jaun elia

Vo kitaab-e-husn vo ilm o adab ki taaliba..

vo kitaab-e-husn vo ilm o adab ki taaliba
vo mohazzab vo muaddab vo muqaddas raahiba
kis qadar paraaya parvar aur kitni saada-kaar
kis qadar sanjeeda o khaamosh kitni ba-waqaar
gesoo-e-pur-kham savaad-e-dosh tak pahunchen hue
aur kuchh bikhre hue uljhe hue simte hue
rang mein us ke azaab-e-kheergi shaamil nahin
kaif-e-ehsaasaat ki afsurdagi shaamil nahin
vo mere aate hi us ki nukta-parwar khaamoshi
jaise koi hoor ban jaaye yakaayak falsafi
mujh pe kya khud apni fitrat par bhi vo khulti nahin
aisi pur-asraar ladki main ne dekhi hi nahin
dukhtranaan-e-shehr ki hoti hai jab mehfil kahi
vo taaruf ke liye aage kabhi badhti nahin 
----------------------------------------------
वो किताब-ए-हुस्न वो इल्म ओ अदब की तालीबा
वो मोहज़्ज़ब वो मुअद्दब वो मुक़द्दस राहिबा
किस क़दर पैराया परवर और कितनी सादा-कार
किस क़दर संजीदा ओ ख़ामोश कितनी बा-वक़ार
गेसू-ए-पुर-ख़म सवाद-ए-दोश तक पहुँचे हुए
और कुछ बिखरे हुए उलझे हुए सिमटे हुए
रंग में उस के अज़ाब-ए-ख़ीरगी शामिल नहीं
कैफ़-ए-एहसासात की अफ़्सुर्दगी शामिल नहीं
वो मिरे आते ही उस की नुक्ता-परवर ख़ामुशी
जैसे कोई हूर बन जाए यकायक फ़लसफ़ी
मुझ पे क्या ख़ुद अपनी फ़ितरत पर भी वो खुलती नहीं
ऐसी पुर-असरार लड़की मैं ने देखी ही नहीं
दुख़तरान-ए-शहर की होती है जब महफ़िल कहीं
वो तआ'रुफ़ के लिए आगे कभी बढ़ती नहीं
Read more

naakaara kaun aaya hai..

naakaara
kaun aaya hai
koi nahin aaya hai paagal
tez hawa ke jhonke se darwaaza khula hai
achha yun hai
bekaari mein zaat ke zakhamon ki sozish ko aur badhaane
tez-ravi ki raahguzar se
mehnat-kosh aur kaam ke din ki
dhool aayi hai dhoop aayi hai
jaane ye kis dhyaan mein tha main
aata to achha kaun aata
kis ko aana tha kaun aata 
----------------------------
"नाकारा"
कौन आया है
कोई नहीं आया है पागल
तेज़ हवा के झोंके से दरवाज़ा खुला है
अच्छा यूँ है
बेकारी में ज़ात के ज़ख़्मों की सोज़िश को और बढ़ाने
तेज़-रवी की राहगुज़र से
मेहनत-कोश और काम के दिन की
धूल आई है धूप आई है
जाने ये किस ध्यान में था मैं
आता तो अच्छा कौन आता
किस को आना था कौन आता
Read more

Ajnabi shaam..

ajnabi shaam
dhund chhaai hui hai jheelon par
ud rahe hain parind teelon par
sab ka rukh hai nashehmanon ki taraf
bastiyon ki taraf bano ki taraf

apne galloon ko le ke charvahe
sarhadi bastiyon mein ja pahunchen
dil-e-naakaam main kahaan jaaun
ajnabi shaam main kahaan jaaun
-----------------------------
 "अजनबी शाम"
धुँद छाई हुई है झीलों पर
उड़ रहे हैं परिंद टीलों पर
सब का रुख़ है नशेमनों की तरफ़
बस्तियों की तरफ़ बनों की तरफ़

