urdu poetry

All time most famous ghazals of Tehzeeb haafi..

1- parai aag pe roti nahin banaunga
main bhiig jaunga chhatri nahin banaunga

agar ḳhuda ne banane ka ikhtiyar diya
alam banaunga barchhi nahin banaunga

fareb de ke tirā jism jiit luuñ lekin
main ped kaat ke kashti nahin banaunga

gali se koi bhi guzre to chaunk uthta huun
nae makan men khidki nahin banaunga

main dushmanon se agar jang jiit bhi jaun
to un ki aurten qaidi nahin banaunga

tumhen pata to chale be-zaban chiiz ka dukh
main ab charagh ki lau hi nahin banaunga

main ek film banaunga apne 'sarvat' par
aur is men rail ki patri nahin banaunga


2- ye ek baat samajhne men raat ho gai hai
main us se jiit gaya huun ki maat ho gai hai

main ab ke saal parindon ka din manaunga
miri qarib ke jangal se baat ho gai hai

bichhad ke tujh se na khush rah sakunga socha tha
tirī judai hi vaj h-e-nashat ho gai hai

badan men ek taraf din tulua main ne kiya
badan ke dusre hisse men raat ho gai hai

main jangalon ki taraf chal pada huun chhod ke ghar
ye kya ki ghar ki udasi bhi saath ho gai hai

rahega yaad madine se vapsi ka safar
main nazm likhne laga tha ki naat ho gai hai


3- bata ai abr musavat kyuun nahin karta
hamare gaanv men barsat kyuun nahin karta

mahaz-e-ishq se kab kaun bach ke nikla hai
tu bach gaya hai to khairat kyuun nahin karta

vo jis ki chhanv men pachchis saal guzre hain
vo ped mujh se koi baat kyuun nahin karta

main jis ke saath kai din guzar aaya huun
vo mere saath basar raat kyuun nahin karta

mujhe tu jaan se badh kar aziiz ho gaya hai
to mere saath koi haath kyuun nahin karta


4- bichhad kar us ka dil lag bhi gaya to kya lagega
vo thak jaega aur mere gale se aa lagega

main mushkil men tumhare kaam aauun ya na aauun
mujhe avaz de lena tumhen achchha lagega

main jis koshish se us ko bhuul jaane men laga huun
ziyada bhi agar lag jaae to hafta lagega

mire hāthon se lag kar phuul mitti ho rahe hain
miri ankhon se dariya dekhna sahra lagega

mira dushman suna hai kal se bhuka lad raha hai
ye pahla tiir us ko nashte men ja lagega

ka.ī din us ke bhi sahraon men guzre hain 'hāfī'
so is nisbat se aina hamara kya lagega


5- tera chup rahna mire zehn men kya baith gaya
itni avazen tujhe diin ki gala baith gaya

yuun nahin hai ki faqat main hi use chahta huun
jo bhi us ped ki chhanv men gaya baith gaya

itna mitha tha vo ghusse bhara lahja mat puchh
us ne jis jis ko bhi jaane ka kaha baith gaya

apna ladna bhi mohabbat hai tumhen ilm nahin
chiḳhti tum rahi aur mera gala baith gaya

us ki marzi vo jise paas bitha le apne
is pe kya ladna fulan meri jagah baith gaya

baat dariyaon ki suraj ki na teri hai yahan
do qadam jo bhi mire saath chala baith gaya

bazm-e-janan men nashisten nahin hotin maḳkhsus
jo bhi ik baar jahan baith gaya baith gaya
--------------------------------------------------
1- पराई आग पे रोटी नहीं बनाऊंगा
मैं भीग जाऊंगा, छतरी नहीं बनाऊंगा।

अगर खुदा ने बनाने का इख़्तियार दिया
आलम बनाऊंगा, बरछी नहीं बनाऊंगा।

फ़रेब देकर तेरा जिस्म जीत लूं लेकिन
मैं पेड़ काटकर कश्ती नहीं बनाऊंगा।

गली से कोई भी गुज़रे तो चौक उठता हूं
नए मकान में खिड़की नहीं बनाऊंगा।

मैं दुश्मनों से अगर जंग जीत भी जाऊं
तो उनकी औरतें क़ैदी नहीं बनाऊंगा।

तुम्हें पता तो चले बेज़ुबान चीज़ का दुख
मैं अब चराग़ की लौ ही नहीं बनाऊंगा।

मैं एक फ़िल्म बनाऊंगा अपने 'सरवत' पर
और इसमें रेल की पटरी नहीं बनाऊंगा।


2- ये एक बात समझने में रात हो गई है
मैं उससे जीत गया हूं कि मात हो गई है।

मैं अब के साल परिंदों का दिन मनाऊंगा
मेरे क़रीब के जंगल से बात हो गई है।

बिछड़ के तुझसे न खुश रह सकूंगा सोचा था
तेरी जुदाई ही वजह-ए-नशात हो गई है।

बदन में एक तरफ़ दिन तुलूआ मैंने किया
बदन के दूसरे हिस्से में रात हो गई है।

मैं जंगलों की तरफ़ चल पड़ा हूं छोड़ के घर
ये क्या कि घर की उदासी भी साथ हो गई है।

रहेगा याद मदीने से वापसी का सफ़र
मैं नज़्म लिखने लगा था कि नात हो गई है।


3- बता ऐ अब्र मुसावत क्यों नहीं करता
हमारे गांव में बरसात क्यों नहीं करता।

महज़-ए-इश्क से कब कौन बच के निकला है
तू बच गया है तो ख़ैरात क्यों नहीं करता।

वो जिसकी छांव में पच्चीस साल गुज़रे हैं
वो पेड़ मुझसे कोई बात क्यों नहीं करता।

मैं जिसके साथ कई दिन गुज़र आया हूं
वो मेरे साथ बसर रात क्यों नहीं करता।

मुझे तू जान से बढ़कर अज़ीज़ हो गया है
तो मेरे साथ कोई हाथ क्यों नहीं करता।


4- बिछड़ कर उसका दिल लग भी गया तो क्या लगेगा
वो थक जाएगा और मेरे गले से आ लगेगा।

मैं मुश्किल में तुम्हारे काम आऊं या न आऊं
मुझे आवाज़ दे लेना तुम्हें अच्छा लगेगा।

मैं जिस कोशिश से उसको भूल जाने में लगा हूं
ज़्यादा भी अगर लग जाए तो हफ़्ता लगेगा।

मेरे हाथों से लगकर फूल मिट्टी हो रहे हैं
मेरी आँखों से दरिया देखना सहरा लगेगा।

मेरा दुश्मन सुना है कल से भूखा लड़ रहा है
ये पहला तीर उसको नाश्ते में जा लगेगा।

कई दिन उसके भी सहराओं में गुज़रे हैं 'हाफी'
सो इस निस्बत से आईना हमारा क्या लगेगा।


5- तेरा चुप रहना मेरे ज़ेहन में क्या बैठ गया
इतनी आवाज़ें तुझे दीं कि गला बैठ गया।

यूं नहीं है कि फ़क़त मैं ही उसे चाहता हूं
जो भी उस पेड़ की छांव में गया बैठ गया।

इतना मीठा था वो गुस्से भरा लहजा मत पूछ
उसने जिस-जिस को भी जाने का कहा बैठ गया।

अपना लड़ना भी मोहब्बत है तुम्हें इल्म नहीं
चीखती तुम रही और मेरा गला बैठ गया।

उसकी मर्ज़ी, वो जिसे पास बिठा ले अपने
इस पे क्या लड़ना, फलां मेरी जगह बैठ गया।

बात दरियाओं की सूरज की न तेरी है यहां
दो क़दम जो भी मेरे साथ चला बैठ गया।

बज़्म-ए-जानां में नशिस्तें नहीं होतीं मख़्सूस
जो भी एक बार जहां बैठ गया, बैठ गया।

Read more

Top 20 most famous Shayari of nasir kazmi,..

1- Judaaiyon ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye,
Tujhe bhi neend aa gayi, mujhe bhi sabr aa gaya.

2- Jinhien hum dekh kar jeete the 'Nasir',
Woh log aankhon se ojhal ho gaye hain.

3- Zara si baat sahi, tera yaad aa jana,
Zara si baat bohot der tak rulaati thi.

4- Mujhe yeh dar hai, teri aarzoo na mit jaaye,
Bohot dinon se tabiyat meri udaas nahi.

5- Aarzoo hai ki tu yahaan aaye,
Aur phir umra bhar na jaaye kahin.

6- Juda hue hain bohot log, ek tum bhi sahi,
Ab itni baat pe kya zindagi haraam karein.

7- Qubool hai jinhien gham bhi teri khushi ke liye,
Woh jee rahe hain haqeeqat mein zindagi ke liye.

8- Woh dil-nawaaz hai lekin nazar-shanaas nahi,
Mera ilaaj mere chaara-gar ke paas nahi.

9- Ek dum uske hont choom liye,
Yeh mujhe baithe baithe kya soozhi.

10- Hamare ghar ki deewaron pe 'Nasir',
Udaasi baal khole so rahi hai.

11- Aaj dekha hai tujhe der ke baad,
Aaj ka din guzar na jaaye kahin.

12- Woh koi dost tha acche dino ka,
Jo pichli raat se yaad aa raha hai.

13- Unhein sadiyon na bhulega zamaana,
Yahaan jo haadse kal ho gaye hain.

14- Dil dhadakne ka sabab yaad aaya,
Woh teri yaad thi, ab yaad aaya.

15- Dekh mohabbat ka dastoor,
Tu mujh se, main tujh se door.

16- Is se pehle ki bichad jaayein hum,
Do kadam aur mere saath chalo.

17- Kahan hai tu ki tere intezaar mein ai dost,
Tamaam raat sulagte hain dil ke veeraane.

18- Waqt accha bhi aayega 'Nasir',
Gham na kar, zindagi padi hai abhi.

19- Aaj to be-sabab udaas hai ji,
Ishq hota to koi baat bhi thi.

20- Zara si baat sahi, tera yaad aa jana,
Zara si baat bohot der tak rulaati thi.
-----------------------------------------------
1- जुदाइयों के ज़ख़्म दर्द-ए-ज़िन्दगी ने भर दिए
तुझे भी नींद आ गई मुझे भी सब्र आ गया

2- जिन्हें हम देख कर जीते थे 'नासिर'
वो लोग आँखों से ओझल हो गए हैं

3- ज़रा सी बात सही तेरा याद आ जाना
ज़रा सी बात बहुत देर तक रुलाती थी

4- मुझे ये डर है तेरी आरज़ू न मिट जाए
बहुत दिनों से तबीअत मिरी उदास नहीं

5- आरज़ू है कि तू यहाँ आए
और फिर उम्र भर न जाए कहीं

6- जुदा हुए हैं बहुत लोग एक तुम भी सही
अब इतनी बात पे क्या ज़िंदगी हराम करें

7- क़ुबूल है जिन्हें ग़म भी तेरी ख़ुशी के लिए
वो जी रहे हैं हक़ीक़त में ज़िन्दगी के लिए

8- वो दिल-नवाज़ है लेकिन नज़र-शनास नहीं
मिरा इलाज मिरे चारा-गर के पास नहीं

9- एक दम उस के होंट चूम लिए
ये मुझे बैठे बैठे क्या सूझी

10- हमारे घर की दीवारों पे 'नासिर'
उदासी बाल खोले सो रही है

11- आज देखा है तुझको देर के बा'द
आज का दिन गुज़र न जाए कहीं

12- वो कोई दोस्त था अच्छे दिनों का
जो पिछली रात से याद आ रहा है

13- उन्हें सदियों न भूलेगा ज़माना
यहाँ जो हादसे कल हो गए हैं

14- दिल धड़कने का सबब याद आया
वो तिरी याद थी अब याद आया

15- देख मोहब्बत का दस्तूर
तू मुझ से मैं तुझ से दूर

16- इस से पहले कि बिछड़ जाएँ हम
दो क़दम और मिरे साथ चलो

17- कहाँ है तू कि तिरे इंतिज़ार में ऐ दोस्त
तमाम रात सुलगते हैं दिल के वीराने

18- वक़्त अच्छा भी आएगा 'नासिर'
ग़म न कर ज़िंदगी पड़ी है अभी

19- आज तो बे-सबब उदास है जी
इश्क़ होता तो कोई बात भी थी

20- ज़रा सी बात सही तेरा याद आ जाना
ज़रा सी बात बहुत देर तक रुलाती थी
Read more

Top 20 most famous Shayari of meer taqi meer..

1- Iqraar mein kahaan hai inkaar ki si khoobi,
Hota hai shauq ‘Ghalib’ uski nahi nahi par.

2- Naahaq hum majbooron par yeh tohmat hai mukhtari ki,
Chahte hain so aap karein hain hum ko abas badnaam kiya.

3- Wasl mein rang ud gaya mera,
Kya judaai ko mooh dikhauunga.

4- Na rakho kaan nazm-e-shaa’iraan-e-haal par itne,
Chalo tuk 'Meer' ko sunne ki moti se pirota hai.

5- ‘Meer’ sahib, zamaana naazuk hai,
Dono haathon se thaamiye dastaar.

6- Ohde se niklein kis tarah aashiq,
Ek ada uski hai hazaar-fareb.

7- Dil-kharaashi-o-jigar-chaaki-o-khoon-afshaani,
Hoon toh naakaam par rahte hain mujhe kaam bahut.

8- Laga aag paani ko, daude hai tu,
Yeh garmi teri is sharaarat ke baad.

9- Goondh ke goya patti gul ki woh tarteeb banayi hai,
Rang badan ka tab dekho jab choli bheege paseene mein.

10- Kya kahoon tum se main ki kya hai ishq,
Jaan ka rog hai, bala hai ishq.

11- Ishq mein jee ko sabr-o-taab kahaan,
Usse aankhein ladi toh khwaab kahaan.

12- Dilli mein aaj bheek bhi milti nahi unhein,
Tha kal talak dimaag jinhein taaj-o-takht ka.

13- Be-khudi le gayi kahaan hum ko,
Der se intezaar hai apna.

14- Patta patta, boota boota, haal humara jaane hai,
Jaane na jaane, gul hi na jaane, baagh toh saara jaane hai.

15- Ulti ho gayi sab tadbeerein, kuch na dawa ne kaam kiya,
Dekha is beemari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya.

16- Yeh fann-e-ishq hai, aaye usse teenat mein jiski ho,
Tu zaahid peer-e-nabaaligh hai, be-teh tujhko kya aaye.

17- Rote phirte hain saari saari raat,
Ab yahi rozgaar hai apna.

18- Koi tum sa bhi kaash tum ko mile,
Mudda’aa humko inteqaam se hai.

19- Mere sang-e-mazaar par Farhad,
Rakh ke teshah kahe hai, “ya ustaad!”

20- Yaar ne hum se be-adayi ki,
Wasl ki raat mein ladaai ki.
----------------------------------------
1- इक़रार में कहाँ है इंकार की सी ख़ूबी
होता है शौक़ ग़ालिब उस की नहीं नहीं पर

2- नाहक़ हम मजबूरों पर ये तोहमत है मुख़्तारी की
चाहते हैं सो आप करें हैं हम को अबस बदनाम किया

3- वस्ल में रंग उड़ गया मेरा
क्या जुदाई को मुँह दिखाऊँगा

4- न रक्खो कान नज़्म-ए-शाइ'रान-ए-हाल पर इतने
चलो टुक 'मीर' को सुनने कि मोती से पिरोता है

5- 'मीर' साहिब ज़माना नाज़ुक है
दोनों हाथों से थामिए दस्तार

6- ओहदे से निकलें किस तरह आशिक़
एक अदा उसकी है हज़ार-फ़रेब

7- दिल-ख़राशी-ओ-जिगर-चाकी-ओ-ख़ूँ-अफ़्शानी
हूँ तो नाकाम प रहते हैं मुझे काम बहुत

8- लगा आग पानी को दौड़े है तू
ये गर्मी तेरी इस शरारत के बाद

9- गूँध के गोया पत्ती गुल की वो तरकीब बनाई है
रंग बदन का तब देखो जब चोली भीगे पसीने में

10- क्या कहूँ तुम से मैं कि क्या है इश्क़
जान का रोग है बला है इश्क़

11- इश्क़ में जी को सब्र ओ ताब कहाँ
उस से आँखें लड़ीं तो ख़्वाब कहाँ

12- दिल्ली में आज भीक भी मिलती नहीं उन्हें
था कल तलक दिमाग़ जिन्हें ताज-ओ-तख़्त का

13- बे-ख़ुदी ले गई कहाँ हम को
देर से इंतिज़ार है अपना

14- पत्ता पत्ता बूटा बूटा हाल हमारा जाने है
जाने न जाने गुल ही न जाने बाग़ तो सारा जाने है

15- उल्टी हो गईं सब तदबीरें कुछ न दवा ने काम किया
देखा इस बीमारी-ए-दिल ने आख़िर काम तमाम किया

16- ये फ़न्न-ए-इश्क़ है आवे उसे तीनत में जिस की हो
तू ज़ाहिद पीर-ए-नाबालिग़ है बे-तह तुझ को क्या आवे

17- रोते फिरते हैं सारी सारी रात
अब यही रोज़गार है अपना

18- कोई तुम सा भी काश तुम को मिले
मुद्दआ हम को इंतिक़ाम से है

19- मेरे संग-ए-मज़ार पर फ़रहाद
रख के तेशा कहे है या उस्ताद

20- यार ने हम से बे-अदाई की
वस्ल की रात में लड़ाई की
Read more

Top 20 most famous Shayari of RAHAT INDORI..

1- Main wo dariya hoon ki har boond bhanwar hai jis ki,
Tumne accha hi kiya mujhse kinara kar ke.

2- Saath chalna hai to talwar utha meri tarah,
Mujhse buzdil ki himayat nahi hone wali.

3- Maa ke kadmon ke nishaan hain ki diye roshan hain,
Gaur se dekh yahin par kahin jannat hogi.

4- Raaste mein phir wahi pairon ko chakkar aa gaya,
January guzra nahi tha aur December aa gaya.

5- Janaze par mere likh dena yaaron,
Mohabbat karne wala ja raha hai.

6- Haath khaali hai tere sheher se jaate jaate,
Jaan hoti to meri jaan lutaate jaate.

7- Do gaz sahi magar ye meri milkiyat to hai,
Ae maut tune mujhe zamindar kar diya.

8- Wo Hindu, main Muslim, ye Sikh, wo Isai,
Yaar ye sab siyasat hai chalo ishq karein.

9- Main jab mar jaaun to meri alag pehchaan likh dena,
Lahoo se meri peshani pe Hindustan likh dena.

10- Dilli se hum hi bola karein amn ki boli,
Yaaro tum bhi kabhi Lahore se bolo.

11- Din dhal gaya aur raat guzrne ki aas mein,
Sooraj nadi mein doob gaya, hum gilaas mein.

12- Kisne dastak di ye dil par kaun hai,
Aap to andar hain bahar kaun hai.

13- Pyaas agar meri bujha de to main jaanu warna,
Tu samandar hai to hoga mere kis kaam ka hai.

14- Jo duniya ko sunai de use kehte hain khamoshi,
Jo aankhon mein dikhai de use toofan kehte hain.

15- Gulaab khwaab dawa zehar jaam kya kya hai,
Main aa gaya hoon bata intezaam kya kya hai.

16- Toofanon se aankh milao sailabon pe vaar karo,
Mallahon ka chakkar chhodo tair ke dariya paar karo.

17- Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain,
Itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain.

18- Dekho dekho jaanam hum dil apna tere liye laaye,
Socho socho duniya mein kyun aaye tere liye aaye.

19- Ab na main wo hoon na baaki hain zamaane mere,
Phir bhi mashhoor hain shehron mein fasaane mere.

20- Main saansein tak luta sakta hoon uske ek ishaare par,
Magar wo mere har waade ko sarkaari samajhta hai.
---------------------------------------------
1- मैं वो दरिया हूँ कि हर बूँद भँवर है जिस की
तुमने अच्छा ही किया मुझ से किनारा कर के

2- साथ चलना है तो तलवार उठा मेरी तरह
मुझसे बुज़दिल की हिमायत नहीं होने वाली

3- माँ के क़दमों के निशाँ हैं कि दिए रौशन हैं
ग़ौर से देख यहीं पर कहीं जन्नत होगी

4- रास्ते में फिर वही पैरों को चक्कर आ गया
जनवरी गुज़रा नहीं था और दिसंबर आ गया

5- जनाज़े पर मेरे लिख देना यारों
मोहब्बत करने वाला जा रहा है

6- हाथ खाली है तेरे शहर से जाते जाते
जान होती तो मेरी जान लुटाते जाते

7- दो गज़ सही मगर ये मेरी मिल्कियत तो है
ऐ मौत तूने मुझे ज़मींदार कर दिया

8- वो हिंदू, मैं मुस्लिम, ये सिक्ख, वो ईसाई
यार ये सब सियासत है चलो इश्क़ करें

9- मैं जब मर जाऊँ तो मेरी अलग पहचान लिख देना
लहू से मेरी पेशानी पे हिंदुस्तान लिख देना

10- दिल्ली से हम ही बोला करें अम्न की बोली
यारो तुम भी कभी लाहौर से बोलो

11- दिन ढल गया और रात गुज़रने की आस में
सूरज नदी में डूब गया, हम गिलास में

12- किसने दस्तक दी ये दिल पर कौन है
आप तो अंदर हैं बाहर कौन है

13- प्यास अगर मेरी बुझा दे तो मैं जानू वरना
तू समंदर है तो होगा मेरे किस काम का है

14- जो दुनिया को सुनाई दे उसे कहते हैं ख़ामोशी
जो आँखों में दिखाई दे उसे तूफ़ान कहते हैं

15- गुलाब ख़्वाब दवा ज़हर जाम क्या क्या है
मैं आ गया हूँ बता इंतिज़ाम क्या क्या है

16- तूफ़ानों से आँख मिलाओ सैलाबों पे वार करो
मल्लाहों का चक्कर छोड़ो तैर के दरिया पार करो

17- लोग हर मोड़ पे रुक रुक के सँभलते क्यूँ हैं
इतना डरते हैं तो फिर घर से निकलते क्यूँ हैं

18- देखो देखो जानम हम दिल अपना तेरे लिए लाए
सोचो सोचो दुनिया में क्यूँ आए तेरे लिए आए

19- अब न मैं वो हूँ न बाकी हैं ज़माने मेरे
फिर भी मशहूर हैं शहरों में फ़साने मेरे

20- मैं साँसें तक लुटा सकता हूँ उसके इक इशारे पर
मगर वो मेरे हर वादे को सरकारी समझता है
Read more

Top 20 most famous Shayari of shahid zaki..

1- Ye mujhe neend mein chalne ki jo bimaari hai
Mujh ko ek khwaab-sara apni taraf kheenchti hai

2- Mere gunaah ki mujh ko sazaa nahi deta
Mera Khuda kahin naaraaz toh nahi mujh se

3- Us ek khat ne sukhanwar bana diya mujh ko
Wo ek khat jo likha nahi gaya mujh se

4- Wo naa-samajh mujhe patthar samajh ke chhod gaya
Wo chahta toh sitaare tarashta mujh se

5- Ai aasman, teri inayat baja magar
Faslein pakki hui hon toh baarish fazool hai

6- Kisi ne kaha tha tooti hui naav mein chalo
Dariya ke saath aap ki ranjish fazool hai

7- Itna masroof hoon jeene ki havas mein 'Shahid'
Saans lene ki bhi fursat nahi hoti mujh ko

8- Aisa badla hoon tere shehar ka paani pee kar
Jhoot bolun toh nadaamat nahi hoti mujh ko

9- Main toh khud bikne ko bazaar mein aaya hua hoon
Aur dukandaar kharidaar samajhte hain mujhe

10- Main aap apni maut ki taiyariyon mein hoon
Mere khilaf aap ki saazish fazool hai

11- Main badalte hue haalaat mein dhal jaata hoon
Dekhne wale adakaar samajhte hain mujhe

12- Laashon mein ek laash meri bhi na ho kahin
Takta hoon ek ek ko chadar utha ke main

13- Ho na ho ek hi tasveer ke do pehlu hain
Raqs karta hua tu, aag mein jalta hua main

14- Yaar bhi raah ki deewar samajhte hain mujhe
Main samajhta tha mere yaar samajhte hain mujhe

15- Raat si neend hai, mahtaab utaara jaaye
Ai Khuda, mujh mein zar-e-khwaab utaara jaaye

16- Zabt-e-gham hai meri poshaak, meri izzat rakh
Aatish-e-deeda-e-namnak, meri izzat rakh

17- Zar-e-sarishk faza mein uchhalta hua main
Bikhar chala hoon, khushi ko sambhalta hua main

18- Kya kahun kaise iztiraar mein hoon
Main dhuaan ho ke bhi hisaar mein hoon

19- Main apne hisse ki tanhaai mehfil se nikaalunga
Jo la-haasil zaroori hai, toh haasil se nikaalunga

20- Zanjeer kat ke kya giri aadhe safar ke beech
Main sar pakad ke baith gaya rahguzar ke beech
----------------------------------------
1- ये मुझे नींद में चलने की जो बीमारी है
मुझ को इक ख़्वाब-सरा अपनी तरफ़ खींचती है

2- मिरे गुनाह की मुझ को सज़ा नहीं देता
मिरा ख़ुदा कहीं नाराज़ तो नहीं मुझ से

3- उस एक ख़त ने सुखनवर बना दिया मुझ को
वो एक ख़त कि जो लिक्खा नहीं गया मुझ से

4- वो ना-समझ मुझे पत्थर समझ के छोड़ गया
वो चाहता तो सितारे तराशता मुझ से

5- ऐ आसमान तेरी इनायत बजा मगर
फ़स्लें पकी हुई हों तो बारिश फ़ुज़ूल है

6- किसी ने कहा था टूटी हुई नाव में चलो
दरिया के साथ आप की रंजिश फ़ुज़ूल है

7- इतना मसरूफ़ हूँ जीने की हवस में 'शाहिद'
साँस लेने की भी फ़ुर्सत नहीं होती मुझ को

8- ऐसा बदला हूँ तिरे शहर का पानी पी कर
झूट बोलूँ तो नदामत नहीं होती मुझ को

9- मैं तो ख़ुद बिकने को बाज़ार में आया हुआ हूँ
और दुकाँ-दार ख़रीदार समझते हैं मुझे

10- मैं आप अपनी मौत की तय्यारियों में हूँ
मेरे ख़िलाफ़ आप की साज़िश फ़ुज़ूल है

11- मैं बदलते हुए हालात में ढल जाता हूँ
देखने वाले अदाकार समझते हैं मुझे

12- लाशों में एक लाश मिरी भी न हो कहीं
तकता हूँ एक एक को चादर उठा के मैं

13- हो न हो एक ही तस्वीर के दो पहलू हैं
रक़्स करता हुआ तू आग में जलता हुआ मैं

14- यार भी राह की दीवार समझते हैं मुझे
मैं समझता था मेरे यार समझते हैं मुझे

15- रात सी नींद है महताब उतारा जाए
ऐ ख़ुदा मुझ में ज़र-ए-ख़्वाब उतारा जाए

16- ज़ब्त-ए-ग़म है मिरी पोशाक मिरी इज़्ज़त रख
आतिश-ए-दीदा-ए-नमनाक मिरी इज़्ज़त रख

17- ज़र-ए-सरिश्क फ़ज़ा में उछालता हुआ मैं
बिखर चला हूँ ख़ुशी को सँभालता हुआ मैं

18- क्या कहूँ कैसे इज़्तिरार में हूँ
मैं धुआँ हो के भी हिसार में हूँ

19- मैं अपने हिस्से की तन्हाई महफ़िल से निकालूँगा
जो ला-हासिल ज़रूरी है तो हासिल से निकालूँगा

20- ज़ंजीर कट के क्या गिरी आधे सफ़र के बीच
मैं सर पकड़ के बैठ गया रहगुज़र के बीच
Read more

Top 20 most famous Shayari of Munir Niazi ..

1- Muddat ke baad aaj use dekh kar 'Munir',
Ik baar dil to dhadka magar phir sambhal gaya.

2- Jaante the dono hum usko nibha sakte nahin,
Usne wada kar liya, maine bhi wada kar liya.

3- Mahak uthe rang-e-surkh jaise,
Khile chaman mein gulaab itne.

4- Waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'Munir',
Aaj kal hota gaya aur din hawa hote gaye.

5- Ye kaisa nasha hai, main kis ajab khumaar mein hoon,
Tu aa ke ja bhi chuka hai, main intezaar mein hoon.

6- Main usko dekh ke chup tha usi ki shaadi mein,
Maza to saara isi rasam ke nibah mein tha.

7-'Munir', accha nahin lagta ye tera,
Kisi ke hijr mein beemar hona.

8- Shahar ka tabdeel hona, shaad rehna aur udaas,
Raunakien jitni yahan hain auraton ke dum se hain.

9- Awaaz de ke dekh lo, shayad woh mil hi jaye,
Warna ye umr bhar ka safar rayegan to hai.

10- Jaanta hoon ek aise shaks ko main bhi 'Munir',
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin.

11- Aadat si bana li hai tumne to 'Munir' apni,
Jis shahar mein bhi rehna, uktaaye hue rehna.

12- Main to 'Munir' aaine mein khud ko tak kar hairan hua,
Ye chehra kuch aur tarah tha pehle kisi zamane mein.

13- Ik aur dariya ka saamna tha 'Munir' mujh ko,
Main ek dariya ke paar utra to maine dekha.

14- Aa gayi yaad shaam dhalte hi,
Bujh gaya dil, charagh jalte hi.

15- Hawa jab chali, phadphada kar ude,
Parinde purane mahallat ke.

16- Khayal jiska tha mujhe, khayal mein mila mujhe,
Sawal ka jawab bhi, sawal mein mila mujhe.

17- Kisi ko apne amal ka hisaab kya dete,
Sawal saare galat the, jawab kya dete.

18- Rida us chaman ki uda le gayi,
Darakhton ke patte hawa le gayi.

19- Gayi jis ghadi shaam-e-seher-e-wafa,
Manazir se ik rang sa le gayi.

20- 'Munir', itna husn us zamane mein tha,
Kahan usko koi bala le gayi.
---------------------------------------
1- मुद्दत के बाद आज उसे देखकर 'मुनीर'
इक बार दिल तो धड़का मगर फिर सँभल गया


2- जानते थे दोनों हम उस को निभा सकते नहीं
उस ने वादा कर लिया मैं ने भी वादा कर लिया

3- महक उठे रंग-ए-सुर्ख़ जैसे
खिले चमन में गुलाब इतने

4- वक़्त किस तेज़ी से गुज़रा रोज़-मर्रा में 'मुनीर'
आज कल होता गया और दिन हवा होते गए

5- ये कैसा नश्शा है मैं किस अजब ख़ुमार में हूँ
तू आ के जा भी चुका है मैं इंतिज़ार में हूँ

6- मैं उस को देख के चुप था उसी की शादी में
मज़ा तो सारा इसी रस्म के निबाह में था

7- 'मुनीर' अच्छा नहीं लगता ये तेरा
किसी के हिज्र में बीमार होना

8- शहर का तब्दील होना शाद रहना और उदास
रौनक़ें जितनी यहाँ हैं औरतों के दम से हैं

9- आवाज़ दे के देख लो शायद वो मिल ही जाए
वर्ना ये उम्र भर का सफ़र राएगाँ तो है

10- जानता हूँ एक ऐसे शख़्स को मैं भी 'मुनीर'
ग़म से पत्थर हो गया लेकिन कभी रोया नहीं

11- आदत सी बना ली है तुमने तो 'मुनीर' अपनी
जिस शहर में भी रहना उकताए हुए रहना

12- मैं तो 'मुनीर' आईने में ख़ुद को तक कर हैरान हुआ
ये चेहरा कुछ और तरह था पहले किसी ज़माने में

13- इक और दरिया का सामना था 'मुनीर' मुझ को
मैं एक दरिया के पार उतरा तो मैं ने देखा

14- आ गई याद शाम ढलते ही
बुझ गया दिल चराग़ जलते ही

15- हवा जब चली फड़फड़ा कर उड़े
परिंदे पुराने महल्लात के

16- ख़याल जिस का था मुझे ख़याल में मिला मुझे
सवाल का जवाब भी सवाल में मिला मुझे

17- किसी को अपने अमल का हिसाब क्या देते
सवाल सारे ग़लत थे जवाब क्या देते

18- रिदा उस चमन की उड़ा ले गई
दरख़्तों के पत्ते हवा ले गई

19- गई जिस घड़ी शाम-ए-सेहर-ए-वफ़ा
मनाज़िर से इक रंग सा ले गई

20- 'मुनीर' इतना हुस्न उस ज़माने में था
कहाँ उस को कोई बला ले गई

Read more

Top 20 most famous Shayari of Tehzeeb Hafi..

1- ye filmo'n mein hi sabko pyaar mil jaata hai aakhir mein
magar sachmuch mein is duniya mein aisa kuchh nahin hota
chalo maana ki mera dil mere mehboob ka ghar hai
par uske peechhe uske ghar mein kya-kya kuchh nahin hota

2- gale to lagana hai us se kaho abhi lag jaaye
yahi na ho mera us ke baghair jee lag jaaye
main aa raha hoon tere paas ye na ho ki kahi
tera mazaak ho aur meri zindagi lag jaaye

3- bharam rakha hai tere hijr ka varna kya hota hai
main rone pe aa jaaun to jharna kya hota hai
mera chhodo main nain thakta mera kaam yahi hai
lekin tumne itne pyaar ka karna kya hota hai

4- ab us jaanib se is kasrat se tohfe aa rahe hain
ki ghar mein ham nayi almaariyaan banwa rahe hain

5- tapte seharaaon mein sab ke sar pe aanchal ho gaya
usne zulfen khol deen aur mas'ala hal ho gaya

6- mujhe azaad kar do ek din sab sach bata kar
tumhaare aur uske darmiyaan kya chal raha hai

7- kya galat-fahmi mein rah jaane ka sadma kuchh nahin
vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin
ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar
ye bhi sach hai ishq mein bande ka bachta kuchh nahin

8- mere naam se kya matlab hai tumhein mit jaayega ya rah jaata hai
jab tum ne hi saath nahin rahna phir peeche kya rah jaata hai
mere paas aane tak aur kisi ki yaad use kha jaati hai
vo mujh tak kam hi pahunchta hai kisi aur jagah rah jaata hai

9- us ladki se bas ab itna rishta hai
mil jaaye to baat wagaira karti hai
baarish mere rab ki aisi nemat hai
rone mein aasaani paida karti hai

10- main us se ye to nahin kah raha juda na kare
magar vo kar nahin saka to phir kaha na kare
vo jaise chhod gaya tha mujhe use bhi kabhi
khuda kare ki koi chhod de khuda na kare

11- ab in jale hue jismoon pe khud hi saaya karo
tumhein kaha tha bata kar qareeb aaya karo
main uske baad mahinon udaas rehta hoon
mazaak mein bhi mujhe haath mat lagaaya karo

12- zehan se yaadon ke lashkar ja chuke
vo meri mehfil se uth kar ja chuke
mera dil bhi jaise pakistan hai
sab hukoomat karke baahar ja chuke

13-  batlaata magar sharm bahut aati hai
teri tasveer se jo kaam liya jaata hai

14- maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo waqt aane pe kar jaaunga
tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga

15- ye dukkh alag hai ki usse main door ho raha hoon
ye gham juda hai vo khud mujhe door kar raha hai
tere bichhurne par likh raha hoon main taza ghazlen
ye tera gham hai jo mujhko mashhoor kar raha hai

16- mere aansu nahi tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya
aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya
may-kadon mein meri lainein padhte firte hain log
maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya

17- ab zaroori to nahi hai ki vo sab kuchh kah de
dil me jo kuchh bhi ho aankhon se nazar aata hai
main usse sirf ye kehta hoon ki ghar jaana hai
aur vo maarnay marne pe utar aata hai

18- isiliye to sabse zyaada bhaati ho
kitne sacche dil se jhoothi qasmen khaati ho

19- jaise tumne waqt ko haath mein roka ho
sach to ye hai tum aankhon ka dhokha ho

20- kaun tumhaare paas se uth kar ghar jaata hai
tum jisko choo leti ho vo mar jaata hai
---------------------------------------------
1- ये फ़िल्मों में ही सबको प्यार मिल जाता है आख़िर में
मगर सचमुच में इस दुनिया में ऐसा कुछ नहीं होता
चलो माना कि मेरा दिल मेरे महबूब का घर है
पर उसके पीछे उसके घर में क्या-क्या कुछ नहीं होता

2- गले तो लगना है उस से कहो अभी लग जाए
यही न हो मेरा उस के बग़ैर जी लग जाए
मैं आ रहा हूँ तेरे पास ये न हो कि कहीं
तेरा मज़ाक़ हो और मेरी ज़िंदगी लग जाए

3- भरम रखा है तेरे हिज्र का वरना क्या होता है
मैं रोने पे आ जाऊँ तो झरना क्या होता है
मेरा छोड़ो मैं नइँ थकता मेरा काम यही है
लेकिन तुमने इतने प्यार का करना क्या होता है

4- अब उस जानिब से इस कसरत से तोहफ़े आ रहे हैं
कि घर में हम नई अलमारियाँ बनवा रहे हैं

5- तपते सहराओं में सब के सर पे आँचल हो गया
उसने ज़ुल्फ़ें खोल दीं और मसअला हल हो गया

6- मुझे आज़ाद कर दो एक दिन सब सच बता कर
तुम्हारे और उसके दरमियाँ क्या चल रहा है

7- क्या ग़लत-फ़हमी में रह जाने का सदमा कुछ नहीं
वो मुझे समझा तो सकता था कि ऐसा कुछ नहीं
इश्क़ से बच कर भी बंदा कुछ नहीं होता मगर
ये भी सच है इश्क़ में बंदे का बचता कुछ नहीं

8- मेरे नाम से क्या मतलब है तुम्हें मिट जाएगा या रह जाता है
जब तुम ने ही साथ नहीं रहना फिर पीछे क्या रह जाता है
मेरे पास आने तक और किसी की याद उसे खा जाती है
वो मुझ तक कम ही पहुँचता है किसी और जगह रह जाता है

9- उस लड़की से बस अब इतना रिश्ता है
मिल जाए तो बात वगैरा करती है
बारिश मेरे रब की ऐसी नेमत है
रोने में आसानी पैदा करती है

10- मैं उस से ये तो नहीं कह रहा जुदा न करे
मगर वो कर नहीं सकता तो फिर कहा न करे
वो जैसे छोड़ गया था मुझे उसे भी कभी
ख़ुदा करे कि कोई छोड़ दे ख़ुदा न करे

11- अब इन जले हुए जिस्मों पे ख़ुद ही साया करो
तुम्हें कहा था बता कर क़रीब आया करो
मैं उसके बाद महिनों उदास रहता हूँ
मज़ाक में भी मुझे हाथ मत लगाया करो

