरी हुई ये दुनिया
इक पल के झपकने तक हर खेल सुहाना है

क्या जाने कोई किस पर किस मोड़ पर क्या बीते
इस राह में ऐ राही हर मोड़ बहाना है

हम लोग खिलौना हैं इक ऐसे खिलाड़ी का
जिस को अभी सदियों तक ये खेल रचाना है

Read more

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai..

sadiyon se insaan ye sunta aaya hai
dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai

ham ko in sasti khushiyon ka lobh na do
ham ne soch samajh kar gham apnaaya hai

jhooth to qaateel thehra is ka kya rona
sach ne bhi insaan ka khun bahaaya hai

paidaish ke din se maut ki zad mein hain
is maqtal mein kaun hamein le aaya hai

awwal awwal jis dil ne barbaad kiya
aakhir aakhir vo dil hi kaam aaya hai

itne din ehsaan kiya deewaanon par
jitne din logon ne saath nibhaaya hai 
--------------------------------
सदियों से इंसान ये सुनता आया है
दुख की धूप के आगे सुख का साया है

हम को इन सस्ती ख़ुशियों का लोभ न दो
हम ने सोच समझ कर ग़म अपनाया है

झूट तो क़ातिल ठहरा इस का क्या रोना
सच ने भी इंसाँ का ख़ूँ बहाया है

पैदाइश के दिन से मौत की ज़द में हैं
इस मक़्तल में कौन हमें ले आया है

अव्वल अव्वल जिस दिल ने बर्बाद किया
आख़िर आख़िर वो दिल ही काम आया है

इतने दिन एहसान किया दीवानों पर
जितने दिन लोगों ने साथ निभाया है

Read more