अपने गल्लों को ले के चरवाहे
सरहदी बस्तियों में जा पहुँचे
दिल-ए-नाकाम मैं कहाँ जाऊँ
अजनबी शाम मैं कहाँ जाऊँ

Read more

Dareecha-haa-e-khayaal..

dareecha-haa-e-khayaal
chahta hoon ki bhool jaaun tumhein
aur ye sab dareecha-haa-e-khayaal
jo tumhaari hi samt khulte hain
band kar doon kuchh is tarah ki yahan
yaad ki ik kiran bhi aa na sake
chahta hoon ki bhool jaaun tumhein
aur khud bhi na yaad aaun tumhein
jaise tum sirf ik kahaani theen
jaise main sirf ik fasana tha 
----------------------------
"दरीचा-हा-ए-ख़याल"
चाहता हूँ कि भूल जाऊँ तुम्हें
और ये सब दरीचा-हा-ए-ख़याल
जो तुम्हारी ही सम्त खुलते हैं
बंद कर दूँ कुछ इस तरह कि यहाँ
याद की इक किरन भी आ न सके
चाहता हूँ कि भूल जाऊँ तुम्हें
और ख़ुद भी न याद आऊँ तुम्हें
जैसे तुम सिर्फ़ इक कहानी थीं
जैसे मैं सिर्फ़ इक फ़साना था
Read more

Ham jee rahe hain koi bahaana kiye baghair..

ham jee rahe hain koi bahaana kiye baghair
us ke baghair us ki tamannaa kiye baghair

ambaar us ka parda-e-hurmat bana miyaan
deewaar tak nahin giri parda kiye baghair

yaaraan vo jo hai mera maseeha-e-jaan-o-dil
be-had aziz hai mujhe achha kiye baghair

main bistar-e-khayaal pe leta hoon us ke paas
subh-e-azl se koi taqaza kiye baghair

us ka hai jo bhi kuchh hai mera aur main magar
vo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair

ye zindagi jo hai use maana bhi chahiye
wa'da hamein qubool hai ifa kiye baghair

ai qaatilon ke shehar bas itni hi arz hai
main hoon na qatl koi tamasha kiye baghair

murshid ke jhooth ki to saza be-hisaab hai
tum chhodio na shehar ko sehra kiye baghair

un aangaanon mein kitna sukoon o suroor tha
aaraish-e-nazar tiri parwa kiye baghair

yaaraan khusa ye roz o shab-e-dil ki ab hamein
sab kuchh hai khush-gawaar gawara kiye baghair

giryaa-kunaan ki fard mein apna nahin hai naam
ham giryaa-kun azal ke hain giryaa kiye baghair

aakhir hain kaun log jo bakshe hi jaayenge
taarikh ke haraam se tauba kiye baghair

vo sunni baccha kaun tha jis ki jafaa ne jaun
shiaa bana diya hamein shiaa kiye baghair

ab tum kabhi na aaoge ya'ni kabhi kabhi
ruksat karo mujhe koi wa'da kiye baghair
----------------------------------
हम जी रहे हैं कोई बहाना किए बग़ैर
उस के बग़ैर उस की तमन्ना किए बग़ैर

