kya kare meri masihaai bhi karne waala.. byParveen Shakir November 21, 2024 kya kare meri masihaai bhi karne waalazakham hi ye mujhe lagta nahin bharne waalazindagi se kisi samjhaute ke baa-wasf ab takyaad aata hai koi maarnay marne waalaus ko bhi ham tire kooche mein guzaar aaye hainzindagi mein vo jo lamha tha sanwarne waalaus ka andaaz-e-sukhan sab se juda tha shaayadbaat lagti hui lahja vo mukarne waalashaam hone ko hai aur aankh mein ik khwaab nahinkoi is ghar mein nahin raushni karne waaladastaras mein hain anaasir ke iraade kis keso bikhar ke hi raha koi bikharna waalaisee ummeed pe har shaam bujaaye hain charaaghek taara hai sar-e-baam ubharne waala ---------------------------------------क्या करे मेरी मसीहाई भी करने वालाज़ख़्म ही ये मुझे लगता नहीं भरने वालाज़िंदगी से किसी समझौते के बा-वस्फ़ अब तकयाद आता है कोई मारने मरने वालाउस को भी हम तिरे कूचे में गुज़ार आए हैंज़िंदगी में वो जो लम्हा था सँवरने वालाउस का अंदाज़-ए-सुख़न सब से जुदा था शायदबात लगती हुई लहजा वो मुकरने वालाशाम होने को है और आँख में इक ख़्वाब नहींकोई इस घर में नहीं रौशनी करने वालादस्तरस में हैं अनासिर के इरादे किस केसो बिखर के ही रहा कोई बिखरने वालाइसी उम्मीद पे हर शाम बुझाए हैं चराग़एक तारा है सर-ए-बाम उभरने वाला Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraaya nahin.. byParveen Shakir November 21, 2024 waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraaya nahinus ko ham kya khoyenge jis ko kabhi paaya nahinzindagi jitni bhi hai ab mustaqil sehra mein haiaur is sehra mein tera door tak saaya nahinmeri qismat mein faqat dard-e-tah-e-saagar hi haiawwal-e-shab jaam meri samt vo laaya nahinteri aankhon ka bhi kuchh halka gulaabi rang thazehan ne mere bhi ab ke dil ko samjhaaya nahinkaan bhi khaali hain mere aur dono haath bhiab ke fasl-e-gul ne mujh ko phool pahnaaya nahin ----------------------------------------------वक़्त-ए-रुख़्सत आ गया दिल फिर भी घबराया नहींउस को हम क्या खोएँगे जिस को कभी पाया नहींज़िंदगी जितनी भी है अब मुस्तक़िल सहरा में हैऔर इस सहरा में तेरा दूर तक साया नहींमेरी क़िस्मत में फ़क़त दुर्द-ए-तह-ए-साग़र ही हैअव्वल-ए-शब जाम मेरी सम्त वो लाया नहींतेरी आँखों का भी कुछ हल्का गुलाबी रंग थाज़ेहन ने मेरे भी अब के दिल को समझाया नहींकान भी ख़ाली हैं मेरे और दोनों हाथ भीअब के फ़स्ल-ए-गुल ने मुझ को फूल पहनाया नहीं Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
charaagh-e-raah bujha kya ki rehnuma bhi gaya.. byParveen Shakir November 21, 2024 charaagh-e-raah bujha kya ki rehnuma bhi gayahawa ke saath musaafir ka naqsh-e-paa bhi gayamain phool chuntee rahi aur mujhe khabar na huivo shakhs aa ke mere shehar se chala bhi gayabahut aziz sahi us ko meri dildaarimagar ye hai ki kabhi dil mera dukha bhi gayaab un dareechon pe gehre dabeez parde hainvo taank-jhaank ka ma'soom silsila bhi gayasab aaye meri ayaadat ko vo bhi aaya thajo sab gaye to mera dard-aashna bhi gayaye gurbaten meri aankhon mein kaisi utri hainki khwaab bhi mere ruksat hain ratjaga bhi gaya ------------------------------------------चराग़-ए-राह बुझा क्या कि रहनुमा भी गयाहवा के साथ मुसाफ़िर का नक़्श-ए-पा भी गयामैं फूल चुनती रही और मुझे ख़बर न हुईवो शख़्स आ के मिरे शहर से चला भी गयाबहुत अज़ीज़ सही उस को मेरी दिलदारीमगर ये है कि कभी दिल मिरा दुखा भी गयाअब उन दरीचों पे गहरे दबीज़ पर्दे हैंवो ताँक-झाँक का मा'सूम सिलसिला भी गयासब आए मेरी अयादत को वो भी आया थाजो सब गए तो मिरा दर्द-आश्ना भी गयाये ग़ुर्बतें मिरी आँखों में कैसी उतरी हैंकि ख़्वाब भी मिरे रुख़्सत हैं रतजगा भी गया Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
baja ki aankh mein neendon ke silsile bhi nahin.. byParveen Shakir November 21, 2024 baja ki aankh mein neendon ke silsile bhi nahinshikast-e-khwaab ke ab mujh mein hausale bhi nahinnahin nahin ye khabar dushmanon ne di hogivo aaye aa ke chale bhi gaye mile bhi nahinye kaun log andheron ki baat karte hainabhi to chaand tiri yaad ke dhale bhi nahinabhi se mere rafoogar ke haath thakne lageabhi to chaak mere zakham ke sile bhi nahinkhafa agarche hamesha hue magar ab kevo barhmi hai ki ham se unhen gile bhi nahin ------------------------------------------बजा कि आँख में नींदों के सिलसिले भी नहींशिकस्त-ए-ख़्वाब के अब मुझ में हौसले भी नहींनहीं नहीं ये ख़बर दुश्मनों ने दी होगीवो आए आ के चले भी गए मिले भी नहींये कौन लोग अँधेरों की बात करते हैंअभी तो चाँद तिरी याद के ढले भी नहींअभी से मेरे रफ़ूगर के हाथ थकने लगेअभी तो चाक मिरे ज़ख़्म के सिले भी नहींख़फ़ा अगरचे हमेशा हुए मगर अब केवो बरहमी है कि हम से उन्हें गिले भी नहीं Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
ek suraj tha ki taaron ke gharaane se utha.. byParveen Shakir November 21, 2024 ek suraj tha ki taaron ke gharaane se uthaaankh hairaan hai kya shakhs zamaane se uthakis se poochoon tire aqaa ka pata ai rahvaarye alam vo hai na ab tak kisi shaane se uthahalka-e-khwab ko hi gird-e-guloo kas daaladasht-e-qaatil ka bhi ehsaan na deewane se uthaphir koi aks shua'on se na banne paayakaisa mahtaab mere aaina-khaane se uthakya likha tha sar-e-mahzar jise pahchaante hipaas baitha hua har dost bahaane se utha --------------------------------------एक सूरज था कि तारों के घराने से उठाआँख हैरान है क्या शख़्स ज़माने से उठाकिस से पूछूँ तिरे आक़ा का पता ऐ रहवारये अलम वो है न अब तक किसी शाने से उठाहल्क़ा-ए-ख़्वाब को ही गिर्द-ए-गुलू कस डालादस्त-ए-क़ातिल का भी एहसाँ न दिवाने से उठाफिर कोई अक्स शुआ'ओं से न बनने पायाकैसा महताब मिरे आइना-ख़ाने से उठाक्या लिखा था सर-ए-महज़र जिसे पहचानते हीपास बैठा हुआ हर दोस्त बहाने से उठा Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
wahi parind ki kal goshaageer aisa tha.. byParveen Shakir November 21, 2024 wahi parind ki kal goshaageer aisa thapalak jhapakte hawa mein lakeer aisa thause to dost ke haathon ki soojhboojh bhi thikhata na hota kisi taur teer aisa thapayaam dene ka mausam na hamnava paakarpalat gaya dabey paanv safeer aisa thakisi bhi shaakh ke peeche panaah leti mainmujhe vo tod hi leta shareer aisa thahasi ke rang bahut mehrbaan the lekinudaasiyon se hi nibhti khameer aisa thatera kamaal ki paon mein bediyaan daalenghazal-e-shauq kahaan ka aseer aisa tha --------------------------------------वही परिंद कि कल गोशागीर ऐसा थापलक झपकते हवा में लकीर, ऐसा थाउसे तो दोस्त के हाथों की सूझबूझ भी थीख़ता न होता किसी तौर, तीर ऐसा थापयाम देने का मौसम, न हमनवा पाकरपलट गया दबे पाँव, सफ़ीर ऐसा थाकिसी भी शाख़ के पीछे पनाह लेती मैंमुझे वो तोड़ ही लेता, शरीर ऐसा थाहँसी के रंग बहुत मेहरबान थे लेकिनउदासियों से ही निभती, ख़मीर ऐसा थातेरा कमाल कि पाओं में बेड़ियाँ डालेंग़ज़ाल-ए-शौक़ कहाँ का असीर ऐसा था Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
aankhon ke liye jashn ka paighaam to aaya.. byParveen Shakir November 21, 2024 aankhon ke liye jashn ka paighaam to aayataakheer se hi chaand lab-e-baam to aayaus baagh mein ik phool khila mere liye bhikhushboo kii kahaani mein mera naam to aayapatjhad ka zamaana tha to ye bakht hamaarasair-e-chaman-e-dil ko vo gulfaam to aayaud jaayega phir apni hawaon mein to kya ghamvo taa'ir-e-khush-rang tah-e-daam to aayahar chand ki kam arsa-e-zebai mein thehrahar chehra-e-gul baagh ke kuchh kaam to aayashab se bhi guzar jaayenge gar teri raza hoduraan-e-safar marhala-e-shaam to aaya ---------------------------------------आँखों के लिए जश्न का पैग़ाम तो आयाताख़ीर से ही चाँद लब-ए-बाम तो आयाउस बाग़ में इक फूल खिला मेरे लिए भीख़ुशबू की कहानी में मेरा नाम तो आयापतझड़ का ज़माना था तो ये बख़्त हमारासैर-ए-चमन-ए-दिल को वो गुलफ़ाम तो आयाउड़ जाएगा फिर अपनी हवाओं में तो क्या ग़मवो ताइर-ए-ख़ुश-रंग तह-ए-दाम तो आयाहर चंद कि कम अरसा-ए-ज़ेबाई में ठहराहर चेहरा-ए-गुल बाग़ के कुछ काम तो आयाशब से भी गुज़र जाएँगे गर तेरी रज़ा होदौरान-ए-सफ़र मरहला-ए-शाम तो आया Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
malaal hai magar itna malaal thodi hai.. byParveen Shakir November 21, 2024 malaal hai magar itna malaal thodi haiye aankh rone kii shiddat se laal thodi haibas apne vaaste hi fikr-mand hain sab logyahan kisi ko kisi ka khayal thodi haiparon ko kaat diya hai udaan se pehleye khauf-e-hijr hai shauq-e-visaal thodi haimaza to tab hai ki tum haar ke bhi hanste rahohamesha jeet hi jaana kamaal thodi hailagaani padtii hai dubki ubharne se pehleghuroob hone ka matlab zawaal thodi hai ------------------------------------मलाल है मगर इतना मलाल थोड़ी हैये आँख रोने की शिद्दत से लाल थोड़ी हैबस अपने वास्ते ही फ़िक्र-मंद हैं सब लोगयहाँ किसी को किसी का ख़याल थोड़ी हैपरों को काट दिया है उड़ान से पहलेये ख़ौफ़-ए-हिज्र है शौक़-ए-विसाल थोड़ी हैमज़ा तो तब है कि तुम हार के भी हँसते रहोहमेशा जीत ही जाना कमाल थोड़ी हैलगानी पड़ती है डुबकी उभरने से पहलेग़ुरूब होने का मतलब ज़वाल थोड़ी है Read more parveen sakir urdu lady poet pakistani poet
ik khat mujhe likhna hai.. byAli Zaryoun November 19, 2024 ik khat mujhe likhna haidilli mein base dil koik din mujhe chakhna haikhaaja teri nagri kakhusro teri chaukhat seik shab mujhe peeni haisheereeni sukhanvaalikhushboo ae watan waalighalib tere markad koik sher sunaana haiik saanwali rangat kochupke se bataana haimain dil bhi hoon dilli bhiurdu bhi hoon hindi bhiik khat mujhe likhna haimumkin hai kabhi likkhoonmumkin hai abhi likkhoon---------------------------------इक ख़त मुझे लिखना हैदिल्ली में बसे दिल कोइक दिन मुझे चखना हैखाजा तेरी नगरी काखुसरो तेरी चौखट सेइक शब मुझे पीनी हैशीरीनी सुख़नवालीखुशबू ए वतन वालीग़ालिब तेरे मरकद कोइक शेर सुनाना हैइक सांवली रंगत कोचुपके से बताना हैमैं दिल भी हूँ दिल्ली भीउर्दू भी हूँ हिन्दी भीइक ख़त मुझे लिखना हैमुमकिन है कभी लिक्खूँमुमकिन है अभी लिक्खूँ Read more ali zaryoun pakistani poet young poet
main ishq alast parast hoon.. byAli Zaryoun November 19, 2024 main ishq alast parast hoonkholoon roohon ke bhedmera naam sunhara saanwaraek sundarta ka vedmain khurchu nakhoon shauk seek shabd bhari deewaarvo shabd bhari deewaar haiye rang saja sansaarhai 114 soorate bas ik soorat ka noorvo soorat sone yaar kijo ahsan aur bharpoorman mukt hua har lobh seab kya chinta kya dukhrahe hardam yaar nigaah meinmere nainan sukh hi sukhye ped parinde titliyaanmeri rooh ke saaye hainye jitne ghaayal log hainmere maa-jaaye haimeri aankh kalander qaadrimera seena hai bagdaadmera maatha din ajmer kadil paak patan aabaadmain ab apna avtaar hoonmain ab apni pehchaanmain din dharm se maavramain hoon hazrat insaan ----------------------मैं इश्क अलस्त परस्त हूंखोलूं रूहों के भेदमेरा नाम सुनहरा सांवराएक सुंदरता का वेदमैं खुरचु नाखुने शौक सेएक शब्द भरी दीवारवो शब्द भरी दीवार हैये रंग सजा संसारहै 114 सूरते बस इक सूरत का नूरवो सूरत सोने यार कीजो अहसन और भरपूरमन मुक्त हुआ हर लोभ सेअब क्या चिंता क्या दुखरहे हरदम यार निगाह मेंमेरे नैनन सुख ही सुखये पेड़, परिंदे, तितलियांमेरी रूह के साए हैंये जितने घायल लोग हैंमेरे माँ-जाये हैमेरी आंख कलंदर कादरीमेरा सीना है बगदादमेरा माथा दिन अजमेर कादिल पाक पतन आबादमैं अब अपना अवतार हूंमैं अब अपनी पहचानमैं दिन धर्म से मावरामैं हूं हजरत इन्सान Read more ali zaryoun pakistani poet young poet