12- ज़ेहन से यादों के लश्कर जा चुके
वो मेरी महफ़िल से उठ कर जा चुके
मेरा दिल भी जैसे पाकिस्तान है
सब हुकूमत करके बाहर जा चुके

13- तुझको बतलाता मगर शर्म बहुत आती है
तेरी तस्वीर से जो काम लिया जाता है

14- मैंने जो कुछ भी सोचा हुआ है, मैं वो वक़्त आने पे कर जाऊँगा
तुम मुझे ज़हर लगते हो और मैं किसी दिन तुम्हें पी के मर जाऊँगा

15- ये दुक्ख अलग है कि उससे मैं दूर हो रहा हूँ
ये ग़म जुदा है वो ख़ुद मुझे दूर कर रहा है
तेरे बिछड़ने पर लिख रहा हूँ मैं ताज़ा ग़ज़लें
ये तेरा ग़म है जो मुझको मशहूर कर रहा है

16- मेरे आँसू नही थम रहे कि वो मुझसे जुदा हो गया
और तुम कह रहे हो कि छोड़ो अब ऐसा भी क्या हो गया
मय-कदों में मेरी लाइनें पढ़ते फिरते हैं लोग
मैंने जो कुछ भी पी कर कहा फ़लसफ़ा हो गया

17- अब ज़रूरी तो नही है कि वो सब कुछ कह दे
दिल मे जो कुछ भी हो आँखों से नज़र आता है
मैं उससे सिर्फ ये कहता हूं कि घर जाना है
और वो मारने मरने पे उतर आता है

18- इसीलिए तो सबसे ज़्यादा भाती हो
कितने सच्चे दिल से झूठी क़समें खाती हो

19- जैसे तुमने वक़्त को हाथ में रोका हो
सच तो ये है तुम आँखों का धोख़ा हो

20- कौन तुम्हारे पास से उठ कर घर जाता है
तुम जिसको छू लेती हो वो मर जाता है

Read more

khwaabon ko aankhon se minha karti hai..

khwaabon ko aankhon se minha karti hai
neend hamesha mujhse dhokha karti hai

us ladki se bas ab itna rishta hai
mil jaaye to baat wagaira karti hai

aawaazon ka habs agar badh jaata hai
khaamoshi mujh mein darwaaza karti hai

baarish mere rab ki aisi niyamat hai
rone mein aasaani paida karti hai

sach poocho to haafi ye tanhaai bhi
jeene ka samaan muhayya karti hai 
---------------------------------
ख़्वाबों को आँखों से मिन्हा करती है
नींद हमेशा मुझसे धोखा करती है

उस लड़की से बस अब इतना रिश्ता है
मिल जाए तो बात वगैरा करती है

आवाजों का हब्स अगर बढ़ जाता है
ख़ामोशी मुझ में दरवाज़ा करती है

बारिश मेरे रब की ऐसी नियमत है
रोने में आसानी पैदा करती है

सच पूछो तो हाफ़ी ये तन्हाई भी
जीने का सामान मुहय्या करती है
Read more

kitni raatein kaat chuka hoon par vo vasl ka din..

kitni raatein kaat chuka hoon par vo vasl ka din
is dariya se pehle kitne jungle aate hain

hamein to neend bhi aati hai to aadhi aati hai
vo kaise hain jinko khwaab mukammal aate hain

is raaste par ped bhi aate hain usne poocha
jal kar khushboo dene waale sandal aate hain

kaun hai jo is dil mein khaamoshi se utarega
dekho is awaaz pe kitne paagal aate hain

ik se bharr kar ek sawaari asp-o-feel bhi hai
jaane kyun ham teri zaanib paidal aate hain 
----------------------------------------
कितनी रातें काट चुका हूँ पर वो वस्ल का दिन
इस दरिया से पहले कितने जंगल आते हैं

हमें तो नींद भी आती है तो आधी आती है
वो कैसे हैं जिनको ख़्वाब मुकम्मल आते हैं

इस रस्ते पर पेड़ भी आते हैं उसने पूछा
जल कर ख़ुशबू देने वाले संदल आते हैं

कौन है जो इस दिल में ख़ामोशी से उतरेगा
देखो इस आवाज़ पे कितने पागल आते हैं

इक से भड़ कर एक सवारी अस्प-औ-फील भी है
जाने क्यों हम तेरी ज़ानिब पैदल आते हैं
Read more

aankh ki khidkiyaan khuli hongi..

aankh ki khidkiyaan khuli hongi
dil mein jab choriyaan hui hongi

ya kahi aaine gire honge
ya kahi ladkiyaan hasi hongi

ya kahi din nikal raha hoga
ya kahi bastiyaan jali hongi

ya kahi haath hathkadi mein qaid
ya kahi choodiyaan padi hongi

ya kahi khaamoshi ki taqreebaat
ya kahi ghantiyaan bajee hongi

laut aayenge shehar se bhaai
haath mein raakhiyaan bandhi hongi

un dinon koi mar gaya hoga
jin dinon shaadiyaan hui hongi
----------------------------------
आँख की खिड़कियाँ खुली होंगी
दिल में जब चोरीयाँ हुई होंगी

या कहीं आइने गिरे होंगे
या कहीं लड़कियाँ हँसी होंगी

या कहीं दिन निकल रहा होगा
या कहीं बस्तियाँ जली होंगी

या कहीं हाथ हथकड़ी में क़ैद
या कहीं चूड़ियाँ पड़ी होंगी

या कहीं ख़ामशी की तक़रीबात
या कहीं घंटियाँ बजी होंगी

लौट आयेंगे शहर से भाई
हाथ में राखियाँ बँधी होंगी

उन दिनों कोई मर गया होगा
जिन दिनों शादियाँ हुई होंगी
Read more