pakistani poet

man jis ka maula hota hai..

man jis ka maula hota hai
vo bilkul mujh sa hota hai

tum mujhko apna kahte ho
kah lene se kya hota hai

achhi ladki zid nahin karte
dekho ishq bura hota hai

aankhen hans kar pooch rahi hain
neend aane se kya hota hai

mitti ki izzat hoti hai
paani ka charcha hota hai

marne mein koi bahs na karna
mar jaana achha hota hai 
-------------------------
मन जिस का मौला होता है
वो बिल्कुल मुझ सा होता है

तुम मुझको अपना कहते हो
कह लेने से क्या होता है

अच्छी लड़की ज़िद नहीं करते
देखो इश्क़ बुरा होता है

आँखें हंस कर पूछ रही हैं
नींद आने से क्या होता है

मिट्टी की इज़्ज़त होती है
पानी का चर्चा होता है

मरने में कोई बहस ना करना
मर जाना अच्छा होता है
Read more

apne yaaron se bahut door nahin hota tha..

apne yaaron se bahut door nahin hota tha
yaar tu un dinon mashhoor nahin hota tha

mujhko lagta hai tujhe dil ki dua lag gai hai
tere chehre par to ye noor nahin hota tha

koi to dukh hai jo waapas nahin deta
varna main ghar se kabhi door nahin hota tha 
-----------------------------------------
अपने यारों से बहुत दूर नहीं होता था
यार तू उन दिनों मशहूर नहीं होता था

मुझको लगता है तुझे दिल की दुआ लग गई है
तेरे चेहरे पर तो ये नूर नहीं होता था

कोई तो दुःख है जो वापस नहीं देता
वरना मैं घर से कभी दूर नहीं होता था

Read more

ham yun hi nahin shah ke azaadaar hue hain..

ham yun hi nahin shah ke azaadaar hue hain
nasli hain to asli ke parastaar hue hain

tohmat to laga dete ho bekaari ki hampar
poocho to sahi kislie bekar hue hain

sab aake mujhe kahte hain murshid koi chaara
jis jis ko dar ae yaar se inkaar hue hain

ye vo hain jinhen maine sukhun karna sikhaaya
ye lehje mere saamne talwaar hue hain

milne to akela hi use jaana hai zaryoon
ye dost magar kislie taiyaar hue hain 
------------------------------------------
हम यूँ ही नहीं शह के अज़ादार हुए हैं
नस्ली हैं तो अस्ली के परस़्तार हुए हैं

तोहमत तो लगा देते हो बेकारी की हमपर
पूछो तो सही किसलिए बेकार हुए हैं

सब आके मुझे कहते हैं मुर्शिद कोई चारा
जिस जिस को दर ए यार से इन्कार हुए हैं

ये वो हैं जिन्हें मैंने सुख़न करना सिखाया
ये लहजे मेरे सामने तलवार हुए हैं

मिलने तो अकेले ही उसे जाना है "ज़रयून"
ये दोस्त मगर किसलिए तैयार हुए हैं?
Read more

mujhe to sab tamasha lag raha hai..

mujhe to sab tamasha lag raha hai
khuda se pooch use kya lag raha hai

vaba ke din guzarte ja rahe hain
madeena aur saccha lag raha hai

azziziyat se take jaata hoon khudko
tumhein ye ghar mein rahna lag raha hai

khud apne saath rahna pad gaya tha
aur ab dushman bhi achha lag raha hai
--------------------------------------
मुझे तो सब तमाशा लग रहा है
खुदा से पूछ उसे क्या लग रहा है

वबा के दिन गुज़रते जा रहे हैं
मदीना और सच्चा लग रहा है

अज़्जी़यत से तके जाता हूँ खुदको
तुम्हें ये घर में रहना लग रहा है

खुद अपने साथ रहना पड़ गया था
और अब दुश्मन भी अच्छा लग रहा है
Read more

vo hi kartaba teri yaad ka vo hi nai nava ae khayal hai..

vo hi kartaba teri yaad ka vo hi nai nava ae khayal hai
vo hi main jo tha tere hijr mein vo hi mashhad ae khaddo khaal hai

teri neend kiske liye udri mera khwaab kisne bujha diya
ise sun kar rookh nahin pherna tere maatami ka sawaal hai

ye mazaq to nahin ho raha main khushi se to nahin ro raha
koi film to nahin chal rahi meri jaan ye mera haal hai

kisi saiyada ke charan padhoon koi kaazmi jo dua kare
koi ho jo gham ki haya kare mera karbalaai malaal hai

vo charaagh ae shehar ae vifaq hai mere saath jiska firaq hai
bhale door paar se hi sahi mera raabta to bahaal hai

vo khushi se itni nihaal thi ki ali main soch kar dar gaya
main use bata hi nahin saka ki ye meri aakhiri call hai 
-----------------------------------------------------
वो ही कर्तबा तेरी याद का, वो ही नै नवा ए खयाल है
वो ही मैं जो था तेरे हिज्र में, वो ही मशहद ए खद्दो खाल है

तेरी नींद किसके लिए उड़ी, मेरा ख्वाब किसने बुझा दिया
इसे सुन कर रूख़ नहीं फेरना, तेरे मातमी का सवाल है

ये मजाक़ तो नहीं हो रहा, मैं खुशी से तो नहीं रो रहा
कोई फिल्म तो नहीं चल रही, मेरी जान ये मेरा हाल है

किसी सैय्यदा के चरण पडूं, कोई काज़मी जो दुआ करे
कोई हो जो ग़म की हया करे, मेरा कर्बलाई मलाल है

वो चराग़ ए शहर ए विफाक़ है, मेरे साथ जिसका फिराक़ है
भले दूर पार से ही सही, मेरा राब़्ता तो बहाल है

वो खुशी से इतनी निहाल थी कि "अली" मैं सोच कर डर गया
मैं उसे बता ही नहीं सका कि ये मेरी आखिरी कॉल है
Read more

bujhi aankhon mein kirnen bhar rahi ho kaun ho tum..

bujhi aankhon mein kirnen bhar rahi ho kaun ho tum
meri neendon ko roshan kar rahi ho kaun ho tum

mujh aise ghar mein to shaitaan bhi aata nahin hai
tum itne din mere andar rahi ho kaun ho tum

main jiski yaad mein roya hua hoon vo kahaan hai
mera tawaan tum kyun bhar rahi ho kaun ho tum

bhare majme se kamre tak tumheen laai ho mujhko
ab is tanhaai se khud dar rahi ho kaun ho tum 
---------------------------------------------------
बुझी आंखों में किरणें भर रही हो, कौन हो तुम?
मेरी नींदों को रोशन कर रही हो, कौन हो तुम?

मुझ ऐसे घर में तो शैतान भी आता नहीं है,
तुम इतने दिन मेरे अंदर रही हो, कौन हो तुम?

मैं जिसकी याद में 'रोया' हुआ हूँ वो कहाँ है?
मेरा तावान तुम क्यों भर रही हो, कौन हो तुम?

भरे मजमे से कमरे तक तुम्हीं लाई हो मुझको,
अब इस तन्हाई से खुद डर रही हो, कौन हो तुम?
Read more

zane haseen thi aur phool chun kar laati thi..

zane haseen thi aur phool chun kar laati thi
main sher kehta tha vo dastaan sunaati thi

arab lahu tha ragon mein badan sunhara tha
vo muskuraati nahin thi die jalaati thi

ali se door raho log usse kahte the
vo mera sach hai bahut cheekh kar bataati thi

ali ye log tumhein jaante nahin hain abhi
gale lagaakar mera hausla badhaati thi

ye phool dekh rahe ho ye uska lahja tha
ye jheel dekh rahe ho yahan vo aati thi

main uske baad kabhi theek se nahin jaaga
vo mujhko khwaab nahin neend se jagati thi

use kisi se mohabbat thi aur vo main nahin tha
ye baat mujhse ziyaada use roolaati thi

main kuchh bata nahin saka vo meri kya thi ali
ki usko dekhkar bas apni yaad aati thi 
------------------------------------------
ज़ने हसीन थी और फूल चुन कर लाती थी
मैं शेर कहता था, वो दास्ताँ सुनाती थी

अरब लहू था रगों में, बदन सुनहरा था
वो मुस्कुराती नहीं थी, दीए जलाती थी

"अली से दूर रहो", लोग उससे कहते थे
"वो मेरा सच है", बहुत चीख कर बताती थी

"अली ये लोग तुम्हें जानते नहीं हैं अभी"
गले लगाकर मेरा हौसला बढ़ाती थी

ये फूल देख रहे हो, ये उसका लहजा था
ये झील देख रहे हो, यहाँ वो आती थी

मैं उसके बाद कभी ठीक से नहीं जागा
वो मुझको ख्वाब नहीं नींद से जगाती थी

उसे किसी से मोहब्बत थी और वो मैं नहीं था
ये बात मुझसे ज़्यादा उसे रूलाती थी

मैं कुछ बता नहीं सकता वो मेरी क्या थी "अली"
कि उसको देखकर बस अपनी याद आती थी
Read more

haalat ae hijr mein hoon yaar meri samt na dekh..

haalat ae hijr mein hoon yaar meri samt na dekh
tu na ho jaaye girftaar meri samt na dekh

aasteen mein jo chhupe saanp hain unko to nikaal
apne nuksaan par har baar meri samt na dekh

tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai
aise nashshe mein lagaataar meri samt na dekh

ya koi baat suna ya mujhe seene se laga
is tarah baithkar bekar meri samt na dekh

tera yaaron se nahin jeb se yaaraana hai
ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh
-----------------------------------------------
हालत ए हिज्र में हूँ यार मेरी सम्त न देख
तू न हो जाए गिरफ्तार, मेरी सम्त न देख

आस्तीन में जो छूपे सांप हैं उनको तो निकाल
अपने नुकसान पर हर बार मेरी सम्त न देख

तुझको जिस बात का 'ख़द्शा' है वो हो सकती है
ऐसे नश्शे में लगातार मेरी सम्त न देख

या कोई बात सुना या मुझे सीने से लगा
इस तरह बैठकर बेकार मेरी सम्त न देख

तेरा यारों से नहीं जेब से याराना है
ऐ मोहब्बत के दुकाँदार मेरी सम्त न देख
Read more

shaahsaazi mein riayaat bhi nahin karte ho..

shaahsaazi mein riayaat bhi nahin karte ho
saamne aakar hukoomat bhi nahin karke ho

wall par chikhte rahte ho ki mazloom hain ham
aur system se bagaavat bhi nahin karte ho

tumse kya baat karoon kaun kahaan qatl hua
tum to is zulm par hairat bhi nahin karte ho

ab mere haal par kyun tumko pareshaani hai
ab to tum mujhse mohabbat bhi nahin karte ho

pyaar karne ki sanad kaise tumhein jaari karoon
tum abhi theek se nafrat bhi nahin karte ho 
-------------------------------------
शाहसाज़ी में रियायत भी नहीं करते हो
सामने आकर हुकूमत भी नहीं करके हो

वॉल पर चीखते रहते हो कि मज़लूम हैं हम
और सिस्टम से बगावत भी नहीं करते हो

तुमसे क्या बात करूँ कौन कहाँ क़त्ल हुआ
तुम तो इस ज़ु़ल्म पर हैरत भी नहीं करते हो

अब मेरे हाल पर क्यूँ तुमको परेशानी है
अब तो तुम मुझसे मोहब्बत भी नहीं करते हो

प्यार करने की सनद कैसे तुम्हें जारी करूँ
तुम अभी ठीक से नफ़रत भी नहीं करते हो
Read more

darne ke liye hai na naseehat ke liye hai..

darne ke liye hai na naseehat ke liye hai
jis umr mein tum ho vo mohabbat ke liye hai

ye dil jo abhi pichhle janaaze nahin bhoola
taiyaar ab ik aur museebat ke liye hai

kya hai jo mujhe hukm nahin maanne aate
deewaana to hota hi bagaavat ke liye hai

paaysis hai agar vo to pareshaan na hona
ye burj bana hi kisi hairat ke liye hai

ye pyaar tujhe isliye shobha nahin deta
tu jhooth hai aur jhooth siyaasat ke liye hai 
--------------------------------------------
डरने के लिए है न नसीहत के लिए है
जिस उम्र में तुम हो वो मोहब्बत के लिए है

ये दिल जो अभी पिछले जनाज़े नहीं भूला
तैयार अब इक और मुसीबत के लिए है

क्या है जो मुझे हुक्म नहीं मानने आते
दीवाना तो होता ही बगावत के लिए है

पाइसिस है अगर वो तो परेशान न होना
ये बुर्ज बना ही किसी हैरत के लिए है

ये प्यार तुझे इसलिए शोभा नहीं देता
तू झूठ है और झूठ सियासत के लिए है
Read more