mere dil mein ye tere siva kaun hai.. byTehzeeb Hafi December 4, 2024 mere dil mein ye tere siva kaun haitu nahin hai to teri jagah kaun haiham mohabbat mein haare hue log hainaur mohabbat mein jeeta hua kaun haimere pahluu se uth ke gaya kaun haitu nahin hai to teri jagah kaun haitune jaate hue ye bataaya nahinmain tera kaun hoon tu mera kaun hai -------------------------------------मेरे दिल में ये तेरे सिवा कौन है?तू नहीं है तो तेरी जगह कौन है?हम मोहब्बत में हारे हुए लोग हैंऔर मोहब्बत में जीता हुआ कौन है?मेरे पहलू से उठ के गया कौन है?तू नहीं है तो तेरी जगह कौन है?तूने जाते हुए ये बताया नहींमैं तेरा कौन हूँ तू मेरा कौन है Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
zakhamo ne mujh mein darwaaze khole hain.. byTehzeeb Hafi December 4, 2024 zakhamo ne mujh mein darwaaze khole hainmaine waqt se pehle taanke khole hainbaahar aane ki bhi sakat nahin ham meintune kis mausam mein pinjare khole hainkaun hamaari pyaas pe daaka daal gayakis ne maskejo ke tasme khole hainyoon to mujhko kitne khat mosul hueek do aise the jo dil se khole hainye mera pehla ramjaan tha uske bagairmat poocho kis munh se rozay khole hainvarna dhoop ka parvat kis se katata thausne chhatri khol ke raaste khole hain -----------------------------------------जख्मों ने मुझ में दरवाजे खोले हैंमैंने वक्त से पहले टांके खोलें हैंबाहर आने की भी सकत नहीं हम मेंतूने किस मौसम में पिंजरे खोले हैंकौन हमारी प्यास पे डाका डाल गयाकिस ने मस्कीजो के तसमे खोले हैंयूं तो मुझको कितने खत मोसुल हुएएक दो ऐसे थे जो दिल से खोलें हैंये मेरा पहला रमजान था उसके बगैरमत पूछो किस मुंह से रोज़े खोलें हैंवरना धूप का पर्वत किस से कटता थाउसने छतरी खोल के रास्ते खोले हैं Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
maheenon baad daftar aa rahe hain.. byTehzeeb Hafi December 3, 2024 maheenon baad daftar aa rahe hainham ek sadme se baahar aa rahe hainteri baahon se dil ukta gaya hainab is jhoole mein chakkar aa rahe hainkahaan soya hai chaukidaar meraye kaise log andar aa rahe hainsamandar kar chuka tasleem hamkokhajaane khud hi oopar aa rahe hainyahi ek din bacha tha dekhne kouse bas mein bitha kar aa rahe hain------------------------------------महीनों बाद दफ्तर आ रहे हैंहम एक सदमे से बाहर आ रहे हैंतेरी बाहों से दिल उकता गया हैंअब इस झूले में चक्कर आ रहे हैंकहां सोया है चौकीदार मेराये कैसे लोग अंदर आ रहे हैंसमंदर कर चुका तस्लीम हमकोखजाने ख़ुद ही ऊपर आ रहे हैंयही एक दिन बचा था देखने कोउसे बस में बिठा कर आ रहे हैं Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
ghalat nikle sab andaaze hamaare.. byTehzeeb Hafi December 3, 2024 ghalat nikle sab andaaze hamaareki din aaye nahi achhe hamaaresafar se baaz rahne ko kaha hainkisi ne khol ke tasmee hamaarehar ik mausam bahut andar tak aayakhule rahte the darwaaze hamaareus abr-e-mehrban se kya shikaayatagar bartan nahin bharte hamaare -----------------------------------ग़लत निकले सब अंदाज़े हमारेकि दिन आये नही अच्छे हमारेसफ़र से बाज़ रहने को कहा हैंकिसी ने खोल के तस्मे हमारेहर इक मौसम बहुत अंदर तक आयाखुले रहते थे दरवाज़े हमारेउस अब्र-ए-मेहरबाँ से क्या शिकायतअगर बर्तन नहीं भरते हमारे Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
