20th century poet

Bhatakta phir raha hoon justuju bin..

Bhatakta phir raha hoon justuju bin
Saraapa aarzoo hoon aarzoo bin.

Koi is sheher ko taraaz kar de
Hui hai meri wahshat ha-o-hoo bin.

Ye sab mojiz-numayi ki hawas hai
Rafugar aaye hain taar-e-rafoo bin.

Maash-e-bedilaan poochho na yaaro
Numoo paate rahe rizq-e-numoo bin.

Guzar ai shauq ab khalwat ki raaten
Guzaarish bin gila bin guftagu bin.
------------------------------------
भटकता फिर रहा हूँ जुस्तुजू बिन
सरापा आरज़ू हूँ आरज़ू बिन

कोई इस शहर को ताराज कर दे
हुई है मेरी वहशत हा-ओ-हू बिन

ये सब मोजिज़-नुमाई की हवस है
रफ़ूगर आए हैं तार-ए-रफ़ू बिन

मआश-ए-बे-दिलाँ पूछो न यारो
नुमू पाते रहे रिज़्क़-ए-नुमू बिन

गुज़ार ऐ शौक़ अब ख़ल्वत की रातें
गुज़ारिश बिन गिला बिन गुफ़्तुगू बिन

Read more

Na pooch us ki jo apne andar chhupa..

Na pooch us ki jo apne andar chhupa
Ghanimat ki main apne baahar chhupa.

Mujhe yahaan kisi pe bharosa nahi
Main apni nigahon se chhup kar chhupa.

Pahunch mukhbiron ki sukhun tak kahaan
So main apne honton pe aksar chhupa.

Meri sun na rakh apne pehlu mein dil
Ise tu kisi aur ke ghar chhupa.

Yahaan tere andar nahi meri khair
Meri jaan mujhe mere andar chhupa.

Khayalon ki aamad mein ye kharazaar
Hai teeron ki yalgaar tu sar chhupa.
-----------------------------------
न पूछ उस की जो अपने अंदर छुपा
ग़नीमत कि मैं अपने बाहर छुपा

मुझे याँ किसी पे भरोसा नहीं
मैं अपनी निगाहों से छुप कर छुपा

पहुँच मुख़बिरों की सुख़न तक कहाँ
सो मैं अपने होंटों पे अक्सर छुपा

मिरी सुन न रख अपने पहलू में दिल
इसे तू किसी और के घर छुपा

यहाँ तेरे अंदर नहीं मेरी ख़ैर
मिरी जाँ मुझे मेरे अंदर छुपा

ख़यालों की आमद में ये ख़ारज़ार
है तीरों की यलग़ार तू सर छुपा

Read more

Kaisa dil aur is ke kya gham ji..

Kaisa dil aur is ke kya gham ji
Yoonhi baatein banaate hain hum ji.

Kya bhala aasteen aur daaman
Kab se palken bhi ab nahi nam ji.

Us se ab koi baat kya karna
Khud se bhi baat keeje kam-kam ji.

Dil jo dil kya tha ek mehfil tha
Ab hai darham ji aur barham ji.

Baat be-taur ho gayi shayad
Zakhm bhi ab nahi hai marham ji.

Haar duniya se maan le shayad
Dil hamare mein ab nahi dam ji.

Hai ye hasrat ke zabh ho jaun
Hai shikan us shikam ki zaalim ji.

Kaise aakhir na rang khelen hum
Dil lahoo ho raha hai jaanam ji.

Hai kharaba Hussainiya apna
Roz majlis hai aur maatam ji.

Waqt dam bhar ka khel hai is mein
Besh-az-besh hai kam-az-kam ji.

Hai azal se abad talak ka hisaab
Aur bas ek pal hai paiham ji.

Be-shikan ho gayi hain woh zulfein
Us gali mein nahi rahe kham ji.

