aaj jin jheelon ka bas kaaghaz mein naksha rah gaya.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 aaj jin jheelon ka bas kaaghaz mein naksha rah gayaek muddat tak main un aankhon se bahta rah gayamain use na-qaabil-e-bardasht samjha tha magarvo mere dil mein raha aur achha khaasa rah gayavo jo aadhe the tujhe milkar muqammal ho gayejo muqammal tha vo tere gham mein aadha rah gaya ----------------------------------------आज जिन झीलों का बस काग़ज़ में नक्शा रह गयाएक मुद्दत तक मैं उन आँखों से बहता रह गयामैं उसे ना-क़ाबिल-ए-बर्दाश्त समझा था मगरवो मेरे दिल में रहा और अच्छा ख़ासा रह गयावो जो आधे थे तुझे मिलकर मुक़म्मल हो गएजो मुक़म्मल था वो तेरे ग़म में आधा रह गया Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
nahin tha apna magar phir bhi apna apna laga.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 nahin tha apna magar phir bhi apna apna lagakisi se mil ke bahut der baad achha lagatumhein laga tha main mar jaaunga tumhaare baghairbatao phir tumhein mera mazaak kaisa lagatijoriyon pe nazar aur log rakhte hainmain aasmaan chura loonga jab bhi mauqa lagadikhaati hai bhari almaariyaan bade dil sebataati hai ki mohabbat mein kiska kitna laga --------------------------------------------नहीं था अपना मगर फिर भी अपना अपना लगाकिसी से मिल के बहुत देर बाद अच्छा लगातुम्हें लगा था मैं मर जाऊँगा तुम्हारे बग़ैरबताओ फिर तुम्हें मेरा मज़ाक कैसा लगातिजोरियों पे नज़र और लोग रखते हैंमैं आसमान चुरा लूँगा जब भी मौक़ा लगादिखाती है भरी अलमारियाँ बड़े दिल सेबताती है कि मोहब्बत में किसका कितना लगा Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
ham tumhaare gham se baahar aa gaye.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 ham tumhaare gham se baahar aa gayehijr se bachne ke mantr aa gayemaine tumko andar aane ka kahatum to mere dil ke andar aa gayeek hi aurat ko duniya maan karitna ghooma hoon ki chakkar aa gayeimtihaan-e-ishq mushkil tha magarnakl kar ke achhe number aa gayetere kuchh aashiq to gangaram hainaur jo baaki the nishtar aa gaye --------------------------------हम तुम्हारे ग़म से बाहर आ गएहिज्र से बचने के मंतर आ गएमैंने तुमको अंदर आने का कहातुम तो मेरे दिल के अंदर आ गएएक ही औरत को दुनिया मान करइतना घूमा हूँ कि चक्कर आ गएइम्तिहान-ए-इश्क़ मुश्किल था मगरनक्ल कर के अच्छे नंबर आ गएतेरे कुछ आशिक़ तो गंगाराम हैंऔर जो बाक़ी थे निश्तर आ गए Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
ye ishq vo hai jisne bahr-o-bar kharab kar diya.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 ye ishq vo hai jisne bahr-o-bar kharab kar diyahamein to usne jaise khaas kar kharab kar diyamain dil pe haath rakh ke tujhko shehar bhej doon magartujhe bhi un hawaon ne agar kharab kar diyakisi ne naam likh ke aur kisi ne peeng daal kemohabbaton ki aad mein shajar kharab kar diyatumhein hi dekhne mein mahav hai vo kaam chhodkartumhaari car ne to kaarigar kharab kar diyamain qafile ke saath hoon magar mujhe ye khauf haiagar kisi ne mera hamsafar kharab kar diyateri nazar ke maqde tamaam shab khule raheteri sharaab ne mera jigar