urdu poetry

aankh ki khidkiyaan khuli hongi..

aankh ki khidkiyaan khuli hongi
dil mein jab choriyaan hui hongi

ya kahi aaine gire honge
ya kahi ladkiyaan hasi hongi

ya kahi din nikal raha hoga
ya kahi bastiyaan jali hongi

ya kahi haath hathkadi mein qaid
ya kahi choodiyaan padi hongi

ya kahi khaamoshi ki taqreebaat
ya kahi ghantiyaan bajee hongi

laut aayenge shehar se bhaai
haath mein raakhiyaan bandhi hongi

un dinon koi mar gaya hoga
jin dinon shaadiyaan hui hongi
----------------------------------
आँख की खिड़कियाँ खुली होंगी
दिल में जब चोरीयाँ हुई होंगी

या कहीं आइने गिरे होंगे
या कहीं लड़कियाँ हँसी होंगी

या कहीं दिन निकल रहा होगा
या कहीं बस्तियाँ जली होंगी

या कहीं हाथ हथकड़ी में क़ैद
या कहीं चूड़ियाँ पड़ी होंगी

या कहीं ख़ामशी की तक़रीबात
या कहीं घंटियाँ बजी होंगी

लौट आयेंगे शहर से भाई
हाथ में राखियाँ बँधी होंगी

उन दिनों कोई मर गया होगा
जिन दिनों शादियाँ हुई होंगी
Read more

tera chehra tere hont aur palkein dekhen..

tera chehra tere hont aur palkein dekhen
dil pe aankhen rakhe teri saansen dekhen

mere maalik aap to aisa kar sakte hain
saath chale ham aur duniya ki aankhen dekhen

saal hone ko aaya hai vo kab lautega
aao khet ki sair ko nikle kunjen dekhen

ham tere honthon ko larjish kab bhoolen hain
paani mein patthar fenken aur lahren dekhen 
---------------------------------
तेरा चेहरा तेरे होंठ और पलकें देखें
दिल पे आँखें रक्खे तेरी साँसें देखें

मेरे मालिक आप तो ऐसा कर सकते हैं
साथ चले हम और दुनिया की आँखें देखें

साल होने को आया है वो कब लौटेगा
आओ खेत की सैर को निकले कुंजें देखें

हम तेरे होंठों को लरजिश कब भूलें हैं
पानी में पत्थर फेंकें और लहरें देखें
Read more

teri taraf mera khayal kya gaya..

teri taraf mera khayal kya gaya
ke phir main tujhko sochta chala gaya

ye shehar ban raha tha mere saamne
ye geet mere saamne likha gaya

ye vasl saari umr par muheet hai
ye hijr ek raat mein samaa gaya

mujhe kisi ki aas thi na pyaas thi
ye phool mujhko bhool kar diya gaya

bichhad ke saans khenchna muhaal tha
main zindagi se haath khenchta gaya

main ek roz dast kya gaya ke phir
vo baagh mere haath se chala gaya 
----------------------------------
तेरी तरफ़ मेरा ख़याल क्या गया
के फिर मैं तुझको सोचता चला गया

ये शहर बन रहा था मेरे सामने
ये गीत मेरे सामने लिखा गया

ये वस्ल सारी उम्र पर मुहीत है
ये हिज्र एक रात में समा गया

मुझे किसी की आस थी न प्यास थी
ये फूल मुझको भूल कर दिया गया

बिछड़ के साँस खेंचना मुहाल था
मैं ज़िंदगी से हाथ खेंचता गया

मैं एक रोज दस्त क्या गया के फिर
वो बाग़ मेरे हाथ से चला गया
Read more

aaj jin jheelon ka bas kaaghaz mein naksha rah gaya..

aaj jin jheelon ka bas kaaghaz mein naksha rah gaya
ek muddat tak main un aankhon se bahta rah gaya

main use na-qaabil-e-bardasht samjha tha magar
vo mere dil mein raha aur achha khaasa rah gaya

vo jo aadhe the tujhe milkar muqammal ho gaye
jo muqammal tha vo tere gham mein aadha rah gaya 
----------------------------------------
आज जिन झीलों का बस काग़ज़ में नक्शा रह गया
एक मुद्दत तक मैं उन आँखों से बहता रह गया

मैं उसे ना-क़ाबिल-ए-बर्दाश्त समझा था मगर
वो मेरे दिल में रहा और अच्छा ख़ासा रह गया

वो जो आधे थे तुझे मिलकर मुक़म्मल हो गए
जो मुक़म्मल था वो तेरे ग़म में आधा रह गया
Read more

nahin tha apna magar phir bhi apna apna laga..

