waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraaya nahin.. byParveen Shakir November 21, 2024 waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraaya nahinus ko ham kya khoyenge jis ko kabhi paaya nahinzindagi jitni bhi hai ab mustaqil sehra mein haiaur is sehra mein tera door tak saaya nahinmeri qismat mein faqat dard-e-tah-e-saagar hi haiawwal-e-shab jaam meri samt vo laaya nahinteri aankhon ka bhi kuchh halka gulaabi rang thazehan ne mere bhi ab ke dil ko samjhaaya nahinkaan bhi khaali hain mere aur dono haath bhiab ke fasl-e-gul ne mujh ko phool pahnaaya nahin ----------------------------------------------वक़्त-ए-रुख़्सत आ गया दिल फिर भी घबराया नहींउस को हम क्या खोएँगे जिस को कभी पाया नहींज़िंदगी जितनी भी है अब मुस्तक़िल सहरा में हैऔर इस सहरा में तेरा दूर तक साया नहींमेरी क़िस्मत में फ़क़त दुर्द-ए-तह-ए-साग़र ही हैअव्वल-ए-शब जाम मेरी सम्त वो लाया नहींतेरी आँखों का भी कुछ हल्का गुलाबी रंग थाज़ेहन ने मेरे भी अब के दिल को समझाया नहींकान भी ख़ाली हैं मेरे और दोनों हाथ भीअब के फ़स्ल-ए-गुल ने मुझ को फूल पहनाया नहीं Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
charaagh-e-raah bujha kya ki rehnuma bhi gaya.. byParveen Shakir November 21, 2024 charaagh-e-raah bujha kya ki rehnuma bhi gayahawa ke saath musaafir ka naqsh-e-paa bhi gayamain phool chuntee rahi aur mujhe khabar na huivo shakhs aa ke mere shehar se chala bhi gayabahut aziz sahi us ko meri dildaarimagar ye hai ki kabhi dil mera dukha bhi gayaab un dareechon pe gehre dabeez parde hainvo taank-jhaank ka ma'soom silsila bhi gayasab aaye meri ayaadat ko vo bhi aaya thajo sab gaye to mera dard-aashna bhi gayaye gurbaten meri aankhon mein kaisi utri hainki khwaab bhi mere ruksat hain ratjaga bhi gaya ------------------------------------------चराग़-ए-राह बुझा क्या कि रहनुमा भी गयाहवा के साथ मुसाफ़िर का नक़्श-ए-पा भी गयामैं फूल चुनती रही और मुझे ख़बर न हुईवो शख़्स आ के मिरे शहर से चला भी गयाबहुत अज़ीज़ सही उस को मेरी दिलदारीमगर ये है कि कभी दिल मिरा दुखा भी गयाअब उन दरीचों पे गहरे दबीज़ पर्दे हैंवो ताँक-झाँक का मा'सूम सिलसिला भी गयासब आए मेरी अयादत को वो भी आया थाजो सब गए तो मिरा दर्द-आश्ना भी गयाये ग़ुर्बतें मिरी आँखों में कैसी उतरी हैंकि ख़्वाब भी मिरे रुख़्सत हैं रतजगा भी गया Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
baja ki aankh mein neendon ke silsile bhi nahin.. byParveen Shakir November 21, 2024 baja ki aankh mein neendon ke silsile bhi nahinshikast-e-khwaab ke ab mujh mein hausale bhi nahinnahin nahin ye khabar dushmanon ne di hogivo aaye aa ke chale bhi gaye mile bhi nahinye kaun log andheron ki baat karte hainabhi to chaand tiri yaad ke dhale bhi nahinabhi se mere rafoogar ke haath thakne lageabhi to chaak mere zakham ke sile bhi nahinkhafa agarche hamesha hue magar ab kevo barhmi hai ki ham se unhen gile bhi nahin ------------------------------------------बजा कि आँख में नींदों के सिलसिले भी नहींशिकस्त-ए-ख़्वाब के अब मुझ में हौसले भी नहींनहीं नहीं ये ख़बर दुश्मनों ने दी होगीवो आए आ के चले भी गए मिले भी नहींये कौन लोग अँधेरों की बात करते हैंअभी तो चाँद तिरी याद के ढले भी नहींअभी से मेरे रफ़ूगर के हाथ थकने लगेअभी तो चाक मिरे ज़ख़्म के सिले भी नहींख़फ़ा अगरचे हमेशा हुए मगर अब केवो बरहमी है कि हम से उन्हें गिले भी नहीं Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
ek suraj tha ki taaron ke gharaane se utha.. byParveen Shakir November 21, 2024 ek suraj tha ki taaron ke gharaane se uthaaankh hairaan hai kya shakhs zamaane se uthakis se poochoon tire aqaa ka pata ai rahvaarye alam vo hai na ab tak kisi shaane se uthahalka-e-khwab ko hi gird-e-guloo kas daaladasht-e-qaatil ka bhi ehsaan na deewane se uthaphir koi aks shua'on se na banne paayakaisa mahtaab mere aaina-khaane se uthakya likha tha sar-e-mahzar jise pahchaante hipaas baitha hua har dost bahaane se utha --------------------------------------एक सूरज था कि तारों के घराने से उठाआँख हैरान है क्या शख़्स ज़माने से उठाकिस से पूछूँ तिरे आक़ा का पता ऐ रहवारये अलम वो है न अब तक किसी शाने से उठाहल्क़ा-ए-ख़्वाब को ही गिर्द-ए-गुलू कस डालादस्त-ए-क़ातिल का भी एहसाँ न दिवाने से उठाफिर कोई अक्स शुआ'ओं से न बनने पायाकैसा महताब मिरे आइना-ख़ाने से उठाक्या लिखा था सर-ए-महज़र जिसे पहचानते हीपास बैठा हुआ हर दोस्त बहाने से उठा Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
wahi parind ki kal goshaageer aisa tha.. byParveen Shakir November 21, 2024 wahi parind ki kal goshaageer aisa thapalak jhapakte hawa mein lakeer aisa thause to dost ke haathon ki soojhboojh bhi thikhata na hota kisi taur teer aisa thapayaam dene ka mausam na hamnava paakarpalat gaya dabey paanv safeer aisa thakisi bhi shaakh ke peeche panaah leti mainmujhe vo tod hi leta shareer aisa thahasi ke rang bahut mehrbaan the lekinudaasiyon se hi nibhti khameer aisa thatera kamaal ki paon mein bediyaan daalenghazal-e-shauq kahaan ka aseer aisa tha --------------------------------------वही परिंद कि कल गोशागीर ऐसा थापलक झपकते हवा में लकीर, ऐसा थाउसे तो दोस्त के हाथों की सूझबूझ भी थीख़ता न होता किसी तौर, तीर ऐसा थापयाम देने का मौसम, न हमनवा पाकरपलट गया दबे पाँव, सफ़ीर ऐसा थाकिसी भी शाख़ के पीछे पनाह लेती मैंमुझे वो तोड़ ही लेता, शरीर ऐसा थाहँसी के रंग बहुत मेहरबान थे लेकिनउदासियों से ही निभती, ख़मीर ऐसा थातेरा कमाल कि पाओं में बेड़ियाँ डालेंग़ज़ाल-ए-शौक़ कहाँ का असीर ऐसा था Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
aankhon ke liye jashn ka paighaam to aaya.. byParveen Shakir November 21, 2024 aankhon ke liye jashn ka paighaam to aayataakheer se hi chaand lab-e-baam to aayaus baagh mein ik phool khila mere liye bhikhushboo kii kahaani mein mera naam to aayapatjhad ka zamaana tha to ye bakht hamaarasair-e-chaman-e-dil ko vo gulfaam to aayaud jaayega phir apni hawaon mein to kya ghamvo taa'ir-e-khush-rang tah-e-daam to aayahar chand ki kam arsa-e-zebai mein thehrahar chehra-e-gul baagh ke kuchh kaam to aayashab se bhi guzar jaayenge gar teri raza hoduraan-e-safar marhala-e-shaam to aaya ---------------------------------------आँखों के लिए जश्न का पैग़ाम तो आयाताख़ीर से ही चाँद लब-ए-बाम तो आयाउस बाग़ में इक फूल खिला मेरे लिए भीख़ुशबू की कहानी में मेरा नाम तो आयापतझड़ का ज़माना था तो ये बख़्त हमारासैर-ए-चमन-ए-दिल को वो गुलफ़ाम तो आयाउड़ जाएगा फिर अपनी हवाओं में तो क्या ग़मवो ताइर-ए-ख़ुश-रंग तह-ए-दाम तो आयाहर चंद कि कम अरसा-ए-ज़ेबाई में ठहराहर चेहरा-ए-गुल बाग़ के कुछ काम तो आयाशब से भी गुज़र जाएँगे गर तेरी रज़ा होदौरान-ए-सफ़र मरहला-ए-शाम तो आया Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
malaal hai magar itna malaal thodi hai.. byParveen Shakir November 21, 2024 malaal hai magar itna malaal thodi haiye aankh rone kii shiddat se laal thodi haibas apne vaaste hi fikr-mand hain sab logyahan kisi ko kisi ka khayal thodi haiparon ko kaat diya hai udaan se pehleye khauf-e-hijr hai shauq-e-visaal thodi haimaza to tab hai ki tum haar ke bhi hanste rahohamesha jeet hi jaana kamaal thodi hailagaani padtii hai dubki ubharne se pehleghuroob hone ka matlab zawaal thodi hai ------------------------------------मलाल है मगर इतना मलाल थोड़ी हैये आँख रोने की शिद्दत से लाल थोड़ी हैबस अपने वास्ते ही फ़िक्र-मंद हैं सब लोगयहाँ किसी को किसी का ख़याल थोड़ी हैपरों को काट दिया है उड़ान से पहलेये ख़ौफ़-ए-हिज्र है शौक़-ए-विसाल थोड़ी हैमज़ा तो तब है कि तुम हार के भी हँसते रहोहमेशा जीत ही जाना कमाल थोड़ी हैलगानी पड़ती है डुबकी उभरने से पहलेग़ुरूब होने का मतलब ज़वाल थोड़ी है Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
mujhe mat batana.. byParveen Shakir November 15, 2024 mujhe mat batanaki tum ne mujhe chhoḌne kā irada kiya thato kyuunaur kis vajh se abhi to tumhare bichhadne ka dukh bhi nahin kam huaabhi to mainbāton ke vaadon ke shahr-e-tilismat menaankh par ḳhush-gumani ki paTTi liye tum ko pedon ke pichhe darakhton ke jhund aur dīvar kī pusht par DhunDne men magan huunkahin par tumhari sada aur kahin par tumhari mahak mujh pe hansne men masruf hai abhi tak tumhari hansi se nabard-azma huunaur is jang men mera hathiyar apni vafa par bharosa hai aur kuchh nahinuse kund karne kī koshish na karnamujhe mat batana..... ------------------------------मुझे मत बतानाकि तुम ने मुझे छोड़ने का इरादा किया थातो क्योंऔर किस वजह सेअभी तो तुम्हारे बिछड़ने का दुख भी नहीं कम हुआअभी तो मैंबातों के वादों के शहर-ए-तिलिस्मात मेंआँख पर ख़ुश-गुमानी की पट्टी लगाएतुम को पेड़ों के पीछे दरख़तों के झुंडऔर दीवार की पुश्त पर ढूँढ़ने में मगन हूँकहीं पर तुम्हारी सदा और कहीं पर तुम्हारी महकमुझ पे हँसने में मसरूफ़ हैअभी तक तुम्हारी हँसी से नबर्द-आज़मा हूँऔर इस जंग मेंमेरा हथियारअपनी वफ़ा पर भरोसा है और कुछ नहींउसे कुंद करने की कोशिश न करनामुझे मत बताना..... Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya.. byParveen Shakir August 12, 2023 चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझ को निढाल कर दियाऐ मिरी गुल-ज़मीं तुझे चाह थी इक किताब कीअहल-ए-किताब ने मगर क्या तिरा हाल कर दियामिलते हुए दिलों के बीच और था फ़ैसला कोईउस ने मगर बिछड़ते वक़्त और सवाल कर दियाअब के हवा के साथ है दामन-ए-यार मुंतज़िरबानू-ए-शब के हाथ में रखना सँभाल कर दियामुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी थाहम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दियामेरे लबों पे मोहर थी पर मेरे शीशा-रू ने तोशहर के शहर को मिरा वाक़िफ़-ए-हाल कर दियाचेहरा ओ नाम एक साथ आज न याद आ सकेवक़्त ने किस शबीह को ख़्वाब ओ ख़याल कर दियामुद्दतों बा'द उस ने आज मुझ से कोई गिला कियामंसब-ए-दिलबरी पे क्या मुझ को बहाल कर दिया--------------------------------------Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar DiyaIshq Ke Is Safar Ne To Mujh Ko NiDhaal Kar DiyaAi Meri Gul-Zamiin Tujhe Chaah Thi Ik Kitaab KiAhl-E-Kitaab Ne Magar Kya Tera Haal Kar DiyaMilte Hue Dilon Ke Biich Aur Tha Faisla KoiUs Ne Magar BichhaḌte Vaqt Aur Savaal Kar DiyaAb Ke Havaa Ke Saath Hai Daaman-E-Yaar MuntazirBaanu-E-Shab Ke Haath Mein Rakhna Sambhaal Kar DiyaMumkina Faislon Mein Ek Hijr Ka Faisla Bhi ThaHam Ne To Ek Baat Ki Us Ne Kamaal Kar DiyaMere Labon Pe Mohr Thi Par Mere Shisha-Ru Ne ToShahr Ke Shahr Ko Mera Vaaqif-E-Haal Kar DiyaChehra O Naam Ek Saath Aaj Na Yaad Aa SakeVaqt Ne Kis Shabih Ko Ḳhvaab O Ḳhayaal Kar DiyaMuddaton Baad Us Ne Aaj Mujh Se Koi Gila KiyaMansab-E-Dilbari Pe Kya Mujh Ko Bahaal Kar Diya Read more chlane ka hausla nahi parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
gham-e-ashishiqi tera shukhriya.. byParveen Shakir August 10, 2023 कभी रुक गए कभी चल दिएकभी चलते चलते भटक गएयूँही उम्र सारी गुज़र गईयूँही ज़िन्दगी के सितम सहेकभी नींद में कभी होश मेंतू जहाँ मिला तुझे देख करन नज़र मिली न ज़ुबान हिलीयूँही सर झुका के गुज़र गएकभी ज़ुल्फ़ पर कभी चश्म परकभी तेरे हसीं वजूद परजो पसंद थे मेरी किताब मेंवो शेर सारे बिखर गएमुझे याद है कभी एक थेमगर आज हम हैं जुदा जुदावो जुदा हुए तो संवर गएहम जुदा हुवे तो बिखर गएकभी अर्श पर कभी फर्श परकभी उन के दर कभी दर -बदरग़म -ए -आशीकी तेरा शुक्रियाहम कहाँ कहाँ से गुज़र गए---------------------------------------kabhi ruk gaye kabhi chal diyekabhi chalte chalte bhatak gaeyunhi umar sari guzar gaiyunhi zindagi k sitam saheykabhi neend mein kabhi hosh meintu jahan mila tujhe dekh karna nazar mili na zuban hilitu yunhi sar jhuka k guzar gae.kabhi zulf par kabhi chashm parkabhi tere haseen wajood parjo pasand thy meri kitab meinwo shair sary bikhair gaemujhe yaad hai kabhi ek themagar aaj hum hain juda judawo juda hue to sanwar gaehum juda howe to bikhar gaekabhi arsh par kabhi farsh parkabhi un k dar kabhi dar-badargham-e-ashishiqi tera shukhriyahum kahan kahan se guzar gaye Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet