us ke nazdik gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahin.. byUnknown August 12, 2023 उस के नज़दीक ग़म-ए-तर्क-ए-वफ़ा कुछ भी नहीं मुतमइन ऐसा है वो जैसे हुआ कुछ भी नहींअब तो हाथों से लकीरें भी मिटी जाती हैंउस को खो कर तो मिरे पास रहा कुछ भी नहींचार दिन रह गए मेले में मगर अब के भीउस ने आने के लिए ख़त में लिखा कुछ भी नहींकल बिछड़ना है तो फिर अहद-ए-वफ़ा सोच के बाँधअभी आग़ाज़-ए-मोहब्बत है गया कुछ भी नहींमैं तो इस वास्ते चुप हूँ कि तमाशा न बनेतू समझता है मुझे तुझ से गिला कुछ भी नहींऐ 'शुमार' आँखें इसी तरह बिछाए रखनाजाने किस वक़्त वो आ जाए पता कुछ भी नहीं-----------------------------------us ke nazdik gham-e-tark-e-vafa kuchh bhi nahinmutma.in aisa hai vo jaise hua kuchh bhi nahinab to hathon se lakiren bhi miTi jaati hainus ko kho kar to mire paas raha kuchh bhi nahinchaar din rah ga.e mele men magar ab ke bhius ne aane ke liye ḳhat men likha kuchh bhi nahinkal bichhaḌna hai to phir ahd-e-vafa soch ke bandhabhi aghaz-e-mohabbat hai gaya kuchh bhi nahinmain to is vaste chup huun ki tamasha na banetu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahinai ‘shumar’ ankhen isi tarah bichha.e rakhnajaane kis vaqt vo aa jaa.e pata kuchh bhi nahin Read more uske najdik akhtar shumar Urdu Ghazal