Phir koi aayaa dil-e-zaar Nahin koi nahin.. byFaiz Ahmed Faiz August 10, 2023 फिर कोई आया दिल-ए-ज़ार नहीं कोई नहींराह-रौ होगा कहीं और चला जाएगाढल चुकी रात बिखरने लगा तारों का ग़ुबारलड़खड़ाने लगे ऐवानों में ख़्वाबीदा चराग़सो गई रास्ता तक तक के हर इक राहगुज़ारअजनबी ख़ाक ने धुँदला दिए क़दमों के सुराग़गुल करो शमएँ बढ़ा दो मय ओ मीना ओ अयाग़अपने बे-ख़्वाब किवाड़ों को मुक़फ़्फ़ल कर लोअब यहाँ कोई नहीं कोई नहीं आएगा----------------------------------------------Phir koi aayaa, dil-e-zaar! Nahin, koi nahinRah’ro hoga, kahin aur chalaa jaayegaaDhal chuki raat, bikharne lagaa taaron ka ghubaarLadkhadaane lage aiwaanon mein khwabda chiraagSo gayee raastaa tak tak ke har ik rahguzaarAjnabi khaak ne dhundlaa diye qadmon ke suraaghGul karo shammein! Badhaa do mai-o-meena-o-ayaaghApne bekhwaab kiwaadon ko muqaffal kar loAb yahaan koi nahin, koi nahin aayega Read more tanhai faiz ahmed faiz urdu poet progessive writers movement