अम्बार उस का पर्दा-ए-हुरमत बना मियाँ
दीवार तक नहीं गिरी पर्दा किए बग़ैर

याराँ वो जो है मेरा मसीहा-ए-जान-ओ-दिल
बे-हद अज़ीज़ है मुझे अच्छा किए बग़ैर

मैं बिस्तर-ए-ख़याल पे लेटा हूँ उस के पास
सुब्ह-ए-अज़ल से कोई तक़ाज़ा किए बग़ैर

उस का है जो भी कुछ है मिरा और मैं मगर
वो मुझ को चाहिए कोई सौदा किए बग़ैर

ये ज़िंदगी जो है उसे मअना भी चाहिए
वा'दा हमें क़ुबूल है ईफ़ा किए बग़ैर

ऐ क़ातिलों के शहर बस इतनी ही अर्ज़ है
मैं हूँ न क़त्ल कोई तमाशा किए बग़ैर

मुर्शिद के झूट की तो सज़ा बे-हिसाब है
तुम छोड़ियो न शहर को सहरा किए बग़ैर

उन आँगनों में कितना सुकून ओ सुरूर था
आराइश-ए-नज़र तिरी पर्वा किए बग़ैर

याराँ ख़ुशा ये रोज़ ओ शब-ए-दिल कि अब हमें
सब कुछ है ख़ुश-गवार गवारा किए बग़ैर

गिर्या-कुनाँ की फ़र्द में अपना नहीं है नाम
हम गिर्या-कुन अज़ल के हैं गिर्या किए बग़ैर

आख़िर हैं कौन लोग जो बख़्शे ही जाएँगे
तारीख़ के हराम से तौबा किए बग़ैर

वो सुन्नी बच्चा कौन था जिस की जफ़ा ने 'जौन'
शीआ' बना दिया हमें शीआ' किए बग़ैर

अब तुम कभी न आओगे या'नी कभी कभी
रुख़्सत करो मुझे कोई वा'दा किए बग़ैर
Read more

Be-dili kya yoonhi din guzar jaayenge..

be-dili kya yoonhi din guzar jaayenge
sirf zinda rahe ham to mar jaayenge

raqs hai rang par rang ham-raks hain
sab bichhad jaayenge sab bikhar jaayenge

ye kharabatiyaan-e-khird-baakhta
subah hote hi sab kaam par jaayenge

kitni dilkash ho tum kitna dil-joo hoon main
kya sitam hai ki ham log mar jaayenge

hai ghaneemat ki asraar-e-hasti se ham
be-khabar aaye hain be-khabar jaayenge 
-----------------------------------
बे-दिली क्या यूँही दिन गुज़र जाएँगे
सिर्फ़ ज़िंदा रहे हम तो मर जाएँगे

रक़्स है रंग पर रंग हम-रक़्स हैं
सब बिछड़ जाएँगे सब बिखर जाएँगे

ये ख़राबातियान-ए-ख़िरद-बाख़्ता
सुब्ह होते ही सब काम पर जाएँगे

कितनी दिलकश हो तुम कितना दिल-जू हूँ मैं
क्या सितम है कि हम लोग मर जाएँगे

है ग़नीमत कि असरार-ए-हस्ती से हम
बे-ख़बर आए हैं बे-ख़बर जाएँगे
Read more

Koii haalat nahin ye haalat hai..

koii haalat nahin ye haalat hai
ye to aashob-naak soorat hai

anjuman mein ye meri khaamoshi
burdabaari nahin hai vehshat hai

tujh se ye gaah-gaah ka shikwa
jab talak hai basaa ghaneemat hai

khwaahishein dil ka saath chhod gaeein
ye aziyyat badi aziyyat hai

log masroof jaante hain mujhe
yaa mera gham hi meri fursat hai

tanj pairaaya-e-tabasum mein
is takalluf kii kya zaroorat hai

ham ne dekha to ham ne ye dekha
jo nahin hai vo khoobsurat hai

vaar karne ko jaan-nisaar aayein
ye to eesaar hai inaayat hai

garm-joshi aur is qadar kya baat
kya tumhein mujh se kuchh shikaayat hai

ab nikal aao apne andar se
ghar mein samaan kii zaroorat hai

aaj ka din bhi aish se guzra
sar se pa tak badan salaamat hai
------------------------------------
 कोई हालत नहीं ये हालत है
ये तो आशोब-नाक सूरत है

अंजुमन में ये मेरी ख़ामोशी
बुर्दबारी नहीं है वहशत है

तुझ से ये गाह-गाह का शिकवा
जब तलक है बसा ग़नीमत है

ख़्वाहिशें दिल का साथ छोड़ गईं
ये अज़िय्यत बड़ी अज़िय्यत है

लोग मसरूफ़ जानते हैं मुझे
याँ मिरा ग़म ही मेरी फ़ुर्सत है

तंज़ पैराया-ए-तबस्सुम में
इस तकल्लुफ़ की क्या ज़रूरत है

हम ने देखा तो हम ने ये देखा
जो नहीं है वो ख़ूबसूरत है

वार करने को जाँ-निसार आएँ
ये तो ईसार है 'इनायत है

गर्म-जोशी और इस क़दर क्या बात
क्या तुम्हें मुझ से कुछ शिकायत है

अब निकल आओ अपने अंदर से
घर में सामान की ज़रूरत है

आज का दिन भी 'ऐश से गुज़रा
सर से पा तक बदन सलामत है
Read more

Iza-dahi ki daad jo paata raha hoon main..

Iza-dahi ki daad jo paata raha hoon main
Har naaz-aafreen ko sataata raha hoon main

Ae khush-khiraam paanv ke chaale to gin zara
Tujh ko kahan kahan na phiraata raha hoon main

Ek husn-e-be-misaal ki tamseel ke liye
Parchhaiyon pe rang giraata raha hoon main

Kya mil gaya zameer-e-hunar bech kar mujhe
Itna ki sirf kaam chalaata raha hoon main

Ruhon ke parda-posh gunaahon se be-khabar
Jismon ki nekiyaan hi ginata raha hoon main

Tujh ko khabar nahin ki tera karb dekh kar
Aksar tera mazaaq udaata raha hoon main

Shayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui
Lekin yaqeen sab ko dilaata raha hoon main

Ek satr bhi kabhi na likhi main ne tere naam
Paagal tujhi ko yaad bhi aata raha hoon main

Jis din se e'timaad mein aaya tera shabaab
Us din se tujh pe zulm hi dhaata raha hoon main

Apna misaaliya mujhe ab tak na mil saka
Zarron ko aaftaab banaata raha hoon main

Bedaar kar ke tere badan ki khud-aagahi
Tere badan ki umr ghataata raha hoon main

Kal dopahar ajeeb si ek be-dili rahi
Bas teeliyan jala ke bujhaata raha hoon main
--------------------------------------------------------------
ईज़ा-दही की दाद जो पाता रहा हूँ मैं
हर नाज़-आफ़रीं को सताता रहा हूँ मैं

ऐ ख़ुश-ख़िराम पाँव के छाले तो गिन ज़रा
तुझ को कहाँ कहाँ न फिराता रहा हूँ मैं

इक हुस्न-ए-बे-मिसाल की तमसील के लिए
परछाइयों पे रंग गिराता रहा हूँ मैं

क्या मिल गया ज़मीर-ए-हुनर बेच कर मुझे
इतना कि सिर्फ़ काम चलाता रहा हूँ मैं

रूहों के पर्दा-पोश गुनाहों से बे-ख़बर
जिस्मों की नेकियाँ ही गिनाता रहा हूँ मैं

तुझ को ख़बर नहीं कि तिरा कर्ब देख कर
अक्सर तिरा मज़ाक़ उड़ाता रहा हूँ मैं

शायद मुझे किसी से मोहब्बत नहीं हुई
लेकिन यक़ीन सब को दिलाता रहा हूँ मैं

इक सत्र भी कभी न लिखी मैं ने तेरे नाम
पागल तुझी को याद भी आता रहा हूँ मैं

जिस दिन से ए'तिमाद में आया तिरा शबाब
उस दिन से तुझ पे ज़ुल्म ही ढाता रहा हूँ मैं

अपना मिसालिया मुझे अब तक न मिल सका
ज़र्रों को आफ़्ताब बनाता रहा हूँ मैं

बेदार कर के तेरे बदन की ख़ुद-आगही
तेरे बदन की उम्र घटाता रहा हूँ मैं

कल दोपहर अजीब सी इक बे-दिली रही
बस तीलियाँ जला के बुझाता रहा हूँ मैं
Read more

Khuub hai shauq ka ye pahlu bhi..