haan ye sach hai ki mohabbat nahin ki.. byTehzeeb Hafi December 3, 2024 haan ye sach hai ki mohabbat nahin kidost bas meri tabiyat nahin kiisliye gaanv main sailaab aayahamne daryaao ki izzat nahin kijism tak usne mujhe saunp diyadil ne is par bhi kanaayat nahin kimere ejaz mein rakhi gai thimaine jis bazm mein shirkat nahin kiyaad bhi yaad se rakha uskobhool jaane mein bhi gafalat nahin kiusko dekha tha ajab haalat meinphir kabhi uski hifaazat nahin kiham agar fatah hue hai to kyaishq ne kis pe hukoomat nahin ki -------------------------------------हां ये सच है कि मोहब्बत नहीं कीदोस्त बस मेरी तबीयत नहीं कीइसलिए गांव मैं सैलाब आयाहमने दरियाओ की इज्जत नहीं कीजिस्म तक उसने मुझे सौंप दियादिल ने इस पर भी कनायत नहीं कीमेरे एजाज़ में रखी गई थीमैने जिस बज़्म में शिरकत नहीं कीयाद भी याद से रखा उसकोभूल जाने में भी गफलत नहीं कीउसको देखा था अजब हालत मेंफिर कभी उसकी हिफाज़त नहीं कीहम अगर फतह हुए है तो क्याइश्क ने किस पे हकूमत नहीं की Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
kab paani girne se khushboo footi hai.. byTehzeeb Hafi December 3, 2024 kab paani girne se khushboo footi haimitti ko bhi ilm hai baarish jhoothi haiek rishte ko laaparwaahi le doobiek rassi dheeli padne par tooti haihaath milaane par bhi us pe khula nahinye ungli par zakham hai ya angoothi haiuska hansna naa-mumkin tha yun samjhoseement ki deewaar se kopale footi haihamne in par sher nahin likkhe haafihamne in pedon ki izzat looti haiyun lagta hai deen-o-duniya chhoot gayemujh se tere shehar ki bas kya chhooti hai -----------------------------------------------कब पानी गिरने से ख़ुशबू फूटी हैमिट्टी को भी इल्म है बारिश झूठी हैएक रिश्ते को लापरवाही ले डूबीएक रस्सी ढीली पड़ने पर टूटी हैहाथ मिलाने पर भी उस पे खुला नहींये उँगली पर ज़ख़्म है या अँगूठी हैउसका हँसना ना-मुमकिन था यूँ समझोसीमेंट की दीवार से कोपल फूटी हैहमने इन पर शेर नहीं लिक्खे हाफ़ीहमने इन पेड़ों की इज़्ज़त लूटी हैयूँ लगता है दीन-ओ-दुनिया छूट गएमुझ से तेरे शहर की बस क्या छूटी है Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
ye shayari ye mere seene mein dabii hui aag.. byTehzeeb Hafi December 3, 2024 ye shayari ye mere seene mein dabii hui aagbhadak uthegi kabhi meri jama ki hui aagmain choo raha hoon tera jism khwaab ke andarbujha raha hoon main tasveer mein lagi hui aagkhijaan mein door rakho maachiso ko jungle sedikhaai deti nahin ped mein chhupi hui aagmain kaatta hoon abhi tak wahi kate hue lafzmain taapta hoon abhi tak wahi bujhi hui aagyahi diya tujhe pehli nazar mein bhaaya thakhareed laaya main teri pasand ki hui aagek umr se jal bujh raha hoon inke sababtera bacha hua paani teri bachi hui aag---------------------------------------------ये शायरी ये मेरे सीने में दबी हुई आगभड़क उठेगी कभी मेरी जमा की हुई आगमैं छू रहा हूं तेरा जिस्म ख्वाब के अंदरबुझा रहा हूं मैं तस्वीर में लगी हुई आगखिजां में दूर रखो माचिसो को जंगल सेदिखाई देती नहीं पेड़ में छुपी हुई आगमैं काटता हूं अभी तक वही कटे हुए लफ्ज़मैं तापता हूं अभी तक वही बुझी हुई आगयही दिया तुझे पहली नजर में भाया थाखरीद लाया मैं तेरी पसंद की हुई आगएक उम्र से जल बूझ रहा हूं इनके सबबतेरा बचा हुआ पानी तेरी बची हुई आग Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
