Romantic Shayari

bajaae koi shehnai mujhe achha nahin lagta..

bajaae koi shehnai mujhe achha nahin lagta
mohabbat ka tamaashaai mujhe achha nahin lagta

vo jab bichhde the ham to yaad hai garmi ki chhuttiyaan theen
tabhi se maah julaai mujhe achha nahin lagta

vo sharmaati hai itna ki hamesha us ki baaton ka
qareeban ek chauthaai mujhe achha nahin lagta

na-jaane itni kadvaahat kahaan se aa gai mujh mein
kare jo meri achchaai mujhe achha nahin lagta

mere dushman ko itni fauqiyat to hai bahr-soorat
ki tu hai us ki hum-saai mujhe achha nahin lagta

na itni daad do jis mein meri awaaz dab jaaye
kare jo yun paziraai mujhe achha nahin lagta

tiri khaatir nazar-andaaz karta hoon use warna
vo jo hai na tira bhaai mujhe achha nahin lagta 
---------------------------------------
बजाए कोई शहनाई मुझे अच्छा नहीं लगता
मोहब्बत का तमाशाई मुझे अच्छा नहीं लगता

वो जब बिछड़े थे हम तो याद है गर्मी की छुट्टीयाँ थीं
तभी से माह जुलाई मुझे अच्छा नहीं लगता

वो शरमाती है इतना कि हमेशा उस की बातों का
क़रीबन एक चौथाई मुझे अच्छा नहीं लगता

न-जाने इतनी कड़वाहट कहाँ से आ गई मुझ में
करे जो मेरी अच्छाई मुझे अच्छा नहीं लगता

मिरे दुश्मन को इतनी फ़ौक़ियत तो है बहर-सूरत
कि तू है उस की हम-साई मुझे अच्छा नहीं लगता

न इतनी दाद दो जिस में मिरी आवाज़ दब जाए
करे जो यूँ पज़ीराई मुझे अच्छा नहीं लगता

तिरी ख़ातिर नज़र-अंदाज़ करता हूँ उसे वर्ना
वो जो है ना तिरा भाई मुझे अच्छा नहीं लगता
Read more

agar ye kah do baghair mere nahin guzaara to main tumhaara..

agar ye kah do baghair mere nahin guzaara to main tumhaara
ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara

ghuroor-parwar ana ka maalik kuchh is tarah ke hain naam mere
magar qasam se jo tum ne ik naam bhi pukaara to main tumhaara

tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaaun baazi
agar main jeeta to tum ho mere agar main haara to main tumhaara

tumhaara aashiq tumhaara mukhlis tumhaara saathi tumhaara apna
raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara

tumhaara hone ke faisley ko main apni qismat pe chhodta hoon
agar muqaddar ka koi toota kabhi sitaara to main tumhaara

ye kis pe ta'aweez kar rahe ho ye kis ko paane ke hain wazeefe
tamaam chhodo bas ek kar lo jo istikhara to main tumhaara 
-----------------------------------------------
अगर ये कह दो बग़ैर मेरे नहीं गुज़ारा तो मैं तुम्हारा
या उस पे मब्नी कोई तअस्सुर कोई इशारा तो मैं तुम्हारा

ग़ुरूर-परवर अना का मालिक कुछ इस तरह के हैं नाम मेरे
मगर क़सम से जो तुम ने इक नाम भी पुकारा तो मैं तुम्हारा

तुम अपनी शर्तों पे खेल खेलो मैं जैसे चाहे लगाऊँ बाज़ी
अगर मैं जीता तो तुम हो मेरे अगर मैं हारा तो मैं तुम्हारा

तुम्हारा आशिक़ तुम्हारा मुख़्लिस तुम्हारा साथी तुम्हारा अपना
रहा न इन में से कोई दुनिया में जब तुम्हारा तो मैं तुम्हारा

तुम्हारा होने के फ़ैसले को मैं अपनी क़िस्मत पे छोड़ता हूँ
अगर मुक़द्दर का कोई टूटा कभी सितारा तो मैं तुम्हारा

ये किस पे ता'वीज़ कर रहे हो ये किस को पाने के हैं वज़ीफ़े
तमाम छोड़ो बस एक कर लो जो इस्तिख़ारा तो मैं तुम्हारा
Read more

na ghaur se dekh mere dil ka kabaad aise..

na ghaur se dekh mere dil ka kabaad aise
ki main kabhi bhi nahin raha tha ujaad aise

bura ho tera jo band rakhe the main ne ghar ke
to khol aaya baghair pooche kiwaad aise

jo meri rooh-o-badan ke taanke udhed dale
to meri nazaron pe apni nazaron ko gaar aise

samajh na paaya ki tod deta ya saath rakhta
ki is ta'alluq mein aa gai thi daraad aise

ai ishq rah jaaun farfarahaa ke yun kar de be-bas
so meri gardan mein apne daanton ko gaar aise

to meri aadat se meri fitrat hi ho chala hai
abhi bhi kehta hoon mujh ko tu na bigaad aise

ye mere baazu hi jang ka faisla karenge
pakad le talwaar aur mujh ko pachaad aise

tumhaare gham ka pahaad toota to phir ye jaana
pahaadon par hi to tootte hain pahaad aise

hazaar minnat hazaar minnat hazaar mehnat
tujhe manaane ko kar raha hoon jugaad aise
------------------------------------
न ग़ौर से देख मेरे दिल का कबाड़ ऐसे
कि मैं कभी भी नहीं रहा था उजाड़ ऐसे

बुरा हो तेरा जो बंद रखे थे मैं ने घर के
तो खोल आया बग़ैर पूछे किवाड़ ऐसे

जो मेरी रूह-ओ-बदन के टाँके उधेड़ डाले
तो मेरी नज़रों पे अपनी नज़रों को गाड़ ऐसे

समझ न पाया कि तोड़ देता या साथ रखता
कि इस तअ'ल्लुक़ में आ गई थी दराड़ ऐसे

ऐ इश्क़ रह जाऊँ फड़फड़ा के यूँ कर दे बे-बस
सो मेरी गर्दन में अपने दाँतों को गाड़ ऐसे

तो मेरी आदत से मेरी फ़ितरत ही हो चला है
अभी भी कहता हूँ मुझ को तू न बिगाड़ ऐसे

ये मेरे बाज़ू ही जंग का फ़ैसला करेंगे
पकड़ ले तलवार और मुझ को पछाड़ ऐसे

तुम्हारे ग़म का पहाड़ टूटा तो फिर ये जाना
पहाड़ों पर ही तो टूटते हैं पहाड़ ऐसे

हज़ार मिन्नत हज़ार मिन्नत हज़ार मेहनत
तुझे मनाने को कर रहा हूँ जुगाड़ ऐसे
Read more

zaroor us ki nazar mujh pe hi gadi hui hai..

zaroor us ki nazar mujh pe hi gadi hui hai
main jim se aa raha hoon aasteen chadhi hui hai

mujhe zara sa bura kah diya to is se kya
vo itni baat pe maa baap se ladi hui hai

use zaroorat-e-parda zara ziyaada hai
ye vo bhi jaanti hai jab se vo badi hui hai

vo meri di hui nathuni pahan ke ghoomti hai
tabhi vo in dinon kuchh aur nak-chadhi hui hai

muaahidon mein lachak bhi zaroori hoti hai
par is ki sooi wahin ki wahin adi hui hai

vo taai baandhti hai aur kheench leti hai
ye kaise waqt use pyaar ki padi hui hai

khuda ke vaaste likhte raho ki us ne ameer
har ik ghazal tiri sau sau dafa padhi hui hai 
-------------------------------------
ज़रूर उस की नज़र मुझ पे ही गड़ी हुई है
मैं जिम से आ रहा हूँ आस्तीं चढ़ी हुई है

मुझे ज़रा सा बुरा कह दिया तो इस से क्या
वो इतनी बात पे माँ बाप से लड़ी हुई है

उसे ज़रूरत-ए-पर्दा ज़रा ज़ियादा है
ये वो भी जानती है जब से वो बड़ी हुई है

वो मेरी दी हुई नथुनी पहन के घूमती है
तभी वो इन दिनों कुछ और नक-चढ़ी हुई है

मुआहिदों में लचक भी ज़रूरी होती है
पर इस की सूई वहीं की वहीं अड़ी हुई है

वो टाई बाँधती है और खींच लेती है
ये कैसे वक़्त उसे प्यार की पड़ी हुई है

ख़ुदा के वास्ते लिखते रहो कि उस ने 'अमीर'
हर इक ग़ज़ल तिरी सौ सौ दफ़ा पढ़ी हुई है
Read more

vo roothi roothi ye kah rahi thi qareeb aao mujhe manao..

vo roothi roothi ye kah rahi thi qareeb aao mujhe manao
ho mard to aage badh ke mujh ko gale lagao mujhe manao

main kal se naaraz hoon qasam se aur ek kone mein ja padi hoon
haan main galat hoon dikhaao phir bhi tumhi jhukao mujhe manao

tumhaare nakhrin se apni an-ban to badhti jaayegi sun rahe ho
tum ek sorry se khatm kar sakte ho tanaav mujhe manao

tumhein pata bhi hai kis sakhi se tumhaara paala pada hua hai
mua'af kar doongi tum ko fauran hi aao aao mujhe manao

mujhe yun apne se door kar ke na khush rahoge ghuroor kar ke
so mujh se kuchh faasle pe rakho ye rakh-rakhaav mujhe manao

mujhe batao ki meri naarazgi se tum ko hai farq koi
main kha rahi hoon na-jaane kab se hi pech-taav mujhe manao

mujhe pata hai mujhe manaane ko tum bhi bechain ho rahe ho
to kya zaroori hai tum bhi itne bharam dikhaao mujhe manao

mera iraada to pehle hi se hai maan jaane ka sach bataaun
tum apne bhar bhi tamaam harbon ko aazmao mujhe manao

bahut bure ho meri dikhaave ki neend ko bhi tum asl samjhe
kahi se seekho piyaar karna mujhe jagao mujhe manao

tum apne andaaz mein ki jaise chadha ke rakhte ho aasteinen
to main tumhaara radif waali ghazal sunaao mujhe manao

khilaf-e-ma'amool mood achha hai aaj mera main kah rahi hoon
ki phir kabhi mujh se karte rahna ye bhaav-taav mujhe manao

main parle darje ka hat-dharam tha ki phir bhi us ko manaa na paaya
so ab bhi kaanon mein goonjtaa hai mujhe manao mujhe manao 
-------------------------------------------
वो रूठी रूठी ये कह रही थी क़रीब आओ मुझे मनाओ
हो मर्द तो आगे बढ़ के मुझ को गले लगाओ मुझे मनाओ

मैं कल से नाराज़ हूँ क़सम से और एक कोने में जा पड़ी हूँ
हाँ मैं ग़लत हूँ दिखाओ फिर भी तुम्ही झुकाओ मुझे मनाओ

तुम्हारे नख़रों से अपनी अन-बन तो बढ़ती जाएगी सुन रहे हो
तुम एक सॉरी से ख़त्म कर सकते हो तनाव मुझे मनाओ

तुम्हें पता भी है किस सखी से तुम्हारा पाला पड़ा हुआ है
मुआ'फ़ कर दूँगी तुम को फ़ौरन ही आओ आओ मुझे मनाओ

मुझे यूँ अपने से दूर कर के न ख़ुश रहोगे ग़ुरूर कर के
सो मुझ से कुछ फ़ासले पे रक्खो ये रख-रखाव मुझे मनाओ

मुझे बताओ कि मेरी नाराज़गी से तुम को है फ़र्क़ कोई
मैं खा रही हूँ न-जाने कब से ही पेच-ताव मुझे मनाओ

मुझे पता है मुझे मनाने को तुम भी बेचैन हो रहे हो
तो क्या ज़रूरी है तुम भी इतने भरम दिखाओ मुझे मनाओ

मिरा इरादा तो पहले ही से है मान जाने का सच बताऊँ
तुम अपने भर भी तमाम हर्बों को आज़माओ मुझे मनाओ

बहुत बुरे हो मिरी दिखावे की नींद को भी तुम अस्ल समझे
कहीं से सीखो पियार करना मुझे जगाओ मुझे मनाओ

तुम अपने अंदाज़ में कि जैसे चढ़ा के रखते हो आस्तीनें
तो मैं ''तुम्हारा'' रदीफ़ वाली ग़ज़ल सुनाओ मुझे मनाओ

ख़िलाफ़-ए-मा'मूल मूड अच्छा है आज मेरा मैं कह रही हूँ
कि फिर कभी मुझ से करते रहना ये भाव-ताव मुझे मनाओ

मैं परले दर्जे का हट-धरम था कि फिर भी उस को मना न पाया
सो अब भी कानों में गूँजता है मुझे मनाओ मुझे मनाओ

Read more