ḳhuub hai shauq ka ye pahlu bhi
main bhi barbad ho gaya tu bhi

husn-e-maġhmum tamkanat men tiri
farq aaya na yak-sar-e-mu bhi

ye na socha tha zer-e-sāya-e-zulf
ki bichhaḌ jaegi ye ḳhush-bu bhi

husn kahta tha chhedne vaale
chhedna hī to bas nahin chhu bhi

haae vo us ka mauj-ḳhez badan
main to pyasa raha lab-e-ju bhi

yaad aate hain moajize apne
aur us ke badan ka jaadu bhi

yasmin us ki ḳhaas mahram-e-raz
yaad aaya karegi ab tu bhi

yaad se us ki hai mira parhez
ai saba ab na aaiyo tu bhi

hain yahi 'jaun-elia' jo kabhi
saḳht maġhrur bhi the bad-ḳhu bhi
-----------------------------------
ख़ूब है शौक़ का ये पहलू भी
मैं भी बर्बाद हो गया तू भी

हुस्न-ए-मग़मूम तम्कनत में तेरी
फ़र्क़ आया न यक-सरे-मूँ भी

ये न सोचा था ज़ेरे-साया-ए-ज़ुल्फ़
कि बिछड़ जाएगी ये ख़ुशबू भी

हुस्न कहता था छेड़ने वाले
छेड़ना ही तो बस नहीं, छू भी

हाय वो उसका मौज-खेज़ बदन
मैं तो प्यासा रहा लब-ए-जू भी

याद आते हैं मुअजिज़े अपने
और उसके बदन का जादू भी

यासमीन उसकी ख़ास महरम-ए-राज़
याद आया करेगी अब तू भी

याद से उसकी है मेरा परहेज़
ऐ सबा अब न आ इयो तू भी

हैं यही 'जौन एलिया' जो कभी
सख़्त मग़रूर भी थे बद-ख़ू भी

Read more

कोई हालत नहीं ये हालत है..

Koi haalat nahi ye haalat hai
Ye to aashob-naak soorat hai

Anjuman mein ye meri khaamoshi
Burdabari nahi hai, wahshat hai

Tujh se ye gaah-gaah ka shikwa
Jab tak hai basa, ghanimat hai

Khwahishen dil ka saath chhod gayi
Ye aziyat badi aziyat hai

Log masroof jaante hain mujhe
Yahan mera gham hi meri fursat hai

Tanz pehriya-e-tabasum mein
Is takalluf ki kya zarurat hai

Hum ne dekha to hum ne ye dekha
Jo nahi hai, wo khoobsurat hai

Waar karne ko jaan-nisar aayein
Ye to isaar hai 'inayat hai'

Garm-josh aur is qadar kya baat
Kya tumhein mujh se kuch shikayat hai?

Ab nikal aao apne andar se
Ghar mein samaan ki zarurat hai

Aaj ka din bhi 'aish se guzra

Sar se paa tak badan salaamat hai

----------------------------------------------

कोई हालत नहीं ये हालत है
ये तो आशोब-नाक सूरत है

अंजुमन में ये मेरी ख़ामोशी
बुर्दबारी नहीं है वहशत है

तुझ से ये गाह-गाह का शिकवा
जब तलक है बसा ग़नीमत है

ख़्वाहिशें दिल का साथ छोड़ गईं
ये अज़िय्यत बड़ी अज़िय्यत है

लोग मसरूफ़ जानते हैं मुझे
याँ मिरा ग़म ही मेरी फ़ुर्सत है

तंज़ पैराया-ए-तबस्सुम में
इस तकल्लुफ़ की क्या ज़रूरत है

हम ने देखा तो हम ने ये देखा
जो नहीं है वो ख़ूबसूरत है

वार करने को जाँ-निसार आएँ
ये तो ईसार है 'इनायत है

गर्म-जोशी और इस क़दर क्या बात
क्या तुम्हें मुझ से कुछ शिकायत है

अब निकल आओ अपने अंदर से
घर में सामान की ज़रूरत है

आज का दिन भी 'ऐश से गुज़रा
सर से पा तक बदन सलामत है
Read more