kharab kar diya ------------------------------------------ये इश्क़ वो है जिसने बहर-ओ-बर ख़राब कर दियाहमें तो उसने जैसे ख़ास कर ख़राब कर दियामैं दिल पे हाथ रख के तुझको शहर भेज दूँ मगरतुझे भी उन हवाओं ने अगर ख़राब कर दियाकिसी ने नाम लिख के और किसी ने पींग डाल केमोहब्बतों की आड़ में शजर ख़राब कर दियातुम्हें ही देखने में महव है वो काम छोड़करतुम्हारी कार ने तो कारीगर ख़राब कर दियामैं क़ाफ़िले के साथ हूँ मगर मुझे ये खौफ़ हैअगर किसी ने मेरा हमसफ़र ख़राब कर दियातेरी नज़र के मैक़दे तमाम शब खुले रहेतेरी शराब ने मेरा जिगर ख़राब कर दिया Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
musalsal vaar karne par bhi zarra bhar nahin toota.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 musalsal vaar karne par bhi zarra bhar nahin tootamain patthar ho gaya phir bhi tera khanjar nahin tootamujhe barbaad karne tak hi uske aastaan tootemera dil tootne ke baad uska ghar nahin tootaham uska gham bhala qismat pe kaise taal sakte hainhamaare haath mein toota hai vo girkar nahin tootasaroon par aasmaan aankhon se aaine nazar se dilbahut kuchh toot saka tha bahut kuchh par nahin tootatilism-e-yaar mein jab bhi kami aayi nami aayiun aankhon mein jinhen lagta tha farmaish nahin tootatere bheje hue teshon ki dhaarein tez thi haafimagar insey ye koh-e-gham ziyaada tar nahin toota ------------------------------------------मुसलसल वार करने पर भी ज़र्रा भर नहीं टूटामैं पत्थर हो गया फिर भी तेरा ख़ंजर नहीं टूटामुझे बर्बाद करने तक ही उसके आस्ताँ टूटेमेरा दिल टूटने के बाद उसका घर नहीं टूटाहम उसका ग़म भला क़िस्मत पे कैसे टाल सकते हैंहमारे हाथ में टूटा है वो गिरकर नहीं टूटासरों पर आसमाँ आँखों से आईने नज़र से दिलबहुत कुछ टूट सकता था बहुत कुछ पर नहीं टूटातिलिस्म-ए-यार में जब भी कमी आई नमी आईउन आँखों में जिन्हें लगता था जादूगर नहीं टूटातेरे भेजे हुए तेशों की धारें तेज़ थी 'हाफ़ी'मगर इनसे ये कोह-ए-ग़म ज़ियादा तर नहीं टूटा Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
tamaam raat sitaaron se baat rahti thi.. byTehzeeb Hafi November 19, 2024 tamaam raat sitaaron se baat rahti thiki subh hote hi ghar se phool aate thevo kis ke naksh ubharte the teg par apnivo kis khyaal mein ham jang jeet jaate thehame bhi qahat mein ek chashme-zar mayassar thikoi hatheliyaan bhar-bhar ke may pilaata thabhara hua tha samandar inheen khazaanon senikaal lete the jo khwaab raas aata thavo mere saath raha karta khushdili se bahutki un dinon mera duniya par haath padta thahamaari jeb bhari rahti dastaanon sehamein khyaal ka jungle bhi saath padta thavo saare din ka thaka khwaabgaah mein aatathapak thapak ke sulaata to haath so jaatenaseeme-subh kisi lehar mein jagati hameinaur uthte uthte hamein din ke ek ho jaatesaroon se khench liya waqt ne wafa ka lihaafvo parde uth gaye jo taaynaat rahte thebichhad gaya hai vo sangeen mausamon mein kahivo mere dil par sada jiske haath rahte thevo boo-e-gul hamein jis gulistaan mein laai thiwahan bhi ja ke uska nishaan dekh liyaye shaakh-e-wasl dobaara hari nahin hotihawa-e-hijr ne mera makaan dekh liyavo abr jiski tag-o-dau mein jism sookh gayedobaara chat pe hai aur chat pe seedhi jaati haithehar thehar ke us samt aise badh raha hoonki jaise haamla aurat kadam uthaati haiye zahar baada-e-ishrat hai aur de mere rabvo phir chala gaya main phir zameen chaatoonungamain phir se haath mein tesha uthaaye sochta hoonmain kohkan wahi khush-khat pahaad kaatoonungabadan ki barf pighalne ke baad poochhengebahut pata hai tahammul ke saath bahte hoazal ke haath pe khenchi hui samay ki lakeerkisi se pehle mitti hai jo mujhse kahte ho--------------------------------तमाम रात सितारों से बात रहती थीकि सुब्ह होते ही घर से फूल आते थेवो किस के नक्श उभरते थे तेग़ पर अपनीवो किस ख़्याल में हम जंग जीत जाते थेहमे भी क़हत में एक चश्मे-ज़र मयस्सर थीकोई हथेलियाँ भर-भर के मय पिलाता थाभरा हुआ था समंदर इन्हीं ख़जानों सेनिकाल लेते थे जो ख़्वाब रास आता थावो मेरे साथ रहा करता ख़ुशदिली से बहुतकि उन दिनों मेरा दुनिया पर हाथ पड़ता थाहमारी जेब भरी रहती दास्तानों सेहमें ख़्याल का जंगल भी साथ पड़ता थावो सारे दिन का थका ख़्वाबगाह में आताथपक थपक के सुलाता तो हाथ सो जातेनसीमे-सुब्ह किसी लहर में जगाती हमेंऔर उठते उठते हमें दिन के एक हो जातेसरों से खेंच लिया वक़्त ने वफ़ा का लिहाफ़वो पर्दे उठ गए जो तायनात रहते थेबिछड़ गया है वो संगीन मौसमों में कहींवो मेरे दिल पर सदा जिसके हाथ रहते थेवो बू-ए-गुल हमें जिस गुलिस्ताँ में लाई थीवहाँ भी जा के उसका निशान देख लियाये शाख़-ए-वस्ल दुबारा हरी नहीं होतीहवा-ए-हिज्र ने मेरा मकान देख लियावो अब्र जिसकी तग-ओ-दौ में जिस्म सूख गएदुबारा छत पे है और छत पे सीढ़ी जाती हैठहर ठहर के उस सम्त ऐसे बढ़ रहा हूँकि जैसे हामला औरत कदम उठाती हैये ज़हर बादा-ए-इशरत है और दे मेरे रबवो फिर चला गया मैं फिर ज़मीन चाटूँगामैं फिर से हाथ में तेशा उठाए सोचता हूँमैं कोहकन वही ख़ुश-ख़त पहाड़ काटूँगाबदन की बर्फ़ पिघलने के बाद पूछेंगेबहुत पता है तहम्मुल के साथ बहते होअज़ल के हाथ पे खेंची हुई समय की लकीरकिसी से पहले मिटी है जो मुझसे कहते हो Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
paani kaun pakad saka hai.. byTehzeeb Hafi November 19, 2024 paani kaun pakad saka haijab vo is duniya ke shor aur khamoshi se qat'atalluq hokar english mein gussa karti haimain to dar jaata hoon lekin kamre ki deewarein hansne lagti hainvo ik aisi aag hai jise sirf dahakne se matlab haivo ik aisa phool hai jispar apni khushboo bojh bani haivo ik aisa khwaab hai jisko dekhne waala khud mushkil mein pad saka haiusko choone ki khwaish to theek hai lekinpaani kaun pakad saka haivo rangon se waakif hai balki har ik rang ke shajre tak se waakif haiusko ilm hai kin khaabo se aankhen neeli padh sakti hainhamne jinko nafrat se mansoob kiyavo un peele phoolon ki izzat karti haikabhi-kabhi vo apne haath me pencil lekaraisi sataren kheenchti haisab kuchh seedha ho jaata haivo chahe to har ik cheez ko uske asl mein la sakti haisirf usike haathon se saari duniya tarteeb mein aa sakti haihar patthar us paanv se takraane ki khwaish mein jinda hai lekin ye to isee adhoorepan ka jahaan haihar pinjare mein aise qaidi kab hote hainhar kapde ki kismat mein vo jism kahaan haimeri be-maqsad baaton se tang bhi aa jaati hai to mehsoos nahin hone detilekin apne hone se ukta jaati haiusko waqt ki paabandi se kya matlab haivo to band ghadi bhi haath me baandh ke college aa jaati hai-------------------------------------------------------पानी कौन पकड़ सकता हैजब वो इस दुनिया के शोर और ख़मोशी से क़त'अ-तअल्लुक़ होकर इंग्लिश में गुस्सा करती है,मैं तो डर जाता हूँ लेकिन कमरे की दीवारें हँसने लगती हैंवो इक ऐसी आग है जिसे सिर्फ़ दहकने से मतलब है,वो इक ऐसा फूल है जिसपर अपनी ख़ुशबू बोझ बनी है,वो इक ऐसा ख़्वाब है जिसको देखने वाला ख़ुद मुश्किल में पड़ सकता है,उसको छूने की ख़्वाइश तो ठीक है लेकिनपानी कौन पकड़ सकता हैवो रंगों से वाकिफ़ है बल्कि हर इक रंग के शजरे तक से वाकिफ़ है,उसको इल्म है किन ख़्वाबों से आंखें नीली पढ़ सकती हैं,हमने जिनको नफ़रत से मंसूब कियावो उन पीले फूलों की इज़्ज़त करती हैकभी-कभी वो अपने हाथ मे पेंसिल लेकरऐसी सतरें खींचती हैसब कुछ सीधा हो जाता हैवो चाहे तो हर इक चीज़ को उसके अस्ल में ला सकती है,सिर्फ़ उसीके हाथों से सारी दुनिया तरतीब में आ सकती है,हर पत्थर उस पाँव से टकराने की ख़्वाइश में जिंदा है लेकिन ये तो इसी अधूरेपन का जहाँ है,हर पिंजरे में ऐसे क़ैदी कब होते हैंहर कपड़े की किस्मत में वो जिस्म कहाँ हैमेरी बे-मक़सद बातों से तंग भी आ जाती है तो महसूस नहीं होने देतीलेकिन अपने होने से उकता जाती है,उसको वक़्त की पाबंदी से क्या मतलब हैवो तो बंद घड़ी भी हाथ मे बांध के कॉलेज आ जाती है Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
tum akeli nahin ho saheli.. byTehzeeb Hafi November 19, 2024 tum akeli nahin ho sahelitum akeli nahin ho saheli jise apne veeraan ghar ko sajaana thaaur ek shayar ke lafzon ko sach maan kar uski pooja me din kaatne theintum se pehle bhi aisa hi ek khwaab jhoothi tassalli me jaan de chuka haitumhein bhi vo ek din kahega ki vo tum se pehle kisi ko zabaan de chuka haivo to shayar haiaur saaf zaahir hai shayar hawa ki hatheli pe likhi huivo paheli hai jisne abad aur azl ke dareechon ko uljha diya haivo to shayar hai shayar tamannaa ke sehraa me ram karne waala hiran haishobda shaas subaho ki pehli kiran hai adab gahe ulfat ka memaar haiaur khud apne khwaabon ka gaddaar haivo to shayar hai shayar ko bas fikr loh kalam hai use koi dukh haikisi ka na gham hai vo to shayar hai shayar ko kya khauf marne seshayar to khud shah savaar-e-azal hai use kis tarah taal saka hai koiki vo to atal hai main use jaanti hoon saheli vo samandar ki vo lehar haijo kinaaro se waapas palatte huyemeri khurdaari adiyon pe lagi ret bhi aur mujhe bhi baha le gayavo mere junglon ke darakhton pe baithi huyi shahad ki makkhiyaan bhi uda le gayausne mere badan ko chhua aur meri haddiyon se vo nazmen qaseedijinhen padhke mai kaanp uthati hoon aur sochti hoon ki ye masla dilbari ka nahinkhuda ki qasam kha ke kahti hoon vo jo bhi kehta rahe vo kisi ka nahinsaheli meri baat maano tum use jaanti hi nahin vo khuda-e-sipah-e-sukhan haiaur tum ek patthar pe naakhun. se likhi hui usi ki hi ek nazm-----------------------------------"तुम अकेली नहीं हो सहेली"तुम अकेली नहीं हो सहेली जिसे अपने वीरान घर को सजाना थाऔर एक शायर के लफ़्ज़ों को सच मान कर उसकी पूजा मे दिन काटने थेंतुम से पहले भी ऐसा ही एक ख़्वाब झूठी तस्सली मे जाँ दे चुका हैतुम्हें भी वो एक दिन कहेगा कि वो तुम से पहले किसी को ज़बाँ दे चुका हैवो तो शायर हैऔर साफ़ ज़ाहिर है, शायर हवा की हथेली पे लिखी हुईवो पहेली है जिसने अबद और अज़ल के दरीचों को उलझा दिया हैवो तो शायर है, शायर तमन्ना के सेहरा मे रम करने वाला हिरन हैशोब्दा शास सुबहो की पहली किरन है, अदब गाहे उलफ़त का मेमार हैऔर ख़ुद अपने ख़्वाबों का गद्दार हैवो तो शायर है, शायर को बस फ़िक्र लोह कलम है, उसे कोई दुख हैकिसी का न ग़म है, वो तो शायर है, शायर को क्या ख़ौफ़ मरने से?शायर तो ख़ुद शाह सवार-ए-अज़ल है, उसे किस तरह टाल सकता है कोईकि वो तो अटल है, मैं उसे जानती हूँ सहेली, वो समंदर की वो लहर हैजो किनारो से वापस पलटते हुयेमेरी खुरदरी एड़ियों पे लगी रेत भी और मुझे भी बहा ले गयावो मेरे जंगलों के दरख़्तों पे बैठी हुयी शहद की मक्खियाँ भी उड़ा ले गयाउसने मेरे बदन को छुआ और मेरी हड्डियों से वो नज़्में क़सीदीजिन्हें पढ़के मै काँप उठती हूँ और सोचती हूँ कि ये मसला दिलबरी का नहींख़ुदा की क़सम खा के कहती हूँ, वो जो भी कहता रहे वो किसी का नहींसहेली मेरी बात मानो, तुम उसे जानती ही नहीं, वो ख़ुदा-ए-सिपाह-ए-सुख़न हैऔर तुम एक पत्थर पे नाखुन से लिखी हुई, उसी की ही एक नज़्म Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
mohabbat khud apne liye jism chuntee hai.. byTehzeeb Hafi November 19, 2024 mohabbat khud apne liye jism chuntee haiaur jaal bunati hai unke liyejo ye aag apne seenon mein bharne ko taiyyaar honghut ke jeene se bezaar honmohabbat kabhi ek seya kabhi ek sau ek logon sehone ka ailaan ek saath karti haiismein kai umr jinki koi qadr nahinmohabbat kisi bench parek mard aur aurat ne khaai hui ik adhuri qasam haimohabbat mein mar jaana marna nahinmohabbat to khud devataaon ka punarjanam haimohabbat kisi rahebaan ki kalaaee se utri hui choodiyon ki khanak haimohabbat kisi ek murda sitaare ko khairaat mein milne waali chamak haimohabbat pe shak to khud apne hi hasti pe shak haimohabbat to mehboob ke qadd-o-kaamat se janmi hui vo alaamat haiaur tez baarish mein sahme hue haathiyo par badi chhatriyon ki tarah haimohabbat sard mulkon mein waapas palatte hue apne zakhami paron se khalaon mein lahu ki lakeeren banaati huigoonj hai moonj haiaur dil ki zameenon ko sairaab karti huinahar hai qahar hai zehar haijo ragon mein utarkar badan ko udaasi ke us shehar mein maar-kar khair aabaad kahti haijo calvino ne bas zehan mein tasavvur kiya thajo masjid mein sipaaron ko seenon mein mahfooz karte huebacchiyon ko khuda se daraate hue maulvi ka makar hai mohabbatkaleesaon mein roosi akhrot ki lakdiyon se bani kursiyon par buzurgon ki aankhon mein marne ka dar hai mohabbatmohabbat zaheenon pe khulti hai isko kabhi kund zehnon se koi naaka nahinmohabbat ko kya koi apna hai ya ghair haiismein aadmi sab kuchh lutaakar bhi kehta hai ki khair hai -----------------------------------------------मोहब्बत ख़ुद अपने लिए जिस्म चुनती हैऔर जाल बुनती है उनके लिएजो ये आग अपने सीनों में भरने को तय्यार होंघुट के जीने से बेज़ार होंमोहब्बत कभी एक सेया कभी एक सौ एक लोगों सेहोने का ऐलान एक साथ करती हैइसमें कई उम्र जिनकी कोई क़द्र नहींमोहब्बत किसी बेंच परएक मर्द और औरत ने खाई हुई इक अधूरी क़सम हैमोहब्बत में मर जाना मरना नहींमोहब्बत तो ख़ुद देवताओं का पुनर्जनम हैमोहब्बत किसी राहेबाँ की कलाई से उतरी हुई चूड़ियों की खनक हैमोहब्बत किसी एक मुर्दा सितारे को ख़ैरात में मिलने वाली चमक हैमोहब्बत पे शक तो ख़ुद अपने ही हस्ती पे शक हैमोहब्बत तो महबूब के क़द्द-ओ-कामत से जन्मी हुई वो अलामत हैऔर तेज़ बारिश में सहमे हुए हाथियों पर बड़ी छतरियों की तरह हैमोहब्बत सर्द मुल्कों में वापस पलटते हुए अपने ज़ख़्मी परों से ख़लाओं में लहू की लकीरें बनाती हुईगूँज है, मूँज हैऔर दिल की ज़मीनों को सैराब करती हुईनहर है, क़हर है, ज़हर हैजो रगों में उतरकर बदन को उदासी के उस शहर में मारकर ख़ैर आबाद कहती हैजो कैलोविनो ने बस ज़ेहन में तसव्वुर किया थाजो मस्जिद में सिपारों को सीनों में महफ़ूज़ करते हुएबच्चियों को ख़ुदा से डराते हुए मौलवी का मकर है मोहब्बतकलीसाओं में रूसी अखरोट की लकड़ियों से बनी कुर्सियों पर बुज़ुर्गों की आँखों में मरने का डर है मोहब्बतमोहब्बत ज़हीनों पे खुलती है इसको कभी कुंद ज़ेहनों से कोई नाका नहींमोहब्बत को क्या कोई अपना है या ग़ैर हैइसमें आदमी सब कुछ लुटाकर भी कहता है कि ख़ैर है Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
Tere saath guzre dino ki .. byTehzeeb Hafi November 19, 2024 नज़्म - बेबसीतेरे साथ गुज़रे दिनों कीकोई एक धुँदली सी तस्वीरजब भी कभी सामने आएगीतो हमें एक दुआ थामने आएगी,बुढ़ापे की गहराइयों में उतरते हुएतेरी बे-लौस बाँहों के घेरे नहीं भूल पाएँगे हमहमको तेरे तवस्सुत से हँसते हुए जो मिले थेवो चेहरे नहीं भूल पाएँगे हमतेरे पहलू में लेटे हुओं का अजब क़र्ब हैजो रात भर अपनी वीरान आँखों से तुझे तकते थेऔर तेरे शादाब शानों पे सिर रख केमरने की ख़्वाहिश में जीते रहेपर तेरे लम्स का कोई इशारा मयस्सर नहीं थामगर इस जहाँ का कोई एक हिस्साउन्हें तेरे बिस्तर से बेहतर नहीं थापर मोहब्बत को इस सब से कोई इलाका नहीं थाएक दुख तो हम बहरहाल हम अपने सीनों में ले के मरेंगेकि हमने मोहब्बत के दावे किएतेरे माथे पर सिंदूर टाँका नहींइससे क्या फ़र्क पड़ता है दूर हैं तुझसे या पास हैंहमको कोई आदमी तो नहीं, हम तो एहसास हैंजो रहे तो हमेशा रहेंगेऔर गए तो मुड़ कर वापिस नहीं आएँगे-----------------------------Nazm - Bebasi Tere saath guzre dino ki Koi ek dhundhli si tasveer, Jab bhi kabhi saamne aayegi, To humein ek dua thaamne aayegi. Budhape ki gehraiyon mein utarte hue, Teri be-laus baahon ke ghere nahi bhool payenge hum. Humko tere tawassut se hanste hue jo mile the, Woh chehre nahi bhool payenge hum. Tere pehlu mein lete huon ka ajab qarib hai, Jo raat bhar apni veeran aankhon se tujhe takte the, Aur tere shaadab shaano pe sir rakh ke, Marne ki khwahish mein jeete rahe. Par tere lams ka koi ishaara mayassar nahi tha, Magar is jahaan ka koi ek hissa, Unhe tere bistar se behtar nahi tha. Par mohabbat ko is sab se koi ilaaka nahi tha. Ek dukh to hum bahar-haal apne seenon mein leke marenge, Ki humne mohabbat ke daave kiye, Tere maathay par sindoor taanka nahi. Isse kya farq padta hai door hain tujhse ya paas hain, Hum koi aadmi to nahi, hum to ehsaas hain, Jo rahe to hamesha rahenge, Aur gaye to mud kar wapas nahi aayenge. Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan