Shayari

Top 20 most famous Shayari of Amir Ameer..

1- Wo roothi roothi ye keh rahi thi, qareeb aao mujhe manao
Ho mard toh aage badh ke mujhe gale lagao, mujhe manao

2- Zaroor uski nazar mujh pe hi gadi hui hai
Main gym se aa raha hoon, aasteen chadhi hui hai

3- Wo bhi ab yaad karein kis ko manane nikle
Hum bhi yuhin toh na maane the, siyane nikle

4- Ye laal dibiya mein jo padi hai, wo moonh dikhai padi rahegi
Jo main bhi rootha toh subah tak tu saji sajai padi rahegi

5- Ye mera aks jo thehra, teri nigah mein hai
Nahi hai pyaar toh phir kya, teri salah mein hai

6- Husn tera, ghoor mera tha
Sach toh ye hai, qusoor mera tha

7- Pyaar ki har ek rasm jo matrook thi, maine jari ki
Ishq-libaada tan par pehna aur mohabbat taari ki

8- Tasveer teri yun hi rahe kaash jeb mein
Goya ki husn-e-waadi-e-Kailash jeb mein

9- Teri hi shakal ke but hain kai tarashe hue
Na poochh Ka'aba-e-dil mein bhi kya tamashe hue

10- Na ghaur se dekh mere dil ka kabad aise
Ki main kabhi bhi nahi raha tha ujaad aise

11- Meri deewangi khud saakh-ta nahi
Main jaisa hoon, main waisa chahta nahi

12- Agar ye keh do bagair mere nahi guzaara toh main tumhara
Ya us pe mabni koi tassur, koi ishara toh main tumhara

13- Tujh ko apna ke bhi apna nahi hone dena
Zakhm-e-dil ko kabhi accha nahi hone dena

14- Ishq maine likh dala qaumiyat ke khaane mein
Aur tera dil likha shahriyat ke khaane mein

15- Bajaye koi shehnai, mujhe accha nahi lagta
Mohabbat ka tamashai mujhe accha nahi lagta

16- Teri khaatir nazar-andaz karta hoon usse, warna
Wo jo hai na, tera bhai mujhe accha nahi lagta

17- Mujhe batao ki meri narazgi se tumko hai farq koi
Main kha rahi hoon na-jaane kab se hi pech-taav, mujhe manao

18- Khilaaf-e-ma'amool mood accha hai aaj mera, main keh rahi hoon
Ki phir kabhi mujh se karte rehna ye bhaav-taav, mujhe manao

19- Tu ne jis shakhs ko maara tha samajh kar kafir
Uski mutthi se toh tasbeeh ke daane nikle

20- Laapata aaj talak qafile saare hain 'Ameer'
Jo tere pyaar mein kho kar tujhe paane nikle
---------------------------------------------
1- वो रूठी रूठी ये कह रही थी क़रीब आओ मुझे मनाओ
हो मर्द तो आगे बढ़ के मुझ को गले लगाओ मुझे मनाओ

2- ज़रूर उस की नज़र मुझ पे ही गड़ी हुई है
मैं जिम से आ रहा हूँ आस्तीं चढ़ी हुई है

3- वो भी अब याद करें किस को मनाने निकले
हम भी यूँही तो न माने थे सियाने निकले

4- ये लाल डिबिया में जो पड़ी है वो मुँह दिखाई पड़ी रहेगी
जो मैं भी रूठा तो सुब्ह तक तू सजी सजाई पड़ी रहेगी

5- ये मेरा अक्स जो ठहरा तिरी निगाह में है
नहीं है प्यार तो फिर क्या तिरी सलाह में है

6- हुस्न तेरा ग़ुरूर मेरा था
सच तो ये है क़ुसूर मेरा था

7- प्यार की हर इक रस्म कि जो मतरूक थी मैं ने जारी की
इश्क़-लबादा तन पर पहना और मोहब्बत तारी की

8- तस्वीर तेरी यूँ ही रहे काश जेब में
गोया कि हुस्न-ए-वादी-ए-कैलाश जेब में

9- तिरी ही शक्ल के बुत हैं कई तराशे हुए
न पूछ का'बा-ए-दिल में भी क्या तमाशे हुए

10- न ग़ौर से देख मेरे दिल का कबाड़ ऐसे
कि मैं कभी भी नहीं रहा था उजाड़ ऐसे

11- मिरी दीवानगी ख़ुद साख़्ता नईं
मैं जैसा हूँ मैं वैसा चाहता नईं

12- अगर ये कह दो बग़ैर मेरे नहीं गुज़ारा तो मैं तुम्हारा
या उस पे मब्नी कोई तअस्सुर कोई इशारा तो मैं तुम्हारा

13- तुझ को अपना के भी अपना नहीं होने देना
ज़ख़्म-ए-दिल को कभी अच्छा नहीं होने देना

14- इश्क़ मैं ने लिख डाला क़ौमीयत के ख़ाने में
और तेरा दिल लिखा शहरियत के ख़ाने में

15- बजाए कोई शहनाई मुझे अच्छा नहीं लगता
मोहब्बत का तमाशाई मुझे अच्छा नहीं लगता

16- तिरी ख़ातिर नज़र-अंदाज़ करता हूँ उसे वर्ना
वो जो है ना तिरा भाई मुझे अच्छा नहीं लगता

17- मुझे बताओ कि मेरी नाराज़गी से तुम को है फ़र्क़ कोई
मैं खा रही हूँ न-जाने कब से ही पेच-ताव मुझे मनाओ

18- ख़िलाफ़-ए-मा'मूल मूड अच्छा है आज मेरा मैं कह रही हूँ
कि फिर कभी मुझ से करते रहना ये भाव-ताव मुझे मनाओ

19- तू ने जिस शख़्स को मारा था समझ कर काफ़िर
उस की मुट्ठी से तो तस्बीह के दाने निकले

20- लापता आज तलक क़ाफ़िले सारे हैं 'अमीर'
जो तिरे प्यार में खो कर तुझे पाने निकले

Read more

Bevafai karke niklun ya vafa kar jaunga..

bevafai karke niklun ya vafa kar jaunga
shahr ko har zaiqe se ashna kar jaunga

tu bhi DhunDega mujhe shauq-e-saza men ek din
main bhi koi ḳhub-surat si ḳhata kar jaunga

mujh se achchhai bhi na kar meri marzi ke ḳhilaf
varna mai bhi haath koi dusra kar jaunga

mujh men hain gahri udasi ke jarasim is qadar
main tujhe bhi is maraz men mubtala kar jaunga

shor hai is ghar ke angan men 'zafar' kuchh roz aur
gumbad-e-dil ko kisi din be-sada kar jaunga
----------------------------------------------
बेवफ़ाई करके निकलूँ या वफ़ा कर जाऊँगा
शहर को हर ज़ायके से आश्ना कर जाऊँगा

तू भी ढूँढेगा मुझे शौक़-ए-सज़ा में एक दिन
मैं भी कोई ख़ूबसूरत सी ख़ता कर जाऊँगा

मुझसे अच्छाई भी न कर मेरी मर्ज़ी के ख़िलाफ़
वरना मैं भी हाथ कोई दूसरा कर जाऊँगा

मुझमें हैं गहरी उदासी के जर्सीम इस कदर
मैं तुझे भी इस मर्ज़ में मुब्तला कर जाऊँगा

शोर है इस घर के आँगन में 'ज़फ़र' कुछ रोज़ और
गुम्बद-ए-दिल को किसी दिन बे-सदा कर जाऊँगा

Read more

Top 20 most famous Shayari of Jaun Elia..

1. Apne sab yaar kaam kar rahe hain  
   Aur hum hain ke naam kar rahe hain  

2. Ab to har baat yaad rehti hai  
   Ghaliban main kisi ko bhool gaya  

3. Ab meri koi zindagi hi nahi  
   Ab bhi tum meri zindagi ho kya  

4. Ilaaj ye hai ke majboor kar diya jaun  
   Wagarna yun to kisi ki nahi suni maine  

5. Us gali ne ye sun ke sabr kiya  
   Jaane waale yahan ke the hi nahi  

6. Ek hi to hawas rahi hai humein  
   Apni haalat tabaah ki jaaye  

7. Kya takalluf karein ye kehne mein  
   Jo bhi khush hai hum us se jalte hain  

8. Kaise kahen ke tujh ko bhi hum se hai waasta koi  
   Tu ne to hum se aaj tak koi gila nahi kiya  

9. Kaam ki baat maine ki hi nahi  
   Ye mera taur-e-zindagi hi nahi  

10. Kitne aish se rehte honge kitne itraate honge  
    Jaane kaise log wo honge jo us ko bhaate honge  

11. Kitni dilkash ho tum kitna dil-joo hoon main  
    Kya sitam hai ke hum log mar jaayenge  

12. Kaun se shauq kis hawas ka nahi  
    Dil meri jaan tere bas ka nahi  

13. Kharch chalega ab mera kis ke hisaab mein bhala  
    Sab ke liye bahut hoon main apne liye zara nahi  

14. Jama hum ne kiya hai gham dil mein  
    Is ka ab sood khaye jaayenge  

15. Zindagi ek fun hai lamhon ko  
    Apne andaaz se ganwaane ka  

16. Zindagi kis tarah basar hogi  
    Dil nahi lag raha mohabbat mein  

17. Jo guzari na jaa saki hum se  
    Hum ne wo zindagi guzari hai  

18. 'Jaun' duniya ki chakri kar ke  
    Tune dil ki wo naukri kya ki  

19. Naya ik rishta paida kyun karein hum  
    Bichhadna hai to jhagra kyun karein hum  

20. Nahi duniya ko jab parwah hamari  
    To phir duniya ki parwah kyun karein hum
Read more