meri aankh se tera gam chhalk to nahin gaya.. byTehzeeb Hafi December 3, 2024 meri aankh se tera gam chhalk to nahin gayatujhe dhoondh kar kahi main bhatk to nahin gayayah jo itne pyaar se dekhta hai tu aajkalmere dost tu kahi mujhse thak to nahin gayateri baddua ka asar hua bhi to faaydamere maand padne se tu chamak to nahin gayabada purfareb hai shahdo shir ka zaaykamagar in labon se tera namak to nahin gayatere jism se meri guftagoo rahi raat bharkahi main nashe mein zyaada bak to nahin gaya --------------------------------------------मेरी आंख से तेरा गम छलक तो नहीं गयातुझे ढूंढ कर कहीं मैं भटक तो नहीं गयायह जो इतने प्यार से देखता है तू आजकलमेरे दोस्त तू कहीं मुझसे थक तो नहीं गयातेरी बद्दुआ का असर हुआ भी तो फायदामेरे मांद पड़ने से तू चमक तो नहीं गयाबड़ा पुरफरेब है शहदो शिर का ज़ायकामगर इन लबों से तेरा नमक तो नहीं गयातेरे जिस्म से मेरी गुफ्तगू रही रात भरकहीं मैं नशे में ज्यादा बक तो नहीं गया Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
yah soch kar mera sehra mein jee nahin lagta.. byTehzeeb Hafi December 3, 2024 yah soch kar mera sehra mein jee nahin lagtamain shaamile safe aawaargi nahin lagtakabhi-kabhi vo khuda ban ke saath chalta haikabhi-kabhi to vo insaan bhi nahin lagtayakeen kyun nahin aata tujhe mere dil parye fal kahaan se tujhe mausami nahin lagtamain chahta hoon vo meri jabeen pe bausa demagar jali hui roti ko ghee nahin lagtatere khyaal se aage bhi ek duniya haitera khyaal mujhe sarsari nahin lagtamain uske paas kisi kaam se nahin aatause ye kaam koi kaam hi nahin lagta ---------------------------------------यह सोच कर मेरा सहरा में जी नहीं लगतामैं शामिले सफे आवारगी नहीं लगताकभी-कभी वो ख़ुदा बन के साथ चलता हैकभी-कभी तो वो इंसान भी नहीं लगतायकीन क्यों नहीं आता तुझे मेरे दिल परये फल कहां से तुझे मौसमी नहीं लगतामैं चाहता हूं वो मेरी जबीं पे बौसा देमगर जली हुई रोटी को घी नहीं लगतातेरे ख्याल से आगे भी एक दुनिया हैतेरा ख्याल मुझे सरसरी नहीं लगतामैं उसके पास किसी काम से नहीं आताउसे ये काम कोई काम ही नहीं लगता Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
paayal kabhi pahne kabhi kangan use kehna.. byTehzeeb Hafi December 3, 2024 paayal kabhi pahne kabhi kangan use kehnale aaye muhabbat mein nayaapan use kehnamaykash kabhi aankhon ke bharose nahin rahteshabnam kabhi bharti nahin bartan use kehnaghar-baar bhula deti hai dariya ki muhabbatkashti mein guzaar aaya hoon jeevan use kehnaik shab se ziyaada nahin duniya ki maseriik shab se ziyaada nahin dulhan use kehnarah rah ke dahak uthati hai ye aatish-e-vahshatdeewane hai seharaaon ka eendhan use kehna----------------------------------------------पायल कभी पहने कभी कंगन उसे कहनाले आए मुहब्बत में नयापन उसे कहनामयकश कभी आँखों के भरोसे नहीं रहतेशबनम कभी भरती नहीं बर्तन उसे कहनाघर-बार भुला देती है दरिया की मुहब्बतकश्ती में गुज़ार आया हूँ जीवन उसे कहनाइक शब से ज़ियादा नहीं दुनिया की मसेरीइक शब से ज़ियादा नहीं दुल्हन उसे कहनारह रह के दहक उठती है ये आतिश-ए-वहशतदीवाने है सहराओं का ईंधन उसे कहना Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan