yaad, dast-e-tanhaai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hain.. byFaiz Ahmed Faiz November 18, 2024 yaaddast-e-tanhaai mein ai jaan-e-jahaan larzaan hainteri awaaz ke saaye tire honton ke saraabdast-e-tanhaai mein doori ke khas-o-khaak talekhil rahe hain tire pahluu ke saman aur gulaabuth rahi hai kahin qurbat se tiri saans kii aanchapni khushboo mein sulagti hui madhham madhhamdoor ufuq paar chamakti hui qatra qatragir rahi hai tiri dildaar nazar kii shabnamis qadar pyaar se ai jaan-e-jahaan rakkha haidil ke rukhsaar pe is waqt tiri yaad ne haathyun gumaan hota hai garche hai abhi subh-e-firaqdhal gaya hijr ka din aa bhi gai vasl kii raat ----------------------------------------"याद"दश्त-ए-तन्हाई में ऐ जान-ए-जहाँ लर्ज़ां हैंतेरी आवाज़ के साए तिरे होंटों के सराबदश्त-ए-तन्हाई में दूरी के ख़स-ओ-ख़ाक तलेखिल रहे हैं तिरे पहलू के समन और गुलाबउठ रही है कहीं क़ुर्बत से तिरी साँस की आँचअपनी ख़ुशबू में सुलगती हुई मद्धम मद्धमदूर उफ़ुक़ पार चमकती हुई क़तरा क़तरागिर रही है तिरी दिलदार नज़र की शबनमइस क़दर प्यार से ऐ जान-ए-जहाँ रक्खा हैदिल के रुख़्सार पे इस वक़्त तिरी याद ने हाथयूँ गुमाँ होता है गरचे है अभी सुब्ह-ए-फ़िराक़ढल गया हिज्र का दिन आ भी गई वस्ल की रात Read more faiz ahmed faiz urdu poet progessive poetry sad movement