Dasht-e-dil ka ghazal hi na raha
Ab bhala kis se keejiye ram ji.
-----------------------------------
कैसा दिल और इस के क्या ग़म जी
यूँही बातें बनाते हैं हम जी

क्या भला आस्तीन और दामन
कब से पलकें भी अब नहीं नम जी

उस से अब कोई बात क्या करना
ख़ुद से भी बात कीजे कम-कम जी

दिल जो दिल क्या था एक महफ़िल था
अब है दरहम जी और बरहम जी

बात बे-तौर हो गई शायद
ज़ख़्म भी अब नहीं है मरहम जी

हार दुनिया से मान ले शायद
दिल हमारे में अब नहीं दम जी

है ये हसरत के ज़ब्ह हो जाऊँ
है शिकन उस शिकम कि ज़ालिम जी

कैसे आख़िर न रंग खेलें हम
दिल लहू हो रहा है जानम जी

है ख़राबा हुसैनिया अपना
रोज़ मज्लिस है और मातम जी

वक़्त दम भर का खेल है इस में
बेश-अज़-बेश है कम-अज़-कम जी

है अज़ल से अबद तलक का हिसाब
और बस एक पल है पैहम जी

बे-शिकन हो गई हैं वो ज़ुल्फ़ें
उस गली में नहीं रहे ख़म जी

दश्त-ए-दिल का ग़ज़ाल ही न रहा
अब भला किस से कीजिए रम जी
Read more

Main na thahroon na jaan tu thahra..

Main na thahroon na jaan tu thahra
Kaun lamhon ke roob-roo thahra.

Na guzarnay pe zindagi guzri
Na thaharnay pe chaar-soo thahra.

Hai meri bazm-e-be-dili bhi ajeeb
Dil pe rakhun jahan subu thahra.

Main yahaan muddaton mein aaya hoon
Ek hungama koo-ba-koo thahra.

Mahfil-e-rukhsat-e-hamesha hai
Aao ik hashra-e-hao-hoo thahra.

Ik tawaajjo ajab hai samton mein
Ke na boloon to guftagu thahra.

Kaza-ada thi bahut umeed magar
Hum bhi 'Joun' ek heela-ju thahra.

Ek chaak-e-barhengi hai wujud
Pairhan ho to be-rafu thahra.

Main jo hoon kya nahi hoon main khud bhi
Khud se baat aaj do-badoo thahra.

Bagh-e-jaan se mila na koi samar
'Joun' hum to namoo namoo thahra.
---------------------------------
मैं न ठहरूँ न जान तू ठहरे
कौन लम्हों के रू-ब-रू ठहरे

न गुज़रने पे ज़िंदगी गुज़री
न ठहरने पे चार-सू ठहरे

है मिरी बज़्म-ए-बे-दिली भी अजीब
दिल पे रक्खूँ जहाँ सुबू ठहरे

मैं यहाँ मुद्दतों में आया हूँ
एक हंगामा कू-ब-कू ठहरे

महफ़िल-ए-रुख़्सत-ए-हमेशा है
आओ इक हश्र-ए-हा-ओ-हू ठहरे

इक तवज्जोह अजब है सम्तों में
कि न बोलूँ तो गुफ़्तुगू ठहरे

कज-अदा थी बहुत उमीद मगर
हम भी 'जौन' एक हीला-जू ठहरे

एक चाक-ए-बरहंगी है वजूद
पैरहन हो तो बे-रफ़ू ठहरे

मैं जो हूँ क्या नहीं हूँ मैं ख़ुद भी
ख़ुद से बात आज दू-बदू ठहरे

बाग़-ए-जाँ से मिला न कोई समर
'जौन' हम तो नुमू नुमू ठहरे
Read more

Dil se hai bahut gurez-pa tu..

Dil se hai bahut gurez-pa tu
Tu kaun hai aur hai bhi kya tu.

Kyun mujh mein gawa raha hai khud ko
Mujh aise yahaan hazaar-ha tu.