nahin tha apna magar phir bhi apna apna laga
kisi se mil ke bahut der baad achha laga

tumhein laga tha main mar jaaunga tumhaare baghair
batao phir tumhein mera mazaak kaisa laga

tijoriyon pe nazar aur log rakhte hain
main aasmaan chura loonga jab bhi mauqa laga

dikhaati hai bhari almaariyaan bade dil se
bataati hai ki mohabbat mein kiska kitna laga 
--------------------------------------------
नहीं था अपना मगर फिर भी अपना अपना लगा
किसी से मिल के बहुत देर बाद अच्छा लगा

तुम्हें लगा था मैं मर जाऊँगा तुम्हारे बग़ैर
बताओ फिर तुम्हें मेरा मज़ाक कैसा लगा

तिजोरियों पे नज़र और लोग रखते हैं
मैं आसमान चुरा लूँगा जब भी मौक़ा लगा

दिखाती है भरी अलमारियाँ बड़े दिल से
बताती है कि मोहब्बत में किसका कितना लगा
Read more

ham tumhaare gham se baahar aa gaye..

ham tumhaare gham se baahar aa gaye
hijr se bachne ke mantr aa gaye

maine tumko andar aane ka kaha
tum to mere dil ke andar aa gaye

ek hi aurat ko duniya maan kar
itna ghooma hoon ki chakkar aa gaye

imtihaan-e-ishq mushkil tha magar
nakl kar ke achhe number aa gaye

tere kuchh aashiq to gangaram hain
aur jo baaki the nishtar aa gaye 
--------------------------------
हम तुम्हारे ग़म से बाहर आ गए
हिज्र से बचने के मंतर आ गए

मैंने तुमको अंदर आने का कहा
तुम तो मेरे दिल के अंदर आ गए

एक ही औरत को दुनिया मान कर
इतना घूमा हूँ कि चक्कर आ गए

इम्तिहान-ए-इश्क़ मुश्किल था मगर
नक्ल कर के अच्छे नंबर आ गए

तेरे कुछ आशिक़ तो गंगाराम हैं
और जो बाक़ी थे निश्तर आ गए
Read more

ye ishq vo hai jisne bahr-o-bar kharab kar diya..

ye ishq vo hai jisne bahr-o-bar kharab kar diya
hamein to usne jaise khaas kar kharab kar diya

main dil pe haath rakh ke tujhko shehar bhej doon magar
tujhe bhi un hawaon ne agar kharab kar diya

kisi ne naam likh ke aur kisi ne peeng daal ke
mohabbaton ki aad mein shajar kharab kar diya

tumhein hi dekhne mein mahav hai vo kaam chhodkar
tumhaari car ne to kaarigar kharab kar diya

main qafile ke saath hoon magar mujhe ye khauf hai
agar kisi ne mera hamsafar kharab kar diya

teri nazar ke maqde tamaam shab khule rahe
teri sharaab ne mera jigar kharab kar diya 
------------------------------------------
ये इश्क़ वो है जिसने बहर-ओ-बर ख़राब कर दिया
हमें तो उसने जैसे ख़ास कर ख़राब कर दिया

मैं दिल पे हाथ रख के तुझको शहर भेज दूँ मगर
तुझे भी उन हवाओं ने अगर ख़राब कर दिया

किसी ने नाम लिख के और किसी ने पींग डाल के
मोहब्बतों की आड़ में शजर ख़राब कर दिया

तुम्हें ही देखने में महव है वो काम छोड़कर
तुम्हारी कार ने तो कारीगर ख़राब कर दिया

मैं क़ाफ़िले के साथ हूँ मगर मुझे ये खौफ़ है
अगर किसी ने मेरा हमसफ़र ख़राब कर दिया

तेरी नज़र के मैक़दे तमाम शब खुले रहे
तेरी शराब ने मेरा जिगर ख़राब कर दिया
Read more

musalsal vaar karne par bhi zarra bhar nahin toota..

musalsal vaar karne par bhi zarra bhar nahin toota
main patthar ho gaya phir bhi tera khanjar nahin toota

mujhe barbaad karne tak hi uske aastaan toote
mera dil tootne ke baad uska ghar nahin toota

ham uska gham bhala qismat pe kaise taal sakte hain
hamaare haath mein toota hai vo girkar nahin toota

saroon par aasmaan aankhon se aaine nazar se dil
bahut kuchh toot saka tha bahut kuchh par nahin toota

tilism-e-yaar mein jab bhi kami aayi nami aayi
un aankhon mein jinhen lagta tha farmaish nahin toota

tere bheje hue teshon ki dhaarein tez thi haafi
magar insey ye koh-e-gham ziyaada tar nahin toota 
------------------------------------------
मुसलसल वार करने पर भी ज़र्रा भर नहीं टूटा
मैं पत्थर हो गया फिर भी तेरा ख़ंजर नहीं टूटा

मुझे बर्बाद करने तक ही उसके आस्ताँ टूटे
मेरा दिल टूटने के बाद उसका घर नहीं टूटा

हम उसका ग़म भला क़िस्मत पे कैसे टाल सकते हैं
हमारे हाथ में टूटा है वो गिरकर नहीं टूटा

सरों पर आसमाँ आँखों से आईने नज़र से दिल
बहुत कुछ टूट सकता था बहुत कुछ पर नहीं टूटा

तिलिस्म-ए-यार में जब भी कमी आई नमी आई
उन आँखों में जिन्हें लगता था जादूगर नहीं टूटा

तेरे भेजे हुए तेशों की धारें तेज़ थी 'हाफ़ी'
मगर इनसे ये कोह-ए-ग़म ज़ियादा तर नहीं टूटा
Read more

tamaam raat sitaaron se baat rahti thi..

tamaam raat sitaaron se baat rahti thi
ki subh hote hi ghar se phool aate the
vo kis ke naksh ubharte the teg par apni
vo kis khyaal mein ham jang jeet jaate the
hame bhi qahat mein ek chashme-zar mayassar thi
koi hatheliyaan bhar-bhar ke may pilaata tha
bhara hua tha samandar inheen khazaanon se
nikaal lete the jo khwaab raas aata tha
vo mere saath raha karta khushdili se bahut
ki un dinon mera duniya par haath padta tha
hamaari jeb bhari rahti dastaanon se
hamein khyaal ka jungle bhi saath padta tha
vo saare din ka thaka khwaabgaah mein aata
thapak thapak ke sulaata to haath so jaate
naseeme-subh kisi lehar mein jagati hamein
aur uthte uthte hamein din ke ek ho jaate
saroon se khench liya waqt ne wafa ka lihaaf
vo parde uth gaye jo taaynaat rahte the
bichhad gaya hai vo sangeen mausamon mein kahi
vo mere dil par sada jiske haath rahte the
vo boo-e-gul hamein jis gulistaan mein laai thi
wahan bhi ja ke uska nishaan dekh liya
ye shaakh-e-wasl dobaara hari nahin hoti
hawa-e-hijr ne mera makaan dekh liya
vo abr jiski tag-o-dau mein jism sookh gaye
dobaara chat pe hai aur chat pe seedhi jaati hai
thehar thehar ke us samt aise badh raha hoon
ki jaise haamla aurat kadam uthaati hai
ye zahar baada-e-ishrat hai aur de mere rab
vo phir chala gaya main phir zameen chaatoonunga
main phir se haath mein tesha uthaaye sochta hoon
main kohkan wahi khush-khat pahaad kaatoonunga
badan ki barf pighalne ke baad poochhenge
bahut pata hai tahammul ke saath bahte ho
azal ke haath pe khenchi hui samay ki lakeer
kisi se pehle mitti hai jo mujhse kahte ho
--------------------------------
तमाम रात सितारों से बात रहती थी
कि सुब्ह होते ही घर से फूल आते थे
वो किस के नक्श उभरते थे तेग़ पर अपनी
वो किस ख़्याल में हम जंग जीत जाते थे
हमे भी क़हत में एक चश्मे-ज़र मयस्सर थी
कोई हथेलियाँ भर-भर के मय पिलाता था
भरा हुआ था समंदर इन्हीं ख़जानों से
निकाल लेते थे जो ख़्वाब रास आता था
वो मेरे साथ रहा करता ख़ुशदिली से बहुत
कि उन दिनों मेरा दुनिया पर हाथ पड़ता था
हमारी जेब भरी रहती दास्तानों से
हमें ख़्याल का जंगल भी साथ पड़ता था
वो सारे दिन का थका ख़्वाबगाह में आता
थपक थपक के सुलाता तो हाथ सो जाते
नसीमे-सुब्ह किसी लहर में जगाती हमें
और उठते उठते हमें दिन के एक हो जाते
सरों से खेंच लिया वक़्त ने वफ़ा का लिहाफ़
वो पर्दे उठ गए जो तायनात रहते थे
बिछड़ गया है वो संगीन मौसमों में कहीं
वो मेरे दिल पर सदा जिसके हाथ रहते थे
वो बू-ए-गुल हमें जिस गुलिस्ताँ में लाई थी
वहाँ भी जा के उसका निशान देख लिया
ये शाख़-ए-वस्ल दुबारा हरी नहीं होती
हवा-ए-हिज्र ने मेरा मकान देख लिया
वो अब्र जिसकी तग-ओ-दौ में जिस्म सूख गए
दुबारा छत पे है और छत पे सीढ़ी जाती है
ठहर ठहर के उस सम्त ऐसे बढ़ रहा हूँ
कि जैसे हामला औरत कदम उठाती है
ये ज़हर बादा-ए-इशरत है और दे मेरे रब
वो फिर चला गया मैं फिर ज़मीन चाटूँगा
मैं फिर से हाथ में तेशा उठाए सोचता हूँ
मैं कोहकन वही ख़ुश-ख़त पहाड़ काटूँगा
बदन की बर्फ़ पिघलने के बाद पूछेंगे
बहुत पता है तहम्मुल के साथ बहते हो
अज़ल के हाथ पे खेंची हुई समय की लकीर
किसी से पहले मिटी है जो मुझसे कहते हो
Read more

paani kaun pakad saka hai..

paani kaun pakad saka hai

jab vo is duniya ke shor aur khamoshi se qat'atalluq hokar english mein gussa karti hai
main to dar jaata hoon lekin kamre ki deewarein hansne lagti hain

vo ik aisi aag hai jise sirf dahakne se matlab hai
vo ik aisa phool hai jispar apni khushboo bojh bani hai
vo ik aisa khwaab hai jisko dekhne waala khud mushkil mein pad saka hai
usko choone ki khwaish to theek hai lekin
paani kaun pakad saka hai

vo rangon se waakif hai balki har ik rang ke shajre tak se waakif hai
usko ilm hai kin khaabo se aankhen neeli padh sakti hain
hamne jinko nafrat se mansoob kiya
vo un peele phoolon ki izzat karti hai

kabhi-kabhi vo apne haath me pencil lekar
aisi sataren kheenchti hai
sab kuchh seedha ho jaata hai

vo chahe to har ik cheez ko uske asl mein la sakti hai
sirf usike haathon se saari duniya tarteeb mein aa sakti hai
har patthar us paanv se takraane ki khwaish mein jinda hai lekin ye to isee adhoorepan ka jahaan hai
har pinjare mein aise qaidi kab hote hain
har kapde ki kismat mein vo jism kahaan hai

meri be-maqsad baaton se tang bhi aa jaati hai to mehsoos nahin hone deti
lekin apne hone se ukta jaati hai
usko waqt ki paabandi se kya matlab hai
vo to band ghadi bhi haath me baandh ke college aa jaati hai
-------------------------------------------------------
पानी कौन पकड़ सकता है

जब वो इस दुनिया के शोर और ख़मोशी से क़त'अ-तअल्लुक़ होकर इंग्लिश में गुस्सा करती है,
मैं तो डर जाता हूँ लेकिन कमरे की दीवारें हँसने लगती हैं

वो इक ऐसी आग है जिसे सिर्फ़ दहकने से मतलब है,
वो इक ऐसा फूल है जिसपर अपनी ख़ुशबू बोझ बनी है,
वो इक ऐसा ख़्वाब है जिसको देखने वाला ख़ुद मुश्किल में पड़ सकता है,
उसको छूने की ख़्वाइश तो ठीक है लेकिन
पानी कौन पकड़ सकता है

वो रंगों से वाकिफ़ है बल्कि हर इक रंग के शजरे तक से वाकिफ़ है,
उसको इल्म है किन ख़्वाबों से आंखें नीली पढ़ सकती हैं,
हमने जिनको नफ़रत से मंसूब किया
वो उन पीले फूलों की इज़्ज़त करती है

कभी-कभी वो अपने हाथ मे पेंसिल लेकर
ऐसी सतरें खींचती है
सब कुछ सीधा हो जाता है

वो चाहे तो हर इक चीज़ को उसके अस्ल में ला सकती है,
सिर्फ़ उसीके हाथों से सारी दुनिया तरतीब में आ सकती है,
हर पत्थर उस पाँव से टकराने की ख़्वाइश में जिंदा है लेकिन ये तो इसी अधूरेपन का जहाँ है,
हर पिंजरे में ऐसे क़ैदी कब होते हैं
हर कपड़े की किस्मत में वो जिस्म कहाँ है

मेरी बे-मक़सद बातों से तंग भी आ जाती है तो महसूस नहीं होने देती
लेकिन अपने होने से उकता जाती है,
उसको वक़्त की पाबंदी से क्या मतलब है
वो तो बंद घड़ी भी हाथ मे बांध के कॉलेज आ जाती है
Read more