1- Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon mein milen
Jis tarah sukhe hue phool kitaabon mein milen
Dhoondh ujhde hue logon mein wafa ke moti
Yeh khazane tujhe mumkin hai kharaabon mein milen
Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shamil kar lo
Nasha badhta hai sharabein jo sharabon mein milen
Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun itne hijabon mein milen
Aaj hum daar pe kheenche gaye jin baaton par
Kya ajab kal woh zamane ko nisaabon mein milen
Ab na woh main, na woh tu hai, na woh maazi hai 'Faraz'
Jaise do saaye tamanna ke saraabon mein milen
2- Aisa hai ki sab khwab musalsal nahin hote
Jo aaj to hote hain magar kal nahin hote
Andar ki fazaon ke karishme bhi ajab hain
Meh toot ke barse bhi to baadal nahin hote
Kuch mushkilein aisi hain ki aasaan nahin hoti
Kuch aise muamme hain kabhi hal nahin hote
Shaistegi-e-gham ke sabab aankhon ke sehra
Namak to ho jaate hain jal-thal nahin hote
Kaise hi talatum hon magar qulzum-e-jaan mein
Kuch yaad-jazire hain ki ojhal nahin hote
Ushshaaq ke maanind kai ahl-e-hawas bhi
Paagal to nazar aate hain paagal nahin hote
Sab khwahishein poori hon 'Faraz', aisa nahin hai
Jaise kai ash’aar mukammal nahin hote
3- Chal nikalti hain gham-e-yaar se baatein kya kya
Humne bhi keen dar-o-deewar se baatein kya kya
Baat ban aayi hai phir se ki mere baare mein
Usne poochhi mere ghamkhaar se baatein kya kya
Log lab-basta agar hon to nikal aati hain
Chup ke pareaaya-e-izhaar se baatein kya kya
Kisi saudai ka qissa, kisi harjai ki baat
Log le aate hain bazaar se baatein kya kya
Humne bhi dast-shanaasi ke bahaane ki hain
Haath mein haath liye pyaar se baatein kya kya
Kis ko bikna tha magar khush hain ki is heele se
Ho gayin apne kharidaar se baatein kya kya
Hum hain khaamosh ki majboor-e-mohabbat the 'Faraz'
Warna mansub hain sarkaar se baatein kya kya
4- Is se pehle ki bewafa ho jaayein
Kyoon na ae dost hum juda ho jaayein
Tu bhi heere se ban gaya patthar
Hum bhi kal jaane kya se kya ho jaayein
Tu ki yakta tha be-shumaar hua
Hum bhi tootein to ja-ba-ja ho jaayein
Hum bhi majbooriyon ka uzr karein
Phir kahin aur mubtala ho jaayein
Hum agar manzilen na ban paaye
Manzilon tak ka rasta ho jaayein
Der se soch mein hain parwane
Raakh ho jaayein ya hawa ho jaayein
Ishq bhi khel hai naseebon ka
Khaak ho jaayein keemiya ho jaayein
Ab ke gar tu mile to hum tujh se
Aise liptein, teri qaba ho jaayein
Bandagi humne chhod di hai 'Faraz'
Kya karein log jab khuda ho jaayein
5- Karoon na yaad magar kis tarah bhulaoon use
Ghazal bahaana karoon aur gungunaoon use
Woh khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind
Main zakhm zakhm hoon phir bhi gale lagaoon use
Yeh log tazkire karte hain apne logon ke
Main kaise baat karoon ab kahaan se laoon use
Magar woh zood-faraamosh zood-ranj bhi hai
Ki rooth jaaye agar yaad kuch dilaoon use
Wahi jo daulat-e-dil hai, wahi jo raahat-e-jaan
Tumhari baat pe ae naaseho gawaaoon use
Jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai 'Faraz'
Ajab nahin hai agar yaad bhi na aaon use
-----------------------------------------------------
1- अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख़्वाबों में मिलें
जिस तरह सूखे हुए फूल किताबों में मिलें
ढूँढ उजड़े हुए लोगों में वफ़ा के मोती
ये ख़ज़ाने तुझे मुमकिन है ख़राबों में मिलें
ग़म-ए-दुनिया भी ग़म-ए-यार में शामिल कर लो
नशा बढ़ता है शराबें जो शराबों में मिलें
तू ख़ुदा है न मिरा इश्क़ फ़रिश्तों जैसा
दोनों इंसाँ हैं तो क्यूँ इतने हिजाबों में मिलें
आज हम दार पे खींचे गए जिन बातों प
क्या अजब कल वो ज़माने को निसाबों में मिले
अब न वो मैं न वो तू है न वो माज़ी है 'फ़राज़'
जैसे दो साए तमन्ना के सराबों में मिलें
2- ऐसा है कि सब ख़्वाब मुसलसल नहीं होते
ऐसा है कि सब ख़्वाब मुसलसल नहीं होते
जो आज तो होते हैं मगर कल नहीं होते
अंदर की फ़ज़ाओं के करिश्मे भी अजब हैं
मेंह टूट के बरसे भी तो बादल नहीं होते
कुछ मुश्किलें ऐसी हैं कि आसाँ नहीं होतीं
कुछ ऐसे मुअम्मे हैं कभी हल नहीं होते
शाइस्तगी-ए-ग़म के सबब आँखों के सहरा
नमनाक तो हो जाते हैं जल-थल नहीं होते
कैसे ही तलातुम हों मगर क़ुल्ज़ुम-ए-जाँ में
कुछ याद-जज़ीरे हैं कि ओझल नहीं होते
उश्शाक़ के मानिंद कई अहल-ए-हवस भी
पागल तो नज़र आते हैं पागल नहीं होते
सब ख़्वाहिशें पूरी हों 'फ़राज़' ऐसा नहीं है
जैसे कई अशआर मुकम्मल नहीं होते
3- चल निकलती हैं ग़म-ए-यार से बातें क्या क्या
चल निकलती हैं ग़म-ए-यार से बातें क्या क्या
हम ने भी कीं दर-ओ-दीवार से बातें क्या क्या
बात बन आई है फिर से कि मेरे बारे में
उस ने पूछीं मेरे ग़म-ख़्वार से बातें क्या क्या
लोग लब-बस्ता अगर हों तो निकल आती हैं
चुप के पैराया-ए-इज़हार से बातें क्या क्या
किसी सौदाई का क़िस्सा किसी हरजाई की बात
लोग ले आते हैं बाज़ार से बातें क्या क्या
हम ने भी दस्त-शनासी के बहाने की हैं
हाथ में हाथ लिए प्यार से बातें क्या क्या
किस को बिकना था मगर ख़ुश हैं कि इस हीले से
हो गईं अपने ख़रीदार से बातें क्या क्या
हम हैं ख़ामोश कि मजबूर-ए-मोहब्बत थे 'फ़राज़'
वर्ना मंसूब हैं सरकार से बातें क्या क्या
4- इस से पहले कि बेवफ़ा हो जाएँ
इस से पहले कि बेवफ़ा हो जाएँ
क्यूँ न ऐ दोस्त हम जुदा हो जाएँ
तू भी हीरे से बन गया पत्थर
हम भी कल जाने क्या से क्या हो जाएँ
तू कि यकता था बे-शुमार हुआ
हम भी टूटें तो जा-ब-जा हो जाएँ
हम भी मजबूरियों का उज़्र करें
फिर कहीं और मुब्तला हो जाएँ
हम अगर मंज़िलें न बन पाए
मंज़िलों तक का रास्ता हो जाएँ
देर से सोच में हैं परवाने
राख हो जाएँ या हवा हो जाएँ
इश्क़ भी खेल है नसीबों का
ख़ाक हो जाएँ कीमिया हो जाएँ
अब के गर तू मिले तो हम तुझ से
ऐसे लिपटें तिरी क़बा हो जाएँ
बंदगी हम ने छोड़ दी है 'फ़राज़'
क्या करें लोग जब ख़ुदा हो जाएँ
5- करूँ न याद मगर किस तरह भुलाऊँ उसे
करूँ न याद मगर किस तरह भुलाऊँ उसे
ग़ज़ल बहाना करूँ और गुनगुनाऊँ उसे
वो ख़ार ख़ार है शाख़-ए-गुलाब की मानिंद
मैं ज़ख़्म ज़ख़्म हूँ फिर भी गले लगाऊँ उसे
ये लोग तज़्किरे करते हैं अपने लोगों के
मैं कैसे बात करूँ अब कहाँ से लाऊँ उसे
मगर वो ज़ूद-फ़रामोश ज़ूद-रंज भी है
कि रूठ जाए अगर याद कुछ दिलाऊँ उसे
वही जो दौलत-ए-दिल है वही जो राहत-ए-जाँ
तुम्हारी बात पे ऐ नासेहो गँवाऊँ उसे
जो हम-सफ़र सर-ए-मंज़िल बिछड़ रहा है 'फ़राज़'
अजब नहीं है अगर याद भी न आऊँ उसे