Hai teri judai aur main hoon
Milte hi kahin bichad gaya tu.

Poochhe jo tujhe koi zara bhi
Jab main na rahoon to dekhna tu.

Ik saans hi bas liya hai main ne
Tu saans na tha so kya hua tu.

Hai kaun jo tera dhyaan rakhe
Bahar mere bas kahin na ja to.
----------------------------------
दिल से है बहुत गुरेज़-पा तू
तू कौन है और है भी क्या तू

क्यूँ मुझ में गँवा रहा है ख़ुद को
मुझ ऐसे यहाँ हज़ार-हा तू

है तेरी जुदाई और मैं हूँ
मिलते ही कहीं बिछड़ गया तू

पूछे जो तुझे कोई ज़रा भी
जब मैं न रहूँ तो देखना तू

इक साँस ही बस लिया है मैं ने
तू साँस न था सो क्या हुआ तू

है कौन जो तेरा ध्यान रखे
बाहर मिरे बस कहीं न जा तो

Read more

Woh khayal-e-muhal kis ka tha..

Woh khayal-e-muhal kis ka tha
Aina be-misaal kis ka tha.

Safar apne aap se tha main
Hijr kis ka wisaal kis ka tha.

Main to khud mein kahin na tha mojood
Mere lab par sawaal kis ka tha.

Thi meri zaat ik khayal-ashob
Jaane main hum-khayal kis ka tha.

Jab ke main har-nafas tha be-ahwal
Woh jo tha mera haal kis ka tha.

Dopehar baad-e-tund koocha-e-yaar
Woh gubaar-e-malaal kis ka tha.
-----------------------------------
वो ख़याल-ए-मुहाल किस का था
आइना बे-मिसाल किस का था

सफ़री अपने आप से था मैं
हिज्र किस का विसाल किस का था

मैं तो ख़ुद में कहीं न था मौजूद
मेरे लब पर सवाल किस का था

थी मिरी ज़ात इक ख़याल-आशोब
जाने मैं हम-ख़याल किस का था

जब कि मैं हर-नफ़स था बे-अहवाल
वो जो था मेरा हाल किस का था

दोपहर बाद-ए-तुंद कूचा-ए-यार
वो ग़ुबार-ए-मलाल किस का था

Read more

Shaam tak meri bekali hai sharab..

Shaam tak meri bekali hai sharab
Shaam ko meri sarkhushi hai sharab.

Jahil-e-waiz ka is ko raas aaye
Sahibo meri aagahi hai sharab.

Rang-ras hai meri ragon mein ravaan
Bakhuda meri zindagi hai sharab.

Naaz hai apni dilbari pe mujhe
Mera dil meri dilbari hai sharab.

Hai ghanimat jo hosh mein nahi main
Shaikh tujh ko bacha rahi hai sharab.

Hiss jo hoti to jaane kya karta
Mufitiyon meri behisi hai sharab.
-----------------------------------
शाम तक मेरी बेकली है शराब
शाम को मेरी सरख़ुशी है शराब

जहल-ए-वाइ'ज़ का इस को रास आए
साहिबो मेरी आगही है शराब

रंग-रस है मेरी रगों में रवाँ
ब-ख़ुदा मेरी ज़िंदगी है शराब

नाज़ है अपनी दिलबरी पे मुझे
मेरा दिल मेरी दिलबरी है शराब

है ग़नीमत जो होश में नहीं मैं
शैख़ तुझ को बचा रही है शराब

हिस जो होती तो जाने क्या करता
मुफ़्तियों मेरी बे-हिसी है शराब

Read more

Kya kahen tum se boud-o-baash apni..

Kya kahen tum se boud-o-baash apni
Kaam hi kya wahi talaash apni

Koi dam aisi zindagi bhi karein
Apna seena ho aur kharash apni

Apne hi tisha-e-nadamat se
Zaat hai ab to paash paash apni

Hai labon par nafas-zani ki dukaan
Yawa-goi hai bas maash apni

Teri soorat pe hoon nisaara ab
Aur soorat koi taraash apni

Jism o jaan ko to bech hi daala
Ab mujhe bechni hai laash apni
-------------------------------
क्या कहें तुम से बूद-ओ-बाश अपनी
काम ही क्या वही तलाश अपनी

कोई दम ऐसी ज़िंदगी भी करें
अपना सीना हो और ख़राश अपनी

अपने ही तेशा-ए-नदामत से
ज़ात है अब तो पाश पाश अपनी

है लबों पर नफ़स-ज़नी की दुकाँ
यावा-गोई है बस मआश अपनी

तेरी सूरत पे हूँ निसार प अब
और सूरत कोई तराश अपनी

जिस्म ओ जाँ को तो बेच ही डाला
अब मुझे बेचनी है लाश अपनी

Read more

Gham hai be-maazra kai din se..

Gham hai be-maazra kai din se
Ji nahi lag raha kai din se

Be-shameem-o-malaal-o-hairaan hai
Khema-gaah-e-sabaa kai din se

Dil-mohalle ki us gali mein bhala
Kyun nahi gul macha kai din se

Woh jo khushboo hai us ke qaasid ko
Main nahi mil saka kai din se

Us se bhi aur apne aap se bhi
Hum hain be-waasta kai din se
-------------------------------
ग़म है बे-माजरा कई दिन से
जी नहीं लग रहा कई दिन से

बे-शमीम-ओ-मलाल-ओ-हैराँ है
ख़ेमा-गाह-ए-सबा कई दिन से

दिल-मोहल्ले की उस गली में भला
क्यूँ नहीं गुल मचा कई दिन से

वो जो ख़ुश्बू है उस के क़ासिद को
मैं नहीं मिल सका कई दिन से

उस से भी और अपने आप से भी
हम हैं बे-वासता कई दिन से

Read more

Na koi hijr na koi wisal hai shaayad..

Na koi hijr na koi wisal hai shaayad
Bas ek haalat-e-be-maah-o-saal hai shaayad

Hua hai dair-o-haram mein jo mutakif woh yaqeen
Takaan-e-kashmakash-e-ihtimaal hai shaayad

Khayaal-o-wahm se bartar hai us ki zaat so woh
Nihayat-e-hawas-e-khadd-o-khaal hai shaayad

Main sat-h-e-harf pe tujh ko utaar laaya hoon
Tira zawaal hi mera kamaal hai shaayad

Main ek lamha-e-maujood se idhar na udhar
So jo bhi mere liye hai muhaal hai shaayad

Woh inhimak har ik kaam mein ki khatam na ho
To koi baat hui hai malaal hai shaayad

Gumaan hua hai ye amboh se jawaabon ke
Sawaal khud hi jawab-e-sawaal hai shaaya
-------------------------------------------
न कोई हिज्र न कोई विसाल है शायद
बस एक हालत-ए-बे-माह-ओ-साल है शायद

हुआ है दैर-ओ-हरम में जो मोतकिफ़ वो यक़ीन
तकान-ए-कश्मकश-ए-एहतिमाल है शायद

ख़याल-ओ-वहम से बरतर है उस की ज़ात सो वो
निहायत-ए-हवस-ए-ख़द्द-ओ-ख़ाल है शायद

मैं सत्ह-ए-हर्फ़ पे तुझ को उतार लाया हूँ
तिरा ज़वाल ही मेरा कमाल है शायद

मैं एक लम्हा-ए-मौजूद से इधर न उधर
सो जो भी मेरे लिए है मुहाल है शायद

वो इंहिमाक हर इक काम में कि ख़त्म न हो
तो कोई बात हुई है मलाल है शायद

गुमाँ हुआ है ये अम्बोह से जवाबों के
सवाल ख़ुद ही जवाब-ए-सवाल है शायद

Read more