khwaabon ko aankhon se minha karti hai.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 khwaabon ko aankhon se minha karti haineend hamesha mujhse dhokha karti haius ladki se bas ab itna rishta haimil jaaye to baat wagaira karti haiaawaazon ka habs agar badh jaata haikhaamoshi mujh mein darwaaza karti haibaarish mere rab ki aisi niyamat hairone mein aasaani paida karti haisach poocho to haafi ye tanhaai bhijeene ka samaan muhayya karti hai ---------------------------------ख़्वाबों को आँखों से मिन्हा करती हैनींद हमेशा मुझसे धोखा करती हैउस लड़की से बस अब इतना रिश्ता हैमिल जाए तो बात वगैरा करती हैआवाजों का हब्स अगर बढ़ जाता हैख़ामोशी मुझ में दरवाज़ा करती हैबारिश मेरे रब की ऐसी नियमत हैरोने में आसानी पैदा करती हैसच पूछो तो हाफ़ी ये तन्हाई भीजीने का सामान मुहय्या करती है Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
kitni raatein kaat chuka hoon par vo vasl ka din.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 kitni raatein kaat chuka hoon par vo vasl ka dinis dariya se pehle kitne jungle aate hainhamein to neend bhi aati hai to aadhi aati haivo kaise hain jinko khwaab mukammal aate hainis raaste par ped bhi aate hain usne poochajal kar khushboo dene waale sandal aate hainkaun hai jo is dil mein khaamoshi se utaregadekho is awaaz pe kitne paagal aate hainik se bharr kar ek sawaari asp-o-feel bhi haijaane kyun ham teri zaanib paidal aate hain ----------------------------------------कितनी रातें काट चुका हूँ पर वो वस्ल का दिनइस दरिया से पहले कितने जंगल आते हैंहमें तो नींद भी आती है तो आधी आती हैवो कैसे हैं जिनको ख़्वाब मुकम्मल आते हैंइस रस्ते पर पेड़ भी आते हैं उसने पूछाजल कर ख़ुशबू देने वाले संदल आते हैंकौन है जो इस दिल में ख़ामोशी से उतरेगादेखो इस आवाज़ पे कितने पागल आते हैंइक से भड़ कर एक सवारी अस्प-औ-फील भी हैजाने क्यों हम तेरी ज़ानिब पैदल आते हैं Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
aankh ki khidkiyaan khuli hongi.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 aankh ki khidkiyaan khuli hongidil mein jab choriyaan hui hongiya kahi aaine gire hongeya kahi ladkiyaan hasi hongiya kahi din nikal raha hogaya kahi bastiyaan jali hongiya kahi haath hathkadi mein qaidya kahi choodiyaan padi hongiya kahi khaamoshi ki taqreebaatya kahi ghantiyaan bajee hongilaut aayenge shehar se bhaaihaath mein raakhiyaan bandhi hongiun dinon koi mar gaya hogajin dinon shaadiyaan hui hongi----------------------------------आँख की खिड़कियाँ खुली होंगीदिल में जब चोरीयाँ हुई होंगीया कहीं आइने गिरे होंगेया कहीं लड़कियाँ हँसी होंगीया कहीं दिन निकल रहा होगाया कहीं बस्तियाँ जली होंगीया कहीं हाथ हथकड़ी में क़ैदया कहीं चूड़ियाँ पड़ी होंगीया कहीं ख़ामशी की तक़रीबातया कहीं घंटियाँ बजी होंगीलौट आयेंगे शहर से भाईहाथ में राखियाँ बँधी होंगीउन दिनों कोई मर गया होगाजिन दिनों शादियाँ हुई होंगी Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
tera chehra tere hont aur palkein dekhen.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 tera chehra tere hont aur palkein dekhendil pe aankhen rakhe teri saansen dekhenmere maalik aap to aisa kar sakte hainsaath chale ham aur duniya ki aankhen dekhensaal hone ko aaya hai vo kab lautegaaao khet ki sair ko nikle kunjen dekhenham tere honthon ko larjish kab bhoolen hainpaani mein patthar fenken aur lahren dekhen ---------------------------------तेरा चेहरा तेरे होंठ और पलकें देखेंदिल पे आँखें रक्खे तेरी साँसें देखेंमेरे मालिक आप तो ऐसा कर सकते हैंसाथ चले हम और दुनिया की आँखें देखेंसाल होने को आया है वो कब लौटेगाआओ खेत की सैर को निकले कुंजें देखेंहम तेरे होंठों को लरजिश कब भूलें हैंपानी में पत्थर फेंकें और लहरें देखें Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
teri taraf mera khayal kya gaya.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 teri taraf mera khayal kya gayake phir main tujhko sochta chala gayaye shehar ban raha tha mere saamneye geet mere saamne likha gayaye vasl saari umr par muheet haiye hijr ek raat mein samaa gayamujhe kisi ki aas thi na pyaas thiye phool mujhko bhool kar diya gayabichhad ke saans khenchna muhaal thamain zindagi se haath khenchta gayamain ek roz dast kya gaya ke phirvo baagh mere haath se chala gaya ----------------------------------तेरी तरफ़ मेरा ख़याल क्या गयाके फिर मैं तुझको सोचता चला गयाये शहर बन रहा था मेरे सामनेये गीत मेरे सामने लिखा गयाये वस्ल सारी उम्र पर मुहीत हैये हिज्र एक रात में समा गयामुझे किसी की आस थी न प्यास थीये फूल मुझको भूल कर दिया गयाबिछड़ के साँस खेंचना मुहाल थामैं ज़िंदगी से हाथ खेंचता गयामैं एक रोज दस्त क्या गया के फिरवो बाग़ मेरे हाथ से चला गया Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
aaj jin jheelon ka bas kaaghaz mein naksha rah gaya.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 aaj jin jheelon ka bas kaaghaz mein naksha rah gayaek muddat tak main un aankhon se bahta rah gayamain use na-qaabil-e-bardasht samjha tha magarvo mere dil mein raha aur achha khaasa rah gayavo jo aadhe the tujhe milkar muqammal ho gayejo muqammal tha vo tere gham mein aadha rah gaya ----------------------------------------आज जिन झीलों का बस काग़ज़ में नक्शा रह गयाएक मुद्दत तक मैं उन आँखों से बहता रह गयामैं उसे ना-क़ाबिल-ए-बर्दाश्त समझा था मगरवो मेरे दिल में रहा और अच्छा ख़ासा रह गयावो जो आधे थे तुझे मिलकर मुक़म्मल हो गएजो मुक़म्मल था वो तेरे ग़म में आधा रह गया Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
nahin tha apna magar phir bhi apna apna laga.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 nahin tha apna magar phir bhi apna apna lagakisi se mil ke bahut der baad achha lagatumhein laga tha main mar jaaunga tumhaare baghairbatao phir tumhein mera mazaak kaisa lagatijoriyon pe nazar aur log rakhte hainmain aasmaan chura loonga jab bhi mauqa lagadikhaati hai bhari almaariyaan bade dil sebataati hai ki mohabbat mein kiska kitna laga --------------------------------------------नहीं था अपना मगर फिर भी अपना अपना लगाकिसी से मिल के बहुत देर बाद अच्छा लगातुम्हें लगा था मैं मर जाऊँगा तुम्हारे बग़ैरबताओ फिर तुम्हें मेरा मज़ाक कैसा लगातिजोरियों पे नज़र और लोग रखते हैंमैं आसमान चुरा लूँगा जब भी मौक़ा लगादिखाती है भरी अलमारियाँ बड़े दिल सेबताती है कि मोहब्बत में किसका कितना लगा Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
ham tumhaare gham se baahar aa gaye.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 ham tumhaare gham se baahar aa gayehijr se bachne ke mantr aa gayemaine tumko andar aane ka kahatum to mere dil ke andar aa gayeek hi aurat ko duniya maan karitna ghooma hoon ki chakkar aa gayeimtihaan-e-ishq mushkil tha magarnakl kar ke achhe number aa gayetere kuchh aashiq to gangaram hainaur jo baaki the nishtar aa gaye --------------------------------हम तुम्हारे ग़म से बाहर आ गएहिज्र से बचने के मंतर आ गएमैंने तुमको अंदर आने का कहातुम तो मेरे दिल के अंदर आ गएएक ही औरत को दुनिया मान करइतना घूमा हूँ कि चक्कर आ गएइम्तिहान-ए-इश्क़ मुश्किल था मगरनक्ल कर के अच्छे नंबर आ गएतेरे कुछ आशिक़ तो गंगाराम हैंऔर जो बाक़ी थे निश्तर आ गए Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
ye ishq vo hai jisne bahr-o-bar kharab kar diya.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 ye ishq vo hai jisne bahr-o-bar kharab kar diyahamein to usne jaise khaas kar kharab kar diyamain dil pe haath rakh ke tujhko shehar bhej doon magartujhe bhi un hawaon ne agar kharab kar diyakisi ne naam likh ke aur kisi ne peeng daal kemohabbaton ki aad mein shajar kharab kar diyatumhein hi dekhne mein mahav hai vo kaam chhodkartumhaari car ne to kaarigar kharab kar diyamain qafile ke saath hoon magar mujhe ye khauf haiagar kisi ne mera hamsafar kharab kar diyateri nazar ke maqde tamaam shab khule raheteri sharaab ne mera jigar kharab kar diya ------------------------------------------ये इश्क़ वो है जिसने बहर-ओ-बर ख़राब कर दियाहमें तो उसने जैसे ख़ास कर ख़राब कर दियामैं दिल पे हाथ रख के तुझको शहर भेज दूँ मगरतुझे भी उन हवाओं ने अगर ख़राब कर दियाकिसी ने नाम लिख के और किसी ने पींग डाल केमोहब्बतों की आड़ में शजर ख़राब कर दियातुम्हें ही देखने में महव है वो काम छोड़करतुम्हारी कार ने तो कारीगर ख़राब कर दियामैं क़ाफ़िले के साथ हूँ मगर मुझे ये खौफ़ हैअगर किसी ने मेरा हमसफ़र ख़राब कर दियातेरी नज़र के मैक़दे तमाम शब खुले रहेतेरी शराब ने मेरा जिगर ख़राब कर दिया Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan
musalsal vaar karne par bhi zarra bhar nahin toota.. byTehzeeb Hafi November 21, 2024 musalsal vaar karne par bhi zarra bhar nahin tootamain patthar ho gaya phir bhi tera khanjar nahin tootamujhe barbaad karne tak hi uske aastaan tootemera dil tootne ke baad uska ghar nahin tootaham uska gham bhala qismat pe kaise taal sakte hainhamaare haath mein toota hai vo girkar nahin tootasaroon par aasmaan aankhon se aaine nazar se dilbahut kuchh toot saka tha bahut kuchh par nahin tootatilism-e-yaar mein jab bhi kami aayi nami aayiun aankhon mein jinhen lagta tha farmaish nahin tootatere bheje hue teshon ki dhaarein tez thi haafimagar insey ye koh-e-gham ziyaada tar nahin toota ------------------------------------------मुसलसल वार करने पर भी ज़र्रा भर नहीं टूटामैं पत्थर हो गया फिर भी तेरा ख़ंजर नहीं टूटामुझे बर्बाद करने तक ही उसके आस्ताँ टूटेमेरा दिल टूटने के बाद उसका घर नहीं टूटाहम उसका ग़म भला क़िस्मत पे कैसे टाल सकते हैंहमारे हाथ में टूटा है वो गिरकर नहीं टूटासरों पर आसमाँ आँखों से आईने नज़र से दिलबहुत कुछ टूट सकता था बहुत कुछ पर नहीं टूटातिलिस्म-ए-यार में जब भी कमी आई नमी आईउन आँखों में जिन्हें लगता था जादूगर नहीं टूटातेरे भेजे हुए तेशों की धारें तेज़ थी 'हाफ़ी'मगर इनसे ये कोह-ए-ग़म ज़ियादा तर नहीं टूटा Read more tehzeeb hafi urdu poetry andaaz e bayan